/* */

PDA

View Full Version : An awesome poem!!!



bint-ul-islam
03-11-2006, 03:48 PM
:sl:

Iman Ka Soda

hum deen-e-Muhammad (s.a.w)kay wafa dar sipahi
Allah kay ansaar, maddad gar sipahi
islam ki azmat kay nigayhdar sipahi
batil ki khudai ko gawara na karain gay
mar jain gay iman ka soda na karain gay

khushnoodi-e-rabb maqsad-e- hastee hai hamara
qur'an hi dastoor hai sathe hai hamara
quaid bhi Muhammad (S.A.W) sa misalee hai hamara
abb hum kisi rahbar ki tamana na karain gay
mar jain gay iman ka soda na karain gay

seenay say har ik lafz-e-kadoorat ko mita ker
tafreeq kay bharqay howay shulon ko bhuja kar
dam lain gay insaa(n) ko insaa(n) say mila ker
abaad phir ujra howa kashana karain gay
mar jain gay iman ka soda na karain gay

inkaar hamara hai zamanay ki nazar may
iqraar hamara hai zamanayki nazar may
kirdaar hamara hai zamanay ki nazar may
hum apni hi tasweer ko ruswa na karain gay
mar jain gay iman ka soda na karain gay

insaaf say phir aadmi mu(n) moor chuka hai
suchai say paymaan-e-wafa toor chuka hai
daaman-e-yaqee(n) , sabr o raza choor chuka hai
hum zinda raho rasm ka paymana karain gay
mar jain gay iman ka soda na karain gay



p.s this poem can be listened on www.nazmay.com
Reply

Login/Register to hide ads. Scroll down for more posts
Kittygyal
03-11-2006, 03:49 PM
can u plz translate diz in english :)

take care
Reply

bint-ul-islam
03-11-2006, 04:25 PM
:sl:
sis it will be difficult to translate in english
but i can tell you its summary in english (but if you would have knew urdu you could realize that the wordings of this poem are great)
now here goes the summary :
we the soldiers of deen-e-Muhammad (s.a.w) , will never sell our iman at any cost even if we would have to die ...we will never tolerate the rule of batil (the false ,wrong doers )upon us . our purpose of life is to please Allah ! and quran is our constitution .and we have a ideal leader Muhammad so we will never wish for some one else to lead us.the world know our likings and dis likings so we will never spoil our image ...

:w: :)
Reply

Kittygyal
03-11-2006, 04:28 PM
aw bless that is so gud thanks eva so much sis :)

i wish i did knw that lingo :(

well anyway dun't matter thanks eva so much :)

take care
Reply

Welcome, Guest!
Hey there! Looks like you're enjoying the discussion, but you're not signed up for an account.

When you create an account, you can participate in the discussions and share your thoughts. You also get notifications, here and via email, whenever new posts are made. And you can like posts and make new friends.
Sign Up
Lonely_Boy
03-11-2006, 06:08 PM
:sl:

That's great sis JAZAKALLAH
keep on sharing

:w:
Reply

------
03-11-2006, 07:24 PM
Wah ji Wah kya baat hai..!

Its really nice thanks 4 sharing
Reply

bint-ul-islam
03-12-2006, 06:43 AM
:sl:
aik aur poem bachon kay liay (aur baron kay liay bhi :) )

Bachon perhnay chalo namaz (aur baray bhi chalain ) :Mosque:

ik doojay ko do awaaz bachon perhnay chalo namaz
apnay deen pay humko naz, bachon perhnay chalo namaz

namaz dil ko bhati hai , yey pabandi shiklati hai
achay achay doston say panchoo(n) waqt milati hai
rakthe hai sub say mumtaz , bachon perhnay chalo namaz

dilon ka hai sukoon namaz , dee(n) ka hai sutoon namaz
namaz say hai kaam-e-abi , nakami hai be doon-e-namaz
batlaya ulma nay yeh raaz , bachon perhnay chalo namaz

