/* */

PDA

View Full Version : Kalaam-e-Ghalib



'Abdul Rahmaan
09-15-2009, 03:21 AM
Muddat hui hai yaar ko mehmaan kiye hue
Josh-e-qadah se bazm charagaan kiye hue

Phir vazaa-e-ehtiyaat se rukne lagaa hai dam,
Barson huen hai chaak girebaan kiye hue

Phir pursish-e-jaraahat-e-dil ko chala hai ishq,
saaman-e-sadh-hazaar namak-daan kiye hue.

Phir jii mein hai ke dar pe kisi ke pade rahen
Sar zer-baar-e-minnat-e-darbaan kiye hue

Jii dhoondta hai phir wahi phursat ke raat-din,
Baithen rahen tasavvur-e-jaana kiye hue.

Ghalib hamen na cheda ke phir josh-e-ashq se
Baithen hain ham tahayya-e-toofaan kiye hue

:p:
Reply

Login/Register to hide ads. Scroll down for more posts
justahumane
09-15-2009, 10:39 AM
format_quote Originally Posted by Mercurial
Muddat hui hai yaar ko mehmaan kiye hue
Josh-e-qadah se bazm charagaan kiye hue

Phir vazaa-e-ehtiyaat se rukne lagaa hai dam,
Barson huen hai chaak girebaan kiye hue

Phir pursish-e-jaraahat-e-dil ko chala hai ishq,
saaman-e-sadh-hazaar namak-daan kiye hue.

Phir jii mein hai ke dar pe kisi ke pade rahen
Sar zer-baar-e-minnat-e-darbaan kiye hue

Jii dhoondta hai phir wahi phursat ke raat-din,
Baithen rahen tasavvur-e-jaana kiye hue.

Ghalib hamen na cheda ke phir josh-e-ashq se
Baithen hain ham tahayya-e-toofaan kiye hue

:p:
Thanks for sharing, great.

Dil Phir Tawaf E Ku E Malamat Ko Jaye Hai
Pindaar Ka Sanamkada Veeran Kiye Hue.

Enjoy another one from the Great Mirza Ghalib.

Hazaro Khawahishen Aise Ki Har Khawahish Pe Dam Nikle
Bahot Nikle Mere Armaan Magar Phir Bhi Kam Nikle.

Dare Hai Kyon Mera Qatil, Rahega Kya Uski Gardan Pe
Woh Khoon Jo Chashm E Tar Se Umr Bhar Yoon Dum Ba Dum Nikle

Bharam Khul Jaye Zaalim Teri Qamat Ki Darazi Ka
Agar Is Turra E Pur Pech O Kham Ka Pech O Kham Nikle.

Agar Likhwaye Koi Usko Khat To Humse Likhwaye
Hui Subha Aur Ghar Se Kaan Pe Rakhkar Qalam Nikle

Nikalna Khuld Se Aadam Ka Sunte Aaye The Lekin
Bahot Be-aabru Hokar Tere Kunche Se Hum Nikle

Hui Jinse Tavvaqo Khastagi Ki Daad Pane Ki
Woh Humse Bhi Bhi Ziada Khasta E Teg E Sitam Nikle

Mohabbat Me Nahin Hai Kuch Farq Jeene Aur Marne Ka
Usi Ko Dekh Kar Jeete Hain Jis Kaafir Pe Dum Nikle.

Kahan Maikhane Ka Darwaza Aur Kahan Vaaiz
Par Itna Jaante Hain Kal Wo Jata Tha Jo Hum Nikle.
Reply

'Abdul Rahmaan
09-28-2009, 02:45 AM
Nah tha kuchh tho Khuda tha, kuch nah hota tho Khuda hota
Duboyaa mujh ko hone ne, nah hotaa mein tho kiya hota?

