/* */

PDA

View Full Version : Khuda ki maujoodgi ko sciensi taur par kaise saabit kya jaasakta hai?????????????



saira_parveen
08-12-2008, 07:07 PM
:w:

KHUDA KI MAUJOODGI KO SCIENSI TAUR PAR KAISE SAABIT KYA JAASAKTA HAI?????????????

KHUDA ki maujoodgi ko sciensi taur par bilkhusoos aik mulhid k saamne kaise paish kiya jaaye k khuda maujood hai…………….Agar hum apne ird gird nazar daudaaein tou hamein baawar karna hoga k koi hindu is liye hindu hota hai k iska baap hindu tha, koi eesaai isliye eesaai bana hua hai k use “eesaaiyat” hi tarke mein mili thi, kuch musalmaan mehaz isliye dawa-e-musalmaani pe datey hue hain k “musalmani” unki “meeraas khalf” hai. Jabke “mulhid” aik mazhabi pas-e-manzar k hote hue bhi in jhoote khudaaon pe eemaan laane se munakir hai jinse wafadaari bashart-e-istawaari unke waalidain ka khaasa raha hai. Mulhid kalma-e-shahadat k ibtadaai hise ko taslim karta hai jo islami aqeede ka eham juzu hai yaani “LA ILLAHA”(KOI KHUDA NAHI HAI) ab is tanazir mein hamaara kaam hai k use “ILALLAH” ka saboot paish Karen jiska matlab hai “LEKIN ALLAH TALLAH” aur INSHALLAH hum ye sabit karne mein kaamyaab honge.
Is mulhid se poochiye k bilfarz koi aisi shai ho ,koi bhi shai jaise koi udne waali shai hi le lein jise kisi ne bhi nahi dekha ho,na hi dunya ka koi insaan is shai se aagaah hai,agar ye aapke saamne laai jaaye aur poocha jaaye k woh kaun shaks hoga jo sabse pehle aisi mukamal “anjaan shai” k taur atwaar “MECHANISM” se aagaah hosake ga jo dunya k kisi insaan k wehm wa gumaan mein bhi nahi aai????????? Tou woh mulhid kadrey soch kar ye jawaab dega k “wahi insaan hi aapko batasakta hai aur sabse pehle sab se behtar batasakta hai jisne bazaaat-e-khud is shai ko banaaya ya wujood diya”. Kuch mulhedeen kahenge ke saaneh yaa kaarigar wagaira. Tou aap lafzon mein na uljhein ye maan lijiye k kisi “producer” ne hi woh shai “object” banaai. Mulhid hamesha yahi kahega k insaan ne, maahir-e-insaaan ne woh shai takhleek ki. Ab aap ye baat zehan mein rakhiye………….aur doosra sawaal kardijiye ke kaainaat kis tarah wujood mein aai???????? Ise kisne mutashikal kiya????????Mulhid jaldi se jawaab dega:
“BHAI INFIJAAR-E-KABEER YAANI BIG BANG KA NAZARIYA SAAMNE HAI” tou aap unhe bataaein ke Quran majeed mein ALLAH TALLAH surah Ambiya ki ayah-30 mein farmaata hai:

“KYA KAAFARON NE NAHI DEKHA K AASMAAN WA ZAMEEN BAAHUM MILE HUE THE PHIR HUMNE UNHE PHAAD KAR JUDA JUDA KARDIYA”

