/* */

PDA

View Full Version : Sikh Dharam ya tasawaf ka ek silsala?!



maqsood hasni
05-03-2009, 11:02 AM
Mashraqi Punjab dunyaan ki bohat bari aabadi ka khita hai. Zara'ay aur wasael-equdrat kay hawala say bhi dunyan kay kisi kitay say kisi tara kam nahain. Es alaqa kay moqimi hazraat Hazrat Goru Nanakji Dev kay pairu'kar hain. Mazajan aur adtan sachay sochay kharay baat kay pakkay aur haad darja jafa'kash hain. Dast-e-sawal daraaz karna, oon ki adat aur fitrat main dakhal hi nahain. Onhain alag say koe mazhab/dharam/ism kay log samjh liya giya hai ya oon ki pehchan kisi alag say dharam kay hawala say nahain ki jati hai. Sikh kay maeni sikhnay wala, jan'kari ka talib, aaghi kay amal say gozarnay wala, jo honar sikh raha ho, talib-e-ilm waghera hoonar dainay walay kay liay yahaan lafaz Nabi ya Rasool siray say mostamal nahain. Honar ya aaghi dainay walay kay liay ziyada'tar ostad aur goru alfaz estamal main aatay hain. Goru woh jo gur janta ho, atkal say waqaf, tajarba'kar, kisi okar main os okar say bach nikalnay ka rasta batanay wala, hal nikalnay wala, hadait dainay wala kah yoon karo aur yoon na'karo, murshad, ostad waghera maeni mostamal hain. Agar Goru aur Sikh ko aam feham zoban main kaha ja'ay to ostad shagid kaha ja sakta hai. Bawar rehna chahiay kah Ostad rohani baap ka darja rakhta hai es liay gor sikhanay kay hawala say liya ja'ay to baad'diyanti ki os say towaqo nahain ki ja sakti. Es garo kay haan doo chizain bari wazay nazar aati hain 1- Toheed jo adyan ki konji hai 2- Tasawaf jo taharat aur tariqat ka la'jawab zariya-o-wasila hai Yah garo dunyaan kay kisi mazhab kay qareeb ya taqriban qareeb nazar nahain aata. Haan samaji masharti ya moashi hawala say kahein kah mamaslatain nazar aati hain to yah koe alag say ya nae cheez/baat nahain aur yah vasaibi qorbat ka natija hain. Pakistan kay moqimi Esae mazhab ki bohat sari rasomaat mosalmanoon ki se rakhtay hain es kay ba'vajood woh Esae hi hain. Bohat saray mazhabi kalmaat oon kay haan takya-e-kalaam main bhi dakhal hain. Es kay ba'vajood oonhain Hazarat Esa (AS) kay pairu honay ka dawa hai. Es vasaibi sanjhoon kay sabab sikhoon ko Hindu ya Hinduism kay motalaq qarar nahain diya ja sakta yah sara sar zulm aur ziyadti hai. Asal haqiqat yah hai kah yah log Sufi silsalay say motalaq hain aur es silsalay kay bani laeq-e-izzat-o-ehtaram Hazrat Goru Nanak-ji Dav hain. Mohammad Aasaf Khan nay Bhai Gordas (1559-1637) kay hawala say kaha hai : "Goru Nanak ji he odasi (safar) samay asa (lath) hath tay kitab kach rakhday san. Ais kitab vich ooh apniyaan rachna toon wakh bhagtaan tay sufiyaan da kalaam daraj kar day san"(1) Agar koe onhain goru Nanak keh lay ya Sufi Nanak keh lay ya Sheik Nanak keh lay es say kuch farq nahain parta. Onhoon nay Makka ka safar ekhtayar kiya baghdaad main qayam farmya. Jumla Sufya kay silsalay Hazrat Mohammad (Oon par Darood ho) ki taraf phirtay hain aur Aap (Oon par Darood ho) ki mohabat oon ka matma-e-nazar qarar pati hai. Bilkul essi tara Goru Garanth Sahib ka her shabad Sufiya ki taraf safar ekhtayar karta nazar aata hai. Agar Sufiya Musalman aur rohani paishwa hain to Sikh Baradri ko aur os kay Mohtaram aur Laeq-e-izzat Goru Sahiban ko kis asool aur rule kay tehat Non-Muslim/Kafar kaha ja sakta hai. Her Sufi garo apnay libas aur nazaryati toor par apni alag say identity rakhta/qaem kata hai. Yahhi Surat Goru Garanth Sahib say motalaq logoon kay sath nathi hai. Baba Fareed Sahib (R) kay shalok aur Shah Hussain Sahib (R) Lahori ki kafiyaan mosalmanoon kay haan mohtram hain ossi tara Sri Garanth Sahib ka her shabad Toheed aur tasawaf say labraiz nazar aata hai es liay wo mohtam hai. Es silsalay kay log sikh kehlatay hain jabkah yahhi surat digar silsaloon kay sath bhi paivast hai. Maslan silsala Qadarya, Silsala Chistaya, Silsala Soharvardiya, Silsala ****arya waghera.

