/* */

PDA

View Full Version : **Urdu Game:Guess..**



Salema
10-17-2005, 08:17 PM
WELL THIS GAME WILL BE IN URDU I WILL ASK A QUESTION N THE BELOW MEMBER WILL PUT THE ANSWER..N PUT ANOTHER QUESTION..!


1.Quran pak mein kitni Suratien and Aiyat haien ?

:thumbs_up
Reply

Login/Register to hide ads. Scroll down for more posts
M Ilyas
10-17-2005, 09:40 PM
1.Quran pak mein kitni Suratien and Aiyat haien ?
and = aur
Reply

Salema
10-18-2005, 04:18 PM
Answer:Quran Pak me 14 sijdah e tilawat he..!

Question: Ehle Sunnat ka 4 imam konsa he..?


lol..i think i m typing it incorrect..!
Reply

Sanobar
10-18-2005, 04:26 PM
Quran e pak mein 4 imam..
imam Abu hanifa
imam shafai
imam malik
and i am not soo sure abt the forth one....! :(:(

okayy nex question....

Islam ke 4 khalifah kaun hain? :)
ma'salamah
Reply

Welcome, Guest!
Hey there! Looks like you're enjoying the discussion, but you're not signed up for an account.

When you create an account, you can participate in the discussions and share your thoughts. You also get notifications, here and via email, whenever new posts are made. And you can like posts and make new friends.
Sign Up
rukx
10-18-2005, 04:31 PM
ilsam ka 4 khalifah abu bakr, usman, umar or ali hain.

islam mein 4 kitaabon ka kya naam hain??
Reply

Sanobar
10-18-2005, 04:33 PM
Islam ke 4 kitabein .....Zuboor,injeel,touret aur Quran -e-pak! :):)

okay agla sawaal!

hmmm.....islam ke 5 rukn kaunse hain??
Reply

rukx
10-18-2005, 04:34 PM
wot is "rukn"?????????
Reply

Sanobar
10-18-2005, 04:38 PM
rukn is five pillars of islam?
Reply

rukx
10-18-2005, 04:41 PM
islam ka 5 rukn shahadah, salat, saum, zakat, aur haj hain.

muhammad s.a.w ka ma ka kya nam hain??
Reply

Salema
10-18-2005, 05:16 PM
Nabi S.a.w. Ka Mah Ka Nam Bibi Amena He..!


Nabi S.a.w. Ka Bap Ka Kiya Nam Ta..?
Reply

Salema
10-18-2005, 05:44 PM
I Think Abdul Muttalib..!

The Shortest Surah In The Quran Sharif..?
Reply

Ibn Abi Ahmed
10-18-2005, 10:12 PM
:sl:

Rasool Muhammed (saw) key ma ka nam hai Amina r.a..

Dusra Sawal:

Kitne jang hu-way jab Rasool (saw) zinda they? Aur unke nam kya hain?
Reply

waji
10-19-2005, 02:43 AM
:sl:
format_quote Originally Posted by sanobar
Quran e pak mein 4 imam..
imam Abu hanifa
imam shafai
imam malik
and i am not soo sure abt the forth one....! :(:(

okayy nex question....

Islam ke 4 khalifah kaun hain? :)
ma'salamah
4 one is
imam Hambal
:w:
Reply

eyes_of_mine
10-19-2005, 05:17 AM
format_quote Originally Posted by zAk
unka naam Ahmed tha, aur unke walid ka naam hambal tha,
pura naam : Imaam Ahmed ibne Hambal :)

mere akhri sawaal ka jawaab nahin diya gaya abhi tak ! :(
Ok I tryed to guess but my Urdu is non exsistence, I dont want to go off topic and you may delete my post after if you wish, since I cant send PMS till I get 50 posts i have to ask here, ZAK why is it you have got that smiley on the bottem of your post brandishing my IP and server ? :confused:
Reply

IslamInside
10-20-2005, 08:56 AM
aglaa sawal kia hai?
Reply

Salema
10-20-2005, 05:15 PM
THIS:
aakhir mein naazil hone wali surah ?
Reply

Salema
10-20-2005, 05:16 PM
THIS:
aakhir mein naazil hone wali surah ?


THEN:Kitne jang hu-way jab Rasool (saw) zinda they? Aur unke nam kya hain?
Reply

amtulrahman2000
03-04-2006, 11:25 AM
format_quote Originally Posted by Salema
THIS:
aakhir mein naazil hone wali surah ?


