maa

  • Thread starter Thread starter star2005
  • Start date Start date
  • Replies Replies 22
  • Views Views 6K
Aanso, Dosti, Maa, Muhabbat, Muskurahat, Zindagi

Aur In Sab Per Hi Tou Hamari Zindagi Muheeth Hai ......

Aur MAA ....... MAA Kiya Hai ??? Maa Aik Khusbuu Hai Jis Se Yeh Jahan Mehak Uthta Hai.

MAA....Ke Baray Main A'arif Shafeque Ki Yeh Ghazal Mujhe Bhut Pasand Hai Umeed Hai App Logoun Ko Bhi pasand Aayay Gi....

MAA .......

Ho Gayay Jawan Bachchay Borhi Ho Rahi Hai MAA
BeChiragh Aankhon Mein Khawab Boo Rahi Hai MAA

Roti Apne Hissay Ki Day Kay Apne Bachchoun Ko
Sabr Ki Rida Oadhe Bhooki So Rahi Hai MAA

Dekh Kar Bahu Ko Kiya Yaad Aagaya Us Ko
Kin Haseen Khaboun Mein Ajj Kho Rahi Hai MAA

Sans Ki Mareza Hai Phir Bhi Thanday Pani Say
Kitni Sakth Sardi Mein Kapray Dhou Rahi Hai MAA

Muntazir Nigahain Hain Lab Pay Bus Dua'ain Hain
Pal Do Pal Bhi Bachchoun Se Dur Jo Rahi Hai MAA

Khelnay Se Jo Mujhko Rokti Thi Matti Mein
Oaud Kar Wahi Matti Ajj So Rahi Hai MAA

Ghair Ki Shikayat Per Phir Kisi Shararat Per
Mar Kar Mujhe A'arif* Khud Bhi Ro Rahi Hai MAA

By : A'arif Shafeque

Anyway Star Appne jo nazam di hai woh bhi MashAllah bhut acchi hai .. i think yeh bhi app ko zarur pasand ayay gi .
Wassalam
Jazakallah Khair
 
:sl: This brought tears to my eyes especially the bit where the mother feeds her kids and herself sleeps on an empty stomach.

Very painfull at this moment as my brother-in-law passed away last weekend and my sister about 6 years ago. Yesterday my niece was crying and said Khala are we orphans now?? It broke my heart.

Allah Humari sub maaoun ki hifazat rakhey aur unko laambi aur sehat wali zindagi deh. Ameen. Humari maaoun ka saaya hameesha humarey sur par rahey ............. Ameen. Summ Ameeen.:cry:
Aanso, Dosti, Maa, Muhabbat, Muskurahat, Zindagi

Aur In Sab Per Hi Tou Hamari Zindagi Muheeth Hai ......

Aur MAA ....... MAA Kiya Hai ??? Maa Aik Khusbuu Hai Jis Se Yeh Jahan Mehak Uthta Hai.

MAA....Ke Baray Main A'arif Shafeque Ki Yeh Ghazal Mujhe Bhut Pasand Hai Umeed Hai App Logoun Ko Bhi pasand Aayay Gi....

MAA .......

Ho Gayay Jawan Bachchay Borhi Ho Rahi Hai MAA
BeChiragh Aankhon Mein Khawab Boo Rahi Hai MAA

Roti Apne Hissay Ki Day Kay Apne Bachchoun Ko
Sabr Ki Rida Oadhe Bhooki So Rahi Hai MAA

Dekh Kar Bahu Ko Kiya Yaad Aagaya Us Ko
Kin Haseen Khaboun Mein Ajj Kho Rahi Hai MAA

Sans Ki Mareza Hai Phir Bhi Thanday Pani Say
Kitni Sakth Sardi Mein Kapray Dhou Rahi Hai MAA

Muntazir Nigahain Hain Lab Pay Bus Dua'ain Hain
Pal Do Pal Bhi Bachchoun Se Dur Jo Rahi Hai MAA

Khelnay Se Jo Mujhko Rokti Thi Matti Mein
Oaud Kar Wahi Matti Ajj So Rahi Hai MAA

Ghair Ki Shikayat Per Phir Kisi Shararat Per
Mar Kar Mujhe A'arif* Khud Bhi Ro Rahi Hai MAA

By : A'arif Shafeque

Anyway Star Appne jo nazam di hai woh bhi MashAllah bhut acchi hai .. i think yeh bhi app ko zarur pasand ayay gi .
Wassalam
Jazakallah Khair
 

Similar Threads

Back
Top