/* */

PDA

View Full Version : Eak zamini haqeqat



maqsood hasni
01-30-2009, 03:17 PM
EAK ZAMINI HAQEQAT

Bawarchi’khana zindgi kay liay back bone ki hasiat rakhta hai. Acha khana sehhat kay liay bohat zarori hai. Achi sehhat ki surat main behtar kar’gozari ki tovaqo ki ja sakti hai. Bimar kamzoor aur moashi fikar ka hamil jism kuch bhi nahain kar sakta.. Es qesam kay log munfi rawash hi ekhtayar karain gay. Lihaza bawarchi khanay ki behtari ko kisi bhi hawala say nazar’andaz nahain kiya ja sakta kayon’kah yah fitri zarorat kay darjay par faez hai.

Taleem kisi bhi qoom kay liay bawarchi khanay say kisi tara kaam nahain. Es ki taraqi aur sehhat’mandi kay hawala say bari bari batain ki gaein likin amli toor par es par garay hi barsatay rahay hain. Es ki taraqi Urdu zoban ki taraqi say mamasil hai. Allah tawaqal hi sab chal raha hai aur janay kab tak essi tara chalta rahay. Taleem chay anasar say nathi hai:

a- Nasab-e-Taleem
• Yah mazhabi firqoon ki tara taqseem ka shaker hai aur her firqay ki apni
apni tajihaat aur manazal hai hain.

b- Moalam
• Kami kamein say ziyada hasiat ka hamil nahain.
• Taraqi bari par hoti hai aur bari 20-20 saal aanay ka naam hi nahain laiti.
• Tehqeeq ka koe kaam nahian ho raha jo ho raha hai ziyada’tar z class hai
• Aisay maqaloon par bhi tehqi digriaan jari hoti hain jin par BA ki digri bhi jari hona jurm say kam nahain.
• Salana taraqi saal bher kay kaam kay hawala say milni chahiay. kaam karnay walay aur na’kamkarnay walay barabar samjay jatatay
• Promotion miyari mulki aur gher mulki parchoon main shaya honay walay maqaloon ki bunyad par honi chahiay
• Maqalay ki asha’at par increment milni chahiay
• Ustad ko moashi fiqar say aazad kiya ja’ay ta’kah woh diljami say tadress ka fariza sar anjam day
• Tadress aur tehqeeq doo alag shobay ho jaein to acha rahay ga.
c- Imtahani Nazam
intahae naqas hain, qaba-e-rehum
d- Paper Marking
• kuch na pochain, muchli mandi ki halat shaed es say khaein achi aur beh’tar ho gi.
• Marking kam Qatal-e-aam ziyada hota hai.
e- Madri/Qomi zoban main taleem
• Hamaray haan angraizi ko taraqi ka zariya samjh liya giya hai. Halankah angraizi kabhi hazam nahain ho saki.
• Taleem to aaghi kay liay hoti hai kha wo kisi bhi zoban main ho.

Kaha jata hai hum mughrab kay bagher taraqi nahain kar saktay, es say ziyada ghalt baat shaed hi koe ho gi. Bazaar dokan aur karid’dar say chalta hai. Maghrab agar dokan hai to hum kharidar. Khari’dar na ho ga to dokan kholi kis tara reh sakti hai. Aabadi kay hawala say hum ziyada hain. Hamari zaroratain ziyada hain. Lihaza hum say bara kharidar koon ho ga. Agar hamain angraizi ki zarorat hai to mughrab ko Hindustani (Urdu+Hindi) sikhnay ki zarorat hai. Hum hain kah bichay chalay jatay hain. Goya taleem madri/qomi zoban main honi chahiay. Es say shara khangi main azafa ho sakay ga.
Dusra Hindustani (Urdu+Hindi) angraizi say kahein lisani hawala say bari aur barker zoban hai. Jo koe es hawala say baat karna chahay kar lay. Mein her waqt aur her jaga hazar hoon.
f- Mahool
talimi adaroon ki amaratain baroon kay ghadoon ghoroon aur kotoon
ki rahaesh’gahoon say bhi 1000 gona bad’tar hai. Sarway kar daikhain
sharam aur parishani say aap mar jaein gay. Big houses bai’tahasha kharchay
ki kiya zarorat hai.

Zimni baat
Roshni taleem kay hawala say bari aham zarorat aur es ka kiya hal hai, sab khoob jantay hain. Haspataloon main bijli band hoti hai jahaan zindgi kay liay midan laga hota hai. Kiya kabhi big houses main bijli gae hai??????????????????????????????????????????
wahan soda bazi aur qoonm say mazaq kay siwa kiya hota hai??????????????????????

Agar basar-e-eqtadar tabqa es qoom aur mati say mukhlas hai to zabani kalmi ki baja’ay amli toor par taleem ki taraqi ki janib tovajo day.
Darj-e-bala batain talkh sahi likin zamini haqeqat yahhi hai.
Reply

Hey there! Looks like you're enjoying the discussion, but you're not signed up for an account.

When you create an account, you can participate in the discussions and share your thoughts. You also get notifications, here and via email, whenever new posts are made. And you can like posts and make new friends.
Sign Up
British Wholesales - Certified Wholesale Linen & Towels | Holiday in the Maldives

IslamicBoard

Experience a richer experience on our mobile app!