THEN:Kitne jang hu-way jab Rasool (saw) zinda they? Aur unke nam kya hain?
:sl:
aakir mein nazil hone wali surath?
surah nasar
kitne jang howe jab rasool (saw)zinda the?aur unke nam kiya hai?
10 jange howi
aur unke nam badar,uhad,muresee,eihzab,khaibar,tabook hunain,tauoos,taaif
fateh makkah
sister mujhe fateh makkah ke bare me confirm nahi wo jang thi ya nai
saweal hai muhammed (saw)ke uncle ka kiya nam tha jinooh ne islam na lane ke bawajood aap(saw)ki madad karte the?
allahhafiz
Reply

hidaayah
03-04-2006, 04:35 PM
:sl:
abu talib..
next sawal: muhammad bin qasim nai kis saal sindh fatah kiya??
Reply

waji
03-04-2006, 05:34 PM
AsalamuAlikum

about 720 A.D
and 96 Hijrah
next Question
Quran main Bismi'Allah kis sura main nahi likha ?? aur koi waja ??
Walikum as Salam
Reply

life
03-06-2006, 03:09 PM
format_quote Originally Posted by wkas
AsalamuAlikum

about 720 A.D
and 96 Hijrah
next Question
Quran main Bismi'Allah kis sura main nahi likha ?? aur koi waja ??
Walikum as Salam

sura tubah :)

par hum ko waja nahi maloom:(
Reply

waji
03-06-2006, 05:02 PM
Asalam u Alikum

app ka jawab teekh hay
Waja yeh hay
Kiyon kay Allah nay sura Tubah say pehlay bismi'Allah nahi likhi iss waja say
iss sura ka pehla lafz "Barat" hay jiss ka maeynay sakht(yeh us ka mutlab nahi hay) hain aur bismi'Allah main Allah ko Rehman aur Raheem bataya gaya hay
yehi baat app ko Quran parrh kar maloom hoga ka janha Allah Jannat ka zikar karta hay tu Naram Naam ata hay Allah ka aur jab Dosakh ka zikar ata hay tu Sakht Naam ata hay mera khayal main app meri baat samajh gay hongay magar phir bhi app kasi Alim say bhi pouch saktain hain
agla sawal app karain
Walikum as Salam
Reply

Kittygyal
03-06-2006, 05:08 PM
i must say diz lingo is soooooooo funny :)

no fence plz dn't tke it ta ur heart u may all knw dat i only knw english me muda lingo :)

am sure me lovely brovaz and sistaz can help me :)

plz dn't get offended :'(

take care
Reply

life
03-07-2006, 09:28 AM
format_quote Originally Posted by wkas
Asalam u Alikum

app ka jawab teekh hay
Waja yeh hay
Kiyon kay Allah nay sura Tubah say pehlay bismi'Allah nahi likhi iss waja say
iss sura ka pehla lafz "Barat" hay jiss ka maeynay sakht(yeh us ka mutlab nahi hay) hain aur bismi'Allah main Allah ko Rehman aur Raheem bataya gaya hay
yehi baat app ko Quran parrh kar maloom hoga ka janha Allah Jannat ka zikar karta hay tu Naram Naam ata hay Allah ka aur jab Dosakh ka zikar ata hay tu Sakht Naam ata hay mera khayal main app meri baat samajh gay hongay magar phir bhi app kasi Alim say bhi pouch saktain hain
agla sawal app karain
Walikum as Salam
Walikum Asalaam

shukriya tafseeli jawab likhne ka:)


Quran Paak mein sab seh choti surah kon si hain?????
Reply

hidaayah
03-07-2006, 09:31 AM
:sl:
surah kosar
un sahabi ka naam bataye jin ko ameen ul ummat kaha jaata hai..?
Reply

life
03-08-2006, 02:49 AM
format_quote Originally Posted by A sister
:sl:
surah kosar
un sahabi ka naam bataye jin ko ameen ul ummat kaha jaata hai..?
Hazrat Abu Ubaidah (ra):)

Muhammad(saw) nay ketni shadiya ki thi aur muhammad(saw) ki biwiyon kay naam batahe????
Reply

khaledmm123
03-18-2006, 08:36 AM
format_quote Originally Posted by life
Hazrat Abu Ubaidah (ra):)

Muhammad(saw) nay ketni shadiya ki thi aur muhammad(saw) ki biwiyon kay naam batahe????
:sl: 11
ummul moomineen hazrat khateeja
" aysha
" zynab bint hajash
" " " khuzaima
" sauda
" hafsa
" mariyaqibtiuya
" juvariya
" um e salma
" um e habeeba
" mymoona
AND bro yae hamari ummat ki maayeen hai we can't say muhammad(saw)
ki biwiyan we can say ummul moomineen for one and ummahatul moomineen for all adab k khilaaf hai:)


next sawal koon si ummul moomineen ko shah e najsha nae huzoor (saw)
ki kidmat main bhaja tha?:w:
Reply

life
03-20-2006, 07:57 AM
format_quote Originally Posted by khaledmm123
:sl: 11
ummul moomineen hazrat khateeja
" aysha
" zynab bint hajash
" " " khuzaima
" sauda
" hafsa
" mariyaqibtiuya
" juvariya
" um e salma
" um e habeeba
" mymoona
AND bro yae hamari ummat ki maayeen hai we can't say muhammad(saw)
ki biwiyan we can say ummul moomineen for one and ummahatul moomineen for all adab k khilaaf hai:)


next sawal koon si ummul moomineen ko shah e najsha nae huzoor (saw)
ki kidmat main bhaja tha?:w:


