Pahunch se door, chamakta saraab – yaa’ni tuMujhe dikhaaya gaya aek khaab – yaa’ni tuMain jaanta hun babul aur gulaab ke maaniBabool yaani zamaana, gulaab – yaa’ni tuJamaaliyaat ko paRhne ka shauq tha, so mujheAtaa hua hai mukammal nisaab – yaa’ni tuKahaaN yeh zarra E taar-k-bakht, yaani mainKahaaN woh noor bhara maahtaab – yaa’ni tuBadal gayi hai bahut mamlekat mere dil kiK aagayaa hai yahaaN inqilaab – yaa’ni tuHar ek Ghazal ko samajhne ka waqt hai na dimaGhMujhe bahut hai faqat intekhaab – yaa’ni tuKabhi to mere andheroN ko raushni degaGurez karta hua maahtaab – yaa’ni tuIdhar hai koh-kan-e-dasht-e-ishq yaani mainUdhar hai husn E nazaakat ma’aab – yaa’ni tuUjaaR gulshan E dil ko baRi duaaoN ke baadHua naseeb, gul E baaryaab – yaa’ni tuBahut taveel sahi daastaan E dil lekinBus ek shakhs hai lubb-e-labaab – yaa’ni tuKabhi kabhi nazar aata hai dasht E hijraaN meinJunuN ki pyaas baRhata saraab – yaa’ni tuChakhe beghair hi jis ka nasha mukammal haiMujhe baham hai ek aisi sharaab – yaa’ni tuKoi sawaal hai jis ko jawaab milta nahiSawaal yaani K ‘Faaris’, jawaab – yaa’ni tu