/* */

PDA

View Full Version : jagA jee laganaY kee dunYa naheEn hai..!!



hidaayah
02-28-2006, 05:30 PM
Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Junaid Jamshed

Anokhi Waza Hai Saray Zamanay Say Niralay Hain
Yeh Aashiq Kaunsi Basti Kay Yaa Rab Rehnay Walay Hain
--------------------------------------------------------
Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai

Jahan Main Hain Ibrat Kay Har Su Namoonay
Magar Tujhko Andha Kiya Rang-o-Bu Nay
Kabhi Ghaur Say Bhi Yeh Dekha Hai Tu Nay
Jo Maamoor Thay Wo Mehel Ab Hain Sooonay

Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai

Milay Khaak Main Ahl-e-Shaan Kesay Kesay
Makeen Ho Gaye La Makaan Kesay Kesay
Huey Namwar Bay Nishaan Kesay Kesay
Zameen Kha Gayee NauJawan Kesay Kesay

Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai

Zameen Kay Huey Log Paiwand Kya Kya
Maluk-o-Huzur-o-Khudawand Kya Kya
Dikhaye Ga Tu Chand Roz Kya Kya
Ajal Nay Picharray Tan-o-Mand Kya Kya

Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai

Ajal Nay Na Kisra Hi Chora Na Daara
Isi Say Sikandar Sa Fateh Bhi Hara
Har Aik Chor Kay Kya Kya Hasrat Sidhara
Parra Reh Gaya Sab Yahin Khaat Sara

Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai

Tujhay Pehlay Bachpan Nay Barson Khilaya
Jawani Nay Phir Tujhko Majnoon Banaya
Burr`haapay Nay Phir Aa Kay Kya Kya Sataya
Ajal Tera Kar Day Ge Bilkul Safaya

Yehi Tujhko Dhun Hai Rahun Sab Say Bala
Ho Zeenat Nirali Ho Fashion Nirala
Jiya Karta Hai Kya Yunhi Marnay Wala
Tujhay Husn-e-Zahir Nay Dhokay Main Dala

Wo Hai Aaish-o-Ishrat Ka Koi Mehel Bhi
Jahan Taak Main Khari Ho Ajal Bhi
Bas Ab Is Jahalat Say Tu Nikal Bhi
Yeh Tarz-e-Maishat Ab Apna Badal Bhi

Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai

Yeh Duniya-e-Fani Hai Mehboob Tujhko
Hui Wah Kya Cheez Marghub Tujhko
Nahin Aqal Itni Bhi Majzoob Tujhko
Samajh Lena Ab Chahiye Khoob Tujhko

Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai

Burr`hapay Say Paa Kar Payam-e-Qaza Bhi
Na Chaunka Na Cheeta Na Samnbhla Zara Bhi
Koi Teri Ghaflat Ki Hai Inteha Bhi
Junoon Chor Kar Apnay Hoshon Main Aa Bhi

Jab Is Bazm Say Chal Diye Dost Aksar
Aur Uthtay Chalay Ja Rahay Hain Baraabar
Har Waqt Paish-e-Nazar Hai Yeh Manzar
Yahan Par Tera Dil Behelta Hai Kionkar

Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai

Jahan Main Kahin Shor-e-Maatam Bapa Hai
Kahin Fikr-o-Faqah Say Aah-o-Baqa Hai
Kahin Shikwa`Jor-o-Makr-o-Dawa Hai
Gharz Har Taraf Say Yehi Bas Sada Hai
Reply

Login/Register to hide ads. Scroll down for more posts
Kittygyal
02-28-2006, 05:33 PM
can u plz translate this in english plz if u dn't mind....

take care
Reply

khaledmm123
03-01-2006, 12:54 PM
what a meaning ful poem sis mashallah
Reply

mizan_aliashraf
03-01-2006, 02:49 PM
Salam
I didnt understand a word, but it looks good
Jazakillah Khayr
Wasslam
Reply

Welcome, Guest!
Hey there! Looks like you're enjoying the discussion, but you're not signed up for an account.

