/* */

PDA

View Full Version : khubsurat kalam



azc
01-05-2017, 02:41 PM
Waqiat kuchh ese roonuma ho ga'e : rind ik rat me parsa ho ga'e (azm Rahmani)
Reply

Login/Register to hide ads. Scroll down for more posts
azc
01-05-2017, 02:42 PM
Bazeecha e atfal he duniya mere age...hota he shab o roz tamasha mere age
Reply

azc
01-05-2017, 03:05 PM
Kafir ki is ada ne bas mujhko mar dala :angra'i bhi woh lene na pa'e utha ke hath
Reply

azc
01-05-2017, 03:19 PM
Kaya bala he khushi khuda jane : ham to bas nam sunte aa'e hen (khumar)
Reply

Welcome, Guest!
Hey there! Looks like you're enjoying the discussion, but you're not signed up for an account.

When you create an account, you can participate in the discussions and share your thoughts. You also get notifications, here and via email, whenever new posts are made. And you can like posts and make new friends.
Sign Up
azc
01-05-2017, 03:23 PM
Hamne apni muflisi ka is tarah rakha bharam : waste kam kr diye mghrur kehlane lage
Reply

azc
01-05-2017, 03:25 PM
Wo jan hi ga'e k hame unse pyar he : ankho ki mukhbari ka maza hamse puchhiye
Reply

azc
01-05-2017, 03:27 PM
Bhule hen rafta rafta unhe muddaton me ham : qiston me khudkushi ka maza ham se puchhiye
Reply

azc
01-05-2017, 03:29 PM
Herat he tumko dekh ke masjid me aye khumar : kya bat ho ga'i Jo khuda yad aa gaya
Reply

azc
01-05-2017, 03:33 PM
Mot aaye to din phiren shayad : zindagi ne to mar dala he
Reply

azc
01-05-2017, 03:36 PM
Waqt parne pe hamne ye jana he : Jo he apna wo hi begana he
Reply

azc
01-05-2017, 03:38 PM
Jane bahar phul nahi admi hun me : aja ki muskurae zamane guzar gae
Reply

azc
01-05-2017, 03:45 PM
Ye kehna tha unse muhabbat he mujhko : ye kehne me mujhko zamane lage hen
Reply

azc
01-05-2017, 03:47 PM
Badi jan lewa hen mazi ki yaden : bhulane ko ji bhi nahi chahta he
Reply

azc
01-05-2017, 03:51 PM
Unse kuchh kene hi nahi deti : ye jo ek chiz dil ki dharkan he
Reply

azc
01-05-2017, 03:54 PM
Ha'e re unki yad ka alam : me ye samjha ki khud wo aa'e hen
Reply

azc
01-05-2017, 03:57 PM
Meherbani khukus hamdardi : hamne kya kya fareb khaey hen
Reply

azc
01-05-2017, 04:00 PM
Rat baqi thi jab wo bhichhre the : kat ga'i umr rat baqi he
Reply

azc
01-05-2017, 04:01 PM
Na wo dil he na wo shabab khumar : kisliye ab hayat baqi he
Reply

noraina
01-05-2017, 04:09 PM
Assalamu alaykum

I really like classical Urdu literature and poetry. Altho my Urdu isn't strong enough to quite fully understand every word, but it's enough.

Were these written by a certain writer in particular?
Reply

azc
01-05-2017, 05:41 PM
^ wa alaikum assalam, sister : these are ash'aar of different shu'ra. Most of them belong to Khumar sahab. He was a great poet of this age. I shall be pleased if you share something in Urdu, either in this thread or any other.
Reply

azc
01-06-2017, 03:15 AM
Apne bhi naqshe pa jahan dekhe : hoke guzre na us muqam se ham
Reply

azc
01-06-2017, 03:17 AM
Mil chuki thi jin uljhano se nijat : phir unhi uljhano me jan he aj
Reply

azc
01-06-2017, 03:19 AM
Sheesha e dil shikasta ankhen nam : jee rahe hen kis ahtmam se ham
Reply

azc
01-06-2017, 03:31 AM
Zindagi ki talkhiyon ko zeher samjhu ya sharab : ake tujh bin mujhse iska fesla hota nahi
Reply

azc
01-06-2017, 02:53 PM
Azabo par azab ate rahenge : yahi hoga hayat e mukhtasar me
Reply

azc
01-06-2017, 02:55 PM
Na ho khuloos dilo me to koi bat nahi : magar khuloos se milna bahut zaruri he
Reply

azc
01-06-2017, 02:56 PM
Khanjar chale kisi pe tarapte he ham ameer : sare jahan ka dard hamare jigar me he
Reply

azc
01-06-2017, 04:25 PM
Na he koi sathi na he koi manzil : chala ja raha hun kharama kharama
Reply

