Urdu General

  • Thread starter Thread starter Beardo
  • Start date Start date
  • Replies Replies 741
  • Views Views 158K
^Ek Hyderabadi par gussa? Ho sakta hai wo ek undercover mod ho.

Waise aap ka sawaal wazeh nahi tha. Kisi 'thread' ka koi admin nahi hota. Saare forum ka hota hai. Aur moderator... sections ke hote hain. Threads ka makhsoos koi nahi.

galti meri hai.Itna bada bada red colour me Administrator likha hua hai profile par aur mai ne kabhi notice nahi kiya.kya andhi ho gayi thi.:hiding::uuh::'(
 
look out for infractions...you might get banned for mocking a hyderabadi, cuz we have an admin here who is a hyderabadi as well...muahaha

<in muffled voice> zAk, will you help me...
Yeh urdu forum hai urdu me post likhiye.
Angraiz chale gaye Angrezi chod gaye

meri to samjh me nahi a raha hai ki aap ko urdu nahi aati to aap dusre forum par kiyo nahi likhte sare forum IB par english me hi hai
Sirf Urdu ka ek hi forum hai usme bhi bhi ek machli pure talab ko ganda kar rahi hai^o):mad::mad::mad::mad:;D:mad::mad::mad:
 
pataa hai tumhare laal smilies dekhkar aisa lagta hai ki kisi ne thread par aag laga di ho!! :p
isiliye aakho ko "takleef" hoti hai...
smiley3300.gif


smiley-laughing025.gif



teekhe aab kaam ki baat....mere ustaniz (plural), aaj mei ye padne ki koshish kar rahi hu....

Urdukidsstoriesinpdfbmp-1.jpg



Nafarmani ki sazaa

Ek dafa ka zikr hai k eek jangal mei chaar chote chote khargosh raha karte thay, jin ke naam falaasi, malaasi, kalaati, aur palaasi thay. Wo chaaro apni maa ke saath ek b…. darakth ki kho… …. thay............
*sigh* *shrugs* ....baap re ye to kitna mushkil hai!!....itna padne ke liye maine 15 min lagaye....aur nahi pad sakti...
smiley5527.gif

i hope jitna padha utna sahi ho...
 
pataa hai tumhare laal smilies dekhkar aisa lagta hai ki kisi ne thread par aag laga di ho!!
isiliye aakho ko "takleef" hoti hai...
Peacelover ne jo kaha wahi meri takleef hai :D. Aap ko mazaak acha nahi lagta kya :? Acha nahi lagta to main aap se mazaak nahi karongi :><:.
 
peacelover behna app ki kahani k khargosh ki tasaweer daikh k maire choti behnn nay maira laptop he mujh say cheen liya :p laikin afsos kahani adhori thi:D
 
Aap ko bahot hansi a rahi hai.Mai jab aap ka mazak banaungi to zaban kya munh bhi chupa kar roengi.isliye mujh se panga mat lena

Acchaaaaaaa….toh aysi baat hai…..THEEK hai phir dekhte hai kaun kiska mu band karta hai…waise mujhe taang kheechne me bohot mazaa aataa hai!!

Lekin meri ek shart hai ki agar hum ek dusre ka mazaak urate hain…toh hum me se kisi ko bhi bura nahi manna hoga….agar tumhe manzoor hai toh phir muqabla shuroo!!

deal?

Toh apnaa dimaagg thanda karo aur tayyaar hojao!! Apne sir pe navratn ka tel lagao…*thanda thanda cool cool* :p

Muhahaha!!

peacelover behna app ki kahani k khargosh ki tasaweer daikh k maire choti behnn nay maira laptop he mujh say cheen liya :p laikin afsos kahani adhori thi :D

Awwwww……seriously!!

Mujhe chote bacche bohot pasand hai!!.....:wub:
Who story adhuri hai :-\…….ummm….mujhe toh pata bhi nahi ki iski kahani kya hai…jitna maine padha utne mei toh sirf kargosh ke naam likhe thay….
 
aaj maine kitab me ye padha ki Qyamat ke din hum apne baap dada ke naam se bulaijaenge.Isliye achche naam rakha karo.
Par mera naam to bilkul achcha nahi hai.mai kya karo.aur maine ye naam khud hi rakha hai.pehle mera naam kuch aur tha :nervous:jab mai 9 std thi tab maine yeh naam rakha tha kiyonki mera pehle jo naam tha woh bilkul isse milta julta tha.par school me mujhe koi bhi us naam se nahi bulata tha.sab log yehi naam se bulate the kiyonki rahila bahut common hai.phir mera phir se akeeka bhi hua.halanki meri dadi ne mujhe aisha naam rakhne ke liye kaha tha par mujhe pata tha ki ghar me koi us naam se nahi bulaega kiyonki meri cousin naam change kiya tha lekin sab log unko purane wale naam se hi bulate the.sab bachpan se wahi aadat thi.:cry:
 