Huwa jab gham se yuuN behiss tho gham kiya sar ke katane kaa
Nah hota gar judaa tan se to zaanu par dhara hota

Huwi muddat keh 'Ghalib' mar geya par yaad aata hai
Woh har ek bath pe yeh kehna keh yuun hota tho kiya hota
Reply

Snowflake
09-28-2009, 03:00 AM
:sl: Any possibility of a translation? :?

I don't understand some parts.
Reply

Welcome, Guest!
Hey there! Looks like you're enjoying the discussion, but you're not signed up for an account.

When you create an account, you can participate in the discussions and share your thoughts. You also get notifications, here and via email, whenever new posts are made. And you can like posts and make new friends.
Sign Up
justahumane
09-28-2009, 09:21 AM
format_quote Originally Posted by Mercurial
Nah tha kuchh tho Khuda tha, kuch nah hota tho Khuda hota
Duboyaa mujh ko hone ne, nah hotaa mein tho kiya hota?

Huwa jab gham se yuuN behiss tho gham kiya sar ke katane kaa
Nah hota gar judaa tan se to zaanu par dhara hota

Huwi muddat keh 'Ghalib' mar geya par yaad aata hai
Woh har ek bath pe yeh kehna keh yuun hota tho kiya hota
Wow, wow, wow, just wow.

Thanks for sharing Mercurial sahib.
Reply

Snowflake
09-28-2009, 01:15 PM
:sl:

Can someone tell me the meaning of the following lines please.. Thank you.


Sar zer-baar-e-minnat-e-darbaan kiye hue

Dil Phir Tawaf E Ku E Malamat Ko Jaye Hai
Pindaar Ka Sanamkada Veeran Kiye Hue
Reply

justahumane
09-29-2009, 09:29 AM
format_quote Originally Posted by Scents of Jannah
:sl:

Can someone tell me the meaning of the following lines please.. Thank you.

Dil Phir Tawaf E Ku E Malamat Ko Jaye Hai
Pindaar Ka Sanamkada Veeran Kiye Hue


Again my heart compells me to visit the street where I m insulted again and again (ie where my love lives).

Thus deserting the mansion of my self respect. ( ie hurting my self respect)



Sar zer-baar-e-minnat-e-darbaan kiye hue
am not sure about that, so I leave this

:hiding::hiding::hiding:
Reply

Snowflake
09-30-2009, 09:13 PM
Thank you justhumane.

Tawaf means to circumambulate as muslims do around the Kaaba. So I'm trying to figure what the word 'tawaf' implies in the poem. Malamat means to berate, admonish, chide etc. Doesn't it then mean that, 'the heart circumambulates the self in admonishment'?

I don't know what pindaar means. But sanam means idol. Kada means house. Put together idol in house = temple. I can't make head or tails until I know the meaning of pindar. :)


'Sar zer-baar-eminnat-darbaan kye huey'

Sar = head
zer-baar = ?
-e- = of
minnat = beseech/beg
darbaan = dar = door darbaan / doorman?

Kinda fun trying to figure that out lol

Thanks for your help justhumane. I hope someone can tell me the meaning word for word. Until then I'll think it's somewhat unislamic.
Reply

abdullah_001
10-01-2009, 01:54 AM
ser zare-baar-eminnate-darbaan kiye huey = head hung low the way a doorman stands beseeching.

A lot of Ghalibs ghazals are like on the borderline... he talks about drinking a lot among other stuff....

Personally, I like Bahadur Shah zafar's poems a lot more. He was the last mughal emperor to rule over India during times of Ghalib n such... he went through a lot of difficulties and it reflects in a lot of his poetry...

umr-e-daraaz maa.Ng kar laaye the chaar din
do arazuu me.n kaT gaye do intazaar me.n

kitanaa hai bad_nasiib "Zafar" dafn ke liye
do gaz zamiin bhii na milii kuu-e-yaar me.n
(when he was exiled in brunei and heads of his sons were presented to him on a silver platter. He wasn't allowed a pen and paper to write on so he wrote on the prison walls.)
Reply

justahumane
10-03-2009, 09:51 AM
format_quote Originally Posted by Scents of Jannah
Thank you justhumane.

