Urdu General

  • Thread starter Thread starter Beardo
  • Start date Start date
  • Replies Replies 741
  • Views Views 158K
Mujhe lagta hai aap ko dosre sections mein bhi post karne ki koshish karni chahiye aur ham sab ke saath baat cheet jaari rakhni chahiye :D.

Mashallah Urdu Section mein bohot se members active hai :rolleyes:.
 
may isi baat p ghor ker rahi thi k khas ker k urdu general may hamari guftugu or mubahis ka markez intihai baifaida or baimaqsad mozuaat hain.. kio na yahan koi faidamand sargarmi (activity) ki jaye.. koi aisee sargarmi jis say yahan urdu seekhnay walay membraan bhi mustafeed ho sakain..
kiya khayal hay ap logo ka..?

(ab pichlay sawal ki trah mairay is sawal ka bhi hawai jahaz bna k mat ura dijye ga..:hmm:)
 
may isi baat p ghor ker rahi thi k khas ker k urdu general may hamari guftugu or mubahis ka markez intihai baifaida or baimaqsad mozuaat hain.. kio na yahan koi faidamand sargarmi (activity) ki jaye..

Aap sahi keh rahi hai. Mein aap se sehmet ho.

Aap please bura mat maniye ke hum ne us sawal ka hawai jahaz bna k ura diya tha :X. Actually mujhe samajh mein nahi aaya tha :-[. Aap ne jab meanings bata diye to mujhe samajh mein aa gaya :Alhumdill.

koi aisee sargarmi jis say yahan urdu seekhnay walay membraan bhi mustafeed ho sakain..

Please aap un ka intruduction hamare samne pesh karengi :statisfie.
 
Last edited:
Mujhe lagta hai aap ko dosre sections mein bhi post karne ki koshish karni chahiye aur ham sab ke saath baat cheet jaari rakhni chahiye :D.

:D
Mujhe aap sabse baat karna bohot accha lagta hai Alhamdullilah!! =) <3

may isi baat p ghor ker rahi thi k khas ker k urdu general may hamari guftugu or mubahis ka markez intihai baifaida or baimaqsad mozuaat hain.. kio na yahan koi faidamand sargarmi (activity) ki jaye.. koi aisee sargarmi jis say yahan urdu seekhnay walay membraan bhi mustafeed ho sakain..
kiya khayal hay ap logo ka..?

firstly, mujhe in sab mushkil words ka matlab maloom karna hai aur inhe seekne ki kosish karni hai.....phir mai koi ideas sochugi "sargamis" (<--guessing it means activities) ke liye InshaAllah.
:)

You guys are a lotttt of help! Alhumdullilah!!!
Jazakumullahu Khairan!!
=D
 
BARAKALLAH KHAIRN KASIRN..

yup sargarmi= activity
 
Mein puri koshish karongi in alfaz (words) ka matlab batane ki.

guftugu - conversation
intihai - very
baifaida - not beneficial
baimaqsad - without aim or purpose
faidamand - beneficial
 
Mujhe lagta hai aap ko dosre sections mein bhi post karne ki koshish karni chahiye aur ham sab ke saath baat cheet jaari rakhni chahiye .

Kya karoon.Mai wo forums padhti hun mujhe pasand bhi hai...Lekin mai kabhi likhti nahi.Meri englishimsad...Mujhe dar hai ki meri English padhne ke baad Wahan ki public apni english na bhool jai.Kiyonki meri English padhne ke baad achche achche logon ko pasine tapakne lagte hai.:phewPata nahi Examiner mere paper kaise check karta hai.Had to ye hai ki mujhe hamesha achche marks milte hai.Mujhe yaad hai college me jab pehli bar result aaya to meri dost apne result se zayada mere marks dekhkar shock ho gayi thi.^o)
may isi baat p ghor ker rahi thi k khas ker k urdu general may hamari guftugu or mubahis ka markez intihai baifaida or baimaqsad mozuaat hain.. kio na yahan koi faidamand sargarmi (activity) ki jaye.. koi aisee sargarmi jis say yahan urdu seekhnay walay membraan bhi mustafeed ho sakain..
kiya khayal hay ap logo ka..?

Aap bilkul sahi farma rahi hai.shayad hum yahan aane ka maqsad bhool gaye.Chaliye ab aap hi kuch kaam ki baat shuroo kijiye.
 
Last edited:
Salaam,

Jazakumullahu Khairan for the meanings guys! :)

mubahis matlab?
mustafeed?

"membraan" <--- that's funny...lol...it should be either "memberoon" or "membereen"....these sound funny too!! haha :D
membraan would mean two members! rofl!!

;)
 
Last edited:
mubahis matlab?=discussion
mustafeed= benefit
Sister ye sab sawalat aap yahan mat poocha kijiye.Pata hai pehle mai urdu game khelti thi .Aur ek do bhaiyon ne mujh par ye ilzaam lagaya ki mai google search ya dictionary me se dekh kar jawab deti hun.Tab se mai us par nahi jati.Ab unhe jawab nahi aya to badi aasani se keh diy .Woh kahani to aapne padhi ho gi (lomdi)FOX.Angoor khatte hain
Kair mai ye kehna chahti hun ki aap google search se jawabat doondh sakti hai.Ye idea un bhaiyon se mujhe pata chala.
 