Aur yahi tou BIG BANG ka nazariya hai kiske weham o gumaan mein 14 sadiyaan qabal ye haqeeat mojood hosakti thi???????????? Tou shayad woh mulhid kahega ye tou “itafaak mehaz” hai ya “tukka” hai. Us se uljhein mat balke sawaal ka agla hisa arz guzaarein k hamein tou maazi mein ilm nahi tha k chand ki roshni, roshni-e-musta-aar hai yaani munakid shuda roshni hai aur hamein tou haal hi mein jadeed tehkeekaat ki madad se is haqeeqat ka pata chala hai. Tou mulhid sahaab farmaayeinge k haan haan ye saabit shuda hai ke chand suraj se roshni musta-aar leta hai. Hamein iska idraak hue zyada arsa nahi guzra, bas 100 ya 50 saal qabal hi iska inkishaaf hua tha. Aap use aagaah Karen ke quran majeed chand ki roshni ke roshi-e-musta-aar hone ki baat 14 sadiyaan qabal karta hai tou ye haqeeqat Quran kareem ne kahan se khoj li??????????woh kahega “shayad kisi ka teer nishaane pe jaa laga” Aap maan lejiye aur bagair kisi taqraar ke baat aage badhaate hue poochiye k qadeem insaan tou suraj ko saakin samajhta tha jabke suraj ka saakin hona “wehem mehaz” ke siwa kuch nahi is “weham baatil” ki nisbat bhi woh mulhid aapka hamnawa hoga. Waakai suraj apne mehwar ke gird aik khaas nukta “APEX” ki simt harkat mein hai. Mulhid poochne par bataayega k “mujhe maazi kareeb mein is haqeeqat ka ilm hua” tou aap use bataaiye k quran 50, 60 saal pehle nahi balke 14 sadiyaan kabal waazeh taur par ye haqeeqat aashkaara karchuka hai. Woh zaroor thoda hichkichaayega lekin kahega k “shayad quran kisi zaheen fard ne likha ho”. Aap sukoon se apna silsila-e-sawaalaat jaari rakhen aur us mulhid se poochen ke “Kaainaat aagaaz mein kis shakal ki thi??????” Woh koniyaati mawaad “CELESTIAL MATTER” kaisa tha????? Woh aapko bataayega ke “ye dhuwein ki shakal mein tha” Is mulhid se poochein k tumhein kab, kaise pata chala???????? Woh jawaab dega k hamaare paas saboot hain,shawaahid hain. Phir aap use is haqeeqat ke ru-ba-ru laaiye k quran kareem ne yahi baat (k kaainaat smoke ya dhuwein ki surat mein thi ) 1400 pehle kahi hai ,us zamaane mein kaun aisa ilm bayaan karsakta tha?????? Tou woh yaqeenqan hichkichahat ka izhaar karega. Is ke (Mulhid ke) rad-e-amal ka intezaar na karein balke istafsaar karma jaari rakhen aur sawaal dar sawaal poochte hi chale jaayein jaisa ke Aabi chakar yaa Water Cycle se hum kaise shanaasaa hue??????? Quran ne 1400 saal pehle hi aagahi dedi thi ke har zinda shai paani se peda hui. Kaun shaks ye baaat jaan sakta tha yaa us zamaane mein az khud bata sakta tha. Quran hakeem tou nabataat ke bare mein lab kushaa hai ke un mein bhi jode (pairs) paaye jaate hain. Ye kaun shaks zaati taur par keh sakta tha??????????? Sawal dar sawaal yahi bayaan karda sciensi haqaaiq, Quran hakeem ke hawaale se poochte jaayein.
Aakhir kaar kisne ye sab likha hoga???????
Phir in mulhid sahaab se kahein ke aik nazariya hai jise “nazariya-e-imkaan” yaa THEORY OF PROBABLITY kaha jaata hai jis se waazeh hota hai k agar aapko do (2) par ikhtiaar ho aur un do mein se aik sahi ho tou aapke sahi intikhaab ke imkaanaat do(2) mein se aik (1) yaani fifty fifth hain. Maslan mein aik sikey (coin ) ko uchaalta (toss) karta hoon tou yaa tou aik taraf waala makhsoos hisa yakeeni taur par saamne hoga ya nahi yaani HEAD ya TAIL aur mere sahi sahi intakhaab ke imkaanaat do (2) mein se aik (1) hain aur agar mein aik sika do baar uchaaloon tou mere durust intakhaab ke imkaanaat 1/2 *1/2, yaani ¼ honge jise hum 25% imkaan se taabeer karte hain. Ab agar mein sikey (coin) ko teen martaba uchaaloon tou mere durust hone ke imkaanaat 1/2 *1/2*1/2 yaani 1/8 hojaayenge bilalfaaz deegar 12.5% imkaanaat reh jaate hain. Aik dice ki 6 atraaf hoti hain. Agar mein aik se lekar chai (6) tak koi hindsa zehan mein rakh kar dice phenkoon tou mere chuneda (selected) khaas hindse ke ooper aajaane ke imkaanaat aazaadaana taur par (randomly) 1/6 hain. Agar mein dice ko aik khaas hindsa zehan mein rakh kar do martaba phenkta hoon tou ye imkaan ke mein dono martaba sahi wahi hindsa ooper paaoonga 1/6*1/6 yaani 1/36 ke baraabar hoga.
