/* */

PDA

View Full Version : shayir app kay khayaal main



waji
05-04-2006, 06:54 AM
:sl:
:brother: Bhaiyoo aur :sister: Bahnoo
is thread ka maqsad sirf yeh hay kah hum kuch shayir jin main koi khass baat hay koi peyghaam hay koi aiysee baat jo app kay dil ko lagay us ka izhaar karain
Aik baat ka khayal rakhiyaay ga kay shayir chahay Jandaar na hoo lakin app kay alfaaz aur app ka bayaan achaa hona chaheyaa
Mera khayal hay kay app zaroor iss thread main shamil hongay

:w:
Reply

Login/Register to hide ads. Scroll down for more posts
waji
05-04-2006, 07:12 AM
:sl:

Fazaey Badar peyda kar fareshtay teri nusraat ko
uttar saktain hain gardoon say qataar andar qataar abb bhi
(Zafar Ali khan)

iss shayir ki khass baath yeh hay kah yeh umeed dilata hay kay Allah Mujood hay jo App ki maddad karsakta hay aur maddad kay liya Fareshtay ajj bhi bhaaj saktay hay magar app ko pehlay apna kaam pura karana hay,matlaab her kaam main jis main maddad hum Allah say mangtay hay us kaam kay liya hum nay kitni mehnaat ki hay, kiya hum dua say pehlay apni puri koshesh kartain hay apni tayarri puri kartain hay, Ussi tarhaan say jiss tarhaan Gazvaey Badar main Hazarat Muhammad(S.A.W) nay 313 ashaab ka lashkar jama kiya tha, us lashkar main her koi shahadaat kay liya tayaar tha iss baath say behkhabar kay unkay samnay jo dushmaan hay woh unsay kai guna bara aur tamaam hatheyaroon kay saat hain , magar Allah ki khatir larnay ko tayaar hain Phir hazarat Muhammad(S.A.W) nay Allah say dua ki Allah say maddad mangee tub Allah ki nusraat Allah ki maddad unkay liya fareshtoon ki soorat ai
Bus ussi tarhaan humain bhi sirf Allah say maddad mangnee chaheeya aur hath per hath rakh kar nahi beyth janay chaheeyay magar apna kaam apni zimaaydari puri karnee chaheyaa

:w:
Reply

life
05-04-2006, 07:21 AM
bahut khoob bro wkas app neh jis tarah shair par tafseel likhi hain..wo tareef kay layq hain.......

app nay bahu acha silsilah shuroo kiya hain........i will also post something but not now insha"allah later
Reply

waji
05-04-2006, 07:26 AM
:sl:

sister iss kay liay kafi time chaheeya tu app aram say post kareyaay ga koi masla nahi aur agar kissi ki tafseel per koi aur baat add karnhoo tu zaroor kejeyaay ga

:w:
Reply

Welcome, Guest!
Hey there! Looks like you're enjoying the discussion, but you're not signed up for an account.

When you create an account, you can participate in the discussions and share your thoughts. You also get notifications, here and via email, whenever new posts are made. And you can like posts and make new friends.
Sign Up
extinction
05-04-2006, 07:27 AM
martay martay karna kartay kartay marna....(hafiz patel u.k)
iss shayir ki makhsusiyat ye hay key tabligh ka dawaat aisaa kaam hey key hur waqt hum pur lazim hota hai chahyay key hum bazaar may how ya dowstow akaabir kay saath how yaa rishtadaar key paas how ...dawaah dhuriri hey sheikh ka kehna sirf yeahi hei (meray samaj nay main)
Reply

waji
05-04-2006, 07:29 AM
:sl:

buhat khoob
isko
jareey rakhain

:w:
Reply

Tilmeez
05-04-2006, 07:30 AM
:sl:
Hawa hay go taiz wa tund laiken chragh apna jala raha hay
Woh marde darwaish jis ko haq nay diyay hain andaz Khisrowana

Tashreh kay liya main dawat doon ga brother wkas ko :)

:w:
Reply

extinction
05-04-2006, 07:35 AM
may bhi tashreh ki intidhaar main hun
Reply

waji
05-04-2006, 07:37 AM
:sl:

bahi Tilmeez main koi shayaar nahi hoon na hi koi urdu ka ustaad main tu yeh chahta hoon kay shayir ko app kaysa daykhtain hain aur app kay khayaal main shayir main kiya khass baath aur peygham hay
main koshish kartaa hoon kay kuch roshnee dalee jaee iss shayir per
app khud bhee tu koshish karain her kissi ki sooch aik jaysee nahi hoti
hosakta hay humara andaaz e bayaan or ho aur baath kuch aur

