/* */

PDA

View Full Version : Ramzaan,roza



saira_parveen
09-02-2008, 07:54 PM
BISMILLAHE ARRAHMAAN ARRAHEEM
ALLAH TALLAH QURAN MEIN FARMAATA HAI: “KYA YE LOG QURAAN MEIN GAUR NAHI KARTE YAA (IN KE) DILON PAR KUFUL PADEY HUE HAIN? [SURAH-MOHAMMAD, AYAH-24].

QURAN ALLAH ki taraf se hum insaano k liye naazil kya gaya taake hum ise padh kar khuda k ahkaamaat jaan saken aur phir unpar amal karsaken. Aik musalmaan hone ki haisiyat se hum sab ka aqeeda hai k islaam aik mukamal zaabita-e-hayaat hai. Lekin is pukhta aqeede k baawajood hum log “is mukamal zabita-e-hayaat” ke asal sir chashme yaani quran hakeem ki asal rooh tak pohanchne se qaasir rehte hain.
Aaj se main quraani aayaat ka tarjuma , jo k kisi aik topic se related hongi post kya karoongi, istaraah hum aasaani se ye jaan sakte hain k ALLAH ne apne kalaam mein kisi bhi makhsoos mozu (topic) k baare mein kya ahkaamaat diye hain. Ramzaan ka ba-barkat maheena shru hochuka hai isliye main aaj isi topic k baare mein quraani aayaat send kar rahi hoon. PLZZZ meri is koshish mein mera saath dein aur meri in posts ko jistarah mumkin hosake, mails k through ya kisi bhi tareeke se doosrey logon tak pohanchaayein, taake ye dunya k har insaan tak pohanch jaayein……………ALLAH AAPKO IS KA AJAR ZAROOR DEGA…………….AAMEEN

RAMZAAN

1. (Rozon ka maheena) Ramzaan ka maheena (hai) jisme quran (awal awal) naazil hua jo logon ka rehnuma hai aur (jismein) hidaayat ki khuli nishaaniaan hain aur (jo haq o baatil ko) alag alag karne waala hai.

2. Tou jo koi tum mein se is maheene mein maujood ho chaahiye ke poore maheene ke roze rakhe. [ surah-al baqara, ayah-185]

ROZA

1. Momino! Tum par rozey farz kiye gaye hain jis tarah tumse pehle logon par farz kye gaye the taake tum parhezgaar bano. (rozon ke din) ginti ke chand roz hain tou jo shaks tum mein se beemaar ho yaa safar mein ho tou doosrey dino mein rozon ka shumaar poora karle aur jo log roza rakhne ki taaqat rakhen (lekin rakhein nahi) woh roze k badle mohtaaj ko khaana khilaadein. Aur jo koi shok se naiki kare tou uske haq mein zyada acha hai aur agar samjho tou roza rakhna hi tumhaare haq mein behtar hai.
(Rozon ka maheena) Ramzaan ka maheena (hai) jisme quran (awal awal) naazil hua jo logon ka rehnuma hai aur (jismein) hidaayat ki khuli nishaaniaan hain aur (jo haq o baatil ko) alag alag karne waala hai tou jo koi tum mein se is maheene mein maujood ho chaahiye ke poore maheene ke roze rakhe aur jo beemaar ho yaa safar mein ho tou doosrey dino mein (rakh kar) unka shumaar poora karle KHUDA tumhaare haq mein aasaani chaahta hai aur sakhti nahi chaahta. Aur (ye aasaani ka hukum) isliye (dya gaya hai) k tum rozon ka shumaar poora karlo aur is ehsaan ke badle k khuda ne tumko hidaayat bakhshi hai tum usko buzurgi se yaad karo aur uska shukar karo. [surah-Al baqara, ayah 183-185]

2. Aur khuda (ki khushnoodi) ke liye haj aur umrey ko poora karo. Aur agar (raste mein ) rok liye jaao tou jaisi qurbaani mayasar ho (kardo) aur jab tak qurbaani apne makaam par na pohanch jaaye sir na mudaao. Aur agar koi tum mein se bemaar ho yaa uske sir mein kisi tarah ki taqleef ho. Tou agar woh sir mundaale tou uske badle rozey rakhe ya sadqa de ya qurbaanni karey. Phir jab (taqleef door hokar ) tum mutmaeen hojaao. Tou jo(tum mein) haj ke waqt tak umrey se faaida uthaana chaahe woh jaisi qurbaani mayasar ho karey. Aur jisko (qurbaani) na miley woh teen rozey ayaam-e-haj mein rakhe aur saat jab waapis ho. Ye poore das hue. Ye hukum us shaks ke liye hai jiske ahl-o-ayaal Makkey mein na rehte hon aur khuda se darte raho aur jaan rakho k khuda sakht azaab dene waala hai. [surah-baqara]