Liken mein neh tu para hain 13 ummahatul moomineen thi 11 nahi


app Zaynab daughter of Amees and Khoolah daughter of Hakeem keh baray mein likhna bohul gahe hain............
Reply

khaledmm123
03-20-2006, 08:47 AM
:sl:
sis i don't know about these 2 ummahatul moomineen


main nae to nahi padha kahin bhi kiya koi aur janta hai in doono ummul moomineen k babae maim ? any other member pls


merae sawal ka jawab nahi diya sis?:)
Reply

life
03-24-2006, 01:33 PM
ummul moomineen hazrat mariyaqibtiuya :?
Reply

khaledmm123
03-24-2006, 02:29 PM
:sl:
wright sis next ques pls?
Reply

life
03-24-2006, 02:44 PM
Us ummul moomineen ka naam batahe jin ko Umm Al-Masakeen ka laqab diya gahe ha?
Reply

khaledmm123
03-25-2006, 11:01 AM
:sl:
ummul moomineen ( haz) zynab bint qhuzaima:)
next q is huzoor (saw)ki ring jis sae aap(saw) letters par mohar lagatae thae kis khalifa k doure oohad main zai hoi aur kahn?
( uss main likha tha mohammed rasool allah):rollseyes
Reply

life
03-28-2006, 12:27 PM
format_quote Originally Posted by khaledmm123
:sl:
ummul moomineen ( haz) zynab bint qhuzaima:)
next q is huzoor (saw)ki ring jis sae aap(saw) letters par mohar lagatae thae kis khalifa k doure oohad main zai hoi aur kahn?
( uss main likha tha mohammed rasool allah):rollseyes
Uthman (ra) kay dour mein?
Reply

khaledmm123
03-28-2006, 02:53 PM
:sl:
agla sawaal ?
jo bhi jawab dae agla sawal zaroor dae:)


agla sawaal hai
haz umar k khatil ka naam kiya tha?:?
Reply

life
03-28-2006, 03:36 PM
format_quote Originally Posted by khaledmm123
:sl:
agla sawaal ?
jo bhi jawab dae agla sawal zaroor dae:)


agla sawaal hai
haz umar k khatil ka naam kiya tha?:?
Abu Lulu Feroze

Hazrat Mohammad (saw) nay aakhri sermon kaha aur kab dee thi?
Reply

khaledmm123
03-28-2006, 04:39 PM
:sl:
hajatul wida k moiqae par mydane arafat main:?


next - mohammed (saw) nae kitnae haj kiyae thae?
Reply

waji
03-29-2006, 05:33 AM
:sl:
Hazarat Muhammad (S.A.W) nay aik hee Hajj kiya tha


next Question
woh sahabi kon thay jinho nay 9 hijri kay hajj kay mouka per Hazarat Muhammad (S.A.W) ka messege logo ko diya tha kay us hajj kay baad koi kafir uss hadood main nazar nahi gay. yeh houkum Sura Tuba main hay.
:w:
Reply

khaledmm123
03-29-2006, 01:48 PM
:sl:
hazrat Ali(raz) if wright:?
next question
woh koun sae sahabi hain jin ko huzoor (saw) nae hijrat
k waqat apnae bistar par sulaya tha ta k voo ahlae makka ki
amanatain vapas kar dae joo unhoo nae huzoor k paas rakhai thian?
Reply

life
04-01-2006, 05:14 AM
format_quote Originally Posted by khaledmm123
:sl:

next question
woh koun sae sahabi hain jin ko huzoor (saw) nae hijrat
k waqat apnae bistar par sulaya tha ta k voo ahlae makka ki
amanatain vapas kar dae joo unhoo nae huzoor k paas rakhai thian?

khalid bin walid:?

