/* */

PDA

View Full Version : Science ki roo se takhleeq-e-qaainaat………………kya allah khaaliq hai????????????????



saira_parveen
08-24-2008, 02:51 PM
:sl:
SCIENCE KI ROO SE TAKHLEEQ-E-QAAINAAT………………KYA ALLAH KHAALIQ HAI????????????????

Quran majeed ke mutaabik insaan ka khaaliq ALLAH TALLAH hai ,kya sciense bhi is baat se itafaaq karti hai???????????/
Quran mein kai jaga pe is haqeeqat ka zikar hua jaise surah mominoon ki ayah mabaraka 14 mein irshaad hai.

“ALLAH SABSE BEHTAREEN KHAALIQ HAI”

Kya hum sciensi taur par ye baat saabit karsakte hain k ALLAH SUBHANA WA TALLAH khaaliq hai tou hamein jawaab quran se milta hai k zara bataao tou sahi Ae ibn-e-Aadam ! kya tum adam mehaz se peda kye gaye?????????

“KYA YE BAGAIR KISI KHAALIQ KE PEDA HOGAYE YA YE APNE KHAALIQ AAP HAIN?”
[SURAH-52,AYAH-35]

Mazkoora ayaat mein takhleeq karne waaley ke liye Arabic lafz “KHALIQ” istamaal kya gaya hai jo arbi ke hi lafz “khalq” se hi mushatik hai. Arabi lafz “khalq” ke 4 maainay hain_
1. Aik maainay hai adam se kuch peda karna bagair kisi misaal ke jo sirf ALLAH se hi mumkin hai.
2. khalq ke doosrey maainay hain pehle se maujood mawaad ki madad se kuch naya takhleeq kardena maslan khasht o sang se kisi surat-e-makaan ki taameer.
3. Teesree maainay kuch yun hai. Mansooba bandi karna ya programming ya tarteeb dena.
4. Khaaliq ki 4th maainay hai kisi shai ko nak sak se durust karna ya smooth karna.
Quran hakeem surah Toor mein salaaye aam ke taur par aik sawaal laata hai k kya tum adam mehaz se peda kye gaye the? Yaqeenan iska jawaab nafi mein hoga k nahi aisa nahi hai. Insaan adam mehaz se nahi takhleeq hua. Mutahkeekeen ki hairat aakhir aik simt, aik qible ka rukh karke rehti hai.

AJEEB HAI TERE BAARE MEIN KOI FAISLA BHI
AJEEB TAR HAI YAHAN KOI PAISH O PAS MEIN HO
Quran majeed doosra sawaal paish karta hai k BANAANE WAALE TUM THE YA HUM (yaani ALLAH AZWAJAL)? Hamein khoob ilm hai k aik insaan apne jaise doosrey insaan ko peda karne se aajiz hai. Agar aap insaan takhleek karsakte tou jaise hi woh marta aap use doobara zinda karlete. Insaan tou aik makhi tak takhleek karne se aajiz hai tou apne jaise insaan ko kya takhleek karega.
Quran majeed surah Waqia ki ayat mubaraka 58-59 mein agla sawaal saamne rakhte hai.

“KYA KABHI GAUR KIYA TUMNE KE JO NUTFA TUM DAALTE HO KYA TUM PEDA KARTE HO US SE YA HUM PEDA KARTE HAIN”

