Rahmaan
Is ney sikhaaya Qur’an
Phir banaya insaan
Wo karta hay bayaan
Aaj ka insaan
Bahot hay parayshaan
Is ney choar dya Allah ka dhayaan
Us ney karni thi Allah pay jaan qurbaan
Ab yeah ho gaya hay Muhammad (salllahu alayhi was sallam) ka nafarmaan
Is liye phirta hay parayshaan
Allah ki baat maan
Rozaana parh Qur’an
Phir dekh Allah ki shaan
Milay ga itmenaan
Ae Allah meri haazir hay jaan
Mujhe bana dey furqaan
Aur apna dey dey Gufraan
Mujhe kar dey shahadat kay khoon se lahoo lahaan
Mujhe kahay jannat ka nigraan
Jis ka naam hay rizwaan
Jannat mein daakhil ho ja ae sahib-e-wajdaan
Waha’n ho’n musalamaan
Mein kaho’n kaha’n hay Rahmaan
Mujhe us kee chahat hay har aan
Phir Allah kahay yeah hay wo insaa’n
Jis kay khaatir mein ney banay jahaa’n
Is ka buland kya shaan.
by faqeer Syed Abdul Wahaab Shah Bukhaari (db)
insha'Allah will be contined.....