/* */

PDA

View Full Version : Shayiri



Pages : 1 [2] 3 4 5 6

------
03-18-2006, 06:38 PM
:sl:

^^ Bohat khoob khayal!

KAASH YEH DIL KAANCH KA BANNA WHA HOTA,
THO TODNE WALE KE DIL ME BHI, ZAKHM AAYA HOTA


:w:
Reply

Login/Register to hide ads. Scroll down for more posts
Khayal
03-18-2006, 06:39 PM
format_quote Originally Posted by Muslimah_Sis
bohot bohot shukria kheyal sis :wub:
:sl:
most welcome dear, :sister:

:w:
Reply

------
03-18-2006, 06:40 PM
:sl:

ITNA TOOTA HOON

Itna toota hoon Kay chhonay se bikhar jaon ga
Ab agar aur dua do gay to mar jaon ga
Pooch kar mera pata waqat raye gaan na karo
Main to banjara hoon kia janay kidhar jaon ga

Phool reh jaien gay fakat gulldanoon ki nazar
Main to khushboo hoon hawaon mein bikhar jaon ga
Zindagi main bhi musafir hon teri kashti mein
Tu jahaan mujh se kahay ge utar jaon ga

Ab agar aur dua do gay to mar jaon ga
Itna toota hoon Kay chhonay se bikhar jaon ga


:w:
Reply

Khayal
03-18-2006, 06:41 PM
:sl:

Bohot shukriya pagal kuri:sister:

Arz hai...


mujhey her kaam sey pehley
sahar sey shaam sey pehley
yehi ik kaam kerna hai
tumhaara naam lainaa hai

:w:
Reply

Welcome, Guest!
Hey there! Looks like you're enjoying the discussion, but you're not signed up for an account.

When you create an account, you can participate in the discussions and share your thoughts. You also get notifications, here and via email, whenever new posts are made. And you can like posts and make new friends.
Sign Up
Khayal
03-18-2006, 06:44 PM
:sl:

Bohot khoob, pagal kuri.:sister:

Jab tum mujh say tang a jao
baizaar ho jao
to aik kaam kerna
apni mohabbat ki tarha
apni nafrat ka bhi
foran ezhaar kerna
kiunkeh main nay apnay dil may
phoolo kay saath
kaanto ki bhi jaga rakhi hai

:w:
Reply

------
03-18-2006, 06:46 PM
format_quote Originally Posted by khayaL


mujhey her kaam sey pehley
sahar sey shaam sey pehley
yehi ik kaam kerna hai
tumhaara naam lainaa hai
:sl:

Wah ji wah kya bat hai..!

Bewafaye Ki Ye Inteha Ho Gaye...

Bewafaye ki ye inteha ho gaye
K tujh se juda ho k jeene ki adat hogaye

Tum laut k aaogay hum se milne
Roz dil ko behlane ki aadat hogaye

Tere waday pe kya bharosa kiya humne
Ke shab bhar tera intezar karne ki aadat hogaye

Khushi me bi hum kya muskurate ke
Teri judayee me rone ki aadat hogaye

Kafile nikal gaye humein chhod ke
Ke...Ab to tanha safar ki aadat hogaye

Har mod par mili gum ki parchhaiyaan
Zindagi se samjhota karne ki adat hogaye

Jante the ke nahi ho sakte kabhi tum hamare
Phir bhi RAB se tujhe maangne ki aadat hogaye

Paiman-e-wafa kya hai hume kya Maloom..
Ke be-wafaaon se dil lagane ki aadat hogaye


:w:
Reply

Khayal
03-18-2006, 06:52 PM
:sl:

Waah pagal kuri bohot khoob. :rose:

mere haar Sanss amnat hai tere yadoon ki...
Toot ki is se zayda main tumhe Cahoon kise...

Arzoo buss tere Parestesh hai...
Dil ki munder main tere Sorat hai...

Haar rawish ,har muqam per ,har dum...
Zindgee ko tere zaroart hai..

:w:
Reply

------
03-18-2006, 06:55 PM
Haar rawish ,har muqam per ,har dum...
Zindgee ko tere zaroart hai..
:sl:

Wah...!

Ye Aap ke liye :p

TUMHAIN AB BHOOL JAIN

Tumhain Abb Bhool He Jain To Acha Hai
Yeh Faslay Our B Barh Jain To Acha Hai

Tumhari Chahatain Hum Ko Nahi Hasil
Too Abb Ghair He Bun Jain To Acha Hai

Humahre To Umer Guzri Hai Teri Chahat Mein
Too Is Aag Main Na Jalay To Acha Hai

Barsoon Say Thi Dua K To Meray Sath Ho
Kehti Hoon Ke Ab Samna Na Ho Tera To Acha Hai

Rehta Tha Teri Muhabbat Ka Saya Humare Sath
Ab To Apni Perchai Bi Na Ho To Acha Hai

Raiza Raiza Ho Chukki Hai Rooh Meri sonu
Kya saath ab chor hi Jaiye To Acha Hai

:w:
Reply

Khayal
03-18-2006, 07:03 PM
:sl:

Shukriya:? lejeay, ye aap ki nazer.:sister:

Har lafaz kitaboon main tera Aakas liee hoi hai...

Ike chand sa Chera hume phirne nahi deta...


aik oooooor.................


Tujh ko chaha hay kitna kabhi gour tou kar
Hum tou apnay bhi kabhi aisay talabgaar na thay

:w:
Reply

------
03-18-2006, 07:06 PM
:sl:

Wah...

Main jaanta hoon wafa ki manzil nahin hay koi
Par is raah say ab palatna acha nahin lagta!!


:w:
Reply

Khayal
03-18-2006, 07:10 PM
:sl:

bhulaataa laakh huu.N lekin baraabar yaad aate hai.n
Ilaahii tark-e-ulfat par wo kyo.nkar yaad aate hai.n


:w:
Reply

------
03-18-2006, 07:13 PM
:sl:

Wah.. Kya baat hai..

Arz kiya hai..


Zamana barey shauq say sun raha tha
hum hee so gayey daastaan kehtay kehtay..!


:w:
Reply

Khayal
03-18-2006, 07:18 PM
:sl:

Waah kia baat hai aap ki..:sister:

lejeay..:sister:

RASTOON pay na baitho kay hawa tang karay gey
Guzray howay har lamhay key sada tang karay gey
Mat toot kay chaho usay aghaz e safar main
Bichray ga tou har aik ada tang karay gey

:w:
Reply

------
03-18-2006, 07:22 PM
:sl:

Kiski ada tang kare gi khayal :p

Na tujh say thi mujhay parstish ki aarzoo
Na kud mujhay tha shauq-i-aqeedat
MaiN tujh maiN dhooNdta phirta tha ik khud_dar mehboob
Aur tumko piyaari thiN apnay purkhoN ki viraasat


:w:
Reply

Khayal
03-18-2006, 07:34 PM
:sl:

hmmm, " choor " ki adaa.....:p:giggling:

Khudaa kare ki muhabbat me.n vo mukaam aaye
kisii kaa naam luu.N lab pe tumhaaraa naam aaye

.........


Lab par saja liyay thay yoonhi ajnabi say naam
Dill main tamam zakham kisey ashna kay thay

:w:
Reply

Snowflake
03-18-2006, 07:38 PM
format_quote Originally Posted by khayaL
:sl:

Bohot khoob, pagal kuri.:sister:

Jab tum mujh say tang a jao
baizaar ho jao
to aik kaam kerna
apni mohabbat ki tarha
apni nafrat ka bhi
foran ezhaar kerna
kiunkeh main nay apnay dil may
phoolo kay saath
kaanto ki bhi jaga rakhi hai

:w:
Zabbardast kheyal sis!
format_quote Originally Posted by Pagal Kuri
Zindagi main bhi musafir hon teri kashti mein
Tu jahaan mujh se kahay ge utar jaon ga
ufffffffffff jaanleva shair pagalkuri :happy:
Reply

------
03-18-2006, 07:38 PM
:sl:

NA KOI GHAM KHAZAN KA HAI NA KHAWAHISH HAI BAHAROON KI
HUMAARE SAATH HAI KHAYAL KISI KI YAAAD KA MOOSAM!!


:w:
Reply

Khayal
03-18-2006, 07:45 PM
format_quote Originally Posted by Pagal Kuri
:sl:

NA KOI GHAM KHAZAN KA HAI NA KHAWAHISH HAI BAHAROON KI
HUMAARE SAATH HAI KHAYAL KISI KI YAAAD KA MOOSAM!!

:w:
:sl:
wow!!! nawazish, karam shukriya.. :wub: :statisfie


dil kii diivaar-o-dar pe kyaa dekhaa
bas teraa naam hii likhaa dekhaa
terii aa.Nkho.n me.n hamane kyaa dekhaa
kabhii qaatil kabhii Khudaa dekhaa
:w:
Reply

Khayal
03-18-2006, 07:48 PM
format_quote Originally Posted by Muslimah_Sis
Zabbardast kheyal sis!





ufffffffffff jaanleva shair pagalkuri :happy:


Adaab, shukriya .......Muslimah_Sis:sister:
Reply

------
03-18-2006, 08:23 PM
:sl:

Mujhey faraib na milta agar sitaaroun say
Main aasmaan k aangan main ghar bana laita..!


:w:
Reply

Khayal
03-18-2006, 08:29 PM
:sl:
Arz hai...:sister:

tumhaiN jab kabhi milaiN fursataiN, meray dil say boojh utaar do
maiN buhut dinooN say udaas hooN, mujhay koi shaam udhar do
mujhay apnay roop ki dhoop do, keh chamak sakaiN meray Khaal-o-Khad
mujhay apnay rang meiN rang do, meray saaray zang utaar do
:w:
Reply

------
03-18-2006, 08:34 PM
:sl:

Arz hai...

Aik mera apna shair..

Dost to tu hai, dosti karke dekha
Jo vaade kiye, woh pure karke dekha
Aise vaade karke youn inse anjaan na hua kar
Agar apni jaan dosti mai hai, to aik baar iss dosti ke liye larke dekha..!

Kaise laga... :?


:w:
Reply

Khayal
03-18-2006, 08:38 PM
format_quote Originally Posted by Pagal Kuri
:sl:

Arz hai...

Aik mera apna shair..

Dost to tu hai, dosti karke dekha
Jo vaade kiye, woh pure karke dekha
Aise vaade karke youn inse anjaan na hua kar
Agar apni jaan dosti mai hai, to aik baar iss dosti ke liye larke dekha..!

Kaise laga... :?

:w:
:sl:

Bohot khoob, bohot acha kehti hi. :rose:

Arz hai....:sister:

Aankh Roye Bhi To AashkoN Ko Chupana Hoga
Zindagi Mujh Ko Tera Sath Nibhana Hoga...



