/* */

PDA

View Full Version : Darvaishi main bhi aiyari



maqsood hasni
05-03-2009, 02:51 PM
Darvaishi main bhi aiyari

Baght/Sufi/Peer/Faqeer/Darvaish/Allah lok waghera darasal Ambya aur Sulaihein ki talimaat phalanay aur insan ki batni taharat kay hawala say oon kay namaenda hotay hain. Woh insan kay dukh dard aur pira ko door kartay hain. Boray waqtoon main onhain hosla aur tasalli daitay hain. Omeed bandhatay hain. Halaat say nipatnay ka daras aur skakti datay hain. Sabr shkar qaem rehnay aur qana'at ki talqeen kartay hain. Logoon kay dukh dard aur pira kay liay aansu bahatay hain. Logoon kay liay Allah kay hazoor duaein kartain. Oon ki bhool chook kay liay tanhaeoon main Allah say onhain moa'af kar dainay ki estada kartay hain. Logoon ko acha karnay aur hadait par aanay ki dua kartay hain. Insanoon ko Eak dusray kay kaam aanay ki talqeen kartay hain. Zindagi ko aasan sada bana kar khush'haal aasuda aur shanti kay sath rehnay ka darass daitay hain. Woh chahtay hain logoon main moa'af aur da'gozar karnay ka jazba parwan charay.
En logoon ki mojodgi Allah ki insan par bohat bari meharbani ata aur naimat hai. Aaj kehat'zada door main bhi en logoon ki kami waqay nahain hoe. Es kay ba'wajood:
Insan baichain aur baisakon kayoon hai?
Insan ka khoon kayoon beh raha hai?
Bai'yaqini aur baad itmadi main azafa kayoon ho raha hai?
Yah woh sawal hain jo baar baar samnay aatay hain. Haqiqat yah hai kah Baght/Sufi/Peer/Faqeer/Darvaish/Allah lok kay soang main ****an bhi midan main aa giya hain aur woh apnay mafaad kay liay logoon ko loot rahay hain. onhain gomrah aur korarah kar rahay hain.
Daikhnay main woh Baght/Sufi/Peer/Faqeer/Darvaish/Allah lok hi nazar aatay hain likin apni haqiqat main oon ka es line say koe ta'alq wasta hi nahain hota. Woh darvaishi kay naam par insaniat kay cehray oar siya dhaba hain. Woh dhongi aur pakhandi hain. Woh bhik'mangay hain. Oon ki misal hathi kay dant khanay kay dikhnay kay aur ki si hai.
Log oon ka libas daikh kar aur oon ki chikni copri batain son kar dhokha ka jatay hain aur in bhik mangoon ko apni mehnat ki kamae thama daitay hain. Khod ko yoon zahir kartay hain jaisay woh Bagwan kay salay hoon aur sab kuch kar dainay par qudrat rakhtay hoon.
Mein nay bisioon es qisam kay chal'baz daikhay hain jo bagli otha'ay moridoon kay ghar jatay hain aur phir mal akatha karkay aaram aur ishrat ki gozartay hain. In ka apna koe eman hota nahain logoon ka bhi eman kharab kartay hain. Agar in ki kartotoon kay baray eak shabad bhi keh diya ja'ay to woh essay Allah/God/Bagwan/Eshwar kay hazoor gustakhi aur tohein ka naam daitay hain. ****** ka fatwa khisay main rakhna nahain bholtay.
Log kehnay walay ki baat par goor karnay aur tehqeeq karnay ki baja'ay en pakhandioon ka sath daitay hain. Oon kay Haram khanay walay chailay chamchay boolnay walay ki bolti band karkay dam laitay hain.
Kitni ajeeb aur afsus'nak baat hai kah yah bhik managay aaram say kuch kiay kara'ay bagher hi chopri khaein aur aur kamanay waloon bivi bachay bhook piyas main suein. Yah zulm aur ziyadti nahain?!Jis ka rizq khaya ja'ay os kay liay bhi to kuch hona chahiay. En pakhandioon kay hawala say kuch es tara ka noqsan samnay aata hai:
1- Harkat kay darwazay band ho jatay hain.
2- Allah ki di hoe tawanae ka ghalt estamal hota hai. 3- Logoon ki jaieb par la'hasal bojh par jata hai.
4- Mohazab aur mohtaram bhik mangoon ki tadad main aazafa hota hai. koe kaam kaj kiay bagher hi achi khasi dolat hath kar laitay hain.
5- Tohum parasti main azafa ho jata hai.
6- Chara joe ki baja'ay en logoon kay haan waqt zaya ho jata hai.
yahaan tak kah rafu ka waqt bhi hath say nikal jata hai. Morshad to woh hai jo hadait ka kaam karay. Saidha rasta sojay. Naiki ki talqeen karay aur badi say rokay. Logoon kay diloon main Allah ki mohabat ojagar karay ta'kah woh badi ka rasta hi ekhtayar na karain. Oon ki apni zindagi khobi ka behtarein namona ho.
