/* */

PDA

View Full Version : Hamd-o-sana ke huqooq ka waahid maalik:



saira_parveen
08-27-2008, 11:40 PM




BISMILAAHE ARRAHMAAN ARRAHEEM



HAMD-O-SANA KE HUQOOQ KA WAAHID MAALIK: Tamaam taarefein us ALLAH ke liye hain jisne apni kitaab ko apni hamd ke saath shru kya aur farmaaya 1) ALHMDU LILLAHE RABUL AALAMEEN, ARRAHMAAN ARRAHEEM, MAALIKE YAUME DEEN.

Aur farmaaya

2)ALHAMDU LILLAHI LAZI ANZALU ALA ABDIHIL KITAAB :
Tarjuma: SAB TAAREEFEIN US ALLAH TALLAH K LIYE HAIN, JISNE APNE BANDE PAR YE QURAAN KAREEM NAAZIL FARMAAYA AUR ISMEIN KOI KUJI NAHI RAKHI. jo hamesha deen ko qaaim rakhne waala hai Taake ALLAH TALLAH k sakht azaab se ALLAH ka paigamber logon ko daraaey aur jo log eemaan laakar ache amal karte hain, unhe unki behtareen aur hameshgi waaley badle ki khush khabriaan sunaaye aur jo log apne be ilm baab daadaaon ki suni sunaai baton par ALLAH ki aulaad maante hain, unhe bhi daraaye. Ye bohat badi dileri aur mehaz jhoot baat hai jo inki zubaan se nikal rahi hai. Ae NAbi (saw) tum inke liye apni jaan ko rog na lagaao. Jis tarah us parwardigaar ne apni kitaab ko apni hamd se shru kya, isi tarah usne apni makhlook ko bhi apni hamd se hi shru kya.

3) AMDU LILLAHE LAZI KHALAKA SAMAAWAATE WALARZA WAJA-ALA ZULUMAATE WA NOORA SUMA LAZEENA KAFAROO BIRABIHIM YAADILOON.
Yaani “ Sab taareefein us ALLAH hi k liye hain jisne aasmaan o zameen ko aur andhere ujaale ko peda kya lekin kufaar iske baawajood bhi ALLAH ka shareek theraate hain.

Isi tarah makhlooq ka khaatma bhi apni hamd-o-sana pe hi kya.

Ahl-e-jannat aur ahl-e-jahaanum k anjaam ka bayaan karke irshaad hota hai………

4) tarjuma: “ TU DEKHEGA K FARISHTE ARSH-E-KHUDA WANDI KO CHAARON TARAF SE GHERE HUE HONGE AUR APNE RAB KI HAMD O SANA, TASBEEH WA TAQDEES BAYAAN KARTE HONGE. FAISLE HAQ KE SAATH HOCHUKE HONGE AUR KEH DIYA GAYA HOGA KE TAMAAM TAAREEFEIN ALLAH RAB-UL-AALAMEEN K LIYE HI HAIN. Isi liye ALLAH TALLAH ka farmaan hai:


5)Tarjuma:”WAHI ALLAH HAI, USKE SIWAAYE KOI IBAADAT KE LAAIQ NAHI, SAB TAAREEFEIN AWAL O AAKHIR USI KE LIYE HAIN. USI KA HUKUM HAI AUR USI KI TARAF TUM LOTA KAR LAAYE JAAOGE. Aur irshaad hai:


6) “SAB TAAREEFEIN US ALLAH K LIYE HAIN JISKI AASMAAN O ZAMEEN KI KUL CHEEZEIN HAIN. AAKHIRAT MEIN BHI HAMD USI K LIYE HAI. WAHI HIKMATON WAALA SAB KHABREIN RAKHNE WAALA HAI. LEHAAZA AWAL O AAKHIR USI KI TAAREEF HAI YAANI JO KUCH USNE PEDA KIYA AUR JO KUCH PEDA KAREGA,WAHI UN SAB KI TAAREFON KA MUSTAHIK HAI….