Tawaf means to circumambulate as muslims do around the Kaaba. So I'm trying to figure what the word 'tawaf' implies in the poem. Malamat means to berate, admonish, chide etc. Doesn't it then mean that, 'the heart circumambulates the self in admonishment'?

I don't know what pindaar means. But sanam means idol. Kada means house. Put together idol in house = temple. I can't make head or tails until I know the meaning of pindar. :)


'Sar zer-baar-eminnat-darbaan kye huey'

Sar = head
zer-baar = ?
-e- = of
minnat = beseech/beg
darbaan = dar = door darbaan / doorman?

Kinda fun trying to figure that out lol

Thanks for your help justhumane. I hope someone can tell me the meaning word for word. Until then I'll think it's somewhat unislamic.
Okay sister, let me have some more fun with it, lol

Tawaf=circumambulate=to have a walk

Ku=street

Malamat=admonish/insult

Now it goes like this,

My heart again compels me to have a walk to the street where I m insulted

Now,

Pindaar=self respect

Sanam=idol=lady love

Kada=house

So now it goes,

Thus deserting the house of my self respect.

Here sanamkada stands for beloved home.
Reply

'Abdul Rahmaan
10-27-2009, 09:50 AM
koee ummeed bar naheeN aatee
koee soorat nazar naheeN aatee
maut ka ek din mu'ayyan hai
neeNd kyoN raat bhar naheeN aatee ?
aage aatee thee haal-e-dil pe haNsee
ab kisee baat par naheeN aatee
jaanta hooN sawaab-e-taa'at-o-zahad
par tabeeyat idhar naheeN aatee
hai kuchch 'eisee hee baat jo chup hooN
warna kya baat kar naheeN aatee ?
kyoN na cheeKHooN ki yaad karate haiN
meree aawaaz gar naheeN aatee
daaGH-e-dil gar nazar naheeN aata
boo bhee 'ei chaaraagar ! naheeN aatee
ham wahaaN haiN jahaaN se hamko bhee
kuchch hamaaree KHabar naheeN aatee
marte haiN aarzoo meiN marne ki
maut aatee hai par naheeN aatee
kaaba'a kis muNh se jaaoge 'GHalib'
sharm tumko magar naheeN aatee
Reply

Snowflake
10-27-2009, 10:10 AM
:sl: Maaf karna bhai magar ye bilkul nakammi kisam ki shairi hai. Mayoosi mein doobi hui, jab ke hum jante hain mayoosi gunha hai. :-\
Reply

'Abdul Rahmaan
10-27-2009, 01:05 PM
Sis, it's called reverse phychology. The more I read it, the more I feel energetic. :p
Reply

Snowflake
10-29-2009, 06:57 PM
^sl: lol mashaAllah but you're probably the first. Usually these types of shair intensify despair. Khamokha itne ashiq maare maare phir rahe hain lol.
Reply

'Abdul Rahmaan
10-30-2009, 02:22 AM
Aksar bhai behnon ko ghalat fehmi hai keh ghalib ki shairi sirf "Eshkiyah Shairi" hay. Har aik ka apna apan zaviyah-e-nigah hota hai. :D
Reply

'Abdul Rahmaan
10-31-2009, 01:48 AM
Bazicha-e-atfal hai duniya mere aage
Hota hai shab-o-roz tamasha mere aage

Ik khel hai aurang-e-suleman mere nazdik
Ik bat hai ejaz-e-masiha mere aage

Juz nam nahi surat-e-aalam mujhe manzur
Juz waham nahi hasti-e-ashiya mere aage

Hota hai nihan gard mein sehra mere hote
Ghista hai jabin khak pe dariya mere aage

Mat puchh keh kya haal hai mera tere piche
Tu dekh keh kya rang hai tera mere aage

Sach kahte ho khudbin-o-khudara hun na kyon hun
Baitha hai but-e-aaina sima mere aage

