/* */

PDA

View Full Version : rukhsati se pehle

Bint-e-Adam
01-26-2013, 10:16 AM
Assalamo Alaikum
me ap logo se ek sawal puchna chahti hun
ek larki ka nikah ho chuka hai.uski rukhhsati ni hui
me ye puchna chahti hu k bivi ka kia frz bnta hai
kia wo ghr se bahr janay k lye her chotay chotay kaam k lye ijazt nmangay shohr se?
halankay shoher abhi usko 1rupees bhi ni deta uski kafalat k lye.
and ye k wife uski her bat k jwb me khamosh rhe aur sbr kre
bus?
aur koi jwb na day usay .
na usay attitude dikahye.
apni improtance zahir krne kl liye?

rukhstai se pehle jb shoher kafalat na krt aho tb bivi aur shohr k kia fraiz hain?
Reply

Login/Register to hide ads. Scroll down for more posts
Ali_008
01-26-2013, 12:18 PM
:wasalamex

Aapko inn sawaalon ka jawaab doosre threads mein fatwa wa reference ke saath Muslim Woman de chuki hai:
http://www.islamicboard.com/advice-s...ml#post1558297
http://www.islamicboard.com/advice-s...ml#post1558298

Ab faisla aap hi ke haath mein aata hai. Aap hi ko decide karna hoga ke ya toh aap baatcheet ke zariye se apne shohr mein badlaav laane ki koshish kar sakti hai ya phir aap apna nikah mansooq bhi karwa sakti hai agar aap ko aur koi behtar raasta dikhaai na de.

Aisa saqt mizaaj kisi ke liye bhi accha nahi, aur aage chalke shayad aapke liye aur musibaton ka sabab bane.
Reply

Pure Purple
01-26-2013, 02:08 PM
Pata nahi dono kisi alim se poochna chahiye.aur apni baat saaf taur par batani chahiye..
o0 Itne manfi khyalat rukhsati se pehle.mujhe lagta hai aapko ek bAar aur soch lena chahiye
Reply

Innocent Soul
01-26-2013, 02:39 PM
^ Mera bhi yehi khayaal hai. Agar aisa hi chalta raha to aap kabhi pur sukoon ho hi nahi sakti is darr mein ke kahi aap ki kisi baat ka bura unhe na lag jaaye. Jis tarah aap ko main forum mein sab ne kaha ke aap dono ko ek dosre ke haqoq ada karna bohot zarori hai. Mein jaanti hoon ke ye thoda boring unvaan (topic) hai magar Allah Taa'ala ke ye saare usool hum sab ke liye hi banaye hai. Ye mere khayalaat ek aam ladki ke hai aur mein zyaada tajurbekaar nahi hoon jawab dene ke liye phir bhi aap ki madad karne ki koshish karti hoon.

Mein aap ko bohot waqt se reply karna chah rahi thi lekin mujhe zyaada nahi pata hai in sab ke baare mein isliye khaamosh rahi.
Reply

Welcome, Guest!
Hey there! Looks like you're enjoying the discussion, but you're not signed up for an account.

When you create an account, you can participate in the discussions and share your thoughts. You also get notifications, here and via email, whenever new posts are made. And you can like posts and make new friends.
Sign Up
Bint-e-Adam
01-27-2013, 08:42 AM
but me main sawal ye puchna chahti hu k Islam kia kehta hai is baray me:
k agar bivi ko nikah se pehlay shoher kharcha nhi deta aur wo apnay maan baap k ghar me parents kay hi kharchay per hai, to kia shoher us pe apnay hukm chla skta hai ya mana kr skta hai?
as Quran pak me b mard ko fzelat is lye hhai q k wo kamane wala hai. kamane k lye hi usay ye drja mila. agr wo abhi ye zimadari ni nibha rha to kia phr bhi wo sub haquq rkhta hai? yani mana kr skta hai? aur ijazt lena frz bnta hai bivi ka aisi surat me?
Reply

Pure Purple
01-27-2013, 12:34 PM
^
Kya aap ne kabhi unse saaf taur kharch maanga?shayad use is bare men pata hi na ho kji rukhsati se pehle phi ekhrajat poore karne chahiye,ya mali halat abhi utntni na ho ki woh Ikhrajat de paaye.Agar India ya pakistan se hain aur agar aapne shadi tod di ye aapke mustaqbil ke liye bahot masala paida kare gi,Ladke bahot assani se doosri shadi ho jayegi lekin shayad aapke liye itna asan nahi hoga. Aap yahan sawal pooch sakti hain......
http://darulifta-deoband.org/showuse...tion=indexView

Reply

Bint-e-Adam
01-30-2013, 07:57 AM
but me kbhi koi khrcha ni manga. wo b chaht hai k de abhi se. but he is settling to a new job.
Reply