azc
01-07-2017, 02:11 AM
Mana k mujhse piyar nahi aap ko magar : is sharme ne mahal ka sabab to bataiye
Reply

azc
01-08-2017, 03:53 AM
Naseh khafa hen aate nahi ajkal idhar : ham in dino ba fazle khuda kahiriyat se hen
Reply

azc
01-08-2017, 03:56 AM
Muhabbat ko samajhna he to naseh khud muhabbat kr : kinare se kabhi andaza e tufan nahi hota
Reply

azc
01-08-2017, 03:59 AM
Apko jate na dekha jaega : shamma ko pehle bujhate Ja'iye
Reply

azc
01-08-2017, 04:01 AM
Dil bhar aye to muskurana dena : ye hunar sabke bas ki bat nahi
Reply

azc
01-08-2017, 04:04 AM
Hal e dil unse keh chuke so bar : ab bhi kehne ki bat baqi he
Reply

azc
01-08-2017, 04:08 AM
Tareek hoti ja rahi he mehfile nishat : ye kon ja raha he ujala liye hue
Reply

azc
01-08-2017, 04:12 AM
Dastango badalte jate hen : ishq ki dastan jari he
Reply

azc
01-08-2017, 04:16 AM
Bahut khush hen meri gustakhiyon par : ba zahir Jo bura mane hue hen
Reply

azc
01-08-2017, 04:19 AM
Haale dil unse keh ke jab lote : unse kehne ki bat yad aa'ei
Reply

azc
01-08-2017, 04:22 AM
Haale dil unse unse bar bar kaha : aur hansi bar bar le doobi
Reply

azc
01-08-2017, 04:24 AM
Dost hote Jo wo to kya hota : dushmani par jab itne piyare hen
Reply

azc
01-08-2017, 04:26 AM
Kambakht ankh uthi hi nahi unke rubaru : ham unko jante hen peh chante nahi
Reply

azc
01-08-2017, 04:29 AM
Mil ja'en abad se mere Allah ye lamhen : wo dekh rahe hen mujhe manoos e nazar se
Reply

azc
01-08-2017, 04:33 AM
Abhi na jao zara thehro : bat dil ki abhi to baqi he
Reply

azc
01-08-2017, 04:39 AM
Aap sukh se hen tarke talluq ke bad : itni jaldi na ye fesla kijiye
Reply

azc
01-08-2017, 04:41 AM
Sab jante hen jisko hamare kahe baghair : wo ek bat aap hi se keh na sake ham
Reply

azc
01-08-2017, 04:45 AM
Din zindagi ke kat gae dar par khare khare : wo kehgae the lot ke aane ke waste
Reply

azc
01-08-2017, 04:49 AM
Doston ki jo yad aati he : dosti kanp kanp jati he
Reply

azc
01-10-2017, 06:14 PM
Apne bhi naqshepa jahan dekhe : hoke guzre na us muqam se hum
Reply

azc
01-10-2017, 06:15 PM
Muskurana kise aziz nahi : darte hen gham ke intqam se hum
Reply

azc
01-10-2017, 06:17 PM
Unki yad ade aa ga'i warna : aaj naseh gaey the kam se
Reply

azc
01-10-2017, 06:19 PM
Hazar tarke ta'alluq ka ahatmam kiya : magar jahan wo mile dil ne apna kaam kiya
Reply

azc
01-10-2017, 06:22 PM
Kabhi hua Jo unhe mere dard ka ahsas : mira naseeb pukara ke dekhta hundred main
Reply

azc
01-10-2017, 06:24 PM
Ajal khumar mira aake kya bigadegi : ke mot aane se pehle hi mar chuka hun main
Reply

azc
01-10-2017, 06:27 PM
Kese kese mehshar khamosh hote hen bapa : jab bazahir do dilo me rabta hota nahi
Reply

azc
01-10-2017, 06:29 PM
Haaeye wo dil mujhe us dil pe taras aata he : tune barbad kiya jisko na aabad kiya
Reply

azc
01-14-2017, 06:49 AM
Gham se baz aaye the khushi ke liye : do hi din me khushi se baz aaye
Reply

azc
01-14-2017, 06:53 AM
Hansi he ke roke nahi ruk rahi he : chala hun kisi ko ghame dil sunane
Reply

azc
01-14-2017, 06:55 AM
Ek aansu keh gaya sab hal dil ka : main samjha tha ye zalim bezuban he
Reply

azc
01-14-2017, 06:57 AM
Jab kiya usne piyar se inkar : sharme inkar par hansi aayee
Reply

azc
01-14-2017, 11:26 AM
Hoti nahi qubool dua tarke ishq ki : dil chahta na ho to dua main asar kahan
Reply

azc
01-14-2017, 11:29 AM
Hum jispe mar rahe hen wo he bat hi kuchh aur : alam me tujhse lakh sahi tu magar kahan
Reply