:w:
Reply

------
03-18-2006, 08:40 PM
:sl:

Ye such hai, zindagi ka saath nibhaana parta hai chaahay kuch bhi ho..!

Aik aur mera apna shair..

Teri aawaaz sunne ke liye aik bechaini si hai,
Teri hassi sunne ke liye aik betaabi si hai,
Bas ek nazar tujhe dekh loun
To ye deedaar meri poori zindagi ke liye kaafi hai..!

Kaisa hai... :p


:w:
Reply

Khayal
03-18-2006, 08:55 PM
format_quote Originally Posted by Pagal Kuri
:sl:

Ye such hai, zindagi ka saath nibhaana parta hai chaahay kuch bhi ho..!

Aik aur mera apna shair..

Teri aawaaz sunne ke liye aik bechaini si hai,
Teri hassi sunne ke liye aik betaabi si hai,
Bas ek nazar tujhe dekh loun
To ye deedaar meri poori zindagi ke liye kaafi hai..!

Kaisa hai... :p

:w:

:sl:

Bohot hee khobsoorat, :rose:...................................:sister:

Arz hai

uss rastay sae guzray, tou phir aa gayaa khayal
pehlay pahal nigahaen, mileen theen janab sae

.................
nigahon mein na manzil hai na manzil ka pata koi
bata aey zindagi jaye to phir jaye kahan koi

......................

Yeh raaz us pe abhi munkashif nahin hai ke woh
mere badan ki nahin rooh ki zaroorat hai


:w:
Reply

------
03-18-2006, 08:57 PM
:sl:

Wah..!

Arz kiya hai...

Ham ko mita sake ye zamane men dum nahin
Hum se zamana khud hai zamane se hum nahin

Acha teekh hai ab main jaa rehi hoon kal mileenge inshallah Allah Hafiz


:w:
Reply

Khayal
03-18-2006, 09:00 PM
format_quote Originally Posted by Pagal Kuri
:sl:

Wah..!

Arz kiya hai...

Ham ko mita sake ye zamane men dum nahin
Hum se zamana khud hai zamane se hum nahin

Acha teekh hai ab main jaa rehi hoon kal mileenge inshallah Allah Hafiz

:w:
:sl:

Tkcr....:sister:
ALLAH HAFIZ..:thankyou:

:w:
Reply

Lonely_Boy
03-18-2006, 09:09 PM
:sl:


:w:
Reply

Shadz111
03-18-2006, 09:16 PM
Salamz

Kisi dharkte dil
ke piche zarur koi bat hoti hai
kisi udas dil ke piche kisi ki yad hoti hai
tumhe pata ho n ho
tumhari khushi ke piche hmari dua hoti hai :)
Reply

Khayal
03-18-2006, 09:20 PM
:sl:



ye kya ke sab se bayaan dil kii haalatein karni
'Faraz' tujh ko na aaein muhabbatein karni
..............
yoon to woh meri rag-e-jaan say bhi thay nazdeek tar
aansuon ki dhund mein lekin na pehchaney gaye

:w:
Reply

Lonely_Boy
03-18-2006, 09:30 PM
:sl:


:w:
Reply

Snowflake
03-18-2006, 11:29 PM
MashaAllah nice poems bro
Reply

hidaayah
03-19-2006, 02:25 AM
:sl:
Mashallah I use the first one a lot..read it in our text book..jazakallah khairun..
Reply

a bro
03-19-2006, 04:08 AM
:w:

JAWAN wohi HAI qabeelay ki aankh ka taara
shabab jiska baidagh zarb hay karee
Reply

Lonely_Boy
03-19-2006, 05:02 AM
:sl:


:w:
Reply

------
03-19-2006, 01:15 PM
:sl:



Main ik aansoun hi sahee, houn bohat anmol magar
Youn na palkoun se girraa kar mujhe mitti main mila..!


:w:
Reply

------
03-19-2006, 01:17 PM
:sl:



Aansoun Hassi hassi main nikal aaye kyoun faraaz
Baithe Baithe kounsa ghum yaad aageyaa..?


:w:
Reply

Khayal
03-19-2006, 02:22 PM
format_quote Originally Posted by Pagal Kuri
:sl:



Aansoun Hassi hassi main nikal aaye kyoun faraaz
Baithe Baithe kounsa ghum yaad aageyaa..?

:w:
:sl:

pagal kuri, bohott khoob, or ......?:?

:w:
Reply

------
03-19-2006, 02:24 PM
:sl:



:w:
Reply

Khayal
03-19-2006, 02:25 PM
:sl:

Miley na tu to kisi aur se bhi main na miloon
Mujhe azeez buhat hai teri judai bhi...!


:w:
Reply

Khayal
03-19-2006, 02:27 PM
:sl:

Kitni ajeeb cheez hai majboori-e-hayaat
Maloom hai keh zehr hai per kha raha hoon main


:w:
Reply

------
03-19-2006, 02:28 PM
format_quote Originally Posted by khayaL
:sl:

Kitni ajeeb cheez hai majboori-e-hayaat
Maloom hai keh zehr hai per kha raha hoon main


:w:
Wah kya khoob likha hai..!
Reply

------
03-19-2006, 02:30 PM
:sl:

Bass aik shaam bari khamoshi se toot gaya
Humme jo maan teri dosti main rehta thaa


:w:
Reply

Khayal
03-19-2006, 02:31 PM
:sl:

Shukriya..:sister:



Arz hai...

Mujhko to hosh nahi tumko khabar ho shaid
Log kehtey hain keh tum ne mujhe barbaad kiya!


:w:
Reply

------
03-19-2006, 02:33 PM
:sl:

Wahhh

Ye judaai ke raaste bare door tak gaye hain
Jo gaya phir na aaya – meri baat maan jaao


:w:
Reply

Khayal
03-19-2006, 02:35 PM
:sl:

Chand ke sath kai dard puraney nikley
Kitney gham the jo terey gham ke bahaney nikley!


:w:
Reply

Khayal
03-19-2006, 02:38 PM
:sl:

Waah bohot umdaah.

Yeh mujhe chain kyun nahi parta
Ek hi shakhs tha jahan mein kya:sister:


:w:
Reply

------
03-19-2006, 02:42 PM
:sl:

Bohat khoob..!

Kaash aajaaye mujhe jaan se guzartay dekhe
Uss ki khwaahish thee kabhi mujh ko bikhartay dekhe..!


:w:
Reply

Khayal
03-19-2006, 02:45 PM
:sl:

Waah jawab nahein...:sister:

Kitni nakaam umeedon ke diye pichley peher
Humne darya mein bahaye hain tumhari khatir


:w:
Reply

------
03-19-2006, 02:46 PM
:sl:

Bohat acha laga..!

Kabhi khatam na kiya maine roshi ka mahaaz
Agar chiraag bujha, dil jalaa liya maine.. :love:


:w:
Reply

Khayal
03-19-2006, 02:49 PM
:sl:
Bohot piyara hai shair..:sister:

jhuki jhuki c nigahien ajb ajb se khayal
ajab hai mera tasawar ajab hai un ka jamal


:w:
Reply

------
03-19-2006, 02:51 PM
:sl:

Jamal kya hot hai .. :?

PYAAR BOHUT HAI TUM SE JANA,PER EZHAAR NAHI KARTE
MERI CHUP SE YEH NA SAMAJHNA, TUM SE PYAAR NAHI KARTE


:w:
Reply

Khayal
03-19-2006, 02:54 PM
format_quote Originally Posted by Pagal Kuri
:sl:

Jamal kya hot hai .. :?

PYAAR BOHUT HAI TUM SE JANA,PER EZHAAR NAHI KARTE
MERI CHUP SE YEH NA SAMAJHNA, TUM SE PYAAR NAHI KARTE

:w:
I think Husn , khobsoorti..:sister:

Dil dhoondta hai phir wohi fursat ke raat din
Baithey rahen tassawur-e-janaan kiye hue


'''''''''''''''''''''''''''''
Yeh din raat yeh lamhy mujhy achy laghty hain
tumhien sochoon to sare silsily achy lagtay hain
bohat dour tak chalna phir wohi rahna
mujhy tum se tumhien tak fasily achy lagty hain


:w:


Reply

------
03-19-2006, 02:56 PM
:sl:

Wah ji wah aapne to kamaal kar diya..!

APNI AANKHEIN TU HAR LAMHA,TERI RAAH HI TAKTI HEIN
OR TUM PAGAL YEH KEHTE HO HUM INTIZAR NAHI KARTE


:w:
Reply

Khayal
03-19-2006, 03:02 PM
format_quote Originally Posted by Pagal Kuri
:sl:

Wah ji wah aapne to kamaal kar diya..!

APNI AANKHEIN TU HAR LAMHA,TERI RAAH HI TAKTI HEIN
OR TUM PAGAL YEH KEHTE HO HUM INTIZAR NAHI KARTE

:w:
:sl: ;D

bhot khoob..:sister:

Aji aap pagal tu ham bhi sahi..:p

main samajhta hoon taqadus ko tamaddun ka faraib
tum rasoomat ko eeman banati kiun ho?
jab tumahin mujh say ziada hay zamanay ka khyal
phir meri yaad main yoon ashk bahaati kiun ho


:w:


Reply

------
03-19-2006, 03:04 PM
:sl:

Wah....!! Kya kehne..!

UMAR BHAR LIKHTE REHE PHIR BHEE WARQ SAADA RAHA
JAANAY KYA ALFAAZ THAY JO HUMSE THEHREER NA HUEY


:w:
Reply

Khayal
03-19-2006, 03:06 PM
:sl:

waaah!:sister:

Naya hai shehr, naye aasrey talash karoon
Tu kho gaya hai, kahan ab tujhe talash karoon
Merey wajood se shaid tera suragh miley
Main khud ko bhi terey wastey talash karoon


:w:
Reply

------
03-19-2006, 03:07 PM
:sl:

MAIN KHUD KO BHI TERE WAASTE TALAASH KAROUN
Bohat khoob..!

TUMNE DASTAK HI NAHIN DI, DIL PAR WARNA YE ZINDAGI TUMHARI THEE
MUJH KO YAAD BHI NAHIN SHAAYD. ZINDAGI KISS TARHA GUZAARI THEE…!


:w:
Reply

Khayal
03-19-2006, 03:13 PM
:sl:
Bohot khoob..:sister:

Hawa-e-taza mein phir jism-o-jaan basaney ka
Dareecha kholen keh hai waqt us ke aaney ka!
Kabhi kabhi woh humein be-sabab bhi milta hai
Asar hua nahi hai us per abhi zamaney ka!



