Quranic Verses and Hadiths regarding Hajj



Al-Quran: apne Rab ke lye Namaz perh aur Qurbani ker¤
(Al-Kauser, V# 2)


Al-Quran: keh dijye be-shak meri Namaz aur meri Qurbani aur mera Jeena aur mera Merna ALLAH Rabul Aalameen ke lye hai¤
(Al-Anaam, V# 162)


Al-Quran: ALLAH ko na Janwaro ka Gosht pohanchta hai aur na inka Khoon, ise sirf tumhara Taqwa pohanchta hai¤
(Al-Haj, V# 37)


Hadees: Bra Bin Aazib Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam se poocha gaya, kis jaanwar Ki Qurbani se bachna chaehai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, 4 Qism ke jaawaro se bachna chaehai, Langra jiska langrapan zahir ho, Bhainga jiska bhaingapan zahir ho, Beemar jiski beemari wazih ho, aur Kamzor jiski hadio main gooda na ho.
(Musnad Ahmed, 301/4)


Hadees: Huzaifa Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne humain hukm dia ke hum (Qurbani ka Jaanwar) kharidtey waqt iski Aankhain aur Kaan achi terha daikh lain.
(Ibn Khuzaima, H# 2914, 2915
Mustadrik Hakim, H# 467/1, 220/4)



***
Qurbani Key Masael
Zibah kertey waqt Jaanwar ko Qibla Rukh ker lena Mustahib hai.
(Ibn Khuzema)

Qurbani kertey waqt ki Dua: "Bismillahi Wallahu Akber".
(Sahih Bukhari o Muslim)

Khud Zibah kerna Afzal hai, lekin kisi doosrey se Zibah kerwaney main bhi koi herj nahi.
(Sahih Bukhari)

Musalman Aurat bhi Qurbani ka Janwar Zibah ker sakti hai.
(Sahih Bukhari)

Zibah kerney waley Qasaab ko Qurbani ke Jaanwar main se koi cheez batorey Mazduri dena Jaez nahi.
(Bukhari o Muslim)
***

Al-Quran: Abi Qatada Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam se yaum-e-Arfa (9 Zil Haj) ke rozey ke barey main poocha gaya to fermaya, is din ka roza guzishta saal aur aaenda saal ke gunnaho ka kufara hai.
(Sahih Muslim, Kitabul Siyaam, H#367 )
Ek aur rivayat hai ke,
Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam 9 Zil Haj, yaum-e-Aashura, aur her Mah main se 3 din roza rakhtey they.
(Abu Dawood, Jild 2, H# 300,301/
Nisae, H# 2419, 2420)



Hadees: Ume Salma Raziallahu Anha se rivayat hai ke Rasulullah sallalahu Alaihi Wasallam ne fermaya, jab tum Zil-Haj ka chaand dekho aur tum main se koi shaks qurbani ka iradah karey to isey baal aur nakhun tarashney se ruk jana chaeye.
(Sahih Muslim, H# 1977)


Hadees: Abdullah bin Umar Raziallahu Anhu se rivayat hai k, ek shaks ne sawaal kia! Ya Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ager merey paas doodh dene waley jaawar ke ilawa aur koi jaawar na ho to kia main iski Qurbani ker sakta hoon? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, nahi lekin to apney Nakhun aur Moocho ke baal aur Zere Naaf ke baal Eid ki namaaz ke baad kaat, ALLAH ke haan tujhey Qurbani ka sawaab mileyga.
(Nisae, Jild 2, H#195,
Dawood, Jild 3, H#50)



Hadees: Jabeer Bin Muut'am Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya Tashreeq ke tamaam din (yani 11, 12, 13 Zil Haj) Qurbani ke Din hain.
(Musnad Ahmed, Jild 4, H# 6797/
Sahih Ibn-e-Habaan, H# 3843/
Sanan Dar Qitni, H# 4671)



Hadees: Ayesha Raziallahu Anha se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam, "Eid ul Fitr" aur "Eid ul Azha" ki namaz main Ruku ki takbeerat ke ilawa 12 takbeerat kaha kertey they.
(Sahih Abu Dawood, H# 1043/
Sahih Ibn Maja, H# 1058)



Hadees: Umro Bin Auf Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne, Eidain main pehli Rak'at main Qirat se pehley 7 aur dosri Rak'at main Qirat se pehley 5 takbiraat kahin.
(Termizi, Jild #1, page 166/
Ibn Maja, H# 1057)

For more Reference:
(Termizi, H #442/
Abu Dawood, H# 1405:1406)



Source: OpenTruths.com