When you create an account, you can participate in the discussions and share your thoughts. You also get notifications, here and via email, whenever new posts are made. And you can like posts and make new friends.
Sign Up
khaledmm123
03-01-2006, 03:33 PM
:sl:
you don't know urdu bro:rollseyes
Reply

waji
03-02-2006, 05:42 AM
:sl:
nice poem sister well done
it can be translate in English but someone master in english needed :brother:
:w:
Reply

hidaayah
03-02-2006, 10:03 AM
:sl:
^ yes..and here's the audio version..even more superb..!! maybe u've heard b4...by junaid jashed the former and first pop singer of pakistan, now a da'ee alhumdulillah..:)
http://www.darsequran.com/hamdnaat/jagah.asx
Reply

khaledmm123
03-02-2006, 10:35 AM
format_quote Originally Posted by zAk
i know..........but dont u think translating tht biiiiiiiiiig poem is quite a tedious job ? :-[
:sl:
dear bro himmat karo .ham sab tumhare sath hain . oor vaisay bhi himmatae mardan madadae khuda;D :giggling: :okay:
Reply

hidaayah
03-03-2006, 01:52 PM
:sl:
here's another:
Multazim Par Dua




Zahir Ki Aankh Say Na Tamasha Karay Koi
Ho Dekhna Toh Deeda-e-Dil Waa Karay Koi
Arr Baithay Kya Samajh Kay Bhala Tuur Par Kaleem
Taaqat Ho Deed Ki Toh Taqaza Karay Koi

Ilaahi Teri Chaukhat Par Bhikaari Ban Kay Aya Hoon
Saraapa Faqr Hoon, Ijz-o-Nadaamat Saath Laya Hoon

Ilaahi Teri Chaukhat Par Bhikaari Ban Kay Aya Hoon
Saraapa Faqr Hoon, Ijz-o-Nadaamat Saath Laya Hoon

Bhikaari Wo Kay Jis Kay Paas Jholi Hai Na Piyaala Hai
Bhikaari Wo Jisay Hirs-o-Hawas Nay Maar Dala Hai

Mata-e-Deen-o-Daanish Nafs Kay Haathon Say Lutwa Kar
Sukoon-e-Qalb Ki Daulat Hawas Ki Bhaint Chharwa Kar

Luta Kar Saari Poonji Ghaflat-o-Isyaan Ki Daldal Main
Sahara Lenay Aya Hoon Teray Ka'abay Kay Aanchal Main

Gunaaahon Ki Lipat Say Ka'ainat-e-Qalb Afsurda
Iraaday Muzmehal, Himmat Shikasta, Hauslay Murda

Kahan Say Laoon Taaqat Dil Ki Sachhi Tarjumani Ki
Kay Is Jhanjaal Main Guzri Hain Ghariyan Zindagi Ki

Khulasa Yeh Kay Bas Jal Bhun Kay Apni Ru-Siyaahi Say
Saraapa Faqr Ban Kar Apni Haalat Ki Tabaahi Say

Teray Darbaar Main Laya Hoon Apni Ab Zabun Hali
Teri Chaukhat Kay Laaiq Har Amal Say Haath Hain Khaali

Yeh Tera Ghar Hai Teray Mehr Ka Darbaar Hai Maula
Saraapa Noor Hai Aik Mohbat-e-Anwaar Hai Maula

Teri Chaukhat Kay Jo Aadab Hain Main Un Say Khaali Hoon
Nahin Jis Ko Saliqa Maangnay Ka Wo Sawali Hoon

Zuban Gharq-e-Nadaamat Dil Ki Naaqas Tarjumani Par
Khudaya Rehem Meri Is Zamanay Bay Zubani Par

Yeh Aankhain Khushk Hain Yaa Rab Inhain Rona Nahin Aata
Sulagtay Daagh Hain Dil Main Jinhain Dhona Nahin Aata Hai

Ilaahi Teri Chaukhat Par Bhikaari Ban Kay Aya Hoon
Saraapa Faqr Hoon, Ijz-o-Nadaamat Saath Laya Hoon
Saraapa Faqr Hoon, Ijz-o-Nadaamat Saath Laya Hoon
Reply

khaledmm123
03-03-2006, 04:32 PM
:sl:
mashallah very nice.:)
Reply

Lonely_Boy
03-04-2006, 05:51 PM
:wl:

JAZAKALLAH SISTER
keep on sharing
WEll Jintni meri knowledge hia this Dua is written by bulkay not written yeh dua
Mufti Taqi Usmani ne multazim kay samnay perhi thi bulkya youn khain ke ALLAH
kay samnay apnay dil ki halat bayan kari .....aur phir JUNAID JAMSHED ne perhi
and mene live suni hia :)


