JILD MEIN DARD KE EHSAAS KI HIS

Guzashta zamaano mein yahi samjha jaata raha k mehsoosaat aur dard wagaira ka taaluk mehaz deemaag se hai. Magar zamana-e-hazir ki tehkeek se inkishaaf hua hai k insaani JILD mein dard mehsoos karne ki his paai jaati hai ba surat-e-deegar insaan ko dard ka ehsaas na ho paata.
Jab koi doctor kisi jale hue mareez ka muaaina karta hai tou woh jale hue makaam par sui chubho kar jalan ki shidatt ka andaaza karta hai.
Agar sui chubhne se mutaasira fard ko dard , takleef ka ehsaas ho tou doctor ko itmeenaan aur khushi hoti hai ………….q ke is se pata chalta hai k sirf berooni jild hi jali hai aur agar dard mehsoos na kare tou ye buri alaamat hoti hai. Q ke ab iska matlab ye hua ke jild ander tak jal chuki hai aur saath hi saath woh saara jild ka androoni khalyaat ka nizaam bhi jal chukka hai jis mein dard ko mehsoos karne ki salaahiyat thi.
QURAN MAJEED nihaayat wazaahat se jild ke androoni nizaam ki nishaan dahi karta hai jo dard mehsoos karne waali hawaas (pain receptors) per mushtamil hai.

“JIN LOGON NE HAMAARI AAYAAT SE INKAAR KAR DIYA HAI UNHE HUM ZAROOR AAG MEIN JHONKENGE AUR JAB UNKE BADAN KI KHAAL JAL JAAYEGI TOU DOOSRI KHAAL USKI JAGA PEDA KARDENGE TAAKE WOH KHOOB AZAAB KA MAZA CHAKHEN ,ALLAH QUDRAT WAALA AUR HIKMAT WAALA HAI”
[SURAH-,AYAH-56]


Professor teegaatat tajasun ka taaluk THAILAND ki CHIYAANG SAAI university se hai. Woh wahaan shoba-e-ilm afaal auoza (ANATOMY) ke sarbarah hain. Unhone dard ko mehsoos karne waaley jild ke nizaam per taweel tehqeeq ki hai. Pehle tou unhe yakeen ye nahi aaraha tha k quran majeed 14 sadiyaan pehle hi ye haqeeqat aashkaara karchuka hai taahum jab unhone baad-e-azaa mazkoora ayat-e-mubaraka ki mukamal tasdeek karli tou is qadar mutaasir hue k Saudi arab k shaihar RIAZ mein munakida aathwee tibi conference k moke par bhare mujme mein dunya bhar ke saamne
LA ILLAHA ILALAAH MUHAMMAD O RASOOLULLAH Padh kar islaam ki haqaaneat par mukamal eemaan laaye.