:w:
Reply

Tilmeez
05-04-2006, 07:42 AM
Waqat ki kami hay warna main khud hi kar deta, bahar hal is ka kaam nikal jay to main koi dosra Shair (LION) doon :)
Reply

waji
05-04-2006, 08:01 AM
:sl:

format_quote Originally Posted by Tilmeez
:sl:
Hawa hay go taiz wa tund laiken chragh apna jala raha hay
Woh marde darwaish jis ko haq nay diyay hain andaz Khisrowana

:w:
iss shayir kay saath saath yeh shayir bhi kuch aysaa he hay

Tud o Taz hawaoon say na ghabra aay okaab
yeh tu chalteen hain thujhay onchaa auranay kay liya
(Allama Iqbal)

is shayir main aur Tilmeez nay jo shayir likha hay us main takreeban aik he baat hay tud o taz hawaeen meray khayal main woh mushkilain ya imtahaan hain jo her kissi kay samnay kissi na kissi shakal main ateen hain lakin hum ko un mushkilaat aur imtahaanaat say gabrana nahi chaheya bulkay uk ka mugabla karna chaheya aur mushkilaat ka haal aur imtahaanaat ko aboor karna chaheyay
bilkul ussi tarhaa jiss tarhain koi bacha 1 class main hay tu exams darasal uski zahanat check karnay kay liya nahi hotay bulkay yeh check karnay kay liya hotay hain kay aya bacha 2 class ki studies kay kabil hay ya nahi issi tarhaan hum imtahanaat deytay rahtain hain aur humay lagta hay kay yeh pehlay say ziyadaa mushkil imtahaan hay
abb har imtahaa pass karnay kay baad app ko rise milta hay apki class main aur iss kay sath sath app ka zahen aglee mushkilaat kay liya tayaar hota rehta hay, her mushkil darasal Allah ki taraf say humaray liya imtahaan hay jiss ko humain pura tarhain pass karana hay agay humaray liya aik aur imtahaan tayaar hoga aur humain uss per mehnaat karnee hay usee tarhaan say jiss tarhaan (hafiz patel u.k) nay yeh kahaa
martay martay karna kartay kartay marna....
hum ko tu her haal main karna hay
us diyaa ko jalaey rakhna hay
yehi hay humaray imaan ka rise yeh mushkilaat humain aur mazboot kartain hain
tu koi Mushkil asysee nahi hoti kay haal na ho
sirf jazba aur Yaqeen Kamil apnay per aur Allah ki zaath per


meray khayaal main yeh kafi hay
:w:
Reply

ridaa_islam
05-04-2006, 02:59 PM
tawheed to ye hai ki khuda hashr me kehde
ye banda do aalam se qafaa mere liye hai


dis shair gives us the true essence of tawheed...allah ko is tarha se har cheez me priority dena ki jabhi bi aapke saamne koi choice/decision ka masla pesah aaye, to aap ye parwah na karein ki duniya kya sochegi, sirf allah ki raza dekh kar kaam kare...
subhanallah...allah ham sab ko aisa imaan de...ameen!
:w:
Reply

waji
05-05-2006, 11:57 AM
:sl:

Khabar nahi kiya hay naam iss ka Khuda farabi kah Khud farabi?
Amal say farigh hova Musalmaa bana kar taqdeer kah bahanay


Yeh shayir iss baat ki taraf ishara karta hay kay hum aksar o bashtar khud koi amal karnay ki bajae beythay rehtain hain kay koi aur hamara kaam karday ya Allah iss kaam ko pur karday. ya phir hum taqdeer per bharoosa kartain hain kah agar yeh hona hoga tu hojae ga agar nahi hoga tu hum iss main kiya karsaktain hain
darasal hum loog iss baat per imaan rakhtain hain kah Allah nay her cheez likh dee aur hum kiya karsaktain hain yeh uski muslayhaat hay. Yeh aik buhat barde Ghalat soch hay, haan main bhi yeh maanta hoon kay Allah nay sub kuch Likh diya hay lakin Allah jo her baat janta hay jo Alim ul Ghaeyb hay yani Ghaeyb ka bhi ilm hay uskay pass Allah woh batain bhi janta hay jo hum nay karni hay woh tu yeh bhi janta hay kay main agala lafz koon sa likhoon ga aur kis andaaz main likh hoon ga Bus issi Tarhaan Allah na jo Imtehaan layna hay us main hum kamiyaab hongay ya nahi yeh bhi Allah janta hay
Tu Bus Allah nay Taqdeer likh dee jo hum karain gay
Taqdeer sirf yeh hay kah Allah na jo jo imtehaan hum say humari zindagii main laynay hain woh kis waqt aur kub haray samnay ayeen ga
Baqi sirf Allah ko Maloom hay koon kamiyaab hoga aur koon nahi

