/* */

PDA

View Full Version : Ibtala wa aazmaaish



saira_parveen
09-05-2008, 10:54 AM
:sl:
IBTALA WA AAZMAAISH
1. Aur hum kisi qadar khauf aur bookh aur maal aur jaano aur mewon ke nuqsaanaat se tumhaari aazmaaish karenge tou sabar karne waalon ko (KHUDA ki khushnoodi ki) bashaarat suna do. Un logon par jab koi museebat waake hoti hai tou kehte hain k hum KHUDA hi ka maal hain aur usi ki taraf laut kar jaane waaley hain. Yahi log hain jin par unke parwardigaar ki meharbaani aur rehmat hai, aur yahi seedhe rastey par hain. [surah-albaqara, ayah-155-157]

2. Kya tum ye khayaal karte ho ke (yun hi) behshat mein daakhil ho jaaoge aur abhi tumko pehle logon ki si (mushklein) tou paish aai hi nahi. Unko (badi badi) sakhtiaan aur taqleefein pohanchi aur woh (suobaton mein) hila diye gaye. Yahan tak ke paigamber aur momin log jo unke saath the sab pukaar uthe k kab KHUDA ki madad aayegi. Dekho KHUDA ki madad (an) qareeb (aaya chaahti) hai.[surah-al baqara,ayah-214]

3. (Ae ahl-e-eemaan) tumhaare maal wa jaan mein tumhaari aazmaaish ki jaayegi aur tum ahl-e-kitaab se aur un logon se jo mushrik hain bohat si eeza ki baatein sunoge. Tou agar sabar aur parhezgaari karte rahoge tou ye badi himat ke kaam hai.[ surah_Aal imraan, ayah-186]

4. KHUDA gumraah karna chaahe tou iske liye tum kuch bhi KHUDA se (hidaayat ka ) ikhtiaar nahi rakhte. Ye woh log hain jinke dilon ko KHUDA ne paak karna nahi chaaha. Unke liye dunya mein bhi zilat hai aur aakhirat mein bhi bada azaab hai. [surah-al maaida,ayah-41]

5. Momino! Kisi qadar shikaar se jinko tum haathon aur naizon se pakad sako khuda tumhaari aazmaaish karega (yaani haalat-e-ahraam mein shikaar ki mamanat se) taake maaloom karey ke us se gaaibaana kaun darta hai tou jo uske baad ziyaadati karey uske liye dukh dene waala azaab (tayar) hai.[surah-al maaida,ayah-94]

6. Aur hum ne tumse pehle bohat si umaton ki taraf paigamber bheje. Phir (unki naa farmaaniyo k sabab) hum unhe sakhtion aur taqleefon mein pakadte rahe taake aajizi Karen. Tou jab unpar hamaara azaab aata raha kyun nahi aajizi karte rahe. Magar unke tou dil hi sakht hogaye the aur jo kaam woh karte the shaitaan unko (unki nazron) mein aaraasta kar dikhaata tha.[surah-al inaam,ayah-42,43]

7. Aur wahi tou hai jisne zameen mein tumko apna naaib banaaya aur aik ke doosrey par darjey buland kiye taake jo kuch usne tumhein bakhsha hai us mein tumhaari aazmaaish karey beshak tumhaara parwardigaar jald azaab dene waala hai aur beshak woh bakhshne waala meharbaan bhi hai.[surah-al inaam,ayah-165]

8. Aur jaan rakho k tumhaara maal aur aulaad badi aazmaaish hai aur ye ke HUDA ke pass (naikion ka) bada sawaab hai. [surah-anfaal,ayah-28]

9. Kya ye dekhte nahi ke ye har saal aik yaa do bar balaa mein phansa diye jaate hain phir bhi tauba nahi karte aur na naseehat pakadte hain. [surah-al tauba,ayah-126]

10. Tou woh bole ke hum khuda hi par bharosa rakhte hain Ae hamaare parwardigaar hum ko zaalim logon ke haath se aazmaaish mein na daal. Aur apni rehmat se qaum-e-kufaar se nijaat bakhsh.[surah-yoonus,ayah-85,86]

11. Aur jo cheez zameen par hai hum ne isko zameen ke liye aaraaish banaaya hai taake logon ki aazmaaish karein ke un mein kaun ache amal karne waala hai.[surah-al kahf,ayah-7]

12. Aur kai tarah ke logon ko jo humne dunya ki (zindagi mein) aaraaish ki cheezon se behraa-mand kya hai taake unki aazmaaish karein un par nigaah na karna. Aur tumhaare parwardigaar ki (ataa farmaai hui) rozi bohat behtar aur baaki rehne waali hai.[surah-taaha,ayah-131]