Libas aur chikni copri batoon say kiya hota hai. Woh apnay ghar ki dehleez kay andar hoon ya bahar, oon say pavitarta ki khosh'boo aa'ay. Onhain ijaz, inksaar, maskini, qana'at aur sabr-o-shukar ka behtarein namona hona chahiay ta'kah log zahar-o-batan main oon ka rang pakrain. Yah koe paisay kamanay ka zariya aur paisha nahain. Eak entahae zima'dari ka kaam hai. Woh auroon say ziyada Allah kay hazoor jawab'deh hotay hain ya khud ko samjhtay hain. Oon say na'seraf oon kay baray main poch goch ho gi auroon kay baray main bhi poch goch ho gi. Woh apnay hi nahain apnay mannay (moridoon)waloon kay bhi zima'dar hain. Na'mannay waloon kay moamla main bhi woh bari-ul-zima nahain hain. Sacha aur socha Baght/Sufi/Peer/Faqeer/Darvaish/Allah lok zindagi ki rooh hota hai. Agar woh na ho to zindagi say mordar kottay kay post say aanay wali badboo ki misal ho ja'ay.
Sacha aur socha Baght/Sufi/Peer/Faqeer/Darvaish/Allah lok kay haan panch chizain zaroor nazar aaein gi:
1- Ijaz inksaar aur maskini main baimisal
2- Haraf-e-Dua os ka asa hota hai
3- Dast-e-Sakha main hatam bhi sharminda reh jata hai. (Kisi dosray ki bhook ko daikh kar kha hi nahain sakta. Apna bhojan os ki nazar kar daita hai aur khod Allah ki di hoe es tofeeq par sajda-e-shukar baja lata hai.
4- Maslihat say bala'tar hota hai aur jo kehta ya karta hai doo took aur abhaan say bala hota hai. kha es main os ka ya os kay kisi apnay ka noqsan hi kayoon na ho raha ho.
5- Logoon ko tambe (Warning) karta hai aur Allah kay qehar-o-ghazab say darata hai.
Bashar-e-Baibadal Fakhar-e-Insaniat Hazrat Sufi Sheikh, Alama Shah
Dr. Mohammad Nur ul Alam Sahib kay haan hamain yah chizain milti hain.
Es hawala say oon say insaniat la'tadaad omidain bandhay howay hai. Insani sakoon-e-qalab kay liay onhoon nay mukhtalif molkoon kay safar ekhtayar kiay. Dr. Kofi anan say molaqaat ki. Insani haqooq aur aman kay hawala say oon ki kidmaat hairat'nak hi nahain naqabale-yaqeen bhi hain. Baad main aanay wali tehriroon main tafsili tazkara karoon ga.
Alama Shah Sufi Dr. Mohammad Nur ul Alam Sahib say mein zindagi main kabhi mila nahain. Mairi oon say koe dosti ya salam dua ya khat-o-kitabat ka reshta ya ta'alaq nahain. Mojhy oon say koe lalach matlab ya kaam nahain aur nahi kisi labh ka irada rakhta hoon. Es kay ba'vajood mein oon ki kidmaat ka motarif hoon aur intahae izzat aur qadar ki niga say daikhta hoon. Mein insan hoon aur insan ki dorgat bantay aur os ka khoon behtay daikh kar dukhi hota hoon. Aisay halaat main agar koe kuch kar raha hai aur bila tafreeq-o-imtayaz her kisi kay liay dard aur pira rakhta hai to os ki kayoon qadr aur izzat na ki ja'ay Zara daraj-e-bala morozaat kay tonazor main seraf yah doo tokray/iqtabas malahza farma lain:
"The Dayemi Complex has become a symbol of succor to the poor, destitute and distressed." Tambi/warning ka andaz daikhain, yah kisi aam admi ka nahain ho sakta. Es main kahein maslihat nazar nahain aati. Qatae doo took aur Allah say daranay ka andaz hai:
"His Eminency Dr. Alam again warns the Obama Administration that homosexuality should not be encouraged at all. It is against God the Almighty's order in the holy bible, the glorious holy Quran, the holy Torah, and other holy religious books of Hinduism and Buddhism. So that Obama should carefully handle the matter of the natural power of Almighty and constitutional power of himself. If you try to match each other in the name of freedom and democracy, you have to pay for that. Like Nimrod, the powerful king of the planet after the biblical flood at the time of Prophey Noah (AS) and Lout (AS)."
Reply

Hey there! Looks like you're enjoying the discussion, but you're not signed up for an account.

When you create an account, you can participate in the discussions and share your thoughts. You also get notifications, here and via email, whenever new posts are made. And you can like posts and make new friends.
Sign Up

Similar Threads

  1. Replies: 1
    Last Post: 03-23-2012, 11:05 PM
  2. Replies: 4
    Last Post: 04-15-2011, 06:26 AM
  3. Replies: 2
    Last Post: 11-20-2008, 06:46 PM
  4. Replies: 28
    Last Post: 02-06-2008, 11:41 AM
  5. Replies: 10
    Last Post: 10-12-2005, 10:58 PM
British Wholesales - Certified Wholesale Linen & Towels | Holiday in the Maldives

IslamicBoard

Experience a richer experience on our mobile app!