3. Aur kisi momin ko shaayaan nahi ke momin ko maar daale magar bhool kar. Aur jo bhool kar bhi momin ko maar daale tou (aik tou) aik musalmaan gulaam aazaad karde aur (doosrey) maqtool ke waarison ko khoonbaha de. Haan agar woh maaf kardein (tou unko ikhtiaar hai) agar maqtool tumhaare dushmano ki jamaait mein se ho aur woh khud momin ho tou sirf aik musalmaan ghulaam aazaad karna chaaiye aur agar maqtool aise logon mein se ho jin mein aur tum mein sulah ka ahad ho tou waarisaan-e-maqtool ko khoonbaha dena aur aik musalmaan ghulaam azaad karna chaaiye aur jisko ye mayasar na ho woh mutawaatar do maheeno ke rozey rakhe ye (kufaara) khuda ki taraf se (qabool ) tauba (ke liye) hai aur khuda sab kuch jaanta (aur) badi hikmat waala hai.[surah- alnisa,ayah-92]

4. Khuda tumhaari be iraada qasmon par tumse muwaakhiza nahi karega lekin pukhta qasmon par (jin ke khilaaf karoge) muwaakhiza karega tou iska kufaara das mohtaajon ko ausat darjey ka khaana khilaana hai jo tum apne ahl-o-ayal ko khilaate ho ya unko kapde dena ya aik ghulaam azaad karna. Aur jisko ye mayasar na ho woh teen rozey rakhe. Ye tumhaari qasmon ka kufaara hai jab tum qasam khaalo (aur use tod do) aur (tumko) chaaiye ke apni qasmon ki hifaazat karo. Istarah khuda tumhaare (samjhaane k) liye apni aayatein khol khol kar bayaan farmaata hai taake tum shukar karo. [surah-al maaida, ayah-89]

5. Momino! jab tum ahraam ki haalat mein ho tou shikaar na maarna. Aur jo tum mein se jaan boojh kar use maare tou (yaa tou iska) badla (de aur woh hai ke) isi tarah ka chaarpaaya jise tum mein se do moatabar shaks muqarar kardein (karey aur ye qurbani) kaabe pohanchaai jaaye yaa kufaara (de aur woh) miskeeno ko khaana khilaana (hai) ya is ke baraabar rozey rakhe taake apne kaam ki saza (ka maza) chakhey (aur) jo pehle hochuka woh khuda ne maaf kardiya aur jo phir (aisa kaam) karega tou khuda us se intakaam lega. Aur khuda gaalib (aur) intakaam lene waala hai.[surah-Al maaida, ayah-95]

Plzzz jitna hosake apni zindagi ko khuda k ahkaamaat ke mutaabik guzaarein, q k zindagi hamaare liye sirf aik imtihaan hai,hamein tou apna sab kuch chod ke aik din qabar mein jaana hai. Hum na apne saath kuch laaye the, na kuch leke jaayenge. Hamaare saath jaayeinge tou sirf hamaare aimaal. Ye zindagi QURAN o HADEES k mutaabik guzaarne ki koshish Karen……………………………TAALIB-E-DUA
Reply

Login/Register to hide ads. Scroll down for more posts
fuzalert
09-03-2008, 04:43 AM
Jazak'allah and shukriya for posting this sister :)
Reply

Hey there! Looks like you're enjoying the discussion, but you're not signed up for an account.

When you create an account, you can participate in the discussions and share your thoughts. You also get notifications, here and via email, whenever new posts are made. And you can like posts and make new friends.
Sign Up

Similar Threads

  1. Replies: 0
    Last Post: 04-25-2011, 10:38 AM
  2. Replies: 1
    Last Post: 11-14-2010, 09:14 PM
  3. Replies: 4
    Last Post: 09-04-2008, 10:21 PM
  4. Replies: 17
    Last Post: 10-10-2007, 03:00 PM
  5. Replies: 3
    Last Post: 10-05-2007, 01:46 PM
British Wholesales - Certified Wholesale Linen & Towels | Holiday in the Maldives

IslamicBoard

Experience a richer experience on our mobile app!