Muslims aur quraish kay darmihaan jo mohyda hua tha un ki sharehaat kya thian????????
Reply

khaledmm123
04-09-2006, 04:16 PM
format_quote Originally Posted by life

Muslims aur quraish kay darmihaan jo mohyda hua tha un ki sharehaat kya thian????????
:sl: ooooooooooooh bahat bada sawaal hai:uhwhat
sis 2 martaba mohyda huva tha 1- shuaib abi talib 2- sulah hudaibiya

agar aap sulah hudaibiya ki baat kar rahi hain too uss ki sharayat

1- musalmaan is saal umra karey bagair wapis chalae jain .
2- aglae saal aain sirf teen din k liyae
3-hatyaar laga kar na aain sirif 1 talwaar saath lain voh bhi niyaam main
4-makkah main joo musalman mugood hain in mai sae ksi ko sath na lae jaye
magar agar koi musalman makkah main rahna chata ho to na roukain
5-kuffar sae joo koi musalman hoo kar madina jai too us ko vapis kar diya jai magar koi musalman agar makka ai ti us ko vapis nahi kiya jaiga
6-arab ko ikh tiyaar hooga k voo fareeqain main sye jis k saath cahain moahidain main shreek hoojain .


sis itna lanba sawaal tha phlae romen english hai is liyae sawaal agar mokh tasar aur mufeed hoo to shayed sab is main intrest lain .:X

agla sawaal
madina main hijrat k baad mohammed(saw) nae kis k ghar qhiyaam kiya tha? aur us sahabi ka intaeqaal kis k durye ohad main huva?
Reply

"..MariAm.."
04-12-2006, 02:47 AM
:sl:
Hazrat Abu ayyub ansari kai gher main qiyaam kiya..laiken mujhay yeh yaad naheen kai kis kai ahed main howa..:sister:
Reply

khaledmm123
04-12-2006, 08:18 AM
format_quote Originally Posted by ..MariAm..
:sl:
Hazrat Abu ayyub ansari kai gher main qiyaam kiya..laiken mujhay yeh yaad naheen kai kis kai ahed main howa..:sister:
:sl: yazeed ibn moavia(raz) key doure khilafat main

jab share qustuntuna fatah hua tha too(mulke sham) vahan par intae qaal hua .

is ki tareeqi ahmiyat yeh hai k iss k barea main rasool allah(saw) nae
paeshan goee ki thi :)

agla sawaal kiyoon nahi diya sis:heated:
khair agla sawaal

koun si ummul momineen k dupatae (oordhni) say jang e badar ka islami jhanda (parcham) banaya gaya?:rollseyes
Reply

life
04-13-2006, 06:25 AM
format_quote Originally Posted by khaledmm123
:sl:

koun si ummul momineen k dupatae (oordhni) say jang e badar ka islami jhanda (parcham) banaya gaya?:rollseyes


ummul momineen hazrat hafza :?



kis jang azeem mein musalmano ko shekast ka samnah karna para tha mohammad (saw) ka hukam nah maney ki bena par?
Reply

khaledmm123
04-13-2006, 07:04 PM
format_quote Originally Posted by life
ummul momineen hazrat hafza :?


kis jang azeem mein musalmano ko shekast ka samnah karna para tha mohammad (saw) ka hukam nah maney ki bena par?
nahi sis haz ayesha raz
jang-e uhad may
magar sis shekast nahi kah saktay shikast nahi hoi thi pispai hoi thi:uhwhat

agla sawal-
voh koun se ummul momineen hai jin ki namaaze janaza nahi padhai gai thi ? aur kiyoon?
Reply

life
04-15-2006, 02:14 PM
format_quote Originally Posted by khaledmm123
nahi sis haz ayesha raz
jang-e uhad may
magar sis shekast nahi kah saktay shikast nahi hoi thi pispai hoi thi:uhwhat

agla sawal-
voh koun se ummul momineen hai jin ki namaaze janaza nahi padhai gai thi ? aur kiyoon?

Thanks for correction bro khaledmm123 ..........sorry mein neh aik dafa phir ghalat jawab dey diye darasal meri itni achi maloomat nahi hain islamic history kay bare mein........:hiding: waise mein neh islamic books padhna shuroo ki hain..

answer to ur question

ummul momineen hazrat khatija (ra) aur namaaze janaza isliye nahi padha gayha kyon kay us waqt namaaze janaza nahi hota tha ..

hope i'm correct this time......:heated:

next question

hazrat mohammad (saw) ki beytain ketni thian aur un kay naam batain?
Reply

khaledmm123
04-17-2006, 04:46 PM
:sl:
jawaab sahi hay sis magar nahi hota tha nahi balkey namaaze janaza ka hukum abhi nazil nahi huwa tha :)

aap ka jawaab--4 thian haz zynab ;umme kulsoom; roqaiyya; fatima
next sawaal
in 4 main batool kis ka laqab tha?
Reply

life
04-18-2006, 03:53 AM
format_quote Originally Posted by khaledmm123
:sl:
jawaab sahi hay sis magar nahi hota tha nahi balkey namaaze janaza ka hukum abhi nazil nahi huwa tha :)
aik hi baat hain nah us zamaane mein janaz-e-namaz ka hukam nahi hua tha tabi tu namaz-e- jenaza nahi padha gaye tha...........

