Jis Main Simtay Saara Jahan
Chota Sa Woh Aik Lafz Hai Maa
Is Rishte Say Sab Hain Waaqif
Per Koi Na Samjhay Kya Hai Maa
Jis Nay Tum Ko Janam Dia
Us Hasti Ka Naam Hai Maa
Seenay Say Laga Kay Paala Kis Nay
Jis Nay Paala Woh Hai Maa
Pyaar-o-Mohabbat Karay Har Dam
Chahat Ka Aik Khazaana Hai Maa
Jaan Bhi Nichawar Kar Day Jo
Qurbaniyon Ka Woh Samandar Hai Maa
Qadmon Talay Hai Jannat Us Ki
Itni Azeem Hoti Hai Maa
Us Ki Azmat Un Se Poocho
Jin Kay Paas Nahin Hai Maa
Aaj Tum Jo Kuch Bhi Ho
Hai Us Kay Peechay Tumhari Maa
Badal Nahin Us Ka Duniya Bhar Main
Aik Aisa Lazawaal Rishta Hai Maa
Sada Rahay Salaamat Saaya Us Ka
Aik Meethi Thandi Chaon Hai Maa
Chota Sa Woh Aik Lafz Hai Maa
Is Rishte Say Sab Hain Waaqif
Per Koi Na Samjhay Kya Hai Maa
Jis Nay Tum Ko Janam Dia
Us Hasti Ka Naam Hai Maa
Seenay Say Laga Kay Paala Kis Nay
Jis Nay Paala Woh Hai Maa
Pyaar-o-Mohabbat Karay Har Dam
Chahat Ka Aik Khazaana Hai Maa
Jaan Bhi Nichawar Kar Day Jo
Qurbaniyon Ka Woh Samandar Hai Maa
Qadmon Talay Hai Jannat Us Ki
Itni Azeem Hoti Hai Maa
Us Ki Azmat Un Se Poocho
Jin Kay Paas Nahin Hai Maa
Aaj Tum Jo Kuch Bhi Ho
Hai Us Kay Peechay Tumhari Maa
Badal Nahin Us Ka Duniya Bhar Main
Aik Aisa Lazawaal Rishta Hai Maa
Sada Rahay Salaamat Saaya Us Ka
Aik Meethi Thandi Chaon Hai Maa