13. Har mutanafs ko maut ka maza chakhna hai. Aur hum tum logon ko sakhti aur aasoodgi mein aazmaaish ke taur par mubtala karte hain. Aur tum hamaari taraf hi laut kar aaoge.[surah-anbiya,ayah-35]

14. Aur logon mein baaz aisa bhi hai jo kinaare par (khada hokar) khuda ki ibaadat karta hai. Agar usko koi (dunyaawi) faaida pohanche tou uske sabab mutmaeen hojaaye aur agar koi aafat padey tou mun ke bal laut jaaye (yaani phir kaafir hojaaye) usne dunya mein bhi nuksaan uthaaya aur aakhirat mein bhi yahi tou nuksaan sareeh hai.[surah-al haj,ayah-11]

15. Kya log ye khayaal kye hue hain ke (sirf) ye kehne se ke hum eemaan le aaye chod diye jaayenge aur unki aazmaaish nahi ki jaayegi. Aur jo log unse pehle hochuke hain humne unko bhi aazmaaya tha (aur inko bhi aazmaayein ge) so khuda unko zaroor maaloom karega jo (apne eemaan mein) sache hain aur unko bhi jo jhoote hain. [surah-al ankaboot,ayah-2,3]

16. Jab insaan ko taqleef pohanchti hai tou hamein pukaarne lagta hai. Phir jab hum usko apni taraf se naimat bakhshte hain tou kehta hai ke ye tou mujhe (mere) ilm (wa daanish) ke sabab mili hai. (nahi) balke woh aazmaaish hai magar un mein se aksar nahi jaante. Jo log unse pehle the woh bhi yahi kaha karte the tou jo kuch woh kya karte the unke kuch kaam bhi na aaya. Un par unke aimaal ke wabaal pad gaye. Aur jo log in mein se zulm karte rahe hain un par unke amalon ke wabaal anqareeb padenge. Aur woh (khuda ko) aajiz nahi karsakte.[surah-al zamar,ayah-49’51]

17. Woh (KHUDA) jiske haath mein baadshaahi hai badi barkat waala hai aur woh har cheez par qaadir hai. Usi ne maut aur zindagi ko peda kya taake tumhaari aazmaaish karey ke tum mein kaun ache kaam karta hai. Aur woh zabardast (aur) bakhshne waala hai usne saat aasmaan ooper talley banaaye.[surah-al mulk,ayah1,3]

18. Magar insaan (ajeeb makhlooq hai ke) jab uska parwardigaar usko aazmaata hai ke use izat deta aur naimat bakhshta hai. Tou kehta hai ke (aaha) mere parwardigaar ne mujhe izat bakhshi. Aur jab (doosri tarah) aazmaata hai ke us par rozi tang kardeta hai tou kehta hai ke (haaye) mere parwardigaar ne mujhe zaleel kiya.[surah-al fajr,ayah-15’16]

PLZZZZZ IN QURAANI AAYAAT KE TARJUME KO MAILS KE THROUGH APNE FRIENDS KO ZAROOR SEND KAREIN TAAKE YE DUNYA KE HAR INSAAN TAK POHACH SAKEN.THXXXXXXXXXX
Reply

Login/Register to hide ads. Scroll down for more posts
era
09-06-2008, 02:14 AM
:sl:
سسٹر آپ اپنی تحریراردو کیبورڈ کے ذریعہ اردو میں کیوں نہیں لکھتیں?۔

اس سےتحریر پڑھنے میں آسانی ہوگی۔
Reply

saira_parveen
09-06-2008, 09:07 PM
:w:
thx dear 4 ur advice but my sis main apni tehreerein isi tarah send karsakti hoon, i have some problem n another thing mere khayaal mein ye zyada behtar bhi hai q k kai indian muslim urdu nhi samajh paate so unke liye aise hi convinient rahega, baaki pakistani logon k liye tou ye waise hi easy hai...........thx once again my dearest sis 4 ur advice. ALLAH BLESS U ALWAAAYSSSS.
Reply

era
09-08-2008, 02:13 PM
theek hay sister jaysay aap ki sahulat:)
Reply

Hey there! Looks like you're enjoying the discussion, but you're not signed up for an account.

When you create an account, you can participate in the discussions and share your thoughts. You also get notifications, here and via email, whenever new posts are made. And you can like posts and make new friends.
Sign Up
British Wholesales - Certified Wholesale Linen & Towels | Holiday in the Maldives

IslamicBoard

Experience a richer experience on our mobile app!