format_quote Originally Posted by khaledmm123
:sl:

next sawaal
in 4 main batool kis ka laqab tha?
LOL aaj ka din mere liye bahut acha hain ........kyon kay is sawaal ka jawab aata hian mujhe.......batool hazrat fatima (ra) ka laqab tha.......aur is kay ilawa "aurtoon ki sardar" ka bhi laqab diya gaye tha unhain......sahi?

agla sawal

unn sahabas karaam ka naam batyain jin ko duniya mien hi jahnaat ki basharat di gahi thi?????
Reply

muslimah4life
06-30-2006, 05:54 PM
garor is the answer to bump

1. lungee kya hai?
Reply

life
07-06-2006, 04:49 AM
agla sawal

unn sahabas karaam ka naam batyain jin ko duniya mien hi jahnaat ki basharat di gahi thi?????
eew abhi tak kesi neh is sewaal ka jawab nahi likha very bad :rollseyes

mein khud hi likh deyti appne sewaal ka jawab par mujhay nahi maloom......:hiding:

isliye

barahe merbani agar app mein say kesi ko bhi is sewaal ka jawab aata hian tu zaroor likh dey.
Reply

era
07-08-2006, 10:07 AM
:sl:

urdu thread may bhi islamic quiz hay:statisfie

magar agla sawaal?
Reply

era
07-08-2006, 11:18 AM
shukriya:statisfie


haz mohammed saw ki khabar e mubarak kis sahabi nay khodi?
Reply

era
07-08-2006, 12:11 PM
its Qabar
spell correction k liyae shukriya:uhwhat
Reply

life
07-10-2006, 05:30 AM
format_quote Originally Posted by era


haz mohammed saw ki khabar e mubarak kis sahabi nay khodi?

Zayd bin Sahl?????

agar jawab sahi hain tu agla sawal hain

kis umar mein hazrat mohammad(saw) ki shadi hui thi hazrat khatija(ra) kay saath?
Reply

waji
07-10-2006, 06:44 AM
:sl:

24

:w:
Reply

life
07-10-2006, 09:01 AM
aur darust jawab hain 25 .............

agla sawal pls?
Reply

era
07-10-2006, 11:04 AM
:sl:
Zayd bin Sahl?????
galat hay

sahi jawaab hay
haz abu talha( raz)

Huzoor saws ke daada Abdul Muttalib kaa naam Abdul Muttalib kaise padha ?
kis ne rakha.. ?
abdul mutallib k chacha( hashim k bhai) muttalib nay abdul muttalib ki bhai k intaqal(hashim k) k bad parwarish ki
to makkah waloon nay un ko abdul muttalib k naam say pokara
right?:?
Reply

era
07-10-2006, 02:01 PM
kaise padha" ?
kiya matlab:X

well.. unke waalid ke inteqaal ke baad.. muttalib unhen apne oont par bitha kar makkah laaye... kisi ne sawaal kiya ke woh ladka kaun hai ?
tab unhonne kaha ke unka ghulaam hai... "ABD"
tab se unka naam Abdul Muttalib padha tha...
yes mujhay histry pata hay

kiya itna sab likhna tha?:uhwhat
Reply

era
07-11-2006, 12:26 AM
:sl:



next..


abdulmuttalib ka asli naam kiya tha aur voh naam kisay padha?
Reply

life
07-11-2006, 07:50 AM
format_quote Originally Posted by era
:sl:



next..


abdulmuttalib ka asli naam kiya tha aur voh naam kisay padha?

un ka naam shaybah tha aur yeh naam un kay surmai baalo ki waja rakha gahe tha.......

agla sawal hain

hazrat mohammad(saw) ki walda ka naam kya tha??????????
Reply

era
07-11-2006, 07:56 AM
bebe amena
Reply

life
07-11-2006, 08:07 AM
format_quote Originally Posted by era
:sl:


galat hay

sahi jawaab hay
haz abu talha( raz)
era mera jawab bhi ghalat nahi tha .......haaan mujhay sirf ada naam yaad tha isliye mein neh wohi likh diya waise un ka pura naam hain



Hazrat Abu Talha Zayd bin Sahl
Reply

era
07-11-2006, 08:21 AM
Hazrat Abu Talha Zayd bin Sahl
life mujhay sirif abu talha pata tha
abu talha zaid pata nahi tha agar waqai aysa hay to im sorry dear:uhwhat

next--
hijrat k waqt jab haz mohammed (saw) aur haz abu bakar (raz) gaar e soor may thay to aap dono hazraat k liyae khana koon latay thay?
Reply