Mujhe kisi ki taang khichne me bilkul maza nahi aata.mai sirf apne qareebi saheliyon ke saath mazak karti hun woh kuch cheeso par mazak mujhe bilkul pasand nahi hai.mere khyal me IB par us tarah ka mazak koi nahi karta.haan agar samne wala mera mazak banae to mai Ek bar,do bar maaf kar deti hun.lekin teesri bar aisa keh deti hun ki dobara kisi ka mazak banane se pahle soche ga.

acchi baat hai....waise bhi mai mood me nahi hoon. :(

mai bilkul thandi hun is tel ki zaroorat nahi.aap mentos khao aur dimaag ki batti jalao.
Mujhe mentos nahi pasand.
 
Mujhe mentos nahi pasand.

Mujhe bohot pasand hai. Especially orange wala :p.

apne sir pe navratn ka tel lagao…*thanda thanda cool cool*

aap mentos khao aur dimaag ki batti jalao.

Aap log ek dosre ke copy kar rahe hai :giggling:.

acchi baat hai....waise bhi mai mood me nahi hoon. :(

Kisi ka mazaak karne mood nahi to main kya karonge imsad. Padhai karna shuru kar deti ho :hmm:.

Wese kuch khaas padhne ko nahi hai.
 
Last edited:
koi mujhay btaye yahan kiya ho rha hay..?? kis jang ki tyari k liye mintos k sath thanda thanda pani piya ja rha hay...
mintos to mujhay pasand nahi albatta pani to ajkal thanda hi chal rha hay... ghazab ki garmi jo per rahi hay..
 
Kisi ka mazaak karne mood nahi to main kya karonge

Kya safiya bahen waise bhi aap kahan mazak karti hain.
Chaliye mai ekdam mazak ke mood me hun.bhale hi aap ne mere saath dhoka kiya lekin mai ne bahen samajh kar maaf kar diya.
 
Last edited:


Hum PAKISTAN ke saath jang ki taiyyari ke bare me baat kar rahe hain:omg:
^o)


Kya ??pakistan me abhi tak baarish nahi hui.:p
Aur aap ke exams kaise ja rahe hain.Garmi me books handle karna bahot difficult hota hai:phew

jahan may rehtee hn wahan nahi howin:hmm:
examz Alhamdulilah thek chal rahay hain.. waqye perhnay ka to bilkul bhi dil nahi kerta garmi may..:enough!: kitabon ko daikh daikh k pasina anay lagta hay..:phew notes ko hath lagao too u lagta hay 100 volt ka bulb cho liya hay..:scared: or..or... yaad kernay baitho to dmagh garmi ki wja say kaam kerna chor daita hay..:heated:
 

^o)



jahan may rehtee hn wahan nahi howin:hmm:
examz Alhamdulilah thek chal rahay hain.. waqye perhnay ka to bilkul bhi dil nahi kerta garmi may..:enough!: kitabon ko daikh daikh k pasina anay lagta hay..:phew notes ko hath lagao too u lagta hay 100 volt ka bulb cho liya hay..:scared: or..or... yaad kernay baitho to dmagh garmi ki wja say kaam kerna chor daita hay..:heated:

lol.....itni pareshani uthake kyun likhte ho imtehaan? kuch leke kyun nahin jaate imtehaan me? :p
 
^ Sab ke pass to nahi hota hai 'Art of cheating' :D.

bhale hi aap ne mere saath dhoka kiya lekin mai ne bahen samajh kar maaf kar diya.

Mein ne kabho kisi bhi dhooka nahi diya imsad aap kis dhooke ki baat kar rahi hai :offended:. Mujhe PM karke bataye taa ke mein kisai aur ko dhooka na do :(.
 
Last edited:
"art of cheating" you mean "naqal kernay ka huner"....:hmm:

touba karian ap loog.. masum bachon ko kaisee batain sikha rahay hain..:exhausted

ham to jo kuch kertay hain apni mehnat say kertay hain..:statisfie idher udher say kernay may bhi koi maza hay bhala...:raging:
 
^ Tauba Tauba :><:

Mein ne bhi alhamdulillah kabhi kisi ki nakhal nahi ki :><:. Jitna bhi exam mein likha hai apni mehnat se likha hai :). Agar cheating karna bhi chahu to guilty feel hota hai :ermm:. Bas kabhi kabhi apne dosto ki help ki hai :coolious:
 

Similar Threads

Back
Top