/* */

PDA

View Full Version : Koe to os ko samjha'ay



maqsood hasni
06-05-2009, 10:58 AM
Lut janay kay baad hosh aaya to kiya aaya?!
Bokhar koe bimari nahain, kisi bimari ki alamat hota hai. Es baat par tib say motalaq tamam shoboon main etfaaq hai. Haan tanaza es baat par hai kah pehlay bukhar ka alaj kiya ja'ay ya bimari ka koe kamyaab sad-e-baab kiya ja'ay. Faraqeen apnay moaqaf kay liay apnay apnay dalael rakhtay hain.

Asal bimari ko os ki mojoda halat main rakh kar bokhar ka moalja kisi tara danish'mandi nahain. Adviyaat ki taiz raftari say bachnay kay liay asal bimari jism ka koe kamzoor organ talash karkay wahaan daira jama lay gi aur aatay waqtoon main kisi baray roog maslan kansar ka sabab ban ja'ay gi. Os waqt na ja'ay mandan na pa'ay raftan wali baat ho gi. Es hawala say bukhar say pehlay bimari ka moalja hona chahiay. Dard ka moaja haqiqat sahi likin dard say pehlay behtay khoon ki nadi ka rokna az'bas zarori hai.

Mairay samait her koe dehshat'gardi kay toran roknay ki baat karta hai likin yah jo ho raha hai aur es ka hami insaniat ka ghadar hai. Es ka ossay rooz-e-hashar jawab daina paray ga.

Kisi eak shakas ka qatl dar'haqiqat pori insaniat ka qatl hai. Dehshat'gardi kay ma'algein (Doctors) bokhar otarnay kay liay garam say garam adviyaat estamal main la rahay hain. Es tara woh apnay paishay ki toheen kar rahay hain aur ****an kay hath kath potli banay howay hain. Bokhar ka moalja eak lambay choray arsa say pori shad-o-mad kay sath jari hai.
Hath kiya laga hai?

Nakami, na'maradi. yahhi na?!

Her naya din pehlay din say khoof'naak sabat ho raha hai. Hararat main shidat aati chali jati hai. Apni khift mitanay kay liay her marnay walay ko dehshat gard ka naam day di jata hai. Kaha jata hai pehli say ziyada garam dose mayassar ki ja'ay.

Sawal paida hota hai, goli aasman say chalay ya zamein say, wo yah nahain daikhti marnay wala dehshat gard hai ya ghotnoon kay bal chalta howa koe masoon aur fitrat par paida honay wala bacha. Yah wohi bacha hai jis kay liay vaksian estamal main aati hain.

Goli ka kaam zindgi sey mehroom karna hai aur wo apna nahaiat eman'dari say faraz ada karti hai. Hikmat amli teh karnay walay kayoon bhool rahay hain kah jang'ju to morchoon ya hifazti maqamaat par hotay hain jab'kah aam log jin ka khoon kharabay say koe ta'alaq hi nahain hota nishana bantay hain. Aakhir onhain kis jurm main mout kay ghat otara ja raha hai?

En baigonahoon ka koon hisab day ga ya kis say manga ja'ay?

Kisi so-called wadairay kay qatl par dunyaan jahan kay taftishi adray harkat main aa jatay hain. Kochehri-o-kochehri ho jatay hain.

Moalaj kay hathoon qatl honay waloon kay liay koe bolta hi nahain. Es liay keh dehshat'gard keh kar moalaj ossay bhi zehrila tika thook day ga.

Dehshat gard moalaj kay hathoon lakhoon log bai'ghar ho gay hain. En sarkari dehshat gardoon ko koon rokay ga aur kis tara?

Na bolnay walay bhi barabar kay shareek hain. Lagta hai yah hamaisha kay liay dunyaan main aa'ay hain aur inhoon nay jahan chorna hi nahain.

Talwar kay zoor par kabhi kuch howa hai???

Kisi talwaar'baaz moalaj ko dehshat gardi kay bokhar kay moaljay ki zima'dari sonpna gidar ko kachroon ka rakha bhithanay kay mutradaf hai. Yah talwar bardar moalaj ba'zaat-e-khud aman ka vairi hai. Es say bara kar aman ka dushman koon ho ga. Yah jahaan jata hai virani lata hai. faslain barbad karta hai. Phal'dar darakht katta hai. Mahool main aalodgi phalata hai. Asmat'dari kay rekard torta hai. Bai'gonahoon ka bari bairehmi aur bai'dardi say khoon bahata hai jab'kah gona'gar/mujram/dehshat'gard jo alart hota hai, bohat door ja choka hota hai. Es ki sab'acha ki report khud'faraibi say ziyada nahain hoti.