IceQueen~
07-11-2006, 10:39 AM
format_quote Originally Posted by zÂk
Hazrat Asma Bint Abu Bakr [r.a] ? :?
correct
Reply

piXie
07-11-2006, 10:41 AM
whos next ?
Reply

IceQueen~
07-11-2006, 10:42 AM
where's zAk gone?
Reply

era
07-11-2006, 12:12 PM
format_quote Originally Posted by zÂk
Hazrat Asma Bint Abu Bakr [r.a] ? :?
next question digiyae:rollseyes
Reply

------
07-11-2006, 12:12 PM
zAk runs away lol
Reply

era
07-11-2006, 12:21 PM
but sis he is on line na
Reply

era
07-12-2006, 08:43 AM
ok next is

hazrat mohammed(saw) nay jis oontni par hijrat farmai us ka kiya naam tha?
Reply

era
07-13-2006, 07:19 AM
:sl:

kisi ko nahi pata :(
guess to karo
Reply

era
07-13-2006, 07:33 AM
format_quote Originally Posted by zÂk
al-Qaswaa ? :X
yes

magar ab gayeb mat hoo jana:rant:

next question?
Reply

era
07-13-2006, 07:47 AM
u gv it plzzzzzzzz
ok mujhay bhi question dayna mushkil lagta hay:uhwhat

phir bhi

jannat may sub say pahlay koon jayengay? huzoor (saw) say bhi pahlay
aur kaysay?
Reply

life
07-14-2006, 03:39 AM
jannat may sub say pahlay koon jayengay? huzoor (saw) say bhi pahlay
aur kaysay?
a wild guess sorry if its wrong :hiding:

adam alisalaam par yeh nahi maloom kaisay
Reply

era
07-14-2006, 10:43 AM
:sl:

wrong


ans hay haz bilal (raz) voh aysay k voh haz mohammed (saw) k ount k nakeel pakdhay howay hoongay aur haz mohammed(saw) ount par baythay hoongay:)

next question aap digiyae
Reply

life
07-15-2006, 02:42 AM
format_quote Originally Posted by era
:sl:

wrong
I knew it :(

next question aap digiyae
shukriya! acha tu app yeh batahe aurtoon mein say kyon sab say pehlay jayengi janaat mein????
Reply

era
07-15-2006, 09:29 AM
:sl:

agla sawaal?
Reply

era
07-15-2006, 12:19 PM
format_quote Originally Posted by zÂk
aap den :uhwhat
har dafa:rant:
Reply

Eddi
07-15-2006, 12:26 PM
format_quote Originally Posted by era
har dafa:rant:
:sl: What does that mean?
Reply

era
07-15-2006, 12:32 PM
format_quote Originally Posted by Eddi
:sl: What does that mean?
u know urdu?:?
Reply

Eddi
07-15-2006, 12:33 PM
format_quote Originally Posted by era
u know urdu?:?
:sl: Not very mush. I know a little bit only.
Reply

era
07-15-2006, 12:39 PM
ok then

har dafa is the ans for aap den ok:uhwhat



next question is

voh koon say sahabi thay jinho nay sab say pahlay islam ki raah may apni beewi k sath hijrat ki?
Reply

era
07-16-2006, 08:56 AM
:sl:

ksi ko nahi pata?:rollseyes
Reply

era
07-18-2006, 05:24 AM
voh koon say sahabi thay jinho nay sab say pahlay islam ki raah may apni beewi k sath hijrat ki?
ksi ko nahi pata
ok the ans is
haz-osman-raz nay apni ahliya k sath sab say pahlay habshah ki taraf hijrat ki:)


next?
Reply

era
07-18-2006, 10:42 AM
ok next question is

haz ismail aur haz yaqoob may say haz mohammed (saw) kis ki nasal say hain?
Reply

era
07-18-2006, 11:05 AM
yes mashallah:)


next
sab say pahla islami ghar koon sa tha?
jahan haz mohammed(saw) sahaba ko deen ki taleem daytay thay?

aur vahan akhri islam lanay wali mashoor sakhsiyat ka naam batayeae?
Reply

Haya emaan
07-19-2006, 09:10 AM
dar ul arqam
hazraat ummar???
Reply

era
07-19-2006, 09:26 AM
:sl:

right :)

next ques plz?
Reply

Iconoclast
07-19-2006, 10:03 AM
Kaabe Mein Phela jo Buth rakha Gaya us ka naam bataye
Reply

Iconoclast
07-19-2006, 10:05 AM
Rasool SAW ne kin 3 aurto ki danaish hone ka zikr farmaya Tha.
Reply

