/* */

PDA

View Full Version : Waqt kaisa azaab laya hai



maqsood hasni
03-30-2009, 04:54 PM
Waqt kaisa azaab laya hai

Waqt kaisa azaab laya hai
“Tum kab laeq-e-mohabat ho?
Aaenay main apni shakal daikho”
Qasid yahhi jawab laya hai
Goya khat main ataab laya hai
Jo sar kay bal chalay thay
Na’kaam tehray
Par ghar golab laya hai
Zelikha ka eshq sacha sahi
Woh barhana pa kab chali thi
Paya omodi chal chala hai
Her zinda qabr main
Aankh daikhti nahain
Kansontay nahain
Waqt kaisa inqalaab laya hai
Baresh qaraz’dar badloon ki
Badil binae ko tarsain
Zakhmi zakhmi
Her sohagan ki kalae
Baiwa sola sangar main hai
Waqt kaisa inqalaab laya hai
Waqt kaisa azaab laya hai
Reply

Login/Register to hide ads. Scroll down for more posts
'Abdul Rahmaan
05-01-2009, 12:45 PM
Kiya yeh ghazal aap ki apni likkhi hue hai?
Reply

maqsood hasni
05-01-2009, 05:15 PM
ji haan,
yah nazm mairi hi likhi hoe hai.
tovajo k liay mamnoon hoon.
Reply

'Abdul Rahmaan
05-01-2009, 10:33 PM
Aadaab arz hai

Huzur, ham se bara qadardan aap ko dhunde nah mile ga. Hamen moqa hi kahan faraham huwa mamnun karne ka.

Ho jae issi dhage main phir aik aor ghazal huzur ke hath mubarik ki likkhi hue?

:bump1:

Aadaab
Reply

Welcome, Guest!
Hey there! Looks like you're enjoying the discussion, but you're not signed up for an account.

When you create an account, you can participate in the discussions and share your thoughts. You also get notifications, here and via email, whenever new posts are made. And you can like posts and make new friends.
Sign Up
maqsood hasni
05-02-2009, 07:24 AM
janab k hukam ki tameel na ho,
yah kaisay aur kayoon'kar mumkin hai.
aaj hi kuch na'kuch paish kar doon ga.
tovajo k liay eak bar phir shukarreya ada karta hoon.
Allah aap ko kush rakhy
Reply

'Abdul Rahmaan
05-02-2009, 07:27 AM
Aap ke daste sukhun daraaz hone ka intizaar rahe ga ghulam ko. :D
Reply

maqsood hasni
05-02-2009, 07:34 AM
Aaqa!
ghaliban nazm "mat pocho" par aap ki nazar nahain pari.
agar issay bhi eak nazar daikh lain to kiya hi acha ho.
Reply

'Abdul Rahmaan
05-02-2009, 09:10 AM
Huzur! aap ke iis khadim ki nazmon ka charagh janaab ki ghazalon ke muqable main suraj ko charagh dikhane ke mutradif ho ge. Bas jane bhi dijiye. :)

Agar aap munasib samjhen tao iis dhage ko Urdu zuban main baat cheet ke liye makhsus kar lete hain. Lekin aap ka ta'awun darkar ho ga. Aap ta'awun ka matlab tao samajhte hain na.
Reply

maqsood hasni
05-02-2009, 12:58 PM
Janab mein her qisam k ta'awan k liay hazar hoon.
Reply

'Abdul Rahmaan
05-02-2009, 04:05 PM
Bas Huzur ki tavojoh ka talib hoon. Kuchh waqt mil jaye tao hamen apni ziyarat se feziyaab hone ka moqa din men aik aad bar de diya kijye. Shukriyah :D

Allah Taa'ala aap ko jaza-e-khair ata farmaen....Ameen
Reply

Yanal
05-02-2009, 04:09 PM
Bismillah Hair Rahmaan Nara Heem
MashAllah bothi aja shaar ta.
Walakum Asalam Warakmatulah Wabarkatuh.
Reply

'Abdul Rahmaan
05-02-2009, 04:23 PM
Sho'raa ki mehfil ke kuchh khas aadab hote hain. On aadaab mein se aik yeh hai keh kisi shair ke sher ki tareef shairanah andaaz mein ki jati hai. :p
Reply

Yanal
05-02-2009, 04:25 PM
Yae ap ka shar ha?
Reply

'Abdul Rahmaan
05-02-2009, 04:28 PM
Sher kehna nahin ata. Sikhne ki khwahish zaroor hai. Huzur ki nazr-e-karam hue tao bohot jald kehne lagon ga insha'Allah. :D
Reply

maqsood hasni
05-02-2009, 05:10 PM
khoob guftagu chal rahi hai jo chalti rehni chahiay.
Reply

Yanal
05-02-2009, 05:12 PM
Asinahin karsata because ye spam huta ha.
Reply

maqsood hasni
05-02-2009, 05:19 PM
thek ay ji
Reply

Yanal
05-02-2009, 05:22 PM
Ap apna intro thread kunahin banata hay? Fir ham loog aram se baath karsati gain inshAllah.
Reply

maqsood hasni
05-03-2009, 02:31 AM
aap k hukam ki tameel ho aur zaroor ho gi.
Reply

Yanal
05-03-2009, 02:37 AM
Abhi banadi.
Reply

maqsood hasni
05-03-2009, 03:08 AM
janab abhi aur essi waqt aap k hukam ki tameel kar di hai.
aap ki mohabat aur tovajo mairay liay bari ahum hai.
Allah aap ko kush rakhy.
Reply

'Abdul Rahmaan
05-03-2009, 09:31 AM
Hasni janaab ka takhallus hai na?
Reply

maqsood hasni
05-03-2009, 10:26 AM
apna naam hi likhta hoon.
Reply

maqsood hasni
05-03-2009, 10:32 AM
seraf naam hi likhta hoon.
takhalus naam kay sath shoro say shamil nahain kiya.
Reply

'Abdul Rahmaan
05-03-2009, 11:09 AM
Kiya yeh mumkin nahin keh huzur apni tamaam nazmon ko motiyon ki tarha aik hi dhage (thread) main piro deen. Mujh jaise qadar danoon ko parhne main aasani ho gi. (yahaan urdu shairi ke qadar danoon ki kami nahi) :D

Aik aor baat yaad aae jo janaab ke gosh guzar kar dena munasib ho ga. Janaab se ummeed hai keh janaab Urdu Game mein apni shirkat ko yaqina bana kar iis khadim ko mamnun farmaen ge.
Reply

maqsood hasni
05-03-2009, 11:40 AM
www.scribd.com par 5 ya 6 collection pari hain.
doo teen mairay pas kitabi shakal main abhi tak parein hain wo bhi net par motaqil kar doon ga.
punjabi, angraizi ya dusri zobanoon main kitabi shakal main shaeri mojood nahain ta'hum net par mojood hai.
haan albata poon nay spnay looking from eyes doo majmoay www.scribd.com par mojood hain.
yahaan ab taza ba taza paish karta rahoon ga
ab ziyada'tar tehqeeq ka kaam karta hoon.
yaad farmae k liay mumnoon hoon.
Allah aap ko kush rakhy
Reply

Hey there! Looks like you're enjoying the discussion, but you're not signed up for an account.

When you create an account, you can participate in the discussions and share your thoughts. You also get notifications, here and via email, whenever new posts are made. And you can like posts and make new friends.
Sign Up

Similar Threads

  1. Replies: 0
    Last Post: 01-01-2013, 07:31 PM
British Wholesales - Certified Wholesale Linen & Towels | Holiday in the Maldives

IslamicBoard

Experience a richer experience on our mobile app!