(I):..Jaabir bin Abdullah (raziallahu ta’ala anhu) se rivaayat hai ke Nabi (sallallahu alaihi wa sallam) ne farmaaya: “GAAI 7 afraad ki jaanib se hai aur OONT 7 afraad ki jaanib se.”[Sunan Abu Dawood]

حَدَّثَنَا مُوسَى بْنُ إِسْمَاعِيل ، حَدَّثَنَا حَمَّادٌ ، عَنْ قَيْسٍ ، عَنْ عَطَاءٍ ، عَنْ جَابِرِ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ ، أَنّ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ : ” الْبَقَرَةُ عَنْ سَبْعَةٍ وَالْجَزُورُ عَنْ سَبْعَةٍ ” .

(II):..Jaabir bin Abdullah (raziallahu ta’ala anhu) farmaate hain: Hum ne Hudaibiya me Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ke saath EK OONT aur EK GAAI 7-7 afraad ki jaanib se ZABAH ki thi. [Sahih Al-Muslim]

ﻋَﻦْ ﺟَﺎﺑِﺮِ ﺑْﻦِ ﻋَﺒْﺪِ ﺍﻟﻠَّﻪِ ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻬﻤﺎ ﻗَﺎﻝَ : ﻧَﺤَﺮْﻧَﺎ ﻣَﻊَ ﺭَﺳُﻮﻝِ ﺍﻟﻠَّﻪِ ﺻَﻠَّﻰ ﺍﻟﻠَّﻪُ ﻋَﻠَﻴْﻪِ ﻭَﺳَﻠَّﻢَ ﻋَﺎﻡَ ﺍﻟْﺤُﺪَﻳْﺒِﻴَﺔِ ﺍﻟْﺒَﺪَﻧَﺔَ ﻋَﻦْ ﺳَﺒْﻌَﺔٍ ، ﻭَﺍﻟْﺒَﻘَﺮَﺓَ ﻋَﻦْ ﺳَﺒْﻌَﺔٍ .

(III):..Jaabir bin Abdullah (raziallahu ta’ala anhu) farmaate hain: Hum ne Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ke saath HAJJ kiya aur Ek OONT aur Ek GAAI 7 afraad ki jaanib se ZABAH ki.[Sahih Al-Muslim]

ﻋَﻦْ ﺟَﺎﺑِﺮِ ﺑْﻦِ ﻋَﺒْﺪِ ﺍﻟﻠَّﻪِ ، ﻗَﺎﻝَ : ﺣَﺠَﺠْﻨَﺎ ﻣَﻊَ ﺭَﺳُﻮﻝِ ﺍﻟﻠَّﻪِ ﺻَﻠَّﻰ ﺍﻟﻠَّﻪُ ﻋَﻠَﻴْﻪِ ﻭَﺳَﻠَّﻢَ ، ﻓَﻨَﺤَﺮْﻧَﺎ ﺍﻟْﺒَﻌِﻴﺮَ ﻋَﻦْ ﺳَﺒْﻌَﺔٍ ، ﻭَﺍﻟْﺒَﻘَﺮَﺓَ ﻋَﻦْ ﺳَﺒْﻌَﺔٍ .

Imaam Abu Haneefa (rahimahullah) ke Shaagird Imaam Muhammad (rahimahullah) rivaayat karte hain
Jaabir bin Abdullah (raziallahu ta’ala anhu) ne farmaaya: “Humne Hudaibiya ke maqaam per Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ke saath Ek Oont aur Ek Gaai 7-7 afraad ki jaanib se ZABAH ki.” [Muwatta Maalik ba-rivaayat Imaam Muhammad]

ﺃَﺧْﺒَﺮَﻧَﺎ ﻣَﺎﻟِﻚٌ ، ﺃَﺧْﺒَﺮَﻧَﺎ ﺃَﺑُﻮ ﺍﻟﺰُّﺑَﻴْﺮِ ﺍﻟْﻤَﻜِّﻲُّ ، ﻋَﻦْ ﺟَﺎﺑِﺮِ ﺑْﻦِ ﻋَﺒْﺪِ ﺍﻟﻠَّﻪِ ، ﻗَﺎﻝَ : ” ﻧَﺤَﺮْﻧَﺎ ﻣَﻊَ ﺭَﺳُﻮﻝِ ﺍﻟﻠَّﻪِ ﺻَﻠَّﻰ ﺍﻟﻠَّﻪُ ﻋَﻠَﻴْﻪِ ﻭَﺳَﻠَّﻢَ ﺑِﺎﻟْﺤُﺪَﻳْﺒِﻴَﺔِ ﺍﻟْﺒَﺪَﻧَﺔَ ﻋَﻦْ ﺳَﺒْﻌَﺔٍ ، ﻭَﺍﻟْﺒَﻘَﺮَﺓَ ﻋَﻦْ ﺳَﺒْﻌَﺔٍ ”
Imaam Muhammad (rahimahullah) ne farmaaya: “Aur isi per Hamaara amal hai ke Oont aur Gaai ki Qurbani 7 Aadmiyo ki taraf se Jaayez hai agarchah Qurbani karne waale alag-alag Ghar se ho Ya Ek hi Ghar ke Afraad ho aur Yehi Imaam Abu Haneefa ka Qaul hai aur Hamaare Aam Fuqaha’ ka Yehi Qaul hai (rahimahumullah).”

