Urdu General

  • Thread starter Thread starter Beardo
  • Start date Start date
  • Replies Replies 741
  • Views Views 158K
aray wah rahila behna ap nay to jaisay mairay khayalaat hi perh liye hn... mairay dimagh may bhi isi qisam ki sargarmi thi laikin may chah rahi thee k app k mashwaray bhi sun lun..
kio na ham sab hi yahan kuch na kuch likhnay ki koshish karain kisi bhi unwan p apni marzi say... baishak chand satrain(lines) hi kio na hn..
 
:sl:

sister missy aap ko urdu seekhna hai mai soach rahi kiyon na aap mazmoon likhe.Aur sister muslim haya use check karen isse mujhe bhi urdu yaad ajaye gi.
mazmoon ka unwaan hai"Meri pasandeeda shakhsiyat"
Lekinaap google se urdu ke lafz nahi dhundengi warna khuch faida nahi hoga.
Hidayat(Insruction)
Aap aise shkhsiyat chune jiske baare me aapko zayada jankari ho
1)unka yome padaish,Bachpan,maashi halat aur talimi sargarmi,unse maashere ko kya faida pahoncha wagaira wagaira.

yeh acchi idea hai :)

ummm...meri fav shakhsiyat....ek tym pe to bohot thay....lekin abhi....umm...*thinks hard*......
.............
........
........

arey yaar...ye itna mushkil kyo lag raha hai?!........
actually mujhe cricket mai koi itna khaas nahi lagta, politics...not my type, bollywood/hollywood celebs...mujhe woh to bilkul nahi pasand,.....aur.....
*thinks hard again*........haan! islamic scholars.....yeh toh sabhi mujhe pasand hai! :wub:...

(afta 10 mins)
teekh hai....
Yasir Qadhi
Mere pasandida islami aalim (?) shk. Yasir Qadhi hai. Inki yomi paydaish (birthday?)---yikes! wikipedia me toh yeh likha hi nahi hai :D---hai. Inke walidayn Pakistani hai. Yeh America mai rahte hai. Inhone Islam ke Ilm par bohot se khutbe (lectures?) diye hai. Aur mujhe inke khutbe bohot pasand hai. Yeh al-Maghrib Institute mai sikate hai aur inhone bohot se Islami Kitabe likhi hai. Mujhe bi inhi ke tara Islami alim banna hai InshaAllah.



Yippee!! :D
Itni kushi ho rahi hai ye likh kar!!

JazakAllahu Khairan sister Rahila!! :rock:

Abhi aap sab ki baari....aap bhi apne pasandida shaksiyyat ke baare mai bataiye.
 
mairay dimagh may bhi isi qisam ki sargarmi thi laikin may chah rahi thee k app k mashwaray bhi sun lun..
kio na ham sab hi yahan kuch na kuch likhnay ki koshish karain kisi bhi unwan p apni marzi say... baishak chand

Ise aap aise bhi keh sakti thi "AAP NE TO MERE MUNH KI BAAT CHEEN LI":p
Mere pasandida islami aalim (?) shk. Yasir Qadhi hai.
Mazmoon ki shuroowat pehle unwaan se hi nahi shuroo karni chahiye.
Woh aap ki pasandeeda shkhsiyat kiyon hai pehle woh batana chahiye.
ye to Wikipedia me diya hua hai.
Maujooda daur ki tez raftaar zindagi me har kisi ke maa baap ka sapna haota hai ki unka beta Engineer ya Doctor bane.Jisne Unche darje ki Taleem hasil ki use maashre uncha maqam milta the.Log ek doosre se baat kaarte waqt yehi baten karten the unka beta Engineer hai,Doctor hai.Agar aalim ya maulana banta hai to use koi na poochta tha.Lekin alhumdulillah aaj kal Musalmano ki soach me bahot tabdeeli aagayi hai.Media ke zariye Islam ke bare me logo ko zayada maloom hone laga hai aur yeh jaan gaye hain ki Deeni taleem ke saath saath dunyawi Ilm hasil karna chahiye.Deen ko dil me aur duniya ko jaib me.Deen ko saath lekar chalenge to Duniya apne aap peeche peeche aayegi.
Mai aise hi Insaan ko apni apni pasandeeda shakshiyat manungi jisne Dunyavi taleem ke saath ala darje ki deeni taleem hasil ki ho.Isilliye mai Yasir Qadhi ko apni pasandeeda shakhsiyat maanti hun.
...
...
...
Thak gayi bas:exhausted ,Maine kai saalon baad urdu me kuch likh rahi hun.Mujhe language subjects bilkul pasand nahi.Mai hamesha door bhagti hun.Sirf wahi subjects achche lagte hai jisme sirf sums solve karne hon.
..
../
Aage yasir Qadhi ke Introduction sister muslim haya karengi.
 