Ise theory of probability kaha jaata hai…………….
Agar mein aik dice do martaba phenkoon aur aik coin aik martaba uchaaloon tou mere durust andaazey ke imkaanaat ½*1/6*1/6 yaani 1/72 honge. Leehaza aap un mulhid sahib se poochen k zameen ki shakal ke kya imkaanaat honge?????? Kuch kehsakte hain bezwi shakal, kuch kahenge gole, kuch keh sakte hain chapti kuch mustateel shakal se taabeer karenge wagaira wagaira. Almukhtair farz karte hain zameen ki shakal ke hawaale se 10 imkaanaat paaye jaate hain tou ye imkaan ke koi aik sahi andaaza laga sakega 1/10 ke masaawi hai yaani 10 mein se aik ka sahi hone ka imkaan paaya jaata hai. Isi tarah chaand ki roshni ya tou chaand ki apni zaati hosakti hai yaa munakis shuda roshni hosakti hai is bunyaad pe aapka WILD GUESS yaa tukka sahii hone ke imkaanaat do mein se aik ½ hain yaa bilalfaaz deegar 50% hain.
Ab baik waqt zameen ki shakal ke taeen aur chaand ki roshni ke itafaakia taur par sahi hone ke imkaanaat 1/2 *1/10 yaani 1/20 honge yaani bees mein se aik yaa 5% imkaanaat.
Jaandaar makhlook kis shai se bani hogi????????????? Kuch log keh sakte hain Rait, kuch Pathar, Aluminium, Gold, chaandi ki baat karsakte hain. Algarz hazaar tarah se ”mafrooza-e-takhleek ” ghada jaa sakta hai. Magar ye imkaanaat ke aapka tukka sahi nikle riyaaziyaat ki rou se 1/1000 qaraar paata hai.
Ab raha ye maamla ke aapke teeno tukke sahi hi honge yaani zameen bezwi shakal ki ho, chand ki roshni udhaar li gai roshni ho aur har jaandaar makhlook paanni se hi bani ho tou baik waqt in sab ke sahi hone k imkaanaat 1/10 * ½ * 1/1000 yaani 1/20,000 honge. Bil-alfaaz-e-deegar .005% imkaanaat honge. Quran aik hazaar (1000) se zaaid aayaat mubarika mein thos sciensi shawahid bayaan karta hai. Agar teen aayaat ki ro se durustugi ke imkaanaat zero ya sifar hojaate hain tou Riyaziyaati ilm-e-imkaan ki ro se tamaam imkaanaat zero ya sifar hojaate hain yaani is qadar kam ke unki haisiyat ya waqat ka aladam hojaati hai aur riyaazi ke mutabik jo bhi adad 1 raise to 5 (ya aik ki quwat 50 k baraabar) ho woh sifar ya zero k masaawi hota hai.
So ab mulhid dost se poochiye zara k ye sab kuch kisne likha hua hoga???????? Tou woh sirf aik hi jawaab aapko de paayega yaani pehle sawaal ka jawaab “KHALIQ ya CREATOR” yaani manufacturer ya producer ya woh shaks jisne is shai ko banaaya hoga. Fil haqeeqat yahi jawaab sahi hai aur deegar koi jawaab be-maaina hai.
Jadeed sciense ka ye kehna ke woh khuda ki nafi nahi karti balke woh namoona-e-khuda wandi “MODELS OF GOD” ki nafi karti hai LA ILLAHA ILALLAH sciensedaan khuda ki nahi khudaai tamsaalon ki nafi kar rahe hain.
Reply

Hey there! Looks like you're enjoying the discussion, but you're not signed up for an account.

When you create an account, you can participate in the discussions and share your thoughts. You also get notifications, here and via email, whenever new posts are made. And you can like posts and make new friends.
Sign Up

Similar Threads

  1. Replies: 8
    Last Post: 04-27-2017, 05:25 AM
  2. Replies: 13
    Last Post: 09-28-2010, 08:30 AM
  3. Replies: 7
    Last Post: 11-11-2009, 02:51 PM
  4. Replies: 1
    Last Post: 04-06-2008, 01:18 PM
British Wholesales - Certified Wholesale Linen & Towels | Holiday in the Maldives

IslamicBoard

Experience a richer experience on our mobile app!