Iconoclast
07-19-2006, 10:10 AM
format_quote Originally Posted by Iconoclast
Kaabe Mein Phela jo Buth rakha Gaya us ka naam bataye
Isme dalilo ka fark ho sakta hain to rehne dein .jahan tak maine Suna hai Us Ka naam tha Homble
Reply

era
07-19-2006, 10:14 AM
format_quote Originally Posted by zÂk
argh... how do u ppl know so much ? :grumbling

use some books ? :X
yae to basic knowledge hay:)

koi book use nahi kartay our own kno hay alhamdullillah

wasay bhi agar islamic histry ki best book cahiyae to vo hay

ar raheequl makhtoom jisay saudi govt ki taraf say sah fasal award diya gaya:)

aur fakhr ki baat hay k writer indian hain
aap jantay hain?
Kaabe Mein Phela jo Buth rakha Gaya us ka naam bataye
uzza :?
Reply

Iconoclast
07-19-2006, 10:18 AM
format_quote Originally Posted by era
yae to basic knowledge hay:)

koi book use nahi kartay our own kno hay alhamdullillah

wasay bhi agar islamic histry ki best book cahiyae to vo hay

ar raheequl makhtoom jisay saudi govt ki taraf say sah fasal award diya gaya:)

aur fakhr ki baat hay k writer indian hain
aap jantay hain?


uzza :?
:sl:
uska english version hai? ya phir yehi hai english mein? agar nahi to bataye jazakallah khair
Reply

era
07-19-2006, 10:30 AM
uska english version hai? ya phir yehi hai english mein? agar nahi to bataye jazakallah khair
nahi actually voh arabic may hay

magar ab translation hoo gay hay both in eng and urdu may:)
writer ka nam daikh kar lain:)

naam hay mulana safiur rahman mubarak puri

acha mera ans galat hay?
Reply

era
07-19-2006, 10:40 AM
yehi to pooch raha hoon.. itni knowledge bhi... aayee kaise ?
ab itni bhi nahi:uhwhat
magar jitni bhi hay books padhnay say aai

naam to suna saa lagta hai

bil kul lagta hooga indian hain na is liyae:)

us k alwa bhi aap loogoon ko imam of haramain may itna intrest hay
too wahan suna hooga koyoon k imam of haramain nay yae compition
k parers correction kiyae thay aur shaik saleh abdullah nay award diya tha yaad aaya?:)
Reply

Iconoclast
07-19-2006, 10:40 AM
format_quote Originally Posted by era


naam hay mulana safiur rahman mubarak puri

acha mera ans galat hay?
:sl:

jazakalah Khiar :sister: .

Naam Us Buth ka Homble Tha ...Lekin Jasa Meini kaha ke Dalil ka koi pukta Saboot nahi......
:w:
Reply

era
07-19-2006, 10:42 AM
format_quote Originally Posted by Iconoclast
:sl:

jazakalah Khiar :sister: .

Naam Us Buth ka Homble Tha ...Lekin Jasa Meini kaha ke Dalil ka koi pukta Saboot nahi......
:w:
han hoo sakta hay homble bhi ho:)
Reply

Iconoclast
07-19-2006, 10:49 AM
format_quote Originally Posted by Iconoclast
Rasool SAW ne kin 3 aurto ki danaish hone ka zikr farmaya Tha.
1 Aasia the wife of firoun , mussa ko god lene wali
2 Khadija kubra umm Al Mommnin RAH
3 Fatima Bint Mohammed rasooallah SAW


main apne sawalon ka jawab kyon de raha hoon? . taking A shot nap ( choti maut ) ke zindagi ka kya bharosa .Maut barhaq hai

:w:
Reply

era
07-19-2006, 10:53 AM
Maut barhaq hai
bayshak barhaq hay:cry:

sorry may nay aap ka sawaal nahi daykha tha:uhwhat

bro zak imam of haramain k hawalay say yaad aaya ?
Reply

era
07-19-2006, 11:09 AM
sheikh saleh abdullah ? yeh kaun hain ?
imame haram
yahi naam hay shayed na shaik saleh bin abdullah (friday khutbah daytay hain na:rollseyes )

majlis e shura k ameer
jitni bhi hai... mujh se kaaaaaaaaaaafi zyaadah hai
aap say zyada:muddlehea
bilkul nahi mashallah aap:X
Reply

era
07-19-2006, 04:56 PM
:sl:

SheikH Saleh Bin Humaid.
oh haan mujhay pura naam yaad nahi tha:hiding:

ok next ques

haz fatima ko batool ka laqab kis nay diya?
Reply

era
07-21-2006, 12:23 PM
:sl:

kisi ko nahi pata:uhwhat
Reply

era
07-22-2006, 02:06 PM
:sl:

acha ans is

haz mohammed ( saw)nay diya tha


next question?
Reply

era
07-24-2006, 09:43 AM
:sl:

koi to agla sawaal dain plzz+o(
Reply

life
07-24-2006, 12:14 PM
acha sis app yeh bataye hazrat fatima (ra) kay kitne bache(childern) they?
Reply

era
07-25-2006, 08:55 AM
:sl:

ans is

1- haz hasan raz

2-haz husain raz

3-haz zaynab raz

4-haz kulsoom raz

baaz rewayaat k mutabikh haz mohsin ka naam bhi aata hay

next

voh kown say khoush naseeb khalifa hain jin ki waleeda majeeda ki qabr
may khud haz mohammed saw thodi dair k liyae lait gay taa k qabr ki wahshat jati rahay?khaleefa ka naam batayeyae?
Reply

life
07-26-2006, 09:06 AM
^waleeda majeeda ........matlab:?
Reply

era
07-28-2006, 07:19 AM
:sl:

kiya kisi ko nahi pata:cry:
kiya hamay he bata dayna cahiyae:uhwhat
Reply

life
07-28-2006, 08:23 AM
^acha baba hum hi appne app ko sharminda kar daite hain....


hazrat abu bakr(ra) ki walidah thi?
Reply

era
07-28-2006, 10:32 AM
format_quote Originally Posted by life
^acha baba hum hi appne app ko sharminda kar daite hain....


hazrat abu bakr(ra) ki walidah thi?
nahi:cry:

haz Ali raz KI waleda fatima bint e asad

next?ab sawaal to dain koi:uhwhat
Reply

life
07-28-2006, 03:23 PM
^sorry sis

agla sawaal hain

zun noorain ka laqab kis sahabah(ra) ko diya gayah tha?
Reply

waji
07-28-2006, 07:15 PM
:sl:

mera khayal hay Hazarat Usman (R.A) kiyon kah unki shadi Hazarat Muhammad (S.A.W) ki 2 baytiyoon say hoi thee

:w:
Reply

era
07-29-2006, 07:21 AM
:sl:

agla sawaal

voh kown si khush naseeb khatoon shabiya hain jin ki tadfeen ka mauqe
par haz Mohammed (saw) nay kaha tha k agar koi jannat ki hoor ko daykhna chata hoo to inhain daykh lay ?:)

sahabiya ka naam aur haz Mohammed saw say voh sahabiya ka kiya rishta tha batayeyae?:)
Reply

era
07-31-2006, 12:41 PM
:sl:

kisi ko nahi pata ham he batadain:uhwhat
Reply

era
08-01-2006, 01:46 PM
ok jawaab hay


haz Abubakar siddiqh raz ki ahliya aur haz Aysha raz ki walida muhtarama

haz umme rumaan k liyae kaha tha

next?
Reply

^..sTr!vEr..^
08-07-2006, 08:50 PM
umm...who is goin 2 ask da next q-?
Reply

era
08-08-2006, 06:47 PM
format_quote Originally Posted by ^..sTr!vEr..^
umm...who is goin 2 ask da next q-?
u can ask:D
Reply

era
08-17-2006, 05:18 PM
ksi nay nahi diya sawaal:cry:

bro zak aap tou daijiyaeye plz:uhwhat
Reply

era
08-17-2006, 05:58 PM
acha zara daykhiyae oupar k post

sawaal bhi hamari aur jawaab bhi:cry:


ek aap digiyae agal koi aur plzzz?:uhwhat
Reply

era
01-31-2007, 02:49 PM
yae thora mushkil hi tha:-[


mujhay theek say yaad nahi aaraha hay:rolleyes:
bro zak aap hi batadeen:rolleyes:
Reply

IslamInside
01-31-2007, 03:02 PM
http://www.islamicboard.com/506629-post148.html
http://www.islamicboard.com/508480-post149.html
Reply

Haya emaan
11-09-2011, 04:04 PM
:sl:

kiya ham is thread ko phir say zinda ker saktay hain....??:p
Reply

Huzzy_786
11-09-2011, 04:26 PM
Je ha inshallah ham sub saat mil kar sakte he! Inshallah! ;)
Reply

Innocent Soul
11-21-2011, 11:56 AM
I am in! :D
Reply

Signor
11-28-2011, 09:32 AM
Count Another one
Reply

Hey there! Looks like you're enjoying the discussion, but you're not signed up for an account.

When you create an account, you can participate in the discussions and share your thoughts. You also get notifications, here and via email, whenever new posts are made. And you can like posts and make new friends.
Sign Up

Similar Threads

  1. Replies: 9620
    Last Post: 11-08-2023, 07:02 AM
  2. Replies: 4
    Last Post: 12-13-2009, 11:12 PM
  3. Replies: 0
    Last Post: 12-18-2006, 10:02 AM
  4. Replies: 6
    Last Post: 07-01-2006, 05:31 PM
British Wholesales - Certified Wholesale Linen & Towels | Holiday in the Maldives

IslamicBoard

Experience a richer experience on our mobile app!