:w:
Reply

Khayal
03-19-2006, 03:17 PM
:sl:

Sehra sehra bhatak raha hai
Apney ishq mein sacha chaand!


:w:
Reply

Khayal
03-19-2006, 03:20 PM
:sl:

mazalon ki baat choru kis nay paiin manzalin
ik safer acha laga ik hamsafer acha laga



:w:
Reply

ridaa_islam
03-19-2006, 04:00 PM
ahemm...
quality sher arz hey...

nahi jo waaqif-e rasm-e wafa, wo kya jaane
ke dil ke khoon se jalte hain dosti ke charaagh
:)
Reply

------
03-19-2006, 06:48 PM
:sl:

Jiss din se juda woh hum se hua
Iss dil ne dharakna chorr diya
Hai chand ka moun bhi utra utra
Taaroun ne chamakna chorr diya..!
:X

:w:
Reply

------
03-19-2006, 07:11 PM
:sl:



Ye judaaiyoun ke raaste bardi door tak gaye hain
Jo gaya phir no aaya meri baat maan jaao


:w:
Reply

------
03-19-2006, 07:15 PM
:sl:



Main iss ko soach soach ke patthar si ho gayi
Jaane wo shaks kiss tarha jaadu sa kar gaya... :?


:w:
Reply

------
03-19-2006, 07:39 PM
:sl:

Bohat gunaahgaar kiya tune mujhe
Aik hi lamhe main pyaar kar daala

:w:
Reply

Khayal
03-19-2006, 08:51 PM
:sl:

wow!! pagal kuri butiful sharing..:rose:

DIL mein kitnay ehad bandhay thay bhulanay kai usay
WOH mila to sab ehad toorna accha laga.....:sister:


:w:
Reply

Khayal
03-19-2006, 08:54 PM
:sl:

Main sochti thi tera qurb kuch sakoon de ga
Udaasiyan hain keh kuch aur barh gayein mil kar!:sister:


:w:
Reply

Snowflake
03-19-2006, 08:58 PM
Salam ^wah nice one sis : )