Sufiya Karam kay rohani amal ko jari rakhnay kay liay oon kay Khalifa/Gadi'nasheen/Divan Sahiban kay namoon say malqoob hazraat moqarar hotay rehtay hain aur es tara yah silsalay jari-o-sari rahay hain aur yah amal sadyoon par moheet nazar aata hai. Sikh silsala kay bani Harat Goru Nanak Dev/Hazrat Sufi Nanak Sahib kay silsalay ko jari rakhnay kay liay Hazrat Goru (Kulfa) Sahiban tashreef latay rahay aur onhoon nay sikhnay/shiksha kay amal ko jari rakha. En Sahiban ba'safa nay Goru Garanth Sahib ki tadveen bhi ki, es main la'jawab azafay bhi kiay. Goya oon kay mohtram shabad Goru Garanth Sahib kay pannoon ki zinat banay. Hazrat Syedna Zain-ul-Abidein (AS) nay jani doshman ki haad'darja mehman navazi ki. Es liay mehman'navazi aur khatar'dari ko kisi kay din'dar honay ki vaja qarar nahain diya ja sakta. Yah amal salamti pasandoon (Muslamanoon) kay haan aisi koe nae baat nahain. Hamait, es say bilkul alag cheez hai. Es silsalay kay eak Goru Sahib ko Syedoon nay na'seraf panah di balkah oon kay moaqaf ki hamait aur takreem bhi ki. yah Syed bunyadi toor par Sufi thay. Goru Sahib ki Hamait-o-taed es amar ki kholi daleel hai kah sikh koe alag say dharam nahain balkah sufi silsalay ki eak kari hai. Lafz "Baba-ji" hamaray haan ziyada'tar sufya kay liay estamal main hota aaya hai aur yah eatalahi marakab urf-e-aam ka darja rakhta hai. Mein nay baray borhoon kay monh say "Baba Goru Nanak" aksar sona hai. Maira apna ta'alaq bhi Syed Family say hai. Mairay walid mohtaram, Hazrat Ghulam Hazoor Shah al'maroof "Baba Shukar Allah" sahib Punjabi zoban kay sufi shair thay. Mein nay kae martaba oon kay monh say "Baba Goru Nanak" sona. woh "Baba-ji Goru Nanak" Sahib kay liay bara ehtaram rakhtay thay. Onhain Siri Goru Garanth Sahib ki bohat sari baniyaan zobani yaad thein. Oon hi ki zobani maloom para kah sikh giyarvein shareef ka doodh nikaltay thay. Dass Moharam ko sikh sahiban pani aur doodh ki sabilain lagaya kartay thay. Her doo motzakra chizain samaji ravait nahain hain. En ka ta'alaq mazhab say hai. Mein aaj kay amrat'sar/mashraqi punjab say ba'chasham-e-khud aaghi nahain rakhta kah aaj bhi yah surat wahaan mojood hai ya nahain. Hazrat Goru Nanak Dev say yah bool mansoob chalay aatay hain: kalma kahaan tay kal(2) poway bin kamioon vi na Hindu kahaan tay marya musalman vi na Yahaan woh musalman marad hai jo sair ka teen pao tolta hai. Allah ki zamein par fasad aur dehshat gardi phalata hain. Gulbargha aur kae dosri jagoon par sufioon nay apnay mazhab ko parda main rakh kar insaniat ki khidmat sar'anjam di. Syed Sahiban takya main rahay aur yah surat aaj bhi mojood hai. Ta'hum bonyadi baat jo es bool ka lob-e-labab hai wo "bin kamioon vi na" hai. Baba-ji(3) nay apna intasaab parda main rakha. Sikhanay kay amal ko libasi hawala say digar sufiya say alag rakha ta'hum digar sufiya kay kalaam ko apnay haan namayaan jaga day kar yah sabat kar diya kah woh oon say alag nahain hain. Musalmaanoon ka eak acha khasa tabqa bari aqidat say Bazorgoon kay mazaroon par hazri daita nazar aata hai. Sikh na'seraf Hazrat Nanak Sahib kay Darbarpar par hazri daitay hain balkah digar sufiya kay Darbaroon par bhi mohabat aur ehtaram say hazri daitay hai. Musalman en sufiya ko khoda nahain samjhtay balkah ohain mukhlooq samjhtay hain. Musalmanoon ka Allah eak hai yahi surat sikh silsalay main hai. Siri Garanth sahib kay ibtadae yah shabad malahza hoon: "One Universal Creator God. The Name Is Truth. " sikhoon kay haan bhi yahi surat hai. woh Hazrat Goru Nanak Dev ko Allah nahain, Goru mantay hain aur onhain Allah ka manzoor-o-maqbool samjhtay hain. Sufiya kay hawala say musalmanoon ka nazariya aur noqata-e-nazar es say mukhtalif nahain. "Dayemi Complex Bangladesh" kabi kisi kay liay tang nahain para. Sikhoon kay liay bhi es kay darwazay kholay rahay hain. Fakhar-e-Insaniat, Bashar-e-baibadal, Rahabar-e-Shariat Hazrat Alama Sufi Shah Sheik Dr. Mohammad Nur-ul-Islam es waqat alam-e-insani kay Rohani Paishwa hain. Es