Yaakeenan quran ke paish karda ye sawaalaat insaan ko aajiz kye daite hain albata kuch log kehte hain k insaan ki aafranish aik itafaaqi amar hai yaani fitrat ya nature ne use khalq kya hai woh bas aik itafaaq se khalq hogaya. Ab sciensi taur par jaaiza lete hain ke takhleeq amar itafaakia BY CHANCE hai ya nahi?
PROTEIN molecule aik jaandaar khaliye ka nihaayat aham hisa hota hai. Ye molecule 5 anaasir se tashkeel paata hai .Ye 5 anaasir CARBON, NITROGEN, HYDROGEN, OXYGEN aur SULPHUR hain. Aur kai dasiyon hazaar atom milkar aik molecule banaate hain. Aik atom 5 anasir se murakib hota hai. Ye 5 anaasir wahi CARBON, NITROGEN, HYDROGEN, OXYGEN aur SULPHUR. Kareeb kareeb 92 free elements ya anaasir maujood hain. In 92 mein se (5) paanch ke atom banaane ke imkaanaat aur phir in atoms k mazeed kitne hi darjan hazaar atom ya johar banaane ke imkaanaat jis se aik protein molecule tashkeel paa sake zer-e-tehqeeq laaye gaye aur unhe aik sciensedaan FRANK WILLIAM ne shumaar kiya aur batlaaya ye imkaanaat darasal 1 raise to 260( 260 sifaron tak adad ka tasawur muhaal hai) hain. Kya aap jaante hain 1 raise to 260 ka matlab kya hai agar mein kahoon k 1*10raise to 2 tou iska matlab hoga 100 (yaani 100 mein se 1% imkaan). Aur agar yun kaha jaaye ke 1*10raise to 3 tou iska matlab hoga k 1000 mein se aik yaani .1% ya ashaariya aik feesad. Agar main kahoon 1*10raise to 4 tou ye 10,000 mein se aik ya ashaaria sifar aik feesad (.01%) hoga. Aur jab ye shumaar kiya gaya k 1*10raise to 260 tou jawaab yun baraamad hua k sifar, sifar, sifar, sifar, sifar, sifar, sifar,algarz 157 martaba sifar likhne ke baad aik (1) adad likha jaaye tou is qadar itafaaq ya chance se takhleeq-e-insaan ke imkaanaat bante hain aur riyaziyaat ki mutabik jo shai 1*10raise to10 ke masaawi ho use sifar ya zero samjha jaata hai. Ye tou sirf aik molecule ki tashkeel ki baat hai mazeed baraa jo mawaad aisa aik molecule takhleeq hone ke liye darkaar hai woh CHARLES GUY ne shumaar kiya aur kaha ke hamaari kehkasha se kai gunaa zakheem mawaad darkaar hai jo aisa aik protein molecule peda karsake aur jab is amal ke liye usne waqt ka takhmeena lagaaya tou khula ke aik molecule ki tashkeel ke liye das ki quwat 10raise to 263 saal darkaar hain. Jaante hain aap ?ye kitna arsa banta hai.aik ke aage sifar, sifar lagaate jaayein. 263 sifar poore hone pe jitney saal honge utni mudat aik protein molecule ki tashkeel ke liye sirf hoti hai. Kya aap jaante hain k aik khaliye mein kitne molecules hote hain? Aur aik khaliye mein deegar kitne molecules mile hote hain aur insaan ki body mein kitne khaliyaat hote hain?????Andaaza kijiye. Aaj doctors kehte hain ke jab aik bacha peda hota hai tou uski body mein 6 billion molecules maujood hote hain. Aik protein molecule 1 ki quwat 160 ke masaawi imkaanaat mein se kahin banta hai aur 263 sifaron tak ke saal (1raise to 263) ka arsa-e-takhleeq is aik molecule ke liye darkaar hai jo aik bache ke badan mein 6 arab ki taadaad mein tashkeel paate hain. Tasawur Karen k is waqt dunya mein kitni hi millions khawaateen pregnant hain aur sirf 9 maah ke arse mein aik bacha janam leta hai. Woh imkaanaat jo sciense hamein bataati hai woh sifar, sifar, sifar, sifar ZERO ka aik taweel silsila hai. Keh lein goya sirey se koi imkaan hi nahi hai.

CHAHE GRIFT SAUT O SAMAA-AT SE DOOR HO
MAZRAAB-E-DAURE CHARKH KI AIK LAI KOI TOU HAI
Dar haqeeqat ye sab kuch itafaaq mehaz ka nateeja nahi hosakta .Yakeeni taur pe kisi ne iski mansooba bandi ki hai, tanaasub rakha hai, tarteeb sajaai hai. Aaj ki sciense hamein bataati hai k koi hai, koi fauk ul fitrat quwat jisne ye sab takhleek kiya hai. Sciense khuda ki nafi nahi karti albata tamsaal haaye khudawandi (MODELS OF GOD) ka ibtaal karti hai.

LA ILAAHA ILALLAH MUHAMMADU RASOOLULAAH
Reply

Login/Register to hide ads. Scroll down for more posts
Whatsthepoint
08-24-2008, 02:57 PM
Que?
EDIT: I've just figured this is the urdu section, so I'm out of here..
Reply

Fazl Ahmad
08-27-2008, 12:05 PM
Beyshak Allah Taala subse behtar Khaliq hain, saray makhlooq ka. Science wo cheez sabit karta jo sirf aankhein dekhsaktein. Islam wo cheez sabit karta jo dil bi yaqeen karay.
Reply

Hey there! Looks like you're enjoying the discussion, but you're not signed up for an account.

When you create an account, you can participate in the discussions and share your thoughts. You also get notifications, here and via email, whenever new posts are made. And you can like posts and make new friends.
Sign Up

Similar Threads

  1. Replies: 0
    Last Post: 06-09-2008, 12:33 AM
  2. Replies: 11
    Last Post: 04-09-2008, 03:37 PM
  3. Replies: 3
    Last Post: 08-23-2006, 10:54 PM
  4. Replies: 20
    Last Post: 09-29-2005, 11:44 AM
  5. Replies: 3
    Last Post: 08-27-2005, 12:22 PM
British Wholesales - Certified Wholesale Linen & Towels | Holiday in the Maldives

IslamicBoard

Experience a richer experience on our mobile app!