Aik aur mera apna likha hua poem

Mera Ghar

Log kehte hain ke kitna shandaar hai mera ghar

Koi mujh se pooche ke kitna weeran hai mera ghar

Dar-o-deewar se hain lipti tanhaiyaan

Jaise khali makaan hai mera ghar

Bohot shok se kisi ki khatir sajaya tha

Ik matti ka shahekaar hai mera ghar

Sang-e-buniyaad dil ki zameen pe rakhi thi

Magar toote sapnon ka mizaar hai mera ghar

Udaas shaam mein saaya bhi nazar nahi aata

Jaise bhoola hua darbaar hai mera ghar

Koi naksh-e-kadam mere dar pe nahi milta

Go beech bazaar ke hai mera ghar

Koi bhoola hua musafir idher aa nikle

Shayed isi intizaar mein hai mera ghar
~~~~~~~~~~~~~~~

:w:
Reply

Khayal
03-19-2006, 10:16 PM
:sl:

Waah, Muslimag_Sis bohot khoob likhti hein. :rose: :rose::sister:

:w:
Reply

Snowflake
03-19-2006, 11:36 PM
shukria sisso :)
Reply

------
03-20-2006, 10:06 AM
:sl:

Na sajda kiya kissi aur ka, na maanga kuch bhi kissi se
Mohabbat main ay sanam, Tujhko khuda bana baithe..!


:w:
Reply

------
03-20-2006, 10:07 AM
:sl:

Ek humaara waqt hai
Jiska ek pal aapki yaad ke bina nahin jaata
Aur ek aapka waqt hai
Jisme humme yaad karne waala pal hi nahin aata..!


:w:
Reply

------
03-20-2006, 10:09 AM
:sl:

Tumne na yaad kiya bhool kar bhi hamme,
Lekin humne teri yaad mein sab kuch bhulha diya..!:wilted_ro

:w:
Reply

khaledmm123
03-20-2006, 11:21 AM
:sl:
my fav one is



haseen sanp k naqsh vo nigaar khoob sahi
nigah zahar pe rakh khush numa badan pe na ja
Reply

------
03-20-2006, 11:53 AM
format_quote Originally Posted by khaledmm123
:sl:
my fav one is



haseen sanp k naqsh vo nigaar khoob sahi
nigah zahar pe rakh khush numa badan pe na ja

22222222222222 complicated 4 me lolz can u explain it please?
Reply

waji
03-20-2006, 01:35 PM
Asalam u Alikum

Ay Khuda! shekwah e arbab wafa bhi sunn lay
khoogar e Hamd say thura sa gilla bhi sunn lay

next yee
Walikum as Salam
Reply

Khayal
03-20-2006, 06:08 PM
:sl:

ye chahatoon kai dhanak rang ur na jain kahin
khayaal phooloon ka ai sar phiri hawa rakhna


Next ye

:w:
Reply

------
03-20-2006, 07:15 PM
:sl:

Let me make something clear, this is a shayiri thread - NOT a BAIT BAAZI THREAD :heated: - If you want a bait baazi thread to do the above^^^ then please create one but in this thread u cannot say that next is ye, noon, etc.. :rollseyes

Jazakallah :peace:


:w:
Reply

------
03-20-2006, 07:25 PM
:sl:

Kaash iss dosti ki shuruwaat hi na hoti
Mere dil mein tere aane ki aas na hoti
Kyoun apna banaaya jab chorr kar jaana hi thaa mujhe
Kaash meri ye dosti mohabbat mein gumrah hi na hoti.…


:w:
Reply

Khayal
03-20-2006, 07:30 PM
format_quote Originally Posted by Pagal Kuri
:sl:

Let me make something clear, this is a shayiri thread - NOT a BAIT BAAZI THREAD :heated: - If you want a bait baazi thread to do the above^^^ then please create one but in this thread u cannot say that next is ye, noon, etc.. :rollseyes

Jazakallah :peace:

:w:
:sl:

Ufffff, itna ghusa kion?:sister: sab chalta hai:)

lejeeay, arz hai...:sister:

Tark-e-muhabbat uski ada ho aisa bhi ho sakta hai
Woh ab bhi paband-e-wafa ho, aisa bhi ho sakta hai!
Darwazey per dastak sun kar uski taraf kyun dhiyan gaya
Aaney wali sirf hawa ho, aisa bhi ho sakta hai!


:w:
Reply

------
03-20-2006, 07:33 PM
format_quote Originally Posted by khayaL
:sl:

Ufffff, itna ghusa kion?:sister: sab chalta hai:)

lejeeay, arz hai...:sister:

Tark-e-muhabbat uski ada ho aisa bhi ho sakta hai
Woh ab bhi paband-e-wafa ho, aisa bhi ho sakta hai!
Darwazey per dastak sun kar uski taraf kyun dhiyan gaya
Aaney wali sirf hawa ho, aisa bhi ho sakta hai!


:w:
Sis sab nahin chalta lekin jab loug shayri ki thread main bait baazi kartey hain to ye galat hai! Puri thread kharaab ho jaati hai!!

By the way bohat khoob arz kiya aapne..!
Reply

------
03-20-2006, 07:34 PM
:sl:

Kuch haar gayi taqdeer meri kuch toot gaye mere sapne
Kuch duniya ne barbaad kiya kuch loot gaye apne..!


:w:
Reply

Khayal
03-20-2006, 07:39 PM
:sl:
Aray koi gall nai, :sister: or shukriya..:rose:

Arz hai...

Woh ik pagli si larki sochti hai
Yeh dunya gird uske ghoomti hai
Woh chalti hai guzar-gahon pe aise
Hawa pani pe jaise naachti hai


:w:
Reply

------
03-20-2006, 07:50 PM
:sl:

Behta hua har ashk ye kehta hai na jaao
Khamosh nigaahoun ki kasam lout bhi aao
Hum apni zubaan se to bulaa bhi nahin sakte


:w:
Reply

Khayal
03-20-2006, 08:01 PM
format_quote Originally Posted by Pagal Kuri
:sl:

Behta hua har ashk ye kehta hai na jaao
Khamosh nigaahoun ki kasam lout bhi aao
Hum apni zubaan se to bulaa bhi nahin sakte

:w:
:sl:

Aray bula ker tu dekheeay..:p

Koi mausam ho dil mein hai tumhari yaad ka mausam
Keh badla hi nahi jaanan! Tumharey baad ka mausam
Nahi to aazma ke dekh lo kaise badalta hai
Tumharey muskuraney se dil-e-nashad ka mausam!

:w:
Reply

------
03-20-2006, 08:07 PM
:sl:

Wah ji wah..!

Dil jalta hai chup chaap na shoal na dhuaan hai
Hai dard magar kiso bataaein ke kahaan hai
Ye zakhm mohabbat hai – dekha bhi nahin sakte…


Ok Allah Hafiz sister

:w:
Reply

Khayal
03-20-2006, 11:59 PM
:sl:

Bohot khoob..:sister:

Terey hotey hue aa jati thi sari dunya
Aaj tanha hoon to koi nahi aaney wala!


:w:
Reply

Khayal
03-21-2006, 12:05 AM
:sl:

Guzrey hain terey baad bhi kuch log idhar se
Lekin teri khushbu na gayi rah-guzar se!

.....................

Saleeb-e-waqt per main ne pukara tha muhabbat ko
Meri awaz jis ne bhi suni ho gi, hansa ho ga! ;D ;D

......................


Tumhaari yaad ney koi jawaab hi na diyaa
Meray khayaal kay aansoo rahey sadaa daitey

...................

Na dekha jaan ke us ne koi sabab ho ga
Issi khayal se hum dil bura nahi kartey!



:w:
Reply

songinwind
03-21-2006, 12:10 AM
format_quote Originally Posted by habib
:sl:

Meray pyaaray baiyon aur bahano
Yeah thread hai Urdu Shayiri pasand karnay walo kay liyay ..
aap pasand hai yaa nahi aap bhi post kar sakta hai..

mai shuru karta hoon ..

phool mein khusbhoo hoti hain
pathon mein nahin
dosti dil se hoti hai
daulath se nahin

Teri Adalath mein Amanath rakhna
main rahoon ya naa rahoon
mere Maa Baap ko Salamath rakna


Wish I can read it:X
Reply

Sanobar
03-21-2006, 02:19 PM
:sl:
this is one of ma favs!



:w:
Reply

life
03-21-2006, 02:52 PM
*Zindagi kiya hai*

Ye jo Zindagi ki Kitab hai...ye Kitab bhi kiya kitab hai
Kaheen aik haseen sa Khuwab hai...kaheen jaan lewa Azaab hai
Kaheen chaoon hai kaheen dhoop hai...kaheen aur hi koi roop hai
Kaai chehrey is mien chupay huway...aik ajeeb si ye nikab hai
Kaheen kho deya ,kaheen paliya, kaheen ro deya, kaheen galiya
Kaheen cheen leti hai har khushi,kaheen meherbaan be hisab hai
Kaheen ansoo ki hai dastaan,kaheen muskurahatoon ka hai bayan
Kaheen barkatoon ki hian baresheen,kaheen tishnagi behisab hai
Reply

life
03-21-2006, 02:57 PM
format_quote Originally Posted by sanobar
:sl:
this is one of ma favs!



:w:
yeh poem mujhe bhi bahut pasand hain..............have you read other poems of allama iqbal ?His shayri is zabardast:)
Reply

Sanobar
03-21-2006, 03:04 PM
haan ji mujhe bhi allam iqbaal ke poems boht pasand hai! will post some more down..inshAllah!
:)
Reply

Khayal
03-21-2006, 03:14 PM
:sl:

Bohot piyari sharing, life n sanober,:rose: :rose:
Or sanober I m ur sister, :statisfie not Bhai..:brother:

:w:
Reply

Sanobar
03-21-2006, 03:19 PM
[BANANA]oye pata hai yaar! ur a sister justan expression![/BANANA]
Reply

Khayal
03-21-2006, 03:23 PM
format_quote Originally Posted by sanobar
[banana]oye pata hai yaar! ur a sister justan expression![/banana]
:sl:



[pie]firrrrrr........ theek aey:statisfie [/pie]


:w:
Reply

Khayal
03-21-2006, 05:35 PM
:sl:

Sath deta hai kaun manzil tak
Sath chalti hai rahguzar tanha!
Woh jo hansta tha ehl-e-dil pe kabhi
Ro para khud ko dekh kar tanha!


:w:
Reply

ridaa_islam
03-21-2006, 05:38 PM
dis is an all-tym famous sheyr:
khudi ko kar buland itna, ke har taqdeer se pehle

khuda bande se khud puchhe, "bata teri raza kya hey"

isko istemaal karkarke cliche' banadiye hein log...
Reply

ridaa_islam
03-21-2006, 05:43 PM
me too great fan of allama iqbal...
ghulaami me na kaam aati hein
shamsheerein na tadbeerein
jo ho zaoq-e-yaqeen peyda
to kat jaati hein zanjeerein...

powerful sheyr...wats say folks?:)
Reply

ridaa_islam
03-21-2006, 05:49 PM
here's another of my favs:

khudi ki jalwaton me kibriyaai
khudi ki khalwaton me mustafaai
zameen-o-aasmaan-o-kursi wa arsh
khudi ki zadd me hey saari khudaai

:)
Reply

Khayal
03-21-2006, 05:52 PM
:sl:

jee mujhay bhi pasand hein bohot Alama Iqbal. :rose:

One of his....


Reply

ridaa_islam
03-21-2006, 05:52 PM
i find allama iqbal extremely inspiring...he is THE best as far as inspiring poetry goes...uncomparable...:awesome: :rock:
Reply

ridaa_islam
03-21-2006, 05:54 PM
yup sis...u pik out gud ones...:)
Reply

ridaa_islam
03-21-2006, 05:55 PM
hav u read any ash'aar by aamir usmani? he's a great un too
Reply

Khayal
03-21-2006, 05:57 PM
:sl:



Thanx, here is one more.........:sister:






:w:
Reply

ridaa_islam
03-21-2006, 05:58 PM
dis is one by usmani, my fav:
kati hui hein ungliyaan, rabaab dhoondta hoon main
jinhe seher nigal gayi, woh khwaab dhoondta hoon main
Reply

ridaa_islam
03-21-2006, 06:00 PM
