Bismillahir Rahmanir Raheem

1.Imam Ahmed Bin Hambal (Rahimahullah) farmate hain “Yazeed se riwayet na lee jaye.”[Meezanul Aitdal lil Zahbi – Jild 4: Safa 440, Raqamul Tarjuma: 9754]

2.Allama Ibne Taymyiah (Rahimahullah) likhte hain “Imam Ahmad Bin Hambal (Rahimahullah) se poocha gaya ki kya aap Yazeed Bin Muawiya se hadees likhenge? Inhone jawab diya ki nahi iski koi wuq’at nahi. Kya ye wahi shakhs nahi ki jisne Ahle Madina ke sath itna zulm kiya jo bayan se bahar hai”.[Majmua Al-Fatawa lil Ibne Taymiyah – Jild 3: Safa 223]

3.Imam Abu Bakr Al-Jasas Al-Hanafi (Rahimahullah) farmate hain “Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke Sahaba Khulafa-e-Arba’a ke baad fisaq Umra ke sath milkar Jihad karte rahe, Abu Ayyub Ansari ne Yazeed La’een ke sath milkar Jihad kiya”.[Alquranul Jasas – Jild 3: Safa 178]

4.Allama Ibne Taimiyah Al-Harani (Rahimahullah) ne likha “Jo ALLAH aur akhirat ke din par Imaan rakhta ho wo ye nahi chahega ki Yazeed aur iske jaise doosre mal’ook ke sath rahe jo AADIL nahi the”.[Fatawa Ibne Taimiyah – Jild 4: Safa 251-252]

5.Moarrikh-e-Islam Hafiz Shamsuddin Zahbi (Rahimahullah) farmate hain “Yazeed bin Muawiya Nasibi, sangdil, badzaban ghaleez jafaar ka, sharabkhor aur badkar tha. Isne apni hukumat ka iftitah Hazrat Hussain Shaheed (Radiallahu Anhu) ke qatal se kiya aur ikhtitam waqiyah harrah ke qatal-e-aam par kiya, isliye logo ne is par phitkar bheji aur iski umar mein barkat na ho saki Hazrat Hussain (Radiallahu Anhu) ke bad bahut se Sahaba (Radiallahu Anhum) ne iske khilaf ALLAH ki raza ke liye khurooj kiya”.[Al-Rauz Al-Basim – Jild 2: Safa 36]

6.Hafiz Imaduddin Ibne Kaseer Al-Damishqi (Rahimahullah) farmate hain “Yazeed ka shahwaat ki taraf mailaan tha aur ba’az auqat Namaz chhod deta tha aur basa Namaze waqt-e-qaza par padhta tha”.[Al-Bidaya wa Al-Nihaya – Jild 8: Safa 230]

7.Allama Kamaluddin Al-Dameeri (Rahimahullah) likhte hain “Alkiya Alharasi jo Shafayi faqeeh hain, inse poocha gaya ki Yazeed bin Muawiyah Sahabi hai ya nahi? Aur kya isko La’an Ta’an karna shaheeh hai ya nahi? To inhone jawab diya wo Sahabi nahi hai, kyunki wo Daur-e-Usman mein paida hua tha, aur Salaf mein se Imam Abu Hanifa (Rahimahullah), Imam Ahmad bin Hambal (Rahimahullah) aur Imam Malik (Rahimahullah) ke is bare mein 2 qaul hain ek mein tasreeh hai aur ek mein talweeh. Hamare liye to tasreeh ka he qaul hai aur kyun na ho jab ki wo cheete ka shikar karne wala, nard khelne wala aur dayemi sharabi tha”.[Hayatul Haiwan Al-Dameeri – Jild 2: Safa 84]

8.Hafiz Ibne Hajar Asqalani (Rahimahullah) farmate hain “Musnad mein iski koi riwayet mazkoor nahi sirf Yazeed ka zikr aya hai.[Ta’ajeel Al-Manfa’ala ibne Hajar – Jild 2: Safa 373, Raqamul Tarjuma 1189]

9.Hafiz Ibne Hajar Asqalani (Rahimahullah) ne mazeed tashreeh kar di hai “Yazeed ki koi bhi aisi riwayat nahi jo qabil-e-aetmad ho”.[Tahzeeb Al-Tahzeeb Ibne Hajar – Jild 7 : Safa 185]
Mazeed likha hai ki “Yazeed ki jo mukhalifat Sahaba (Radiallahu Anhum) ne ki thi wo iske zalim aur fasiq hone ki wajah se ki thi.

10.Fakhr-e-Muhadiseen Imam Jalaluddin Suyuti (Rahimahullah) farmate hai: Aap (Hazrat Hussain Radiallahu Anhu) Ko Saheed kia gaya aur Aap (Radiallahu Anhu) ka sir Mubarak Ibn Ziyad ke pas ek tastari mai laya gaya. Allah ki La’nat ho usper jisne Aap (Radiallahu Anhu) ko qatl kia, Ibn Ziyad aur Yazeed per bhi.[Tarikh ul Khulafa: Safa 165]

11.Hazrat Shah Waliullah Muhaddis Dehelvi (Rahimahullah) farmate hain “Yazeed (12) barah Khulafa ke darmiyan se saqit hai, isliye ki arsa tak iski saltanat mazboot na hui thi aur ek wajah ye bhi thi ki wo buri seerat ka malik tha.[Qurrah Al-Aiynain – Safa 241]