
kuch din pehlay ek bahot achi baat hamaray maulana sahab ney sunaye thi jo mein yaha bhi share karna chahta hoon, kay bahot saray loag aisay hain (khasoosan india/pakistan mein) kay jub naara lagatay hain "Naaray-e-Risalat" to baqi loag jawaab mein boltay hain "Ya Rasoolullah", jub ek pukarta hay "Naaray-e-Haidiri" to baaqi pukartay hain "Ya Ali" jub ek pukarta hay "Naaray-e-Farooqi" to baqi jawab daitay hain "Ya Umer", issi tarah aisay bahot se naaray,
Hala'n kay "Naaray-e-Risalat" ka mutlab hay Rasool ka naara, to rasool ney kis ko pukara, jawaab hona chayeah "Allah-o-Akbar", "naaray-e-hidair" ka matlab hay haidiri ka naara, hazrat Ali r.a ka naara kiya tha aur kis ko pukaara, "Allah-o-Akbar", to jawaaab bhi hona chahyeah "Allah-o-Akbar", Hazrat Umer r.a ka naara kiya tha, "Allah-o-Akbar" to jawaab bhi hona chahyeah "Allah-o-Akbar", yehi is naaray ka sahi o akmal jawaab hay, aqal rakhnay walo'n kay liye.
Allah hum sab ko deen ki sahi samajh naseeb farmaye aur shirk o bidat ki taareeki sey bachaye.
aameen.