/* */

PDA

View Full Version : Itihaad



saira_parveen
09-06-2008, 09:15 PM
:sl:
BISMILLAHE ARRAHMAAN ARRAHEEM
ITIHAAD

1. (Pehle tou sab) logon ka aik hi mazhab tha (lekin woh aapis mein ikhtalaaf karne lage) tou KHUDA ne (unki taraf) bashaarat dene waale aur dar sunaane waale paigamber bheje aur un par sachaai ke saath kitaabein naazil ki taake jin umoor mein log ikhtalaaf karte the unka un mein faisla karde. Aur us mein ikhtalaaf bhi unhi logon ne kiya jinko kitaab di gai thi baawajood ye ke une paas khule hue ahkaam aachuke the (aur ye ikhtalaaf unhone sirf) aapis ki zid se (kya) tou jis amar haq mein woh ikhtalaaf karte the KHUDA ne apni meharbaani se momino ko uski raah dikha di aur khuda jisko chaahta hai seedha rasta dikha deta hai. [surah-al baqara,ayah-213]

2. Deen tou KHUDA ke nazdeek islam hai. Aur ahl-e-kitaab ne jo (is deen se) ikhtalaaf kya tou ilm haasil hone ke baad aapis ki zid se kiya. Aur jo shaks KHUDA ki aayaton ko naa maane tou KHUDA jald hisaab lene waala (aur sazaa dene waala) hai. [surah-Aal imraan,ayah-19]

3. Aur sab milkar KHUDA ki (hidaayat ki) rasi ko mazboot pakde rehna aur mutafarik na hona. Aur KHUDA ki us meharbaani ko yaad karo jab tum aik doosre ke dushman the tou usne tumhaare dilon mein ulfat daal di aur tum uski meharbaani se bhai bhai hogaye aur tum aag ke gadhe ke kinaare tak pohanch chuke the tou KHUDA ne tumko us se bacha liya. Istarah KHUDA tumko apni aayatein khol khol kar sunaata hai taake tum hidaayat paao. [suarh-Aal imraan,Ayah-103]

4. Aur ye ke mera seedha raasta yahi hai tou tum usi par chalna aur aur raston par na chalna ke (un par chal kar) KHUDA ke raste se alag hojaaoge.In baton ka KHUDA tumhein hukum deta hai taake tum parhezgaar bano. [surah-al inaam,ayah-153]

5. Jin logon ne apne deen mein (bohat se)rastey nikaale aur kai kai firqe hogaye unse tumko kuch kaam nahi unka kaam KHUDA ke hawaale phir jo jo kuch woh karte rahe hain woh unko (sab) bataayega.[surah-al inaam,ayah-159]

6. Aur (un mein aise bhi hain) jinho ne is garz se masjid banaai hai ke zarar pohanchaaien aur kufur karein aur momino mein tafarqa daalein aur jo log KHUDA aur uske rasool se pehle jung karchuke hain unke liye ghaat ki jaga banaaein aur qasmein khaaenge ke hamaara maqsood tou sirf bhalaai thi magar KHUDA gawaahi deta hai ke ye jhoote hain. [surah-al tauba,ayah-107]

7. Aur (sab) log (pehle) aik hi umat (yaani aik hi milat par) the. Phir juda juda hogaye. Aur agar aik baat jo tumhaare parwardigaar ki taraf se pehle hochuki hai na hoti tou jin baton mein woh ikhtalaaf karte hain unmein faisla kardiya jaata. [surah-yunus,ayah-19]

8. Us ne tumhaare liye deen ka wahi rasta muqarar kiya jis (ke ikhtiaar karne) ka nooh ko hukum diya tha aur jiski (Ae Mohammad) hum ne tumhaari taraf wahi bheji hai aur jiska Ibraahim aur Moosa aur Eesa ko hukum diya tha (woh ye) ke deen ko qaaim rakhna aur ismein phoot na daalna. Jis cheez ki taraf tum mushriqon ko bulaate ho woh unko dushwaar guzarti hai. ALLAH jisko chahta hai apni baargaah ka bargazeeda karleta hai aur jo uski taraf rujooh kare use apni taraf rasta dikha deta hai.[surah-al shoora,ayah-13]

9. Aur Agar momino mein se koi do fareeq aapis mein lad padein tou unmein sulah karaado. Aur agar aik fareeq doosrey par ziaadati kare tou ziyaadati karne waale se lado yahan tak ke woh KHUDA ke hukum ki taraf rujoo laaye. Pas jab woh rujoo laaye tou dono fareeq mein masaawaat ke saath sulaah karaado aur insaaf se kaam lo ke KHUDA insaaf karne waalon ko pasand karta hai.[surah-al hujraat,ayah-9]

10. Momin tou aapis mein bhai bhai hain. Tou apne do bhaaiyon mein sulaah karaa diya karo aur KHUDA se darte raho taake tum par rehmat ki jaaye. [surah-al hujraat,ayah-10]

11. Aur ahl-e-kitaab jo mutafariq (do mukhtalif) hue hain tou daleel waazeh ke aane ke baad (hue hain).[surah-al beena,ayah-4]
Reply

Hey there! Looks like you're enjoying the discussion, but you're not signed up for an account.

When you create an account, you can participate in the discussions and share your thoughts. You also get notifications, here and via email, whenever new posts are made. And you can like posts and make new friends.
Sign Up
British Wholesales - Certified Wholesale Linen & Towels | Holiday in the Maldives

IslamicBoard

Experience a richer experience on our mobile app!