Urdu Poetry

  • Thread starter Thread starter Bin Qasim
  • Start date Start date
  • Replies Replies 214
  • Views Views 83K

Bin Qasim

Elite Member
Messages
291
Reaction score
8
:sl:

I guess it is ok to talk about Urdu Poetry in here. :)

Kisi ko shauq hai shayari ya nazme sonne ka?

Main buht nazmein padhta tha ab koi kitaab nahi hai mere paas :thumbs_do

Main Iqbal ko padhta tha, puri kitaab khatan nahi ki lekin. Main ne Akhtar el Iman ki ek nazm padhi thi badi pasand aayi mujhe Aitamaad. badi pasand aayi mujhe. Ek Ali Sardar Jaafri ki padhi thi, mere khayal se "Subah-e-Farda" naam the nazm ka? zamana hua padhe. Phir doosre shayar bhi hain jaise Marhoom Nasir Kazmi, etc. All are very good shayars.

yeh link hain dekh le kuch shayaro ko agar waqt mile.

http://urdulove.com/

Wld like to hear ur feedback on Urdu poetry too :brother:

:w:
 
:sl:

Maa.gif


:w:
 
buht badi thi bhai LB... phir kabhie fursat mein padh longa.. :P

meri pasandeeda ghazloon mein se ek paish karta aap longo ko... Nasir Kazmi ki takhleeq hai...

NasirKazmigif051-1.gif


umeed karta hoon pasand aayegi... :D
 
Mujhe urdu se bohot lagao hai. Kaash mein Pakistan mein parhi hoti :'( lekin ik guzarish hai tamaam behen bhaiyon se. Agar bura na maanen to jab aap 'bara' likhte hain to usse 'bada' na likhen. Maslan 'parh sakta hoon' ko 'padh sakta hoon' na likhiye. Aise hota hai ke jab mein parhti hoon to 'phad' ko phir 'parh' ki bajaye phad keh deti hun lol. Bohot ajeeb sa lagta hai. Sirf ik choti si farmaish hai, agar ho sake to, nahi to koi baat nahi :-[:)
 
Waaaah Lonely Bro, aapki 'Maan' wali poem bohot zabberdast hai!!!!!
Acha ye mein ne kal ye thread dekh ke jaldi se likhi thi, per mere computer mein garbar ho gai thi, isliye post nahin kar saki. Umeed hai pasand aayegi :p

*cough*

Untitled

Yun to Tu har jagha per mojood hai Maula
Phir bhi teri aghosh mein aane ko taras jati hoon mein

Ghum ke alam mein jab koi pass nahin hota
Tu hi pass hota hai-ye samajh jati hoon mein

Tu jo deta hai, jo leta hai, Tera shuker hai Maula
Tere har faisle ke aage jhuk jati hoon mein

Mein is kabil to nahin, per Tera karam hai mujh per
Bas akhirat mein Tera deedaar chahti hoon mein

Teri kasam, agar ab meri maut ka hukam aa jaye
Teri raza pe khushi se mitt jati hoon mein :'(:'(:'(






:rose: :loving: :rose:

by Nadia ;)
 
Last edited:
u wrote tht ? :omg:
but............Astaghfirullah !!!:eek:


:eek: keya hua??? :embarrass

Ya Rabb mein jati hun Tera koi wajood to nahi.. That means that I know Allah is not a physical being. Aap keya samjhe? :'( :'( :'( Mujhe zaroor bataiye ga.
 
tera wujood nahi = U do not exist ! :-\

sadke lol Allah aapko khush rakhe.. ameen. It doesn't mean that at all nauzubillah.

wajood nahi = physical body nahi :) sorry if it came across as that (above). Give me some time I will try to amend it, so that it's clearly understood inshaAllah :)
 
Last edited:
Zak bhai :embarrass mein ne woh line amend kar di hai. Ab bataiye theek hai? Sorry mujhe nahin pata tha ke wajood ka matlab presence bhi hota hai :hiding: Sorry again :( Aur koi ghalti to nahi hai? Agar hai to zaroor batana :)

May Allah forgive me. Ameen
 
koi baat nahin :) abt theek hai ! :)


Phewwwwwwww *faints* lolol. Tnx Bro! I'm sure I just seen a 'last reply by Zak' 14 minutes ago! :giggling: Lololol you should be revising bro :eek: But I understand ;D

Khair, Allah ta'alaa aapko exams mein bohot bohot kaamyabi aata farmaye, aur zindagi mein bhi. Ameen Ameen Ameen.

Best wishes and good luck, inshaAllah :)
 
i will show u all the poem written by (i forgot the Mawlana name)

i only remember some sentences .. i will share it

Islam Kee Da'Wah bhi dee
Takleef bhi usnay sahii
jisnay dua dushman ko dee
Swallu Alaihi Wa-Aaalihii
 
abhi taaza taaza likha hai...


Ilm

Ilm ke sumander mein doob jaane ko ji karta hai

Hikmat ke moti dhoond laane ko ji karta hai

Bana in ke gehne, apni shakhsiyat ke husn ko

Dulhan ki tarha sajaane ko ji karta hai



Nadia
 
Assalamualaikum...
mujhe bohot pasand urdu shayari...

lekin kabhi kabhi samajne mein mushkil hoti hai...

take care
x-madiha-x
 
Lonely!!! really an excellent & Mind Blowing poem abt Maa MashaALLAH .. I Really liked it very much.
& Nadia ... appnay waqi main bhut acchi koshish ki hai MashAllah ...Keep it up Dear Sister
Wassalam
Jazakallah Khair
 
Sikandar aik behri qazzaaq say yoon Mukhatib hota hay:

Sila tera tiri zanjeer hay ya shamsheer hay meri
Keh teri rahzani say tang hay darya ki pehnai

Behri qazzaaq yoon jawaab deta hay:

Sikandar! Heif, ttu iis ko jawan mardi samajhta hay
Gawara iis tarha kartay hein hamchashmon ki ruswai
Tira pesha hay saffaqi, mira pesha hay saffaqi
Keh ham qazzaaq hein dono, ttu medani, mein daryai

Allamah Iqbal
 
Thori Si Ebadat Bhut Sila Deti Hai
Gulab Ki Tarah Chehra Khila Deti Hai
Allah Ki Yaad Ko Dil Se Janay Na Dena
Kabhi Choti Si "Dua'a" A'arsh Hila Deti Hai

Pray 4 Muslim Ummah to be on Right Path InshaAllah ... AMEEN
 
^wah! ameen aur mashaAllah Jihad sis, bohot aala. aapne likhi hai keya?

btw, itne arse baad apni poem parh ke dil beth geya hai. Is se acha nahi likh sakti thi keya mein *pouts*
 

Similar Threads

Back
Top