^^ it describes the desperate bravado of a person who has lost evrything, but still dares to dream and aim for the highest...i recall dis wenever im low...
Reply

Khayal
03-21-2006, 06:03 PM
format_quote Originally Posted by ridaa_islam
dis is one by usmani, my fav:
kati hui hein ungliyaan, rabaab dhoondta hoon main
jinhe seher nigal gayi, woh khwaab dhoondta hoon main
wow, good one..:rose:

One of my fav....:sister:




:w:
Reply

------
03-21-2006, 06:17 PM
:sl:

Yahaan kiss kiss ko shayari likhne ka shoaq hai?

:w:
Reply

------
03-21-2006, 06:20 PM
:sl:

Aap lout aao tho lout aaye har khushi meri,
Zindagi kabristan bani hai Aap k bigair,
Kash Aap samjh jaaye kaise dasti hain tanhaiyan,
Ek pal mein hazaron dard sehthi hoon Aap k bigair


:w:
Reply

------
03-21-2006, 06:24 PM
:sl:



:w:
Reply

ridaa_islam
03-21-2006, 06:25 PM
hum shairi padhte hain bhai, likhte nahi...
woh daur se hum alredy guzar chuke hain...;D
Reply

------
03-21-2006, 06:26 PM
Hehehe Jee janab lekin hum aik shayar hain ;D :giggling:
Reply

------
03-21-2006, 06:30 PM
:sl:



:w:
Reply

Khayal
03-21-2006, 06:33 PM
:sl:



hmmmm, hamein shoq tu hai perhnai ka or likhnai kaaa :rollseyes mager abhi wo nobat nahein aai k sehraa ki taraf niklein or ;D

Arz hai...

Ek hi fun to hum ne seekha hai
Jis se milye ussey khafa kijeye
Mujhko aadat hai rooth janey ki
Aap mujhko mana liya kijeye :p


:w:
Reply

------
03-21-2006, 06:35 PM
:sl:

Wah ji wah kya baat hai huzoor..!

Beet gaya sawan ka mahina, mausam ne nazrein badli,
Lekin in pyaasi aankhon mein ab tak aansu bahte hain...


:w:
Reply

Khayal
03-21-2006, 06:38 PM
:sl:
Waah, bohot khoob..:rose:

Arz hai......:sister:

Merey mizaj ka dushman meri gawahi de
Keh tera naam bhi leta hoon main dua ki tarah!
Hazar tuhmaten duniya ne bakhsh dein mujhko
Main aadmi tha magar chup raha khuda ki tarah!


:w:
Reply

------
03-21-2006, 06:41 PM
:sl:

Bohat khoob...!

Kisika hamein aawara kehna koi bada ilzaam nahi,
Duniya wale dilwalo ko aur bahut kuchh kahte hain..!
:heated:

:w:
Reply

Khayal
03-21-2006, 06:46 PM
:sl:

Bohot khoob,

Ishq samjhey the jisko woh shaid
Tha bus ik na-rasai ka rishta
Merey aur uske darmiyan nikla
Umar bhar ki judai ka rishta


:w:
Reply

------
03-21-2006, 06:49 PM
:sl:

OMG! Bohat khoob aur such! (na-rasai kya hota hai?!)

:w:
Reply

Khayal
03-21-2006, 06:54 PM
format_quote Originally Posted by Pagal Kuri
:sl:

OMG! Bohat khoob aur such! (na-rasai kya hota hai?!)

:w:
Adaaab:sister:

Na-rasai... i think, hmmmm ji tak pohonch na sakein..:sister:

Arz hai...

Tu khwab tha to mujhe neend se jagaya kyun
Tu wehem tha to merey sath sath kyun na chala :sister:



:w:
Reply

------
03-21-2006, 06:58 PM
:sl:

Wah ji wah..!

ArZ KiYa HaI...

KYA PATA KYUN UNSE ITNA PYAR KAR BAITHE
KYA PATA KYUN UNPE IS KADAR MAR BAITHE
VOH TOH ITNE DUR HAI KI VAPIS NAHI AAEGI
KYA PATA KISKE YAADON ME AANSUN KA DARIYAN BHAR BAITHE


:w:
Reply

Khayal
03-21-2006, 07:00 PM
:sl:

Bohot khoob..

Lejeeay arz hai..:sister:

Tujhe kya khabar mah-o-saal ne humein kaise zakham diye yahan
Teri yaadgaar thi ik khalish, teri yaadgar bhi ab nahi!
Na giley rahey na guman rahey na guzarishen hain na guftugu
Woh nishat-e-waada-e-wisl kya humein aitebaar bhi ab nahi!


:w:
Reply

------
03-21-2006, 07:03 PM
:sl:

Wah..!

Bahut chaha magar unhe bhula na sake,
Khayalon me kisi aur ko la na sake....
Kisi ko dekh ke aansu to poch liya,
Par kisi ko dekh ke muskura na sake....


:w:
Reply

Khayal
03-21-2006, 07:03 PM
:sl:
Ay dost hum ne tark-e-muhabbat ke bawajood
Mehsoos ki hai teri zaroorat kabhi kabhi!


:w:
Reply

------
03-21-2006, 07:09 PM
:sl:

Mohabbat mujhe thi ussi se sanam,
Yado me uski tadapta raha,
Maut bhi na rok sahi meri chahat ko,
Kabr me bhi ye dil dhadhakta raha...


:w:
Reply

Khayal
03-21-2006, 07:47 PM
:sl:

bohot khoob.:sister:
Us ke liye to main ne yahan tak dua'en kein
Meri tarah se koi ussey chahta bhi ho!

:w:
Reply

Khayal
03-21-2006, 07:51 PM
:sl:

kabhi khamosh betho gai kabhi kuch gungunao gai
main utna yaad aoonga mujhe jitna bhulao gai
koi jab pooch bethe ga khamoshi ka sabab tum se
bohat samjhana chaho gai magar samjha na pao gai


:w:
Reply

Khayal
03-21-2006, 07:53 PM
:sl:

Dekha tha muskura ke kisi ne bus ik nazar
Phir phool khil uthey the jahan tak nazar gayi!


:w:
Reply

songinwind
03-22-2006, 01:37 AM
Salam Alaikum.....I have the idea now....:X ...:uhwhat ......so won't come to this one again,,,:X i can only read, and write english:( :omg:
Reply

hidaayah
03-22-2006, 02:05 AM
:sl:

apnay liyay to sabhi jeetay hain iss jahan main..
hai zindagi ka maqsad auroon kai kaam aana..

tundi e baad e mukhalif say na ghubra aei uqaab
yeh to chalti hai tumhain uncha uranay kai liyay..
Reply

------
03-22-2006, 02:20 PM
:sl:

Tujko hai kuch ho gaya
Aanhoun pe aanhein bharte ho
Deewaane ho, tum deewaane
Deewaani baat karte ho..!

Tumpe yakeen aa gaya
Yeh kaisa aitbaar hai
Kya hai ye dil ki bebassi
Ya naam iska pyaar hai..?

Yunhi nahin bechain houn
Yunhi nahin betaab houn
Tumne dekha tha jo kal
Maano wahi main khwaab houn...


:w:
Reply

waji
03-22-2006, 03:06 PM
Asalam u Alikum
wasay yeh thread islamic type of shaiyr ka liya tha magar kuch logo nay iss ko aam shaiyroon say bhaar diya hay is ka khayal karain kay app islamic forum main hain

Alfaz o maeanee main taafarat nahi lakin
Mullah ki Azdaan aur, Mujahid ki Azdaan aur

Ibrahimee nazar peyda mushkil say hoti hay
havass choup choup kay seynoo main bana layte hay tazveerain

Walikum as Salam
Reply

Khayal
03-22-2006, 03:29 PM
format_quote Originally Posted by wkas
Asalam u Alikum
wasay yeh thread islamic type of shaiyr ka liya tha magar kuch logo nay iss ko aam shaiyroon say bhaar diya hay is ka khayal karain kay app islamic forum main hain

Alfaz o maeanee main taafarat nahi lakin
Mullah ki Azdaan aur, Mujahid ki Azdaan aur

Ibrahimee nazar peyda mushkil say hoti hay
havass choup choup kay seynoo main bana layte hay tazveerain

Walikum as Salam
:sl: brother:brother:


Brother ham konsi ghaer islami herkat ker rahay hein?? ham larkian apas mein share ker rahay hein, lerkoon k sath tu nahein ker rahay..:sister:


Reply

cleo
03-22-2006, 03:36 PM
I regret that I don't read nor speak Arabic, for sure. I am trying to learn. So I appreciate very much, when it is translated. I live in a english tunnel, so to speak.
Reply

------
03-22-2006, 03:37 PM
format_quote Originally Posted by wkas
Asalam u Alikum
wasay yeh thread islamic type of shaiyr ka liya tha magar kuch logo nay iss ko aam shaiyroon say bhaar diya hay is ka khayal karain kay app islamic forum main hain

Walikum as Salam
:sl:

BROTHER YE THREAD SHAYIRI KE NAAM SE HAI AUR YAHAAN KOI BHI SHAYIRI POST KAR SAKTE HAIN AGAR AAP NE ISLAMIC POETRY KARNI HAI TO AIK THREAD BANA LEEJIYAY

JAZAKALLAH


:w:
Reply

waji
03-22-2006, 04:40 PM
Asalam u Alikum

appkay mashvaray ka shukariya
walikum as Salam
Reply

Khayal
03-22-2006, 04:49 PM
format_quote Originally Posted by Pagal Kuri
:sl:

BROTHER YE THREAD SHAYIRI KE NAAM SE HAI AUR YAHAAN KOI BHI SHAYIRI POST KAR SAKTE HAIN AGAR AAP NE ISLAMIC POETRY KARNI HAI TO AIK THREAD BANA LEEJIYAY

JAZAKALLAH


:w:
:sl: :sister:

phir ghusaaa...;D ;D :w:
Reply

Khayal
03-22-2006, 04:54 PM
:sl:



Arz hai...:sister:
Kal Chodween Ki Raat Thi Shab Bhar Raha Charcha Tera
Kuch Ne Kaha Yeh Chand Hai Kuch Ne Kaha Chehra Tera
Hum Bhi Wahiin Mojood Thay Hum Se Bhi Sub Poocha Kiye
Hum Hans Diye Hum Chup Rahay Manzoor Tha Parda Tera...;D

...........................................


Kisi TaranG, Kisii SarKhushii MeiN Rehta Tha
Yeh Kal Ki Baat Hai Dil ZindaGii MeiN Rehta Tha
Bus Ek Shaam Barii Khamoshi Se TooT Gaya
HumeiN Jo MaaN Teree Dosty MeiN Rehta Thaa..


:w:
Reply

waji
03-22-2006, 05:32 PM
Asalam u Alikum

apni jullaan gah zeyreen aasman samjha tha main
aab o gul kay khayl ko apna janhaan samjha tha main
bey hijabi say taree tuta nigahoon ka talism
aik radaeey nelgaoon ko assmaan samjha tha main
karwaan thakh kar faza kay peych o khaam main reh gaya
mehr o mah o mushtari ko hum ena samjha tha main!

Walikum as Salam
Reply

------
03-22-2006, 05:32 PM
format_quote Originally Posted by khayaL
:sl: :sister:

phir ghusaaa...;D ;D :w:
:sl:

Sis ye gussa nahin hai lekin mujhe kuch shayiri ke baare main chere to mujhe acha nahin lagta kyounke shayiri meri jaan hai..!

:w:
Reply

waji
03-22-2006, 06:24 PM
Asalam u Alikum

falsafi ko bahass kay andar khuda milta nahi
door ko suljha raha hay aur sira milta nahi
jiss peh dil aya hay woh shereen ada milta nahi
zindagi hay talkh jenay ka maza milta nahi
maarfat khaleeq ki alaam main buhat dushwar hay
shehar e tan main jub kah kud apna pata milta nahi

Walikum as Salam
Reply

------
03-22-2006, 09:02 PM
:sl:

Kabhi to sab jaane pehchaane lagte hai,
Kabhi to apne bhi begaane lagte hai,
Wo humhe chaurgaye to ehsaas huwa,
Jabhi kabhi kisi ko samajhne mai zamaane lagte hai


:w:
Reply

Khayal
03-22-2006, 09:27 PM
:sl:

Samandar is qadar shoreeda sar kyun lag raha hai
Kinarey per bhi humko itna darr kyun lag raha hai
Woh jiske naam se roshan the mustaqbil ke sab khwab
Wohi chehra humein na-muatbar kyun lag raha hai!


:w:
Reply

waji
03-23-2006, 06:17 AM
Asalam u Alikum

mitta diya meray saqi nay aalam mun o tu
pila kay mujh ko maey LA ILAHA ILAL LAHU
na maey na shaiyr na saqi na shoor chang o rabab!