Iss liya humain Allah say Maddad manganee chaheya aur appna kaam pura kara chaheya jo faraez hain hum per unko pura karna chaheya
Yehi ajj hum musalmaan o ka sub say barda masalah hay kah hum kaam mehnaat bilkul nahi kartay aur Allah say gillah kartain hain ya phir Taqdeer ko kostain hain
Allah Humain her imtehaan main Kamiyaab karay (Ameen)

:w:
Reply

^..sTr!vEr..^
05-05-2006, 05:06 PM
okie...

barha sako tu barhao waqar-e-insanni
jo ho sakkay tu shikasta diloon say piyaar karo!!

i luv this shaiyr :)
Reply

life
05-06-2006, 12:53 PM
format_quote Originally Posted by Tilmeez
:sl:

andaz Khisrowana

:w:
is ka matlab kya hain?
Reply

life
05-06-2006, 12:54 PM
amal sey zindagi banti hai jannat bhi jahanam bhi
yeh khaki apni fitrat main na noori hai na naari hai


mere khayal mein is shair mein Dr.iqbal saab neh yeh batane ki koshish ki hain.

Key insaan fitran nahi bura hota hain aur nahi acha . wo appne amal say acha ya bura banta hain-agar insaan bura amal karta hain tu nah siref zandagi us amal say jahanam ban jati hain belkay akhirat mein bhi us ka bura hi naticha milay ga-

Ketay hain nah “jo hum zindagi mein bohitay hain wo hi akhirat mein bhi katai gay ”

Isliye humara her amal aasa hona chahi hain kay nah serif jis say humari zindagi achi ho belkay akhirat bhi sawar jai…….
Reply

waji
05-08-2006, 02:00 PM
:sl:

Ay ahlay nazar zooqeh nazar khoob hay lakin
jo shay ki haqeeqat ko na sumjhay wo nazar kiya


Hum aksaar kissi bhi cheez ko deykhtain hain usko paraktain hain lakin us ka asal maqsaad nahi deykh patay aur nuqsaan utha tain hain
Namaz kay shuroo main hum hath uthatain hain aur yeh nahi jantain kah uska maqsaad kiya hay humain salender karna hay aur us khuda kay samanay iss dunya say hath uthana hay iss dunya ki souch o fiqar say hath uthana hay abb app hath kundhoon taak uthaeen, kanoon taak uthaeen ya sirf ishara karain maqsaad tu aik ki hay issi tarhaan hum her baath ki Rooh o Niyat deykhne aur parakhnee hoti hay
mujhay yaqeen hay app meri baat samaajh gay hone gay

:w:
Reply

waji
05-12-2006, 11:50 AM
:sl:

بتان رنگ و بو کو توڑ ملت میں گم ہوجا
نہ تورانی رہے باقی نہ ایرانی نہ افغانی


Batan e rang o boo ko taur millat main ghum ho ja
na turani rahay baqi nahi irani na afghani


shayir Allama Iqbal kah hay
hum akser aik dosray say mulq aur zatoon kay baray main sawal kartain hain lakin yeh bhool janatain hain kah Hum jab peyda hova thay humain sub say pehlay Azhan De gaey thee aur phir humara Taaluq kissi bhi mulq say banta hay Phir hum loog kiyon apna mulq ko tarjeeh daytain hain haan kuch jaghoon per humain daine pertee hay lakin kiya Rooh ka Rishta Khoon kah Rishtay say barda hojata hay
Allah ki nazar main tu wahee barda hay jo Allah kay Deen per ahsaan tareeqah say chalay aur loogoon ko bhi chalnain ki talqeen karay
Layhaza humain Allah kay bataey hova deen per chalna chaheeyaey aur her us shakhs ko apna bhai manana chaheyaey jo Musalman ho

:w:
Reply

Tilmeez
05-18-2006, 07:17 AM
Tud o Taz hawaoon say na ghabra aay okaab
yeh tu chalteen hain thujhay onchaa auranay kay liya
TUNDI E BADE MUKHALIF SAY NA GHBRA AY UQAB
YEH TO CHALTI HAY TUJHAY OONCH URANAY KAY LIYA :Happy:
hope you don't mind correction :Okay:
Reply

waji
05-18-2006, 10:40 AM
:sl:

format_quote Originally Posted by Tilmeez
TUNDI E BADE MUKHALIF SAY NA GHBRA AY UQAB
YEH TO CHALTI HAY TUJHAY OONCH URANAY KAY LIYA :Happy:
hope you don't mind correction :Okay:

Well i don't feel hurnt :)
Thanks for the correction

:w:
Reply

ژاله
12-23-2006, 12:44 PM
assalamu alaikum wa rahmatullahi wabarakatuh
qismate a'lam ka muslim kokab-e-tabinda hai
jiski tabani sai afsoon-e-sahar sharminda hai
Reply

ژاله
12-23-2006, 12:46 PM
andaa'gah apni mot se koi bashar nahi
saman so baras ka hai pal ki khabar nahi
Reply

