ek kaam ki baat

  • Thread starter Thread starter Musalmaan
  • Start date Start date
  • Replies Replies 4
  • Views Views 5K

Musalmaan

Elite Member
Messages
277
Reaction score
63
Gender
Male
Religion
Islam
:sl:
kuch din pehlay ek bahot achi baat hamaray maulana sahab ney sunaye thi jo mein yaha bhi share karna chahta hoon, kay bahot saray loag aisay hain (khasoosan india/pakistan mein) kay jub naara lagatay hain "Naaray-e-Risalat" to baqi loag jawaab mein boltay hain "Ya Rasoolullah", jub ek pukarta hay "Naaray-e-Haidiri" to baaqi pukartay hain "Ya Ali" jub ek pukarta hay "Naaray-e-Farooqi" to baqi jawab daitay hain "Ya Umer", issi tarah aisay bahot se naaray,
Hala'n kay "Naaray-e-Risalat" ka mutlab hay Rasool ka naara, to rasool ney kis ko pukara, jawaab hona chayeah "Allah-o-Akbar", "naaray-e-hidair" ka matlab hay haidiri ka naara, hazrat Ali r.a ka naara kiya tha aur kis ko pukaara, "Allah-o-Akbar", to jawaaab bhi hona chahyeah "Allah-o-Akbar", Hazrat Umer r.a ka naara kiya tha, "Allah-o-Akbar" to jawaab bhi hona chahyeah "Allah-o-Akbar", yehi is naaray ka sahi o akmal jawaab hay, aqal rakhnay walo'n kay liye.

Allah hum sab ko deen ki sahi samajh naseeb farmaye aur shirk o bidat ki taareeki sey bachaye.
aameen.
 
rough translation (for non-urdu speakers):

they (indopakistanis) say (in reply to different shouts):
ya rasulallah
ya Ali etc

which his "maulana" said is same as shirk

Note: you forgot "ya ali madad? << millions shout that in time of need/trouble etc.

:w:
 
:sl:

Bhai sahebaan k leay bohut achi baat share ki hai,shukriya.


:w:

.
 
haan bilkull jazakallah khair
main apne baare me particularly kehti hun ki main ALLAH ke ilawa kisi ke aagey YA nahi lagati huzoor paak Sallallahu alaihi wasalllam ke aagey bhi nahi mujhe uska accurate reason jaanna hai kya koi bata sakta hai ki yeh galat toh hai lekin kyun aur kya jab koi masjid e nabwi Sallallahu alaihi wassallam me unpar darood bhejta hai toh kya tab bhi YA lagaana galat hai?
 

Similar Threads

Back
Top