Salaam Rahila,
JazakAllahu Khairan!

lol @ur story...haha XD

haan mujhe Google Translate ke baare mei pata hai...actually baat aage badhane ke liye meine ye sawaal pooche =)
 
Salaam Rahila,
JazakAllahu Khairan!

lol @ur story...haha XD
walaikum assalam wa rahmatullah
Chalo un bato ko bhool jao
KAM KI BAAT BEHNO
Mujhe ye poochna hai ki Kya Islam ladkiyon ko kisi colour ke kapde pehanne par restriction hai.
Baat ye hai ki mujhe safaid colour bahot pasand hai.Aur mere pass hamesha ek dress aisa hota hai jo ke pura safaid ho.Mujhe bahot zayada pasand hai.Ek baar mere padosi meri ghar par aayi unhone pura safaid dress pehne dekha to woh kehne lagi ye ladkiyon ko pura safaid nahi pehanna chahiye.unke ghar par Istema hota hai.woh kafi knowledge wali bhi hain.Unhone mujhe kisi hadith ya koi reference to nahi bataya.Woh keh rahi thi ki ladkiyon ko ladkon ke rang ke kapde nahi pehanna nahi chahiye.Kam az kam odhni (dupata) colorful
pehanna chahiye.
Aap logon ko is baare me kuch pata hai?
 
^ Mujhe is ke barra mein kuch khaas nahi pata. Ladkiyon ko white colour nahi pehena chahiye bohot andhvishwasi (superstitious) lagta hai. Lekin mujhe bhi white colour ke dresses bohot pasand hai aur khaas taur par jin dresees par white colour ka design ho :p. Mein ne kahi sunna tha White is the colour of peace :).
 
Last edited:
Ladkiyon ko white colour nahi pehena chahiye bohot andhvishwasi (superstitious) lagta hai. . Mein ne kahi sunna tha White is the colour of peace .
Last edited by Safiya 1; 1 Hour Ago at 06:56 PM.

Mai yehi janna chahti thi .mujhe lagta hai woh Hindu religion ke hisab se safaid nahi pehanna chahiye.kuch woh widwa (widow) log pehante hai.Par Islam me to shayad aisa kuch nahi.Unke culture ka asar shayad yaha ke musalmano me a gaya hai.
Lekin mujhe bhi white colour ke dresses bohot pasand hai aur khaas taur par jin dresees par white colour ka design ho

Same here,mai dukaan par gayi aur dukandar ne koi white colour ki dress dikha di to phir kitne kapde dikhaye meri nazar us safaid kapde par tik jati hai.phir uske saamne kuch achcha nahi lagta.:statisfie

Mein ne kahi sunna tha White is the colour of peace .
Ye to bahot ajeeb baat hai, lag raha hai woh tumhare case me, mai aur peace lol lol^o)
 
Last edited:
walaikum assalam wa rahmatullah
Chalo un bato ko bhool jao
KAM KI BAAT BEHNO
Mujhe ye poochna hai ki Kya Islam ladkiyon ko kisi colour ke kapde pehanne par restriction hai.
Baat ye hai ki mujhe safaid colour bahot pasand hai.Aur mere pass hamesha ek dress aisa hota hai jo ke pura safaid ho.Mujhe bahot zayada pasand hai.Ek baar mere padosi meri ghar par aayi unhone pura safaid dress pehne dekha to woh kehne lagi ye ladkiyon ko pura safaid nahi pehanna chahiye.unke ghar par Istema hota hai.woh kafi knowledge wali bhi hain.Unhone mujhe kisi hadith ya koi reference to nahi bataya.Woh keh rahi thi ki ladkiyon ko ladkon ke rang ke kapde nahi pehanna nahi chahiye.Kam az kam odhni (dupata) colorful
pehanna chahiye.
Aap logon ko is baare me kuch pata hai?

larkiyon k liye kapro k rang may koi pabandi nahi hay... chahy safaid pehnain kala pehnain ya koi or sa rang... illa ye k libas satir ho..
safiad or kalay rang k libas k sath jo batain mansub ki jati hain un ka islamki taleemat say koi talluq nahi... ye sab batain darasal hindu tehzeeb ka hisa hain jo ham nay apnee tehzeeb may shamil ker li hain..
 
^ Mujhe is ke barra mein kuch khaas nahi pata. Ladkiyon ko white colour nahi pehena chahiye bohot andhvishwasi (superstitious) lagta hai. Lekin mujhe bhi white colour ke dresses bohot pasand hai aur khaas taur par jin dresees par white colour ka design ho :p
app ki baat samajh nahi aye..superstitious kis tarah say??

Mein ne kahi sunna tha White is the colour of peace :).

bilkul sahi suna hay ap nay... safaid rang aman (peace) ki alamat hota hay..

pehlay zamany may jang k doran sulah kernay k liye safaid percham lehraya jata tha... jis ka matlb hota tha k percham lehranay wala fareeq jang khatam ker k baat cheet k zarye sulah k liye tyar hay... ab ki jango ka mujhay maloom nahi...:hmm:
 
sister missy aap ko urdu seekhna hai mai soach rahi kiyon na aap mazmoon likhe.Aur sister muslim haya use check karen isse mujhe bhi urdu yaad ajaye gi.
mazmoon ka unwaan hai"Meri pasandeeda shakhsiyat"
Lekinaap google se urdu ke lafz nahi dhundengi warna khuch faida nahi hoga.
Hidayat(Insruction)
Aap aise shkhsiyat chune jiske baare me aapko zayada jankari ho
1)unka yome padaish,Bachpan,maashi halat aur talimi sargarmi,unse maashere ko kya faida pahoncha wagaira wagaira.
 
Similar Threads

Back
Top