Last edited:
^ Mashallah aap ki urdu to bohot umda hai :rollseyes. Mere khayal se 'meri pasandeeda shaksiyat' thoda mushkil unwaan hai mazmoon likhne ke liye :hmm:. Inshallah mein kisi aur unwaan par likhongi :D.
 
Mashallah aap ki urdu to bohot umda hai . Mere khayal se 'meri pasandeeda shaksiyat' thoda mushkil unwaan hai mazmoon likhne ke liye . Inshallah mein kisi aur unwaan par likhongi .
mujhe lagta hai ye sabse asan mazmoon tha.imsad
Kya safiya sister aap unwan soch kar bilkul sochna hi nahi chahiye ki pasandeeda shkhsiyat kaun hai .har musliman ki pasandeeda shkhsiyat "Prophet Mohammad (peace be upon him, salla Allahu alayhi wa salam) hona chahiye.Inke baare me to tumhe bahot kuch pata hi hoga.
(meri aankh me Infection hua hai.hopefully sab sahi likh rahi hongi)
 
Last edited:
Muhammad (SAW)

Meri pasandeda shaksiyat aap (SAW) hai kyunki unhone hum sab musalmano ko apne character se sare dunya ke logo ko mutasir kiya. Aap (SAW) ki zindagi bohot saare mushkilaat aaye likin wo kabhi bhi Allah se na-umeed na hoye. Un ki sunnate, un ke akhlaaq aur un ke dusro ke saath bartav hum sab ko is baat ki hidayat dete hai hum sab ko unki ki sunnaton ko aur wo sab ache kaam jo ko karte the un ke chale huye raste par chalna chahiye. hum bhi un ki tarah kamiyaab ho sakte hai. Aap (SAW) bhi hum sab ki tarah ek insaan the lekin un ke character ki wajah se shayad Allah ne unhe nabi banane ke liye chuna.jese ki main ne pehli bhi kaha Aap (SAW) bhi insaan the aur un ke dil mein bhi to ghalat baatein aayi hongi. Hum sab ko un ki tarah itni ziyada takleef to nahi uthani padhti hai deen par chalne ke liye aur agar uthani padhti bhi hai to Allah humme sabr karne ka ajar zaror denge. Mere khayal hum sab log agar apne andar ki aawaaz jo hum ko ghalat kam karne ki taraf mutawajje karti hai us ko daba kar humari andar ki achai ko bahar nikalna chahiye. Aaqir mein apne is mazmun ko ek angrezi kahawat keh kar mukammal karna chahti ho.

Each person has inside a basic decency and goodness. If he listens to it and acts on it, he is giving a great deal of what it is the world needs most. It is not complicated but it takes courage. It takes courage for a person to listen to his own goodness and act on it.
_____________________________________________

Alhamdulillah mera mazmoon mukammal ho gaya :exhausted. Sis Rahila aap ne to bohot acha unwaan diya :statisfie. Sorry agar mazmoon ke darmiyan mein thoda 'off topic' baat ki aur Galti se thodi english istemaal ki. :ermm:.

(meri aankh me Infection hua hai.hopefully sab sahi likh rahi hongi)

Aap sab kuch sahi likh rahi hai. Allah aap ko sehat aata farmaye :).
Ameen
 
character

character=kirdar,you can use Ikhlaq
Akhir
Aap (SAW) ki zindagi bohot saare mushkilaat aaye likin wo kabhi bhi Allah se na-umeed na hoye
saari,lekin
galat
hame
Good Effort sis :statisfie

Each person has inside a basic decency and goodness. If he listens to it and acts on it, he is giving a great deal of what it is the world needs most. It is not complicated but it takes courage. It takes courage for a person to listen to his own goodness and act on it.
I did not understand this quote??:embarrass:exhausted+o(
har Insan me achai ,neki hoti hai.Agar woh uski sunta hai aur us par amal kart hai to woh duniya ko woh de raha hai jiski zaroorat hai.Mushkil hai lekin magar bahadur??Insan ko bahadur banna padta hai apni achai aur neki ko sunne ke liye??
 