Mein essi liay kehta hoon tikay say hath rook kar pinay ki dawa say afaqay ki surat nikali ja sakti hai. Moaljay nay bukhar ki shidat main her'chand azafa hi kiya hai. Yahhi nahain moalaj ki nadani aur baiwaqofi kay sabab bokhar jo choot ki bimari nahain, choot ki bimari ban gae hai. Moalaj ko na'ay tanazor kay hawala say apna soch badalna ho ga warna koe mahfooz nahain rahay ga. Dunyaan haviya ban kar reh ja'ay gi.

Jab mojoda moaljay say na'kami balkah sharam'naak na'kami hoe hai to es moaljay ka jari rehni kayoon'kar darust aur manasab ho sakta hai. Tarikh kay es khatar'nak moor our hat'dharam moalaj ko koe samjha'ay kah es ka teh karda moalja na'kaam, sharam'naak balkah ba'zaat-e-khud khoof'naak qisam ki dehshat'gardi hai.

Kaam os waqt ban sakay ga jab dehshat'gardi kay sabab ko talasha ja'ay ga. Agar moalaj ko yah maloom hai to woh es janib kayoon nahain aata kah qadmoon kay nishan os kay apnay ghar tak aa jaein gay. Eak ghar kay das logoon main say eak bach rehta hai to kiya os say kheer ki towaqo ki ja sakti hai? Kiya woh pori dunyaan ko jala kar khakistar kar dainay ki bhavna lay kar nahain othay ga? Kiya os shakas ko mujram ka naam daina monasab aur mabni ba'haq ho ga?

Goya yah raad-e-amal jo moalaj (jissay moqadas ga'ay ka darja hasal hai) kay hawala say janam lay rahi hai, main azafa hi hota chala ja raha hai. Dehshat gardi ko khatam karnay ka jawaz lay kar bai'ansafi aur baad'mashi panap rahi hai. Aaj doo amoor ki janib tovajo dainay ki ashad zarorat hai:

1- Bukhar kis bimari kay sabab howa hai, ko talasha ja'ay.
2- Logoon ki rohoon main wazu sajaya ja'ay.

Arwah ko Ganga Jal say ashnaan diya ja'ay. Aab-e-Zamzam kam nahain para aur nahi Ganga abhi khoshak hoe hai. Es Ailophaithik moalaj ko raad karkay Biokaimak moalaj ko moqa diya jana chahiay. Homioon-paithak aur Biokai(Ronaniat/Sufi) waloon kay pas Aab-e-Zamzam bhi hai aur Ganga Jal bhi.

Rohaniat waloon ko apni nadyoon ka rokh UNO main baithay azeem Rohani Paishwa ki janib moor daina chahiay. Khuda kay kay liay koe Gora House kay moqinoon say keh day:

'tumhain apnay talwar bardar moalaj ki sarzanash karni chahiay
warna tomhara yah talwar badar moalaj tomhari moeshat aur moashtat
ko dhimak ki tara chat ka ja'ay ga aur phir Gora House kay moqinoon
ki hadioon ka goda bhi os ka shikam na bhar sakay ga aur tum os
kay monh lagay khoon kay chaskay ka koe hal na nikal sako gay'
Reply

Login/Register to hide ads. Scroll down for more posts
saba muslimah
06-05-2009, 11:17 AM
Kis ko samjhna hai???
Oh not read whole post.... :-)

but nice to read half...
Reply

maqsood hasni
06-05-2009, 05:09 PM
tovajo k liay shukarreya.

koe Gora House kay moqinoon ko samjha'ay:
'tumhain apnay talwar bardar moalaj ki sarzanash karni chahiay
warna tomhara yah talwar badar moalaj tomhari moeshat aur moashrat
ko dhimak ki tara chat ka ja'ay ga aur phir Gora House kay moqinoon
ki hadioon ka goda bhi os ka shikam na bhar sakay ga aur tum os
kay monh lagay khoon kay chaskay ka koe hal na nikal sako gay.'
Reply

Hey there! Looks like you're enjoying the discussion, but you're not signed up for an account.

When you create an account, you can participate in the discussions and share your thoughts. You also get notifications, here and via email, whenever new posts are made. And you can like posts and make new friends.
Sign Up
British Wholesales - Certified Wholesale Linen & Towels | Holiday in the Maldives

IslamicBoard

Experience a richer experience on our mobile app!