/* */

PDA

View Full Version : Japani Main Aawazoon Ka Nazaam



maqsood hasni
01-30-2009, 02:44 PM
Japani Main Aawazoon Ka Nazaam
Kisi zoban ko saikhnay kay liay os kay aawazoon kay nazam ko janna/samjna bohat zarori hota hai. Essi tara kisi gher mulki say asal lehjay aur talafaz ki tovaqo rakhna ahmqanah se baat say zeyadah nahain.
Eak Punjabi,
Fitri toor par Punjabi main Angraizi ya koe bhi gher’madri zoban bolay ga. Lehaja kisi gher mulki ko manus na lagay aur talafaz say hat kar bolta daikh kar os ka mazaq orana darust baat na ho gi balkah os ki hosla afzae karnay ki zarorat hoti hai.
Japani zoban bunyadi toor par doo tara kay harfi/traces nazam par mushtamil hai aur char tara kay sound system say wabastah hai:
1- Hiragana (Japani alfaz-o-estalahaat wagherah kay liay)
2- Kanakata/Katakana (mahajar esma aur estalahaat wagherakay liay mustamal hai, jab japani letter/sound/ lafz/traces na hoon to estamal hoti hai.)
3- Kanji (chini say asal ya hasab-e-zarorat tabdelioon kay sath daramdah sounds/traces)
4- Romaji (Romaji/roumanji, Roman Japani)
Japani (Hiragana) eak kam soo (99) ba’qaedah aawazoon par ostawar hai.Es zoban main panch vowel estamal hotay hain eg a, i, u, e, o Japani lafaz main vowel daikhtay hain to haroof ki aawazoon ki surat kuch yoon banti hai:
a i u e o
Vowels ki aawazain
A jis tara father baradar, baba, raba, abba,
baqi, ashra
E jis tara seven, eleven ejaz, erada, eltaja, elawa,
I jis tara Easter, treat Irha, irtasda, eshara, irtaqa
O jis tara open, Pope onhoon, oqaat, omra, omeed
U jis tara fruity moogle obash, ubar, umbar, urdu
Heat, beat, seat
Left, kept, wept
Ink, brik, bring, thing, think
Slop, drop, broke
Up, soup, couple
Alif E,
a +e Au,
Alif zabar wao
Ke,
Re (le)
Ou
O
Her aawaz kay sath vawel wabastah nazar aata hai aur ossi kay hawalah say lafz aawaz paida karta hai.Vawels, goya alamati aawazain hain. Jaisay Arbi wagherah main zabar, zair, paish, shad, mad wagherah kaam main la’ay jati hain. Yah mufrad ya marakab aawazoon ko mutharak karti/rakhti hain. Dohri aawaz ki surat main alif ki aawaz paida karta hai.Yah moamlah Japani tak hi mehdood nahain. Es ko Roman Hidustani (Urdu+Hiondi) main malahza farmaein:
Jeem + zabar + Bay = Jab
Kaaf +zabar, Tay+ zabar + Bay = katab
Meem +paish, Hay +z abar +Bay par shad + Tay= mohabbat (mohab+bat)
Angraizi main bhi kuch mutharak aur kuch gher’muharak haroof kay hawalah say lafz tarkeeb-o-tashkeel pata hai. Maslan
C+ i bara’ay zair + t, zair + y = city (siti)
Pass main pay + alif=pa + seen sakin
Pas main pay zabar seen ka talafaz ho ga. Goya pehli surat main a alif ki aawaz day raha hai jab’kah dusray lafaz main a zabar ki aawaz day raha hai.
Grass main a alif ki aawaz paida kar raha hai.
Gras main a zabar ki aawaz paida kar raha hai.
Reply

Hey there! Looks like you're enjoying the discussion, but you're not signed up for an account.

When you create an account, you can participate in the discussions and share your thoughts. You also get notifications, here and via email, whenever new posts are made. And you can like posts and make new friends.
Sign Up

Similar Threads

  1. Replies: 4
    Last Post: 04-15-2011, 06:26 AM
  2. Replies: 2
    Last Post: 01-30-2009, 03:27 PM
  3. Replies: 2
    Last Post: 11-20-2008, 06:46 PM
  4. Replies: 28
    Last Post: 02-06-2008, 11:41 AM
  5. Replies: 3
    Last Post: 08-10-2006, 08:46 AM
British Wholesales - Certified Wholesale Linen & Towels | Holiday in the Maldives

IslamicBoard

Experience a richer experience on our mobile app!