skoot koh o laab e jolaey walalaey khoodroo!

Walikum as Salam
Reply

ridaa_islam
03-23-2006, 12:12 PM
format_quote Originally Posted by wkas
wasay yeh thread islamic type of shaiyr ka liya tha magar kuch logo nay iss ko aam shaiyroon say bhaar diya hay is ka khayal karain kay app islamic forum main hain
Ibrahimee nazar peyda mushkil say hoti hay
havass choup choup kay seynoo main bana layte hay tazveerain
i agree 200% with u bro
n dats another of my favs :thumbs_up
Reply

ridaa_islam
03-23-2006, 12:17 PM
by d way ppl, sorry im not pikin on anyone :p but plz use roman english dats a bit more readable...:hiding:
:thumbs_up
Reply

------
03-23-2006, 03:54 PM
format_quote Originally Posted by ridaa_islam
by d way ppl, sorry im not pikin on anyone :p but plz use roman english dats a bit more readable...:hiding:
:thumbs_up
:sl:

Yh but i giv urdu poemz in roman english dt r nt bout islam... so wts ur point? :?

:w:
Reply

------
03-23-2006, 04:28 PM
:sl:

Main ek aansoun hee sahi houn bohat anmol magar
Youn na palkoun se girraa kar mujhe mitti main milaa..!


:w:
Reply

Khayal
03-23-2006, 05:47 PM
:sl:

Miley na tu to kisi aur se bhi main na miloon
Mujhe azeez buhat hai teri judai bhi...!


:w:
Reply

------
03-23-2006, 05:56 PM
:sl:

Wah ji wah...!

Kabhi khatam na kiya maine roshni ka mahaaz
Agar chiraag bhujhaa, dil jallaa liya maine..!


:w:
Reply

Khayal
03-23-2006, 06:01 PM
:sl:

Waah..:sister:

Kachi deewar hoon thokar na lagana mujhko
Apni nazron mein basa kar na girana mujhko!



:w:
Reply

------
03-23-2006, 06:04 PM
:sl:

Bohat khoob!

Raat hui jab shaam ke baad,
Teri aawaz aayi har baat ke baad,
Humne khamoosh rehkar bhi deekha,
Teri aawaz aayi har baat ke baad..!


:w:
Reply

Khayal
03-23-2006, 06:08 PM
:sl:

shukran:rose: aap ka bhi bohot umdaah hai:sister:


meri rooh mein jo utar sakein woh muhabbatein mujhey chahiyein
jo saraab hon na azaab hon woh rafaqatein mujhey chahiyein!!!


:w:

Reply

------
03-23-2006, 06:10 PM
:sl:

Shukriya..!

Har lafz ko kagaz pe utara nahi jaata,
Har naam ko sar-e-aam pukaara nahi jaata.
Hoti hai pyar mein kuch raaz ki baatein,
Yunhi to is khel mein harra nahi jaata....


:w:
Reply

Khayal
03-23-2006, 06:18 PM
format_quote Originally Posted by Pagal Kuri
:sl:

Shukriya..!

Har lafz ko kagaz pe utara nahi jaata,
Har naam ko sar-e-aam pukaara nahi jaata.
Hoti hai pyar mein kuch raaz ki baatein,
Yunhi to is khel mein harra nahi jaata....

:w:
wow!!! bohot khoob..:rose:

Mujhe bhi khaak tujhe bhi hawa to hone tha
ke rang-o-bo ko kahin par juda to hona tha
paristashain jo barhin faasle to barhne the
ke bandagi main kisi ko khuda to hona tha!!


:w:


Reply

------
03-23-2006, 06:22 PM
:sl:

Shukriya, nawazish..

Sabko dost banane ki adat hai hamme,
apani alag pehchan banane ki adat hai hamme,
kitna bhi gehra zakhm de koi,
utna hi zyada muskarane ki adat hai humme.


:w:
Reply

Khayal
03-23-2006, 06:23 PM
:sl:

Ooooooops:rollseyes :p;D
Reply

Khayal
03-23-2006, 06:25 PM
:sl:

Kia kehnai aap k..:sister: bohot khoob!!

Kisi waqt sham-e-malaal mein mujhe sochna
Kabhi apney dil ki kitaab mein mujhe dekhna!
Merey khaar khaar sawal mein mujhe dhoondna
Merey geet mein, merey khwab mein mujhe dekhna!


:w:
Reply

------
03-23-2006, 06:26 PM
:sl:

Kisko dekhna :p

Ankhen to pyar me dilki zuban hoti hai,
Sachi chahat to sada bezuban hoti hai.
Pyar mai dard bhi mile to kya gabrana,
Suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai....


:w:
Reply

Khayal
03-23-2006, 06:31 PM
format_quote Originally Posted by Pagal Kuri
:sl:

Kisko dekhna :p

Ankhen to pyar me dilki zuban hoti hai,
Sachi chahat to sada bezuban hoti hai.
Pyar mai dard bhi mile to kya gabrana,
Suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai....Aesa hai kia..:p

:w:
:sl:

Aji hamein..:p

Issi dil se ho ke guzar gaye kai karwan
Kai hijraton ke azaab mein mujhe dekhna!

:w:
Reply

Khayal
03-23-2006, 06:34 PM
:sl:

wo jhoot bol raha thaa barey saleeqay se
mai aitebaar na kertaa to aur kya kerta!!



:w:


Reply

------
03-23-2006, 06:38 PM
:sl:

Wah.. kya baat hai..!

:w:
Reply

Khayal
03-23-2006, 06:46 PM
:w:

Adaab!!:sister:

Na ab woh yaadon ka charhta darya, na fursaton ki udaas barkha
Yunhi zara si kasak hai dil mein, jo zakhm gehra tha bhar gaya woh!
Woh jis ke shaney pe hath rakh kar safar kiya tu ne manzilon ka
Teri gali se, na janey kyun, aaj sar jhukaye guzar gaya woh!


:w:
Reply

------
03-23-2006, 07:25 PM
:sl:

Sar Jhukaogay tu pathar bhi daiwta hojayega,
Itna na chaho ussay, wo bewafa hojayega.
Hum bhi darya hain, hamain apna hunar maloom hai,
Jis taraf chal pare raasta hojayega.


:w:
Reply

Khayal
03-23-2006, 07:55 PM
:sl:

Kabhi yun bhi ho terey rubaru main nazar mila ke yeh keh sakoon
"Meri hasraton ko shumar kar, meri khwahishon ka hisaab de!"


:w:


Reply

Khayal
03-23-2006, 07:57 PM
:sl:

Khushi ka gham hai na gham ki koi khushi ab to
Buhat udaas guzarti hai zindagi ab to !



:w:
Reply

Khayal
03-23-2006, 07:59 PM
:sl:

Kab se terey honton ki taraf dekh raha hoon
Kashkol-e-sama't mein koi phool gira de!


:w:
Reply

waji
03-24-2006, 04:03 AM
Asalam u Alikum

hum chara gar ko yone, humain pehnaeen gay bayreyaan
qaboo main apnay garooh pari a gaya
jub ho chuka yaqeen kah nahi taqaat wasaal
dam main humaray woh sitaam eyjaad a gaya
zikar sharaab o hoor kalaam e Khuda main deykh
momin main kiya kahoon mujhay kiya a gaya

Walikum as Salam
Reply

------
03-25-2006, 02:59 PM
:sl:

Allah tu hai rehmat waala
Naam hai tera barkat waala

Detii hai har cheez gavaahi
Paak hai teri zaat ilaahi

Tu hi maalik tu hi rab hai
Maola teri shaan ajab hai

Chaand aur suraj, Phool aur taare
Tune banaae kitne pyaare

Humko seedhi rah dikhaana
Naiki ke raaste pe chalaana

Himmat dena, izzat dena,
Ilm ki ya rab doulat dena!

Ameen!!
:rose:

:w:
Reply

waji
03-25-2006, 04:57 PM
:sl:
Masha'Allah it was nice

app ajj bhi bachoon ki kitab parhteen hay ;D
ya apki yadasht achi hay:giggling:
but i was nice
:w:
Reply

------
03-25-2006, 05:20 PM
Hehehe maine ye parha tha jab main 10 saal ki thee ;D I am 17 now :p
Reply

khaledmm123
03-26-2006, 10:48 AM
:sl:
mashaallah sis maere khayaal sae yae 4 class ki hamd hi:giggling:
Reply

------
03-26-2006, 10:50 AM
OI!! aap lougoun ne bola tha kuch islamic post karo! Aur ab jab maine kiya hai to mazaak urra rehe ho! Teekh hai main nahin karti post islamic. Ok?
Reply

waji
03-26-2006, 01:06 PM
Asalam u Alikum
sis kuri app karain islamic post hum nay kiya kardiya aik sawal kiya aur app hain ka ................. khaiyr

Shab gouraza hogai akhir jalwaee khour sheed say
yeh chapan maemoor hoga naghmae Tuheed say

Chaak kardi tark e nadaan nay khilafat ki qaba
saadgi Muslim ki daykh auroon ki ayaari bhi daykh

Walikum as Salam
Reply

Sanobar
03-27-2006, 07:41 AM
^^^ :confused: :confused: ! thats really fasii urdu! :uhwhat
Reply

------
03-27-2006, 07:44 AM
Init :p
Reply

waji
03-27-2006, 09:31 AM
Asalam u Alikum

mayray hathoon aur hontoon say khoushboo jati nahi
kah main nay isaame Muhammad(S.A.W) ko likha buhat hay,chooma buhat hay

Walikum as Salam
Reply

waji
03-27-2006, 09:33 AM
Asalam u Alikum
aur sisters abb shaiyri main agar zara bharee alfaz a gai tu main kiya karsakta hoon akhir urdu shaiyri itni bhi asaan nahi wasay app ko parhna main mushkil horahi hay ya samajhnay main
yeh zaroor batadejeya ga
Walikum as Salam
Reply

------
03-27-2006, 10:45 AM
:sl:

Lardkiyaan bewafa nahin hoti!

Woh tu majbooriyo main lipti hain
Apnay shiddat bharay khayalo main
Apnay ander chupi ek aurat main
Woh hamesha hi darti rehti hain
Na to jeeti hain na to marti hain
Larkiya bewafaa nahi hoti
Per Hamesha hi darti rehti hain
Apni reeto or riwajo say
Anay walay naye azabo say
Zardurat main khilay gulabo say
Pyaar kerti hain or chupati hain
Larkiya Bewafa nahi hoti
Kyu k majboorio may lipti hain
Or her lamha darti rehti hain
Apnay pyaaro se apnay saye se
Apnay rishto se dil ki dharkan se
Apni khuwahish se apni khushiyo se
Larkiyaan Bewafaa nahi hoti !!!


:w:
Reply

------
03-27-2006, 10:48 AM
:sl:

Baatein kertey ho kyun rulaaney kee

Baatain kartay ho kyoon rulaanay kee
kya qasam khaee hai dil dukhanay kee?

Mai baar baar uthke usko laane jaata raha
Mairee khudee nai ijazat na dee bulanay kee

Kabhi kissi nai mera haal tak naheen poocha
Mujhay hee fikar padi rehtee hai zamanay kee

Chiraagh jab bhee jalaya hawa nai dekh liya
Koshishain phir bhee buhut kee usay jalanay kee

Khushk patoon ko meray ghar ka pata kisnay diya
Voh kaun hai jisay adaat hai sirf rulanay kee


:w:
Reply

------
03-27-2006, 10:54 AM
:sl:

Koun kehta hai ki Din Raat mere naam karo
Ik lamha to mere saath guzara hota
Jaan bhi dete agar un ka ishara hota
Un se inkaar to hargiz na gawara hota


:w:
Reply

------
03-27-2006, 11:31 AM
:sl:

Dafan hai dil mein armaan, yuhin kai zamaane se;
Kafan phir bhi uthta nahin, beete pal dohraane se.

Maut bhi ab to har roz, mil jati hai is deewane se;
Kya zindagi jee raha hai yaar, shayri ke bahaane se.


:w:
Reply

hidaayah
03-27-2006, 02:02 PM
:sl:
rukh e mustafa (s) hai wo aeina, kai ab aisa doosra aeina
na hamarey bazme khiyal main, na dukaan e aeina saaz main..!!

zaban pai dawai to bohot hain, misaal koi naheen
diyar e ishq e nabi main bilal koi naheen....!!!!