ﻗَﺎﻝَ ﻣُﺤَﻤَّﺪٌ : ﻭَﺑِﻬَﺬَﺍ ﻧَﺄْﺧُﺬُ ، ﺍﻟْﺒَﺪَﻧَﺔُ ﻭَﺍﻟْﺒَﻘَﺮَﺓُ ﺗُﺠْﺰِﺉُ ﻋَﻦْ ﺳَﺒْﻌَﺔٍ ﻓِﻲ ﺍﻷُﺿْﺤِﻴَﺔِ ﻭَﺍﻟْﻬَﺪْﻱِ ﻣُﺘَﻔَﺮِّﻗِﻴﻦَ ﻛَﺎﻧُﻮﺍ ، ﺃَﻭْ ﻣُﺠْﺘَﻤِﻌِﻴﻦَ ﻣِﻦْ ﺃَﻫْﻞِ ﺑَﻴْﺖٍ ﻭَﺍﺣِﺪٍ ، ﺃَﻭْ ﻏَﻴْﺮِﻩِ ، ﻭَﻫُﻮَ ﻗَﻮْﻝُ ﺃَﺑِﻲ ﺣَﻨِﻴﻔَﺔَ ، ﻭَﺍﻟْﻌَﺎﻣَّﺔِ ﻣِﻦْ ﻓُﻘَﻬَﺎﺋِﻨَﺎ ﺭَﺣِﻤَﻬُﻢُ ﺍﻟﻠَّﻪُ .


Imaam Nawawi Ash-Shaafa’i (rahimahullah) raqm-taraaz hain:

ﻓِﻲ ﻫَﺬِﻩِ ﺍﻷَﺣَﺎﺩِﻳﺚ ﺩَﻻﻟَﺔ ﻟِﺠَﻮَﺍﺯِ ﺍﻟِﺎﺷْﺘِﺮَﺍﻙ ﻓِﻲ ﺍﻟْﻬَﺪْﻱ , ﻭَﺃَﺟْﻤَﻌُﻮﺍ ﻋَﻠَﻰ ﺃَﻥَّ ﺍﻟﺸَّﺎﺓ ﻻ ﻳَﺠُﻮﺯ ﺍﻻﺷْﺘِﺮَﺍﻙ ﻓِﻴﻬَﺎ . ﻭَﻓِﻲ ﻫَﺬِﻩِ ﺍﻷَﺣَﺎﺩِﻳﺚ ﺃَﻥَّ ﺍﻟْﺒَﺪَﻧَﺔ ﺗُﺠْﺰِﺉ ﻋَﻦْ ﺳَﺒْﻌَﺔ , ﻭَﺍﻟْﺒَﻘَﺮَﺓ ﻋَﻦْ ﺳَﺒْﻌَﺔ , ﻭَﺗَﻘُﻮﻡ ﻛُﻞّ ﻭَﺍﺣِﺪَﺓ ﻣَﻘَﺎﻡ ﺳَﺒْﻊ ﺷِﻴَﺎﻩ .
“In Ahadees me Qurbani ke Jaanwar me Hissa daalne ki Daleel paayi jaati hai, aur Ulema’ is per Ittifaaq hain ke Bakre me hissa daalna JAAYEZ NAHI, aur in Ahadees me Ye bayaan hua hai ke Ek OONT 7 AFRAAD KI JAANIB SE KAAFI HOGA, Aur GAAI BHI 7 AFRAAD KI JAANIB SE, aur har Ek (Ya’ni Oont aur Gaai) 7 Bakriyo’n ke Qaayem-e-Maqaam hai…..”[Sharah Sahih Muslim]

Hanbali Maslak:

Ibn Qudamah Al-Hanbali (rahimahullah) raqm-taraaz hain:

ﻭﺗﺠﺰﺉ ﺍﻟﺒﺪﻧﺔ ﻋﻦ ﺳﺒﻌﺔ , ﻭﻛﺬﻟﻚ ﺍﻟﺒﻘﺮﺓ ، ﻭﻫﺬﺍ ﻗﻮﻝ ﺃﻛﺜﺮ ﺃﻫﻞ ﺍﻟﻌﻠﻢ …

“Aur Oont 7 afraad ki taraf se Kaafi hai aur isi tarah GAAI aur Aksar Ahl-e-Ilm ka Yehi Qaul hai..”[Al-Mughni]