/* */

PDA

View Full Version : Urdu: 12 Rabi-ul-Awwal ka manana kasa hai



KashifB
04-21-2009, 09:59 PM
:sl:

Please watch the video by following the link below. I'd like to know if someone has any answers to the speakers points. Not that the speaker is speaking in Urdu.

http://www.youtube.com/watch?v=hq7YUynBi2o

:w:
Reply

Login/Register to hide ads. Scroll down for more posts
KashifB
04-22-2009, 07:24 PM
Anyone? :bump1:
Reply

chacha_jalebi
04-22-2009, 08:36 PM
lol

"mufti" saab kehte hain, ke kya sahaba ne chocolate ya biryani kahi thi? aur kehta hai, to phir bi bidah hogayi? puch na chahiye is "mufti" se, ke is logic se "mufti" saab, app khud bidah kar rahain hai, isliye app ne recording ki hai, aur sahaba ne recordins nahi ki thi:D

yehi aadmi hotey hain, jo teen char kitabey par ke, apne aap ko mufti kehne lag te hain :p

kullu bidaahtin dhala3laa wa qulla dha3la3tin fin naar, iska matlab hain ke har bidah zalalat hain, aur har zalalat jahannam mein hain, aur bidah ka kya matlab hain, ek nahi cheez leke aana, aap kohi nahi cheez islaam mein nahi leke aa saktey, isliye Allah (Swt) kehte hain surah al maidah mein, ke deen muqammal hogeya hain:D, to agar deen mukammal hogeya hain, aur complete hain, hum kaun hotey hain, isme kohi cheez add karey ya nikaley, so hum kohi nahi bidah deen mein nahi kar saktey but agar app apni zindagi mein bidah karey toh zabardast :p eg. agar app padal chalne se drive karte hain, iss mein kohi problem nahi hai!

anyway yeh "mufti" ne bacho ka jawaab diya hain, aur iski kohi sahi daleel nahi hai, RasoolAllah (saw) ki hadiths hain "mere baad mere jo baad mein aaye ge, unko follow karna" aur RasoolAllah (Saw) ke baad, khulafa e rashideen aaye te, aur kohi khulafa e rashideen, ya kohi sahabi, tabieen, ya taba tabieen, ne eid e milad un nabi nahi celebrate ki, aur nabi (saw) ne khud celebrate nahi ki, to iska matlab huwa yeh bidah hain! oooo yeah my urdu :p
Reply

KashifB
04-22-2009, 09:57 PM
format_quote Originally Posted by chacha_jalebi
..."mufti" saab kehte hain, ke kya sahaba ne chocolate ya biryani kahi thi? aur kehta hai, to phir bi bidah hogayi? puch na chahiye is "mufti" se, ke is logic se "mufti" saab, app khud bidah kar rahain hai, isliye app ne recording ki hai, aur sahaba ne recordins nahi ki thi:D
Yehi to woh keh raha hai, key agar sahaba or aaima ne jo kiya woh kerna zaroori hai to masjidoon key gumbad or minaar kis ney banayey, woh to baad main banay thay. To hamaari masjidain us tarha ki honi chahiyien.

Main ney pehley bhi yeh baat suni thi key speaker keh raha tha key masjidain banana to naiky ka kaam hai, to hum woh hi material kiyun nahi istemal kertey jo us zamanay main hota tha. Un ka point yeh hai key jo sahaba ney nahi kiya woh tum bhi to kertey ho aur hamein kehtey ho bidat hai.

Main yeh baat samajhna chahta hoon key masjidein bananey ka taaluq Islaam sey hai, is ko ibaadat bhi kaha ja sakta hai ya sadka jariya bhi kaha ja sakta hai to phir kiya us ki baat sahi nahi key masjidein ab different kiun hain?
Reply

Welcome, Guest!
Hey there! Looks like you're enjoying the discussion, but you're not signed up for an account.

When you create an account, you can participate in the discussions and share your thoughts. You also get notifications, here and via email, whenever new posts are made. And you can like posts and make new friends.
Sign Up
Ibn Abi Ahmed
04-22-2009, 11:05 PM
:sl:

12 Rabiul awwal manana kesa hai? Agar koi hamare purane fuqaha ke kitaabon ku dekhe, chaar madhab me bhi, 'eid ke bare me, uss ko eid al-fitr aur eid al-adha ke baare me chapters milenge, jisme ye fuqaha ne uss do (2) eid ke arkaan samja-e hai, kya karna hai, kya nahi karna hai, Rasoolullah (saw) ne kya kara tha vo din me, uss din ke sunneh kya hai etc. Magar, usse koi arkaan nahi milenge Mawlid ke baare me, na koi discussion. Is ka wajha ye hai, ke ye fuqaha ne Mawlid ku eid nahi samje tha. Agar ye eid al-fitr aur eid al-adha ke barabar hai, aur agar pehle ke muslalmaan ne is din ku manaya tha, to hamare purane fuqaha ne uss ke upar bohoth lik te the, hamku is din (day) ke arkaan bata the te etc.

To dekhe, agar aap ku Mawlid banana hai, to Monday ke din roza rakhi ye. Monday ke baare me Rasoolullah (saw) ku pucha gaya tha, aur us ke bare me bole, jis ka matlab ye hai, "Iss din mai paida huwa tha, aur mujhe wahi nazil hui thi." Sahih Muslim, Kitaab al-Sawm. Hadith 2606.
Reply

KashifB
04-23-2009, 10:59 AM
Main woh masjid key point per wapas ana chahta hoon, buhat sey laug yeh daleel detey hain key masjidoon per gumbad aur minaar kiyon banay gay to kiya yeh bidat naa hui? Akhir masajid banana Islam ka hissa hai.
Reply

Hey there! Looks like you're enjoying the discussion, but you're not signed up for an account.

When you create an account, you can participate in the discussions and share your thoughts. You also get notifications, here and via email, whenever new posts are made. And you can like posts and make new friends.
Sign Up

Similar Threads

  1. Replies: 0
    Last Post: 03-25-2007, 12:03 PM
British Wholesales - Certified Wholesale Linen & Towels | Holiday in the Maldives

IslamicBoard

Experience a richer experience on our mobile app!