Reply

08101990
03-04-2006, 06:24 PM
oh wow. mashAllah. all r butiful poems.

jazakAllah for sharin!
Reply

amtulrahman2000
03-04-2006, 07:49 PM
format_quote Originally Posted by Lonely_Boy
:wl:

JAZAKALLAH SISTER
keep on sharing
WEll Jintni meri knowledge hia this Dua is written by bulkay not written yeh dua
Mufti Taqi Usmani ne multazim kay samnay perhi thi bulkya youn khain ke ALLAH
kay samnay apnay dil ki halat bayan kari .....aur phir JUNAID JAMSHED ne perhi
and mene live suni hia :)

:sl: :brother:
ye aap kitareef nahi leikin eik sacchai boolraha hoonke waqai aap ke likhne se najane kuoon dil par buhath asar karti hai shayad ye apne apne taqwe ki bath hoti ye khuda ki dain hai
allahhafiz:w:
Reply

khaledmm123
03-04-2006, 08:06 PM
:sl: :brother:
mashallah aapne ye kam bhetreen kita hai ke is ka urdu me terjuma kiya hai
allahhafiz
Reply

hidaayah
03-05-2006, 02:13 AM
jazakallah khair...:)
Reply

Lonely_Boy
03-05-2006, 07:44 AM
format_quote Originally Posted by amtulrahman2000
:sl: :brother:
ye aap kitareef nahi leikin eik sacchai boolraha hoonke waqai aap ke likhne se najane kuoon dil par buhath asar karti hai shayad ye apne apne taqwe ki bath hoti ye khuda ki dain hai
allahhafiz:w:
:sl:

Thanks brother.....lekin is main meri koi quality nahi ...yeh to MUFTI TAQI USMANI ne likhi hia aur yeah hamaray iman ki kamzori hai ke hamain ALLAH kay samnay apni halat is tarah bayan kernay nahi ati na hi ALLAH say mangna atah hai yeh to ALLAH ke raheem o kareem zaat hia jis ka hum per itna karam or ehsan hai.....

:w:
Reply

syedjavedasgher
01-27-2009, 02:36 PM
format_quote Originally Posted by Kittygyal
can u plz translate this in english plz if u dn't mind....

take care
Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai (This world is not worthy of taking interest)
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai (It is a place for moral lessons not entertainment)

Jahan Main Hain Ibrat Kay Har Su Namoonay (There are too many examples in this world)
Magar Tujhko Andha Kiya Rang-o-Bu Nay (But you are blindfolded by the glamour)
Kabhi Ghaur Say Bhi Yeh Dekha Hai Tu Nay (Did you ever wonder?)
Jo Maamoor Thay Wo Mehel Ab Hain Sooonay (The palaces which were crowded are now vacant)

Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai (This world is not worthy of taking interest)
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai (It is a place for moral lessons not entertainment)

Milay Khaak Main Ahl-e-Shaan Kesay Kesay (Many magnificent persons are now part of soil)
Makeen Ho Gaye La Makaan Kesay Kesay (Many residents of this world are now non residents)
Huey Namwar Bay Nishaan Kesay Kesay (Many famous persons are now part of history)
Zameen Kha Gayee NauJawan Kesay Kesay (Soil has eaten many young and energetic)

Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai (This world is not worthy of taking interest)
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai (It is a place for moral lessons not entertainment)

Zameen Kay Huey Log Paiwand Kya Kya (Many persons are now part of soil)
Maluk-o-Huzur-o-Khudawand Kya Kya (who were called the king, your majesty, my lord)
Dikhaye Ga Tu Chand Roz Kya Kya (what had you seen was just for mere few days)
Ajal Nay Picharray Tan-o-Mand Kya Kya (Death has beaten many healthy wrestlers)

Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai (This world is not worthy of taking interest)
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai (It is a place for moral lessons not entertainment)

Ajal Nay Na Kisra Hi Chora Na Daara (Death has not spared Caesar or Daara)
Isi Say Sikandar Sa Fateh Bhi Hara (It had even beaten Alexander the great)
Har Aik Chor Kay Kya Kya Hasrat Sidhara (Everybody left this world with many expectations)
Parra Reh Gaya Sab Yahin Khaat Sara (But all the worldly treasures were left behind)

Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai (This world is not worthy of taking interest)
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai (It is a place for moral lessons not entertainment)

Tujhay Pehlay Bachpan Nay Barson Khilaya (Initially it is a playground for you in childhood)
Jawani Nay Phir Tujhko Majnoon Banaya (Then when you are young you are careless)
Burr`haapay Nay Phir Aa Kay Kya Kya Sataya (Then you become old and your life is miserable)
Ajal Tera Kar Day Ge Bilkul Safaya (Finally the death will arrive and you are finished)

Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai (This world is not worthy of taking interest)
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai (It is a place for moral lessons not entertainment)

Yehi Tujhko Dhun Hai Rahun Sab Say Bala (It is your objective to be on the top)
Ho Zeenat Nirali Ho Fashion Nirala (To dress up according to Fashion and society)
Jiya Karta Hai Kya Yunhi Marnay Wala (This is not a way for a person who is going to die)
Tujhay Husn-e-Zahir Nay Dhokay Main Dala (You are blind folded by the glamour of this world)

Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai (This world is not worthy of taking interest)
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai (It is a place for moral lessons not entertainment)

Wo Hai Aaish-o-Ishrat Ka Koi Mehel Bhi (Is there any palace in this world)
Jahan Taak Main Khari Ho Ajal Bhi (Where the death can not go)
Bas Ab Is Jahalat Say Tu Nikal Bhi (Lets come out of your ignorance)
Yeh Tarz-e-Maishat Ab Apna Badal Bhi (And change the ways of your life)

Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai (This world is not worthy of taking interest)
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai (It is a place for moral lessons not entertainment)

Yeh Duniya-e-Fani Hai Mehboob Tujhko (This mortal world is dear to you)
Hui Wah Kya Cheez Marghub Tujhko (What a shame on your choice)
Nahin Aqal Itni Bhi Majzoob Tujhko (You should have heeded to the lessons)
Samajh Lena Ab Chahiye Khoob Tujhko (It is time for you now to reconsider)

Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai (This world is not worthy of taking interest)
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai (It is a place for moral lessons not entertainment)

Burr`hapay Say Paa Kar Payam-e-Qaza Bhi (you have not taken the death notice from aged seriously)
Na Chaunka Na Cheeta Na Samnbhla Zara Bhi (you not have wondered, heeded or observed)
Koi Teri Ghaflat Ki Hai Inteha Bhi (Is there any limit for your ignorance)
Junoon Chor Kar Apnay Hoshon Main Aa Bhi (Just leave the carelessness and heed the words)

Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai (This world is not worthy of taking interest)
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai (It is a place for moral lessons not entertainment)

Jab Is Bazm Say Chal Diye Dost Aksar (Now many of your friends have left your companionship)
Aur Uthtay Chalay Ja Rahay Hain Baraabar (And bring lifted as grave constantly)
Har Waqt Paish-e-Nazar Hai Yeh Manzar (This scene is repeated continuously)
Yahan Par Tera Dil Behelta Hai Kionkar (How could you entertain yourself here)

Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai (This world is not worthy of taking interest)
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai (It is a place for moral lessons not entertainment)

Jahan Main Kahin Shor-e-Maatam Bapa Hai (There is sound of mourning somewhere)
Kahin Fikr-o-Faqah Say Aah-o-Baqa Hai (There is cry of hunger somewhere)
Kahin Shikwa`Jor-o-Makr-o-Dawa Hai (There is different sort of cries)
Gharz Har Taraf Say Yehi Bas Sada Hai (Well everywhere there is only one note)

Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai (This world is not worthy of taking interest)
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai (It is a place for moral lessons not entertainment)
Reply

MO783
01-27-2009, 02:51 PM
:sl:

he has got a few good nasheeds, i dont think i have not heard this one though

:)
Reply

AabiruSabeel
01-27-2009, 08:04 PM
:sl:

Maulana Tariq Jameel saying couplets from this (emotional)




:w:
Reply

nazish
04-02-2009, 07:20 PM
:sl:

A meaning ful poem sis mashallah

:w:
Reply

Drabubaker
08-19-2009, 02:09 PM
Jazakallah bro this is one f d my fav poem
Reply

ayeh
09-06-2009, 07:18 AM
format_quote Originally Posted by hidaayah
Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Junaid Jamshed

Anokhi Waza Hai Saray Zamanay Say Niralay Hain
Yeh Aashiq Kaunsi Basti Kay Yaa Rab Rehnay Walay Hain
--------------------------------------------------------
Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai

Jahan Main Hain Ibrat Kay Har Su Namoonay
Magar Tujhko Andha Kiya Rang-o-Bu Nay
Kabhi Ghaur Say Bhi Yeh Dekha Hai Tu Nay
Jo Maamoor Thay Wo Mehel Ab Hain Sooonay

Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai

Milay Khaak Main Ahl-e-Shaan Kesay Kesay
Makeen Ho Gaye La Makaan Kesay Kesay
Huey Namwar Bay Nishaan Kesay Kesay
Zameen Kha Gayee NauJawan Kesay Kesay

Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai

Zameen Kay Huey Log Paiwand Kya Kya
Maluk-o-Huzur-o-Khudawand Kya Kya
Dikhaye Ga Tu Chand Roz Kya Kya
Ajal Nay Picharray Tan-o-Mand Kya Kya

Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai

Ajal Nay Na Kisra Hi Chora Na Daara
Isi Say Sikandar Sa Fateh Bhi Hara
Har Aik Chor Kay Kya Kya Hasrat Sidhara
Parra Reh Gaya Sab Yahin Khaat Sara

Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai

Tujhay Pehlay Bachpan Nay Barson Khilaya
Jawani Nay Phir Tujhko Majnoon Banaya
Burr`haapay Nay Phir Aa Kay Kya Kya Sataya
Ajal Tera Kar Day Ge Bilkul Safaya

Yehi Tujhko Dhun Hai Rahun Sab Say Bala
Ho Zeenat Nirali Ho Fashion Nirala
Jiya Karta Hai Kya Yunhi Marnay Wala
Tujhay Husn-e-Zahir Nay Dhokay Main Dala

Wo Hai Aaish-o-Ishrat Ka Koi Mehel Bhi
Jahan Taak Main Khari Ho Ajal Bhi
Bas Ab Is Jahalat Say Tu Nikal Bhi
Yeh Tarz-e-Maishat Ab Apna Badal Bhi

Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai

Yeh Duniya-e-Fani Hai Mehboob Tujhko
Hui Wah Kya Cheez Marghub Tujhko
Nahin Aqal Itni Bhi Majzoob Tujhko
Samajh Lena Ab Chahiye Khoob Tujhko

Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai

Burr`hapay Say Paa Kar Payam-e-Qaza Bhi
Na Chaunka Na Cheeta Na Samnbhla Zara Bhi
Koi Teri Ghaflat Ki Hai Inteha Bhi
Junoon Chor Kar Apnay Hoshon Main Aa Bhi

Jab Is Bazm Say Chal Diye Dost Aksar
Aur Uthtay Chalay Ja Rahay Hain Baraabar
Har Waqt Paish-e-Nazar Hai Yeh Manzar
Yahan Par Tera Dil Behelta Hai Kionkar

Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai

Jahan Main Kahin Shor-e-Maatam Bapa Hai
Kahin Fikr-o-Faqah Say Aah-o-Baqa Hai
Kahin Shikwa`Jor-o-Makr-o-Dawa Hai
Gharz Har Taraf Say Yehi Bas Sada Hai
yeah it's a beautiful nasheed by Junaid bhai
Reply

Hey there! Looks like you're enjoying the discussion, but you're not signed up for an account.

When you create an account, you can participate in the discussions and share your thoughts. You also get notifications, here and via email, whenever new posts are made. And you can like posts and make new friends.
Sign Up

Similar Threads

  1. Replies: 1
    Last Post: 06-25-2013, 12:53 PM
  2. Replies: 1
    Last Post: 01-04-2012, 10:18 AM
  3. Replies: 44
    Last Post: 06-11-2008, 10:21 PM
  4. Replies: 4
    Last Post: 11-17-2006, 10:53 AM
British Wholesales - Certified Wholesale Linen & Towels | Holiday in the Maldives

IslamicBoard

Experience a richer experience on our mobile app!