Iske baad kehta hai ALLAHUMA RABANA LAKAL HAMDU MALAAE SAMAAWAAT WA MALAAEL ARZ WA MALAAE MAASHA-AT MIN SHAIN BAAD

Tarjuma:” Ae ALLAH ,Ae hamaare rab tere hi liye sab taareefein hain aasmaan o zameen bhar jaane ke baraabar aur unke baad bhi jis cheez ko tu bhar dena chaahe” Is liye janaati log bhi hamd o sana ka ilhaam kya jaayenge aur unke saans k saath hi bila takaluf ALLAH TALLAH ki taareef aur uski tasbeeh hoti rahegi q k ALLAH TALLAH ki azeem ulshaan naimatein aur uski qudrat kaamila, uski zabardast saltanat, uski musalsal rehmatein aur uske daaimi ehsaan unke paish nazar honge.

Isi ko quran paak ne bayaan farmaaya

Tarjuma: “YAANI EEMAAN K SAATH NAIK AMAL KARNE WAALON KO UNKA RAB UNKE EEMAAN KI WAJA SE UN NAIMATON WAALI JANATON KI RAAH DIKHAAYEGA JINKE NEECHE NEHREIN BEHTI HAIN JIN MEIN UNKI AAWAAZ “SUBHANAKA ALAAHUMA” GOONJTI HOGI AUR AAPIS MEIN SALAM KA TOHFA HOGA. AUR GOYA SABKI PUKAAR YAHI HOGI K SAB TAAREEFEIN US ALLAH HI K LIYE HAIN JO TAMAAM JAHAAN WAALON KA RAB HAI”


1) SURAH-FATIHA -----AYAH -1-3

2) SURAH-KAHAF----------AYAH -1

3) SURAH-ANAAM--------AYAH -1

4) SURAH-ZAMAR-------AYAH -75

5) SURAH-KASAS-------AYAH -70

6) SURAH-SABAH--------AYAH -1

Reply

Login/Register to hide ads. Scroll down for more posts
Fazl Ahmad
08-28-2008, 07:49 AM
Jazak Allah bahut khoob. Mera ek siwal hain es point par, hum har waqt kehtey "Alhamdulillah" jiska matlab hain "sab tareefein Allah ke liye hain". Agar sab tareefain sirif Allah Rabbul Izzat ke liye hain, Huzur paak (sallallahu alaihi wa salam) ka naam Muhammad kion hain? Muhammad ka matlab woh jo hamd o touseef milta??
Reply

saira_parveen
08-28-2008, 09:21 PM
Hum ALHAMDULILLAH kehte hain jiska matlab hai k sab taarefein ALLAH k liye hain..........woh ALLAH jo parwardigaar-e-AALAM hai.JIsne har cheez takhleeq ki. Hazoor (saw) ka naam MOhammad(saw) rakha gaya jiska matlab hai taareef kya gaya. aap (saw) ka rutba bohat buland hai ,unpe ALLAH khud salaamti bhejta hai. Hazoor (saw) ALLAH k paigamber hain ,aik insaan yaani ALLAH ki hi makhlooq mein se hain jab ke woh parwardigaar tou har cheez, har insaan ka khaaliq wa maalik hai. isliye hum hazoor (saw) ki tareef karte hain tou ismein bhi parwardigar-e-do aalam ki taareef hoti hai q k sabka khaaliq wa maalik tou wahi hai............ISLIYE KAHA JAATA HAI ALHAMDULILLAH YAANI TAMAAM TAAREFEIN ALLAH K LIYE HAIN...........
Reply

Hey there! Looks like you're enjoying the discussion, but you're not signed up for an account.

When you create an account, you can participate in the discussions and share your thoughts. You also get notifications, here and via email, whenever new posts are made. And you can like posts and make new friends.
Sign Up

Similar Threads

  1. Replies: 24
    Last Post: 03-22-2019, 04:54 PM
  2. Replies: 7
    Last Post: 09-23-2009, 08:13 AM
  3. Replies: 0
    Last Post: 03-31-2008, 08:58 PM
British Wholesales - Certified Wholesale Linen & Towels | Holiday in the Maldives

IslamicBoard

Experience a richer experience on our mobile app!