ژاله
12-23-2006, 12:47 PM
by iqbalkushada daste karam jab wo bai nayaz kare
niazmand na kiyoon aajzi pe naaz kare
Reply

ژاله
12-23-2006, 12:49 PM
by mir taqi mir,
kehne laga ke dekh ke chal rah be khabar
men bhi kabhoo kisi ka sare pur gharoor tha
Reply

Kunnoori
07-06-2009, 11:57 AM
format_quote Originally Posted by waji
:sl:
:brother: Bhaiyoo aur :sister: Bahnoo
is thread ka maqsad sirf yeh hay kah hum kuch shayir jin main koi khass baat hay koi peyghaam hay koi aiysee baat jo app kay dil ko lagay us ka izhaar karain
Aik baat ka khayal rakhiyaay ga kay shayir chahay Jandaar na hoo lakin app kay alfaaz aur app ka bayaan achaa hona chaheyaa
Mera khayal hay kay app zaroor iss thread main shamil hongay

:w:

As Salaam U Alaikum Brothers ans Sisters.

I have been through all the Urdu Shairi posts and am amazed to see the interest of you all and am very very Happy. Brother Waji had earlier in the first shairi thread tried to get those interested to try out this system of seeing what went on in the mind of the Shayar when he wrote what he wrote. Although this thread started off very well, it stopped abrubptly, which having come across it today, I felt sad.

Allama Iqbal seems to be a favourite with most of us and one must agree, He did his best to wake up the Ummat while he lived, and unfortuanately, we have missed to truely understand the Haqiqat behind his wake up call. Any way, I have since 2002 been collecting some Urdu Bayaans by one person, who has been using not only Allama Iqbals verses, but other poets also, and connecting them with Quraan and Hadith and Aqwal e Aulia. Let me share my findings with you all, and I am sure if you Like Shairi, you will like the Bayaans in which the shairi is abundently quoted.

http://www.archive.org/search.php?query=kunnoori




http://www.archive.org/search.php?query=hyderabadiz


Hope you all will like listening to these Urdu Bayaans.

Duas and Salaams,
kunnoori
Reply

waji
07-06-2009, 12:43 PM
Thanks for the bayaans
Reply

'Abdul Rahmaan
10-31-2009, 09:27 AM
Allamah Iqbaal ki khas baat yeh hai keh onhon ne Maghrabi moashiyaat, moashrat aor hukumti nazaam par zabardast tanqeed ki aor khamiyoon ki nishandahi ki. Elawa azin kuch peshangoiyaan bhi keen jo harf ba harf durust sabit ho rahi hain. Allamah Iqbal ko parhne wala yeh faislah nahi kar pata keh Iqbal aik shair tha, yah aik peshangoh, yah phir aik mubaligh-e-Islam.

Koshish ki hai kuch likhne ki. Kehne ko hai tho bohot kuchh lekin alfaaz ko tarteeb nahi de pa raha. :embarrass

EDIT: Yeh wala emoticon mujhe bohot bura lagta hai.
Reply

'Abdul Rahmaan
11-01-2009, 02:55 AM
Mirza Ghalib

Ghalib aik aisa shair hai jis ko aksariyat ne samjha hi nahi ya samajhne ki koi mukhlisanah koshish hi nahi ki. Kehne wale kehte hain keh Iqbaal apne daor ka Ghalib tha aor Ghalib apne daor ka Iqbaal. Intihaa tho yeh hai keh Allamah Iqbaal bhi Ghalib se mutasir nazar aate hain. Ghalib ke bare mein pai jane wali ghalat fehmi ka azala karte huwe kehte hain keh woh ishq-e-majazi mein nahi balkeh isq-e-haqiqi mein mubtila tha.

Apni Nazam "Mirza Ghalib" mein Iqbaal farmate hain

Deed teri aankh ko os husn ki manzur hai
Ban ke soz-e-zindagi har shay mein jo matur hai
Reply

Hey there! Looks like you're enjoying the discussion, but you're not signed up for an account.

When you create an account, you can participate in the discussions and share your thoughts. You also get notifications, here and via email, whenever new posts are made. And you can like posts and make new friends.
Sign Up

Similar Threads

  1. Replies: 4
    Last Post: 04-15-2011, 06:26 AM
  2. Replies: 2
    Last Post: 11-20-2008, 06:46 PM
  3. Replies: 28
    Last Post: 02-06-2008, 11:41 AM
  4. Replies: 3
    Last Post: 08-10-2006, 08:46 AM
  5. Replies: 10
    Last Post: 10-12-2005, 10:58 PM
British Wholesales - Certified Wholesale Linen & Towels | Holiday in the Maldives

IslamicBoard

Experience a richer experience on our mobile app!