AJAR



1. Jo log musalmaan hain ya yahoodi ya eesaai ya sitaara parast (yaani koi shaks kisi qaum wa mazhab ka ho) jo KHUDA aur roz-e-qayaamat par eemaan laayega aur naik amal karega tou aise logon ko un (ke aimaal ) ka sila KHUDA ke haan milega aur (qayaamat ke din) unko na kisi tarah ka khauf hoga aur na woh ghamnaak honge. [surah-al baqara,ayah-62]

2. Aur KHUDA ke inaamaat aur fazal se khush horahe hain aur is se ke KHUDA momino ka ajar zaaya nahi karta. [surah-aal imraan,ayah-171]


3. Jinhone baawajood zakham khaane ke KHUDA aur rasool ( ke hukum) ko qubool kiya. Jo log in mein naikookaar aur parhezgaar hain unke liye bada sawaab hai. [surah-aal imraan,ayah-172]


4. Tou tum KHUDA par aur uske rasoolon par eemaan laao. Aur agar eemaan laaoge aur parhezgaari karoge tou tumko ajar azeem milega.[surah-aal imraan,ayah-179]


5. Is tarah humne Yusuf ko mulk (misir) mein jaga di. Aur woh us mulk mein jahaan chaahte the rehte the. Hum apni rehmat jis par chaahte hain karte hain aur naikookaaron ke ajar ko zaaya nahi karte. Aur jo log eemaan laaye aur darte rahe unke liye aakhirat ka ajar bohat behtar hai. [surah-yusuf,ayah-56,57]


6. Aur jin logon ne zulm sehne ke baad KHUDA ke liye watan choda hum unko dunya mein acha thikaana denge aur aakhirat ka ajar tou bohat bada hai. Kaash woh (use) jaante. Yaani woh log jo sabar karte hain aur apne parwardigaar par bharosa rakhte hain [surah-al ankaboot,ayah-58]



7. Aur jo log eemaan laaye aur naik amal karte rahe unko hum behshat ke oonche oonche mehlon mein jaga denge. Jinke neeche nehrein beh rahi hain. Hamesha un mein rahenge. (Naik) amal karne waalon ka (ye) khoob badla hai.[surah-al nahl,ayah-41,42]



8. Jo log eemaan laaye aur amal naik karte rahe unke liye (aisa) sawaab hai jo khattam hi na ho.[surah haa meem ALSAJDA,ayah-8]


9. Aur jo KHUDA se darega woh us se uske gunaah door kardega aur use ajar azeem bakhshega.[surah-Al talaaq,ayah-5]