as-salaam alaykum

Ae Ishq-e-Nabi Dil Main, Syed Mohd. Fasih Uddin

Ae Ishqe Nabi Mere Dil Main Bhi Sama Jana,
Mujh Ko bhi Mohammad ka Diwana Bana Jana.

Jo Rang Ke Jami Per Roomi Pe Chadaya Tha,
Us Rang Ki Kuch Rangat Mujh Pe Bhi Chda Jana.

Qudrat Ki Nigahe Bhi Jis Chahre Ko Taq tee thi.
Us chahar-E-Anwar ka Didar Kara Jana.

Jis Khwab Mein Ho Jaye Didar E Nabi hasil,
Ae Ishq kabhi Mujhe ko Nind aysee sulajana.

Duniya se Riyaz ho jab Uqba ki taraf jana,
Dagh-e-gham-e-Ahmed se seine ko saja jana.

Ae Ishq E Nabi Mere Dil Main bhi Sama Jana.
Mujhe ko Bhi Mohammad ka Diwana banajana.


wa-salaam alaykum