jo bhi ho(n) gay musalman ,hogi unki yeh pehchan
wo foran masjid jain gay , jub sunaay(n) gay wo azaan
yehi hai shaan-e-imtiaz , bachon perhnay chalo namaz

namaz khusboo sansoo ki ,thandak nabi (s.a.w) ki ankhoon ki
lazawal shama :Crescent: hai tareek kabr ki ratoon ki :cresentbl
kar daytee hai sarfaraz , bachon perhnay chalo namaz

namaz rakhtee hai masroor , is say chehra ho pur noor :statisfie
gunahoo(n) :omg: aur burayou(n) ko rakhtee hai momin say door
yehi to hai iska ijaz , bachon perhnay chalo namaz

namaz jo apnao gay, shayta(n) :Evil: say bach jao gay
Allah (s.w.t) ki nazroon may surkhuroo ho jao gay :thumbs_up
kitna bara hai yeh aayzaaz , bachon perhnay chalo namaz




:w:
Reply

bint-ul-islam
03-12-2006, 03:22 PM
:sl:
and here is another .maybe u ppl had heard it before .

Allah (s.w.t) hai bas piyaar hi piyaar

piyaar bhara har aik ishara
pyaara uska har nazara
jis nay zamee(n) pay piyaar utara
woh khud ho ga kitna pyaara
pyaar ka uskay nahee(n) shumaar
Allah hai bas pyaar hi pyaar
phool banai pyaaray pyaaray
titlee jugnoo aur fawaray
jag mag kertay chand sitaray
aur kaha yeh sub hain tumharay
pyaar ka uskay naheen shumar
Allah hai bas pyaar hi pyaar
Reply

Lonely_Boy
03-12-2006, 04:08 PM
format_quote Originally Posted by bint-ul-islam
:sl:
and here is another .maybe u ppl had heard it before .

Allah (s.w.t) hai bas piyaar hi piyaar

piyaar bhara har aik ishara
pyaara uska har nazara
jis nay zamee(n) pay piyaar utara
woh khud ho ga kitna pyaara
pyaar ka uskay nahee(n) shumaar
Allah hai bas pyaar hi pyaar
phool banai pyaaray pyaaray
titlee jugnoo aur fawaray
jag mag kertay chand sitaray
aur kaha yeh sub hain tumharay
pyaar ka uskay naheen shumar
Allah hai bas pyaar hi pyaar
:sl:

MASHALLAH great post sister ya I heard it and really like it from where u got this .....do u have audio of this ....

:w:
Reply

------
03-12-2006, 05:07 PM
format_quote Originally Posted by bint-ul-islam
:sl:
and here is another .maybe u ppl had heard it before .

Allah (s.w.t) hai bas piyaar hi piyaar

piyaar bhara har aik ishara
pyaara uska har nazara
jis nay zamee(n) pay piyaar utara
woh khud ho ga kitna pyaara
pyaar ka uskay nahee(n) shumaar
Allah hai bas pyaar hi pyaar
phool banai pyaaray pyaaray
titlee jugnoo aur fawaray
jag mag kertay chand sitaray
aur kaha yeh sub hain tumharay
pyaar ka uskay naheen shumar
Allah hai bas pyaar hi pyaar
SIK :) (Az in cool :rollseyes )
Reply

bint-ul-islam
03-12-2006, 05:15 PM
:sl:
i read this poem in a urdu magazine and also listend it on t.v long time ago.
no i haven't audio of this poem , u can search ...
if u find it pls post the link.
Reply

waji
03-12-2006, 05:23 PM
Asalam u Alikum
Masha'Allah Great Poems
Walikum as Salam
Reply

Hey there! Looks like you're enjoying the discussion, but you're not signed up for an account.

When you create an account, you can participate in the discussions and share your thoughts. You also get notifications, here and via email, whenever new posts are made. And you can like posts and make new friends.
Sign Up

Similar Threads

  1. Replies: 4
    Last Post: 04-08-2009, 09:24 PM
British Wholesales - Certified Wholesale Linen & Towels | Holiday in the Maldives

IslamicBoard

Experience a richer experience on our mobile app!