Pure Purple
01-30-2013, 12:14 PM
format_quote Originally Posted by seeking_hidayat
but me kbhi koi khrcha ni manga.
format_quote Originally Posted by seeking_hidayat
wo b chaht hai k de abhi se.
^o)To problem kya hai??Aap kharcha maang nahi rahi aur woh de nahi rahe.
Sister,in sab mamelat me apne walidain se baat cheet karni chahiye,phir jo bhi aap faisla karengi uspar aapko aitemad hoga aur aap khud ko kabhi akela mehsoos nahi karengi.
:jz: yahan par advice section ka post karne ke liye kiyonki muje advice and support section me likhne ki ijazat nai hai.....:omg:
Reply

Bint-e-Adam
01-30-2013, 02:26 PM
thanx sister
Reply

kokab
05-20-2016, 06:20 AM
mere sath b yahe msla ha.
mgr thora different,mera nikkh hua mgr rukhsti ni hue ha,mn software eng kr rhe hun or mere husbd ko psnd ni q k unhe meri fees kdeni pri gi,aj tk ik rupe ni bheja ,na kbi koi gift,na ksi chez ka shok etc kuch b ni,bs call pe baten kren ka kehte,mn insan hun mera b dil ha mjhe b shok ha baki larkio ki trha,ktni br unhe snjhane ki try ki to kehte hen hmare han easa ni hota k mian bivi nikkah k bad or rukhsti se phle is trha mile jule,gift etc,mjh se age me b boht bde hn nikkah dhooke me kia unlogo ne,nikkah se phle har kuch joot kaha ,unki age job etc every thing sb jhoot.age 32 kaha tha mgr bad me 40 tk nikli,,or ab hmare ghr walo ko jhutla rahen k ni hum ne to ni kaha tha age 32 ha..job kuch ni apne fathr k sath business me hn,education B.A btaya mjhe jb nikkah bd mjh se 1st time mile ,mn shoked ti q k in ke ghr walo ne or yahe kaha tha k oxford se educate hn..sb jhoot nikla..call pe bt b krun to jo wo sunna chahte hn wohe baten krun to thk ha sb otherwise apni khwahish zahir krun to bhrak jaten ,mjh pe gussa krten ,cheekten ,khwahish kia hoti meri bs yahe sb k kbi mil lia kren ghr ajaya kren,meri frnds ne b milwane ka kaha hua,bs yahe sb,,ab th kafi br lraian ho chuki ,2 br boht zida hue 1 br fesla b hua tha sub ko betha kr to unhone baten ghuma ghuma kr ki,mere ghr walo ne na psnd kia boht unhe,22 april ko hmari akhri lraki hue jis me unhone quran ki qasm khane ko kaha tb se meri bt ni un se,meri nazron se gir gayen bilkul jb unhone quran ki qasm khane ko kaha,sirf is bt pe k mn ne unhe un ke hukuk btane ki koshish ki ...mjhe dhamkian b di..ab ap btayen mn kia krun?mn just soch me hun k kia krun..koi rasta nzr aye...kindly help kren meri..plzzzz...
Reply

500yardsoffo
10-01-2016, 03:53 PM
format_quote Originally Posted by kokab

Bura mt manana behn but Mjhy is sb my apki ghlti nazar ae hy sirf r mjhy smjh nhe aati ke paki lrkiyan aesi hypocrisy kyun dikhati hyn... pehli baat to yeh ke apny nikkah se phle itni bhe tehqeeq nhe ke ky lrkay ke exact age n education kya hy..lrkiyan to kpray ke dukaan se kpra lety huay bhe 10 sawaal puchte hyn ye to nikkah hay...secondly agr apko gifts n apki education ke fees chahiye the nikkah ky baad to apnay ye baat phle lrkay walon ko clearly kyun nhe btae?..r finally..agr apko nikkah ke baad pta chla ke apke saath jhut bola gya hy to ap aese husband ke sath future kyun guzarna chahti hyn jisne apse nikkah he jhut bol kr kiya??
Reply

azc
12-03-2016, 01:10 PM
format_quote Originally Posted by Bint-e-Adam
Assalamo Alaikumme ap logo se ek sawal puchna chahti hunek larki ka nikah ho chuka hai.uski rukhhsati ni huime ye puchna chahti hu k bivi ka kia frz bnta haikia wo ghr se bahr janay k lye her chotay chotay kaam k lye ijazt nmangay shohr se?halankay shoher abhi usko 1rupees bhi ni deta uski kafalat k lye.and ye k wife uski her bat k jwb me khamosh rhe aur sbr krebus?aur koi jwb na day usay .na usay attitude dikahye.apni improtance zahir krne kl liye?rukhstai se pehle jb shoher kafalat na krt aho tb bivi aur shohr k kia fraiz hain?
is qism k masa'il k liye ghar k afrad se mashwra krna zyada behtar hota he. Wese ye ummid he OP apni azdwaji zindgi me khush hongi
Reply

Hey there! Looks like you're enjoying the discussion, but you're not signed up for an account.

When you create an account, you can participate in the discussions and share your thoughts. You also get notifications, here and via email, whenever new posts are made. And you can like posts and make new friends.
Sign Up
British Wholesales - Certified Wholesale Linen & Towels | Holiday in the Maldives

IslamicBoard

Experience a richer experience on our mobile app!