/* */

PDA

View Full Version : Hiragana main char tara ki aawazain



maqsood hasni
01-30-2009, 02:59 PM
HIRAGANA MAIN CHAR TARA KI AAWAZAIN
Hiragana Main char tara ki aawazoon say kaam chalaya jata hai:
1- Mustaqil
2- Azafi
3- Munslik
4- Mutradif
Bunyadi aawazain
K, s, t, n, h, m, y, r, w
g, z, d, b, p 14
J 01
h kay hawala say f yaeni fu 01
(c) ch kay hawala say chi, cha, chu, cho 01
Total 17
Azafi aawazain:
h marakab ho kar chay kay hawalah say mustamal hai.
Chay Angraizi ki b’qaedah aawaz nahain hai. Angraizi main bhi c, h say marakab ho kar chay ki aawaz paida hoti hai ta’hum ch Kaaf ki bhi aawaz daiti hai. Yah Angraizi ka apna zati rovaeyah/chalan nahain hai.
Angraizi main c seen ki aawaz bhi daiti hai.
Garman main ch, khay aawaz paidah karti hai (Munich, Zalicha, nicht). yah andaz aur lisani asloob-o-ravaeya Angraizi main mojood nahain.
Ba’az oqaat japani lafzoon kay lambay hijoon par etraz kiya jata hai, yah bila’wajah nahain. Es ka sabab lazoon main vowels kay estamal ki bohtaat hai jab’kah vowels aawazoon kay lehja kay lamba aur onch nich ka mujab bantay hain. Yah’hi nahain vowels aawazoon ko harkat bhi daitay hain.
Japani (Hiragana) main vowel kay estamal ki suratain kuch yoon hain:
K- a, i, u, e, o
S- a, u, e, o,i,
mufrad aaawaz s kay sath estamal nahain hota balkah dohri/marakab aawaz sh kay sath estamal hota hai. Maslan shi
T- a, e,o
Jahaan vowel i kay estamal ki zarorat paish aati hai wahaan t, ch main badal jata hai. Dohri/marakab aawaz ch kay sath i ka estamal hota hai. Maslan chi
u mufrad aawaz t kay sath estamal nahain hota balkah dohri aawaz ts kay sath estamal hota hai. maslan tsu
N- a, i, u, e, o
n mufrad bhi estamal main aata hai.
Bawar rahay n ki aawaz khasusi tovajo chahiti hai:
1. t, ts d, n, ch, j say pehly aa ja’ay to n ki aawaz daita hai.
2. p, b, m say pehlay estamal ho to m ki aawaz paida karta hai.
3. k, g say pehlay estamal ki surat main ng ki aawaz daita hai.
4. Lafaz kay aakhar main aa ja’ay to French n ki se aawaz daita hai. Maslan
Pain ba’maeni bread
H- a, i, e, o
H kay sath u aanay ki Surat main h ki aawaz f main tabdeel ho jati hai. Hu ki baja’ay aawaz fu estamal main aa’ay gi.
M- a, i, u, e,o
Y- a, u, o
W- i
W, o ki aawaz bhi paida karta hai.
Wi, we
G- a, i, u, e, o
Z- a, u, e, o
i kay estamal ki surat main z, j main tabdeel ho jata hai. Maslan zi ki baja’ay ji
D- a, u, e, o
i ki surat main d, j main tabdeel ho jata hai. Maslan di day ji
B- a, i, u, e, o
P- a, i, u, e, o
Dhori/marakab aawazoon ki surat main dusri aawaz kay sath vowel ka estamal kush es tara say hota hai. Maslan
Ky- a, u, o
Gy- a, u, o
Sh- a, u, o
Ch- a, u, o
Hy- a, u, o
Ph- a, u, o
Ry- a, u, o
Ny- a, u, o
By- a, u, o
My- a, o
My kay sath u mustamal nahain.
Vy- a, u, o
Sh- e
Ch- e
t- i, u
ts- a, i, e, o
d- i, u
Dy- u
J e
F a, i, e, o
u kay estamal ki surat main f, fy ban jata hai.
Y e
i, e, o kay estamal ki surat main y ki aawaz w main tabdeel ho jati hai.
Reply

Hey there! Looks like you're enjoying the discussion, but you're not signed up for an account.

When you create an account, you can participate in the discussions and share your thoughts. You also get notifications, here and via email, whenever new posts are made. And you can like posts and make new friends.
Sign Up

Similar Threads

  1. Replies: 2
    Last Post: 03-30-2020, 07:08 AM
  2. Replies: 3
    Last Post: 01-30-2009, 03:03 PM
  3. Replies: 0
    Last Post: 01-30-2009, 02:24 PM
  4. Replies: 16
    Last Post: 01-10-2009, 02:57 PM
  5. Replies: 2
    Last Post: 11-20-2008, 06:46 PM
British Wholesales - Certified Wholesale Linen & Towels | Holiday in the Maldives

IslamicBoard

Experience a richer experience on our mobile app!