Reply

Sanobar
03-27-2006, 02:18 PM
:sl:
wowo..... some good shayiri out there sis pagal kuri...and Asister! good wrk! ;);)
:w:
Reply

------
03-28-2006, 10:35 AM
:sl:


Allah Insaan Sey Fermata Hey


Meri Teraf A Ker To Dekh
Mutawjah Na Hoon To Kehna


Meari Rah Main Chal K To Dekh
Rahain Na Khool Doo To Kehna


Mujh Sey Sawal Ker K Dekh
Bakhshish Ki Had Na Ker Doon To Kehna


Meray Liye Beyqader Ho K To Dekh
Qader Ki Had Na Ker Doon To Kehna


Meray Liye Lut K To Dekh
Rehmat K Khazaney Na Luta Doon To Kehna


Meray Liye Bik K To Dekh
Anmool Na Ker Doo To Kehna


Mujhey Rab Maan K To Dekh
Sab Sey Beyniyaaz Na Kerdoo To Kehna


Meray Khuaf Sey Ansoo To Baha K To Dekh
Maghfirat K Darya Na Bahadoo To Kehna


Wafa Ki Laaj Nibha K To Dekh
Ata Ki Had Na Kerdoon To Kehna


Meray Naam Ki Tazem Ker K To Dekh
Hakim-e-Takreem Ki Inteha Na ker Do To Kehna


Apni Hasti Ko Fana Ker K To Dekh
Jam-e-Baqa Sey Serfaraze Na Kerdoo To Kehna


Mujhey Haieyolkaieyoom Man K To Dekh
Abdi Hayat Ka Ameen Na Banadoon To Kehna


Mera Ho K To Dekh
Her Kisi Ko Tera Na Bana Doon To Kehna :sister:


:w:


*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Reply

Sanobar
03-29-2006, 04:25 PM
:sl:
wow....mashaAllah nice one sis pagal kuri! :)
:w:
Reply

khaledmm123
03-29-2006, 04:54 PM
:sl: :brother: \:sister:
sis mashallah buhath accha hai
ab hum tamam ko us ka jawab is tarah dena chayie

Mere allah mere aaqa sun kar farman tera
Rahaun me aaga hoon baksh de katayein meri
allahhafiz
Reply

------
03-29-2006, 04:57 PM
Mere allah mere aaqa sun kar farman tera
Rahaun me aaga hoon baksh de katayein meri
Wah... aap ne ye shair khud banaya hai?
Reply

khaledmm123
03-29-2006, 05:00 PM
:sl:
sis aap ne mujhe kiya samagh liya itna pyara jawab mein khud kis tarah se bana sakhta hoon:rollseyes ye mein ne kaheen se padha hai
allahhafiz
Reply

------
03-29-2006, 05:22 PM
Acha? Main to aik shayar houn, shaiyiri banaati houn :p
Reply

------
03-29-2006, 05:24 PM
:sl:

ISHQ SAMJHEY THE JISKO WOH SHAID
THA BUS IK NA-RASAI KA RISHTA
MEREY AUR USKE DARMIYAN NIKLA
UMAR BHAR KI JUDAI KA RISHTA

TU KHWAB THA TO MUJHE NEEND SE JAGAYA KYUN
TU WEHEM THA TO MEREY SATH SATH KYUN NA CHALA

PYAAR BOHUT HAI TUM SE JANA,PER EZHAAR NAHI KARTE
MERI CHUP SE YEH NA SAMAJHNA, TUM SE PYAAR NAHI KARTE…!


:w:
Reply

Sanobar
03-30-2006, 08:56 AM
:sl:
^^^ dat was really nice :):)
:w:
Reply

------
03-30-2006, 09:50 AM
ISHQ

Manzilein uttar gayi, raat teri kho gayi
Aaye phir na lout ke, jo deewaane ho gaye

Chaahatoun ki bebassi, dooriyoun ke ghum mille
Bekaraariyaan milli, Chain yaar kam mille
Reply

life
03-30-2006, 11:00 AM
format_quote Originally Posted by Pagal Kuri
:sl:


Allah Insaan Sey Fermata Hey


Meri Teraf A Ker To Dekh
Mutawjah Na Hoon To Kehna


Meari Rah Main Chal K To Dekh
Rahain Na Khool Doo To Kehna


Mujh Sey Sawal Ker K Dekh
Bakhshish Ki Had Na Ker Doon To Kehna


Meray Liye Beyqader Ho K To Dekh
Qader Ki Had Na Ker Doon To Kehna


Meray Liye Lut K To Dekh
Rehmat K Khazaney Na Luta Doon To Kehna


Meray Liye Bik K To Dekh
Anmool Na Ker Doo To Kehna


Mujhey Rab Maan K To Dekh
Sab Sey Beyniyaaz Na Kerdoo To Kehna


Meray Khuaf Sey Ansoo To Baha K To Dekh
Maghfirat K Darya Na Bahadoo To Kehna


Wafa Ki Laaj Nibha K To Dekh
Ata Ki Had Na Kerdoon To Kehna


Meray Naam Ki Tazem Ker K To Dekh
Hakim-e-Takreem Ki Inteha Na ker Do To Kehna


Apni Hasti Ko Fana Ker K To Dekh
Jam-e-Baqa Sey Serfaraze Na Kerdoo To Kehna


Mujhey Haieyolkaieyoom Man K To Dekh
Abdi Hayat Ka Ameen Na Banadoon To Kehna


Mera Ho K To Dekh
Her Kisi Ko Tera Na Bana Doon To Kehna :sister:


:w:


*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Mash'Allah sister aap nay bahut zabardast nazam likhi hain..........

Well done :thumbs_up
Reply

khaledmm123
03-30-2006, 10:31 PM
:sl:
sis life kiya aap ne is ka jawab nahi padha jo mein ne likha tha aur agar padha to kiya aap ne allah ko jawab de diya
allahhafiz
Reply

waji
03-31-2006, 04:23 AM
:sl:

na ishq main raheen garmiyaan, na woh husun main raheen shokiyaan
na woh ghaznavi main tarap rahee, na woh khaam hay zulf ayaaz main
jo main sar basajood hova khabhi, tu zameen anay lagi sadaa
tera dil tu hay sanaam ashanaa , tujhaay kiya milay ga Namaz main

:w:
Reply

khaledmm123
03-31-2006, 05:25 AM
:sl:
meri nazar me wahi sar hai sar jise amir
zamana kat to dale magar jukha na sake
:sl:
Reply

------
03-31-2006, 07:49 AM
format_quote Originally Posted by life
Mash'Allah sister aap nay bahut zabardast nazam likhi hain..........

Well done :thumbs_up
Lol sis maine nahin likhi! Main nazmain aur shayiri likhti houn magar apne liye :p
Reply

------
03-31-2006, 07:50 AM
format_quote Originally Posted by wkas
:sl:

na ishq main raheen garmiyaan, na woh husun main raheen shokiyaan
na woh ghaznavi main tarap rahee, na woh khaam hay zulf ayaaz main
jo main sar basajood hova khabhi, tu zameen anay lagi sadaa
tera dil tu hay sanaam ashanaa , tujhaay kiya milay ga Namaz main

:w:
Wah ji wah kya khoob hai..! :)
Reply

life
03-31-2006, 01:24 PM
format_quote Originally Posted by Pagal Kuri
Lol sis maine nahin likhi! Main nazmain aur shayiri likhti houn magar apne liye :p
acha tu app serif khud hi appni shayri say lutf andoos hoti hai......pls sister appni likhi hui shayri yaha par bhi post karay mein parnah chahoon gee:)
Reply

life
03-31-2006, 01:34 PM
Makani hoon kay azaad -e- makani hoon
jaha mein hoon kay khud sarah jaha hoon
wo aapni la makani mein rahain mast
Mujhay itnah batah dey mein kaha hoon
Reply

------
03-31-2006, 06:18 PM
:sl:

One of my own as requested by sister life :p

Teri aawaaz sunne ke liye aik bechaini si hai
Teri hassi sunne ke liye aik betaabi si hai
Bas aik nazar tujhe dekh loun
To ye deedar meri poori zindagi ke liye kaafi hai..!

What did you think?


:w:
Reply

khaledmm123
03-31-2006, 06:41 PM
:sl:
kis ki:? :?
Reply

------
03-31-2006, 06:42 PM
Woh meri apni shayari hai :)
Reply

khaledmm123
03-31-2006, 06:44 PM
[QUOTE=Pagal Kuri;237271]Woh meri apni shayari hai :)[/QUOTE
:sl:
mashallah per shair ke mukhatib kaon hai
:sl:
Reply

------
03-31-2006, 06:44 PM
Jazakallah!! :)
Reply

khaledmm123
03-31-2006, 06:50 PM
:sl:
sister ye mera pasandeeda shair hai kaisa laga zaroor batana
bala se karwat na lein andherein bala se parwa na kare rahroo
magar mera farze mansabi hai chirage peihum jalai jana
Reply

Snowflake
03-31-2006, 07:24 PM
:sl:

Another one of ma own poems...

Phir Ik Baar

Deep bhuj rahe hain ankhon ke meri
Aa jao ke dekh loon, phir ik baar

Aao nighahen milayen hum pehle ki tarha
Haal-e-dil suna len, phir ik baar

Ye shamme bhuj gain to jal na saken gi dobara
In ki lo mein machal jao, phir ik baar

Dhalti shaam saaye saath laye hai kai
Kahin tum to nahi aaye, phir ik baar?

Dhundla raha hai aaina, nighaahon ka meri
Apna aks in mein dekh jao, phir ik baar

Chiraagh roshan kiye aaj khatir tumhari
Andhera dekh ke na laut jao, phir ik baar

Idher se guzren, is umeed ke sahare
Dar khula chor diya, phir ik baar

~*~*~*~*~*~*~*~*~

kaisa laga? :?

format_quote Originally Posted by Pagal Kuri
:sl:

One of my own as requested by sister life :p

Teri aawaaz sunne ke liye aik bechaini si hai
Teri hassi sunne ke liye aik betaabi si hai
Bas aik nazar tujhe dekh loun
To ye deedar meri poori zindagi ke liye kaafi hai..!

What did you think?


:w:
wah sis ik nazar poori umer ke liye kafi? bohot khoob!
Reply

------
03-31-2006, 07:26 PM
Phir Ik Baar

Deep bhuj rahe hain ankhon ke
Aa jao ke dekh loon phir ik baar

Aao nighahen milayen hum pehle ki tarha
Haal-e-dil suna len phir ik baar

Ye shamme bhuj gai to jal na saken gi dobara
In ki lo mein machal jao phir ik baar

Dhalti shaam saaye saath laye hai kai
Kahin tum to nahi aaye, phir ik baar?

Dhudla raha hai aaina, nighaahon ka meri
Apna aks in mein dekh jao phir ik baar

Chiraagh roshan kiye aaj khatir tumhari
Andhera dekh ke na laut jao, phir ik baar

Idher se guzren, is umeed ke sahare
Dar khula chor diya, phir ik baar
Wooooooooooooowwwwwwwwwwwwwwwww!! MASHALLAH!!!
Reply

------
03-31-2006, 07:28 PM
**edited**
Reply

Snowflake
03-31-2006, 07:33 PM
lol *blushes* tnx sis.

hehe yeh lemme clear my inbox.. im jus so lazyyy.. i'll pm u my email add :P

p.s. u copied it b4 i corrected my spelling mistakes : ( lol
Reply

broth3r Ali
03-31-2006, 11:41 PM
Har Khamoshi Ka matlab inkar nahi hota,
Har nakamyabi ka matlab haar nahi hota,
Kya hua agar hum unhe pa na sake,
Sirf pane ka matlab pyar nahi hota!

hahaha! :hmm:
Reply

khaledmm123
04-01-2006, 01:20 AM
:sl:
sair ko luqmaye tar se nahi kooch ragbath
khushk roti bhi hai bhooke ko magar eik nemath
ahlejannath koto doozakh se hai badh kar aaaraf
doozakhi jante aaraf ko bhi hai jannath
:sl:
Reply

hidaayah
04-01-2006, 02:08 AM
:sl:
plzzz everyone this is an islamic board..!!!! barahee karam, barahe meherbaani.. baiqaar kisam ki shayiri na post kerraaiiiinn..!!!!! aap ki a3in nawazish hogi !:heated: :heated: kiya ab "ishq" aur dukh hi hamareee zindagi ka maqsad reh gai hain??
phir aik islamicboard aur general ghissay pittay board main kiya farq rahay ga..!!?
aur haan can anyone plzz explain to me kai yeh saaray shayir har waqt rotay kioun rehtay hain...??:giggling: aur koi kaam naheen in kai paas?? nashukray log..hehe
