/* */

PDA

View Full Version : Dawrah e Quran



piXie
07-30-2012, 06:44 PM
:salamext:

Yaha dawrah e Quran ka link post kar rahi houn, taake hum sab ise faaida uta sakei. Urdu mei hai, bohot zabardast hikmat aur faide ki baatei hai. Umeed hai, insha'Allaah, inko sun kar zindagi badl jaiy gi.

Kitchen mei iftaari tiyaar karte huwe bhi hum behne sun sakti hain.

ermmm Ramadan ka maqsad TABDEELI hai.. apne dilo ke andar TAQWA peda karna…apne kamzorio par tawajo karna, aur unko door karne ki koshish karna.

Agar hum Ramadan ke duran bhi apna ikhlaaq achha nahi karein ge, khaas tor.. ghar walo ke saath… aur hum badtameez, bad ikhlaaq indaaz ke saath sab se pesh aiy ge, to phir humare rozo aur ibadato ka koi faida nahi.

Ramadan ka maheena pait pooja ke liye nahi. agar humne apne nafs ko maarna hai, taqwa peda karna hai, to hume thoda kam khana pade ga. :unsure:

acha khair.. ye link hai. pls zaroor suniye!

http://www.nurulquran.com/RAMADAN143...2010audios.php

Allah hum sab ka Ramadan qabool ata farmai aur hume behtar insaan banaiy. Aameen.
Reply

Hey there! Looks like you're enjoying the discussion, but you're not signed up for an account.

When you create an account, you can participate in the discussions and share your thoughts. You also get notifications, here and via email, whenever new posts are made. And you can like posts and make new friends.
Sign Up
British Wholesales - Certified Wholesale Linen & Towels | Holiday in the Maldives

IslamicBoard

Experience a richer experience on our mobile app!