hawala say oon ka Sikh silsalay say bhi gehra ta'alaq banta hai. goya jahaan woh digar Rohani sisaloon kay paishwa hain wahaan Sikh Silsalay kay bhi Goru tehtay hain. Sikh silsalay ko mojoda almi halaat main faiz othanay kay moqay mayasar hain. -------------------------------------------------------------------------
1-Akhya Baba Fareed Nay p.47, Pakistan Punjabi Adbi Board, Lahore 2001
2-larae, jagra, kil kil, takrar waghera
3-Hazrat Sufi Sheik Baba Nanak Sahib

Reply

Hey there! Looks like you're enjoying the discussion, but you're not signed up for an account.

When you create an account, you can participate in the discussions and share your thoughts. You also get notifications, here and via email, whenever new posts are made. And you can like posts and make new friends.
Sign Up

Similar Threads

  1. Replies: 72
    Last Post: 09-14-2021, 05:15 AM
  2. Replies: 1
    Last Post: 05-29-2007, 11:04 PM
  3. Replies: 4
    Last Post: 05-19-2007, 12:59 PM
  4. Replies: 42
    Last Post: 03-21-2007, 09:59 PM
  5. Replies: 3
    Last Post: 03-12-2007, 09:11 PM
British Wholesales - Certified Wholesale Linen & Towels | Holiday in the Maldives

IslamicBoard

Experience a richer experience on our mobile app!