Phir dekhiye andaaz-e-gulafshani-e-guftar
Rakh de koi paimana-e-sahba mere aage

Nafrat ka guman guzre hai main rashk se guzra
Kyon kar kahun lo nam na us ka mere aage

Iman mujhe roke hai jo khinche hai mujhe kufr
Kaba mere pichhe hai kalisa mere aage

Ashiq hun pe mashuq-farebi hai mera kaam
Majnun ko bura kahti hai laila mere aage

Khush hote hain par wasl mein yun mar nahi jate
Ai shab-e-hijaran ki tamanna mere age

Hai maujzan ik qulzum-e-khun kash! yahi ho
Aata hai abhi dekhiye kya-kya mere aage

Go hath ko jumbish nahi ankhon mein tho dam hai
Rahne do abhi sagar-o-mina mere aage

Hampeshah-o-hammasharab-o-hamraz hai mera
‘Ghalib’ ko bura kyon kaho acha mere aage
Reply

'Abdul Rahmaan
01-06-2010, 12:10 PM
Kisi ko de ke dil koi nawaa-sanj-e-fughaan kyon ho ?
Na ho jab dil hee seene mein to phir munh mein zubaan kyon ho ?

Woh apni khoo nah choren ge, ham apni waz'a kyon badlein ?
Subak-sar ban ke kya poochein keh ham se sar-giraan kyon ho ?

Kiya gham-khwaar ne ruswa, lage aag is muhabbat ko
Nah laaye taab jo gham ki, woh mera raazdaan kyon ho ?

Wafa kaisi ? kahaan ka ishq ? jab sar photna thehra
To phir aye sangdil tera hi sang-e-aastaan kyon ho ?

Qafas mein mujh se roodaad-e-chaman kehte nah Dar hamdam
Giri hai jis pe kal bijli woh mera aashiyaan kyon ho ?

Yeh keh sakte ho "ham dil mein naheen hain" par ye batlaao
Keh jab dil mein tumhi-tum ho to aankhon se nihaan kyon ho ?

GHalat hai jazba-e-dil ka shikwah, dekho jurm kis ka hai
Nah khincho gar tum apne ko kashaakash darmiyaan kyon ho ?

Yeh fitna aadmee ki khaanah-weraani ko kya kam hai ?
Hue tum dost jis ke, dushman uska aasmaan kyon ho ?

Yahee hai aazmaana tho sataana kis ko kehte hain ?
`Adoo ke ho liye jab tum to mera imtihaan kyon ho ?

Kaha tumne keh "kyon ho ghair ke milne mein ruswaaee ?"
Baja kehte ho, sach kehte ho, phir kahiyo keh "haan kyon ho ?"

Nikaala chaahata hai kaam kya taa'anon se thu 'GHalib'
Tere be-mehar kehne se woh tujh par meharabaan kyon ho ?
Reply

'Abdul Rahmaan
01-26-2010, 09:47 AM
Meherban Ho ke Bula lo Mujhe, Chaho Jis Waqt
Main Geya Waqt Nahin Hoon, Keh Phir Aa bhi Nah Sakoon.

Zauf Mein Taanah-e-aghyaar Ka Shikvah Kya Hai
Baat Koi Sar tho Nahin Hai, Keh Utha Bhi Na Sakoon.

Zehar Milta Hi Nahin Mujh ko Sitam-gar,
Varna Kya qasam Hai Tere Milne Ki, Keh Kha Bhi Nah Sakoon.

(Mirza Ghalib)
Reply

Hey there! Looks like you're enjoying the discussion, but you're not signed up for an account.

When you create an account, you can participate in the discussions and share your thoughts. You also get notifications, here and via email, whenever new posts are made. And you can like posts and make new friends.
Sign Up

Similar Threads

  1. Replies: 3
    Last Post: 09-21-2010, 10:40 AM
British Wholesales - Certified Wholesale Linen & Towels | Holiday in the Maldives

IslamicBoard

Experience a richer experience on our mobile app!