azc
01-14-2017, 11:31 AM
Isi roz o shab me ulajh ke na reh ja : ke tere zaman o makan aur bhi hen
Reply

azc
01-14-2017, 11:33 AM
Tu shaheen he parvaz he kam tera : tere samne aasman aur bhi hen
Reply

azc
01-14-2017, 11:36 AM
Jeena bhi aagaya mujhe marna bhi aagaya : peh'channe laga hun tumhari nazar ko main
Reply

azc
01-15-2017, 06:33 PM
Aisa nahi ke unse mohabbat nahi rahi : jazbat main wo pehli si shiddat nahi rahi
Reply

azc
01-15-2017, 06:35 PM
Besaharon ka hosla hi kya : ghar main ghabraey dar pe aa bethe
Reply

azc
01-15-2017, 06:40 PM
Tha mere aghosh main wo paikare husno shabab : ya zamin ki god main tha asman kal rat ko
Reply

azc
01-15-2017, 06:42 PM
Bala se mera gham na ho unpe zahir : jab aaeynge wo mukurana parega
Reply

azc
01-15-2017, 06:46 PM
Mujhko hona tha pareshan main pareshan ho gaya : is main teri kya khata he tu kyon pareshan ho gaya
Reply

azc
01-15-2017, 06:50 PM
Merit tarah do din to jike dhikaeyen : meri maikashi ko hawa dene wale
Reply

azc
01-19-2017, 06:48 AM
Khuda mahfuz rakhe har bala se : kai din se tabiyat shadman he
Reply

azc
01-19-2017, 06:51 AM
Sukun hi sukun he khushi hi khushi he : tera gham salamat mujhe kya Kami he
Reply

azc
01-19-2017, 06:55 AM
Naseh nawazishen hen ye kambakht ishq ki : warna hum aur sunte bhala yun kisi ki bat
Reply

azc
01-19-2017, 06:57 AM
Gham bhi hamse bari khushi se mila : hambhi ghamse bari khushi se mile
Reply

azc
01-19-2017, 07:00 AM
Kar liya sabne hamse kinara magar : ek naseh gharib aate jaate rahe
Reply

azc
01-23-2017, 09:54 AM
Jane na dunga apko sunne ka main nahi : baten banake wasl ka wada na taliye
Reply

azc
01-23-2017, 10:29 AM
Nazuki uske lab ki kya kahiye : pankhuri ek gulab ki si he (meer)
Reply

azc
01-23-2017, 10:32 AM
Kisi ke mahrame aabe rawan ki yad a'ee : habab ke barabar Jo kabhi habab dekha (aatish)
Reply

azc
01-23-2017, 10:35 AM
Kya nazakat he Jo tora shakhe gul se koi phul : aatishe gul se pare chhale tumhare hath main (ameer mina'i)
Reply

azc
01-23-2017, 10:39 AM
Aur mastaniyan wo hoti hen : marduon par Jo Jan khoti hen (mirza shoq)
Reply

azc
01-23-2017, 07:14 PM
Sunkar ye lage kehne ki khamosh hi reh ja : is amr main qasir to farishte ki zuban he (sawda)
Reply

azc
01-23-2017, 07:20 PM
Kaare zamana jitna jitna : banta jae bigarta jae (jigar)
Reply

azc
01-23-2017, 07:23 PM
Tu shahin he parwaz he kam tera : tere samne aasman aur bhi hen (iqbal)
Reply

azc
01-23-2017, 07:29 PM
Har nafs umre guzishta ki he mayyat fani : zindagi nam he marmar ke jiye jane ka (fani)
Reply

azc
01-23-2017, 07:33 PM
Tumne dekha he kabhi ghar ko badalte hue rang : aa'o dekho na thhikana mere ghamkhane ka (fani)
Reply

waji
01-24-2017, 10:11 AM
السلام علیکم
میرے بھائی اگر اپنی پوسٹ کی تعداد ہی بڑھانی ہے تو کوئی اور طریقہ آزماتے
یہ کیا طریقہ ہے کلام کو پیش کرنے کا؟؟

Reply

Hey there! Looks like you're enjoying the discussion, but you're not signed up for an account.

When you create an account, you can participate in the discussions and share your thoughts. You also get notifications, here and via email, whenever new posts are made. And you can like posts and make new friends.
Sign Up

Similar Threads

  1. Replies: 2
    Last Post: 01-02-2014, 03:28 PM
  2. Replies: 17
    Last Post: 01-26-2010, 09:47 AM
  3. Replies: 13
    Last Post: 01-15-2010, 02:22 PM
  4. Replies: 4
    Last Post: 10-24-2007, 01:18 AM
  5. Replies: 3
    Last Post: 08-18-2007, 05:46 PM
British Wholesales - Certified Wholesale Linen & Towels | Holiday in the Maldives

IslamicBoard

Experience a richer experience on our mobile app!