/* */

PDA

View Full Version : Surah fatiha



saira_parveen
08-28-2008, 09:09 PM
:sl:SURAH FATIHA

IS surat ka naam surah FATIHA hai. Fatiha kehte hain shru karne waali ko. Iska naam UMUL KITAAB bhi hai. Hazoor (saw) ne farmaaya “ALHAMDU LILLAHE RAB UL AALAMEEN” poori surat tak yahi surat umul kitaab hai aur umul quraan hai aur sabaay masaani hai aur quran-e-azeem hai. Is surat ka naam surat-ul-hamd aur surat-ul-salaat bhi hai. Hazoor (saw) ne farmaaya k ALLAH TALLAH ne farmaaya k maine SALAAT (yaani surah fatiha) ko apne aur bande ke darmiyaan nisf nisf taqseem kardiya. Jab banda kehta hai ALHAMDU LILLAHE RABUL AALAMEEN tou ALLAH TALLAH farmaata hai MERE BANDE NE MERI TAREEF KI. Is surat ka naam surah shifa bhi hai.
Hazrat Abu Saeed bin maula (RA) se murwi hai k main namaaz padh raha tha aur hazoor (saw) ne mujhe bulaaya, maine koi jawaab na diya. Jab namaaz se faarig hokar mein hazoor (saw) ki khidmat mein hazir hua tou aap (saw) ne farmaaya, ab tak kis kaam mein the? Maine kaha hazoor (saw) mein namaaz mein tha. Aap (saw) ne farmaaya kya ALLAH ka ye farmaan tumne nahi suna? Ae eemaan waalon! ALLAH ke rasool jab tumhein pukaarein tum jawaab do’ acha suno! Main tumhein masjid se nikalne se pehle batlaadoonga k quran paak mein sabse badi surat konsi hai? Phir mera haath pakde hue jab aap (saw) ne masjid se jaane ka iraada kya tou maine aapka vaada yaad dilaaya. Aap (saw) ne farmaaya surat ALHAMDU LILLAHE RABUL AALAMENN hai, yahi sabaay masaani hai aur yahi woh quran-e-azeem hai jo mujh ko diya gaya.
Hazoor (saw) ne farmaaya, US khuda ki qasam jiske haath mein meri jaan hai toraat, injeel, zaboor aur quran mein is jaisi koi aur surat nahi, ye sabaay masaani hai.Aik hadees hai k Hazoor (saw) k paas aik martaba hazrat Jabraiel (AS) bethe hue the ke ooper se aik zordaar dhamaake ki aawaaz aai. Jabraiel (as) ne ooper dekh kar kaha aaj aasmaan ka woh darwaaza khula hai jo kabhi nahi khula. Phir wahan se aik farishta hazoor (saw) ke paas aaya aur kaha k khush hojaaiye 2 noor aapko aise diye gaye hain k aapse pehle kisi nabi ko nahi diye gaye SURAH FATIHA aur SURAH BAKARA ki aakhri aayatein aik aik harf purnoor hai.
Hazoor (saw) ne farmaaya jo shaks apni namaaz mein umul quraan (surah fatiha ) na padhe uski namaz naakis hai, naakis hai, naakis hai, poori nahi hai.
Jab banda kehta hai ALHAMDU LILLAHE RABUL AALAMEEN tou ALAH farmaata hai MERE BANDE NE MERI TAREEF KI. Phir banda kehta hai ARRAHMAAN ARRAHEEM tou ALLAH farmaata hai MERE BANDE NE MERI SANA BAYAAN KI. Phir banda kehta hai MAALIKE YAUME DEEN tou ALLAH farmaata hai MERE BANDE NE MERI BUZURGI BAYAAN KI, baaz riwaayaton mein hai k ALLAH TALLAH iske jawaab mein farmaata hai k MERE BANDE NE KHUD KO MERE SUPURD KAR DIYA. Phir banda kehta hai IYAAKA NABUDU WA IYAAKA NASTAEEN tou ALLAH farmaata hai YE HAI MERE AUR MERE BANDE KE DARMIYAAN AUR MERA BANDA MUJHSE JO MAANGE GA MAIN DOONGA. Aur phir banda WALA ZAALEEN tak padhta hai. ALLAH farmaata hai YE SAB MERE BANDE KE LIYE HAI AUR YE JO MAANGEGA WOH ISKE LIYE HAI.
Hazoor (saw) ne farmaaya jab tum bistar par laito tou SURAH FATIHA aur QUL HUWA ALLAH padh lo tou maut k siwa har cheez se aman mein aajaaoge.
DUAAON KI TALABGAAR…………………………………� �
Reply

Hey there! Looks like you're enjoying the discussion, but you're not signed up for an account.

When you create an account, you can participate in the discussions and share your thoughts. You also get notifications, here and via email, whenever new posts are made. And you can like posts and make new friends.
Sign Up

Similar Threads

  1. Replies: 2
    Last Post: 07-19-2019, 07:14 AM
  2. Replies: 2
    Last Post: 01-24-2014, 12:41 PM
  3. Replies: 0
    Last Post: 07-09-2006, 10:15 PM
British Wholesales - Certified Wholesale Linen & Towels | Holiday in the Maldives

IslamicBoard

Experience a richer experience on our mobile app!