Maa aur beti mai larai

  • Thread starter Thread starter Nayab
  • Start date Start date
  • Replies Replies 1
  • Views Views 9K

Nayab

Active member
Messages
34
Reaction score
6
Gender
Female
Religion
Islam
asalam o alikum ...
maa aur beti mai kisi b wajah se larai ho jae aur larai k beech agar Quran par haath rekh kar keh diya jae k humara koi taluq nai aur kabi ik dosre se kisi kisam ka rista nai rekhein gy.... lakin agar baad mai beti aur maa donuh apni apni taraf se maafi maang lein aur dil se sab bhula dein , kia yeh kaaafi hy?
is k liye koi kufara ya tooba ka tareeka..

JazakAllah.
 
:sl:


Pehli baat ye hai ke Qur'an pe hath rakh kar kasam uthani bidat hai. Lekin agar Quran pe hath rakhe beghair kasam utha li gai hai, to aisi kasam kabil e qabool samjhi jati hai. Kasam sirf Allah ke naam aur kalaam ki jaiz hai.

Rasulullah salallahu alayhi wa sallam ne farmaya hai ke, 'Jis ne Allah ki siwa kisi aur cheez ki kasam uthai, us ne shirk aur kuffar kiya hai.' At Tirmidhi 1535 aur Abu Dawud 3251. In hadith ko Al Albaani ne Sahi at Tirmidhi mein sahi karar diya hai.

Is liye behter hai ke Quran ki kasam na uthai jaye, kyunke Quran mein Allah ki kalaam ke ilawa seyahi aur kaghaz bhi mojood hain. Aur Quran pe hath rakh kar kasam uthana bidat hai.

Shaykh Ibn 'Uthaymeen se jab is baare mein poocha geya to farmaya: Allah ke naam (aur naamon) ke ilawa kisi cheez ki kasam uthana jaiz nahi. Agar kisi ne Allah ke naam se kasam uthai hai aur phir Quran ki kasam uthane ki zaroorat nahi, aur na hi Nabi sallahu alayhi wa sallam ke zamane mein aisa hota tha, na asahaaba ke waqt mein aur na hi jab Quran Paak ko kitab ki shakal mein akatha kar liya geya tha. Fatawa Noor 'ala al-Darb.



http://islamqa.com/en/ref/98194

Jo baatein Islam ne mana ki hain, un keliye kasmein uthane se bachna chahiye. Maslan rishte torne wala Allah ta 'ala ka nafarmaan hai kyunke Allah ta 'ala farmaate hain ke:

لوگو اپنے پروردگار سے ڈرو جس نے تم کو ایک شخص سے پیدا کیا (یعنی اول) اس سے اس کا جوڑا بنایا۔ پھر ان دونوں سے کثرت سے مرد وعورت (پیدا کرکے روئے زمین پر) پھیلا دیئے۔ اور خدا سے جس کے نام کو تم اپنی حاجت بر آری کا ذریعہ بناتے ہو ڈرو اور (قطع مودت) ارحام سے (بچو) کچھ شک نہیں کہ خدا تمہیں دیکھ رہا ہے
(Surah An Nisa verse 1)

(yaani khoon ke rishte torne se bacho)

Baki kafara un kasmon ka hota hai jo ache iraade se uthai hon lekin poori na ki gai hon. Magar kuch kasmein, maslan jhooti kasam ka masla itna sangeen hai ke unka koi kufara nahi aur jitni ho sake Allah ta'ala se maghfirat karni chahiye. Mein ne khasoosi aapke sawal ka jawab dhoondne ki bohot koshish ki lekin nakaam rahi. Is liye behter hai ke aap kisi mufti se mashwara karen.


:wa:
 

Similar Threads

Back
Top