no offence to anyone..
i've posted this b4 ...but agen for the new ones..
>aatay howay azaan howi..jaatey howay namaz
itnay qaleel waqt main aai aur chalai gai..!!!

wassalam
Reply

life
04-01-2006, 05:20 AM
format_quote Originally Posted by Pagal Kuri
:sl:

One of my own as requested by sister life :p

Teri aawaaz sunne ke liye aik bechaini si hai
Teri hassi sunne ke liye aik betaabi si hai
Bas aik nazar tujhe dekh loun
To ye deedar meri poori zindagi ke liye kaafi hai..!

What did you think?


:w:
Buhut khoob sis kamal ka sher likha hai app nay.

Keep it up:)
Reply

Lonely_Boy
04-01-2006, 06:34 AM
format_quote Originally Posted by A sister
:sl:
plzzz everyone this is an islamic board..!!!! barahee karam, barahe meherbaani.. baiqaar kisam ki shayiri na post kerraaiiiinn..!!!!! aap ki a3in nawazish hogi !:heated: :heated: kiya ab "ishq" aur dukh hi hamareee zindagi ka maqsad reh gai hain??
phir aik islamicboard aur general ghissay pittay board main kiya farq rahay ga..!!?
aur haan can anyone plzz explain to me kai yeh saaray shayir har waqt rotay kioun rehtay hain...??:giggling: aur koi kaam naheen in kai paas?? nashukray log..hehe
no offence to anyone..
i've posted this b4 ...but agen for the new ones..
>aatay howay azaan howi..jaatey howay namaz
itnay qaleel waqt main aai aur chalai gai..!!!

wassalam
:sl:

app ki baat say bilkul muttafiq hoon

:w:
Reply

mehnaz
04-01-2006, 06:50 AM
Salaam,

mashaAllah nice section ..... mere khayaal se urdu seekhne ke liye yeh section sabse behtareen hoga...bahot acha laga itni fasi urdu padhkar.....

w'salaam
Reply

waji
04-01-2006, 07:50 AM
:sl:

Ay Tahir lahoti uss rizq say moth achi
jiss rizq say ate ho parvaaz main kotahi
dar o siqandar say woh mard e faqeer Oulaa
ho jiss ki faqeeri main boaey Asad e Ilahi!
aeein e jova namardaan haq goee o beybakee
Allah kay shayroon ko atee nahi rohahee!
:w:
Reply

------
04-01-2006, 10:50 AM
plzz explain to me kai yeh saaray shayir har waqt rotay kioun rehtay hain...?? aur koi kaam naheen in kai paas?? nashukray log..hehe
no offence to anyone..
i've posted this b4 ...but agen for the new ones..
Then why don't you name this an ISLAMIC SHAYIRI thread? Make it CLEAR.
Reply

Qurratul Ayn
04-01-2006, 10:55 AM
Assalamu Alaikum

Wah! Wah! Wah! Mashallah Ta'ala, ye thu Kudhaa ki kudrut hai! Mere Pyaari Bhaion ur Behno aap sub kilya me Du'a kerte hu ar aap sub hamare liye Du'a karna.

Bhai habib apka pehla post buhut acha tha aap zada post likhadenge ur hum sub purte rehen ge.

Assalamu Alaikum
Shakirah

P.S. My Dear Muslim Brothers and Sisters, me thu pakistani nahi hu mager mere Urdu tik tak he? Please muje aap lug sub likainge ar muje kayen ge.
Reply

Qurratul Ayn
04-01-2006, 11:14 AM
Assalamu Alaikum

Are sub thu yaha nahi he. Oh well, me thu pehli bar Urdu learn keree hun. Inshallah Ta'ala sub hume sikaden ge. Ab me jatee hun ur koye reply karen ge me aja un ge. Please mind nehi kar na.

Assalamu Alaikum
Shakirah
Reply

Sanobar
04-01-2006, 11:15 AM
:sl:
yeahh ...i agree with sis mehnaz.... some good shayari out here... and sis shakirah..ur urdu is nice... :) :)
:w:
Reply

Qurratul Ayn
04-01-2006, 11:22 AM
Assalamu Alaikum

Shukriya ur Jazakallah Khair mere Behna sanobar! Me thu Pakistani nehi hu ur mere Urdu ithne achi nahi hai mager me thu learn kari hu na. Ur koye mistake mere hu thu muje likdheye kehna.

Assalamu Alaikum
Shakirah
Reply

gr8man
04-01-2006, 11:30 AM
:sl:

Dunya say janay wala janay chalay jatay hain kahan
dundh bhi nahi saktay unhay, miltay nahi qadmoo kay nishan

:w:
Reply

------
04-01-2006, 11:31 AM
Wah...! Bohat Khoob gr8man!
Reply

------
04-01-2006, 11:33 AM
:sl:

One of my own...

Aankhoun se nahin, dil se chalak jaate hain aansoun,
Aik baar sirf tamanna hai madine ka deedar ho..!

What did u think?


:w:
Reply

gr8man
04-01-2006, 11:36 AM
Wah Wah MashaAllah
Reply

------
04-01-2006, 11:41 AM
:sl:

Another one of my own :)

Allah ke ghar jaane ka jee chahta hai
Ek baar kaabe ko daikhne ka jee chahta hai
Youn to loug kehte hain ke sakoon milta hai wahaan
Aik baar, khud jaa kar sakoon lene ko jee chahta hai..! (Inshallah!)

Comments...:?


:w:
Reply

gr8man
04-01-2006, 11:46 AM
MashaAllah Keep that spirit on my sister
Reply

------
04-01-2006, 11:48 AM
Jazakallah Bro :)
Reply

gr8man
04-01-2006, 11:51 AM
Khuda kay Ashiq tu han Hazaroon banoo may phirtay hain maray maray
may banoo ga banda uss ka jiss ko khuda kay bandoo say piyar ho ga
Reply

------
04-01-2006, 11:52 AM
Bohat acha :)
Reply

life
04-01-2006, 01:43 PM
چيونٹي
ميں پائمال و خوار و پريشان و دردمند
تيرا مقام کيوں ہے ستاروں سے بھي بلند؟
عقاب
تو رزق اپنا ڈھونڈتي ہے خاک راہ ميں
ميں نہ سپہر کو نہيں لاتا نگاہ ميں!
Reply

------
04-01-2006, 02:35 PM
Bohat khoob sis :rose:
Reply

Khayal
04-01-2006, 07:05 PM
format_quote Originally Posted by Pagal Kuri
:sl:

Another one of my own :)

Allah ke ghar jaane ka jee chahta hai
Ek baar kaabe ko daikhne ka jee chahta hai
Youn to loug kehte hain ke sakoon milta hai wahaan
Aik baar, khud jaa kar sakoon lene ko jee chahta hai..! (Inshallah!)

Comments...:?

:w:
:sl:

Waah!! Pagal kuri bohot khoob..:rose: :rose:

:w:
Reply

------
04-01-2006, 07:21 PM
format_quote Originally Posted by khayaL
:sl:

Waah!! Pagal kuri bohot khoob..:rose: :rose:

:w:
Jazakallah!! :statisfie

Aap bhi kuch share karein na!! :p
Reply

Munda Pakistani
04-01-2006, 07:33 PM
Mulla ko jo Hind main hai sajday ki ijazat
Naadaan ye samajhta hai kay Islam hai aazaad

Allama Iqbal
Reply

broth3r Ali
04-01-2006, 08:24 PM
nice shayri
Reply

hidaayah
04-02-2006, 01:53 AM
Aankhoun se nahin, dil se chalak jaate hain aansoun,
Aik baar sirf tamanna hai madine ka deedar ho..!

Allah ke ghar jaane ka jee chahta hai
Ek baar kaabe ko daikhne ka jee chahta hai
Youn to loug kehte hain ke sakoon milta hai wahaan
Aik baar, khud jaa kar sakoon lene ko jee chahta hai..! (Inshallah!)
Mashallah..!! excellent sis..!! :)
Reply

waji
04-02-2006, 06:07 AM
:sl:

mahir ki sadah batoon say Allah bachata hi rakhaay
khud tu yeh barday hi Hazarat hain auroon ko nazihaat hoti hain

:w:
Reply

waji
04-02-2006, 06:12 AM
:sl:

nawak andaaz! zara deykh kay nawak fagani
teer keysaat hi hathoon say na choot jaee kamaan
kitnay dil Sajdah guzari kay liya jagg uthaay
naley neem shabee hay kah Muhabat ki Azaan

:w:
Reply

Lonely_Boy
04-02-2006, 06:15 AM
:sl:

Well MASHALLAH sub hi achia achi shairy post ker rahay hain maza a raha PAGAL KURI, A SISTER, GR8MAN, KHAYAL aur sub loog bhi aur han wkas bhai bhi great hain :) ub mujhe bhi to bari do app log aik :)


:w:
Reply

Lonely_Boy
04-02-2006, 06:27 AM
:sl:

Wkas bhia app ki shaiyri kubhi kubhi itni mushkil hotih ai ke uper say guzar jati hain ....app sath main aik lugat bhi daal dyia karo mera mutlub mushkil alfaz ki mainay .... JAZAKALLAH BROTHER :)

:w:
Reply

waji
04-02-2006, 06:28 AM
:sl:

jo naghmah zan thay kalwat e auraaq main tayoor
rukhsaat hova taray shajaar e sayaa daar say
shakh e bareedah say sabaq endooz ho kah tu
na ashaana hay qaedaah roozgaar say
milaat kay saat rabtah istawaar rakh
peywasta rah shajar say umeed e bahaar rakh

:w:
Reply

waji
04-02-2006, 06:37 AM
:sl:
LOL bahi lonely app akelay ho iss liya samajh nahi atee hogi wasay mera khayal hay kay parhnaay main mushkil hoti hogi warna mera nahi kayal kah alfaz mushkil hain haan kuch hosaktain hain jo app nay pehlee bar sunaay hone aur aksaar shaouraa urdu main farsee ka alfaz bhi istimaal kartain hain abb main farsee tu nahi janta

pata pata bota bota hal hamara janay hay
jano na jano tum hi na jano bagh tu sara janey hay
:w:
Reply

life
04-02-2006, 06:59 AM
format_quote Originally Posted by wkas
:sl:
LOL bahi lonely app akelay ho iss liya samajh nahi atee hogi wasay mera khayal hay kay parhnaay main mushkil hoti hogi warna mera nahi kayal kah alfaz mushkil hain haan kuch hosaktain hain jo app nay pehlee bar sunaay hone aur aksaar shaouraa urdu main farsee ka alfaz bhi istimaal kartain hain abb main farsee tu nahi janta

pata pata bota bota hal hamara janay hay
jano na jano tum hi na jano bagh tu sara janey hay
:w:

belkul sahi kaha hain aap nay ..aur khas kar allama iqbal nay tu bahut say farsi kay lafz istamal kiye thein appni shayri mein............Isliye samjnah bhi mushkel hota hain.waise app aasa kyon nahi kartay asaan si shayiri post kiya karay........jo sab ko samj nay mein asaani ho:)
Reply

gr8man
04-02-2006, 09:28 AM
:sl:

Hifazat karoo apnay Iemaan ki kay
Qayamat ka manzar qareeb araha hay

:w:
Reply

Sanobar
04-02-2006, 11:19 AM
Allah ke ghar jaane ka jee chahta hai
Ek baar kaabe ko daikhne ka jee chahta hai
Youn to loug kehte hain ke sakoon milta hai wahaan
Aik baar, khud jaa kar sakoon lene ko jee chahta hai..! (Inshallah!)
Awesome.. sis... very nice mashaAllah!
Reply

Hey there! Looks like you're enjoying the discussion, but you're not signed up for an account.

When you create an account, you can participate in the discussions and share your thoughts. You also get notifications, here and via email, whenever new posts are made. And you can like posts and make new friends.
Sign Up
British Wholesales - Certified Wholesale Linen & Towels | Holiday in the Maldives

IslamicBoard

Experience a richer experience on our mobile app!