chalo shuruwat aisa karne chahiye....
Hamare pyare nabi hazrat Mohammad (peace be upon him, salla Allahu alayhi wa salam) 12 rabiul awwal ko maka me peer (monday) ke din paida hue the.
Unke duniya me ane se pehle hi aap ke anwar aur barkaat zahir hone lage the.Aap ke paida hote hi unhone sir sajde me rakh diya shahadat ki ungli asman ki taraf utha dee.sara ghar noor se bhar gya.Unki ma ka nam Amina tha aur walid ka nam Abdullah tha.Aap walid ka Intiqaal aap ki paidaish se pehle hi ho gaya tha....
apke ..
..
Apka sabse bada mojeza Quran hai jisme likhi hui har baat sach sabit ho chuki hai.
Shaqqul Qamar ka mojeza(shaq= splitting in two parts ,Qamar=moon)
.
...
several other..
aur age koi aur likhe
 


Yasir Qadhi
Mere pasandida islami aalim (?) shk. Yasir Qadhi hai. Inki yomi paydaish (birthday?)---yikes! wikipedia me toh yeh likha hi nahi hai :D---hai. Inke walidayn Pakistani hai. Yeh America mai rahte hai. Inhone Islam ke Ilm par bohot se khutbe (lectures?) diye hai. Aur mujhe inke khutbe bohot pasand hai. Yeh al-Maghrib Institute mai sikate hai aur inhone bohot se Islami Kitabe likhi hai. Mujhe bi inhi ke tara Islami alim banna hai InshaAllah.

.

is baat say qata nazr k mazmun ki shuraat(starting) kaisay kertay hain pehlay may app k likhay howay mazmun may chand chezon ki taseeh(correction) kar daitee hn..

mairee pasandida shakhsiyat alim e deen shk yasir qadhi hain.
inhonay bohot say mukhtalif islami mozuaat per khutbay (ya bayan) diye hain.
yeh al-maghrib institute may perhatay hain naiz inho nay bohot say mazhabi mozuaat per kutbay likahy bhi hain


Mazmoon ki shuroowat pehle unwaan se hi nahi shuroo karni chahiye.
Woh aap ki pasandeeda shkhsiyat kiyon hai pehle woh batana chahiye.
ye to Wikipedia me diya hua hai.
g bilkul mazmun ki shuraat may pehlay unwan say mutalliq thori si baat ki jati hay
jaisay is unwan p app bta sakti hain k loog dunya may baray baray kaam ker jatay hain jis ki wja say ham unhay apne pasandida shakhsiyat ka darja day daitay hain..
is k baad app bta sakti hain k app ki pasandida shakhsiyat ye hain or is ki wja ye ye hay waghaira...


Maujooda daur ki tez raftaar zindagi me har kisi ke maa baap ka sapna haota hai ki unka beta Engineer ya Doctor bane.Jisne Unche darje ki Taleem hasil ki use maashre uncha maqam milta the.Log ek doosre se baat kaarte waqt yehi baten karten the unka beta Engineer hai,Doctor hai.Agar aalim ya maulana banta hai to use koi na poochta tha.Lekin alhumdulillah aaj kal Musalmano ki soach me bahot tabdeeli aagayi hai.Media ke zariye Islam ke bare me logo ko zayada maloom hone laga hai aur yeh jaan gaye hain ki Deeni taleem ke saath saath dunyawi Ilm hasil karna chahiye.Deen ko dil me aur duniya ko jaib me.Deen ko saath lekar chalenge to Duniya apne aap peeche peeche aayegi.
Mai aise hi Insaan ko apni apni pasandeeda shakshiyat manungi jisne Dunyavi taleem ke saath ala darje ki deeni taleem hasil ki ho.Isilliye mai Yasir Qadhi ko apni pasandeeda shakhsiyat maanti hun.

MASHALLAH!! app to khub likh laitee hain..:)

Aage yasir Qadhi ke Introduction sister muslim haya karengi.

asal may sachi baat hay may nay in ko kabhi perha ya suna nahi hay.. :embarrass
 
Mushkil hai lekin magar bahadur??Insan ko bahadur banna padta hai apni achai aur neki ko sunne ke liye??

Sis Rahila aap ne bilkul sahi samjha. Insan ko apne andar ki achai ko sunne ke liye aur us par amal karne ke liye bahaduri ki zarurat hoti hai.
Shukriya galtiya batane ke liye :shade:. Mujhe urdu ko english mein likhne mein bohot takleef hoti hai. Galtiya aati hai (or ghaltiya) :embarrass.

aur age koi aur likhe

Mein ne wo sab isliye nahi likha kiyon ki mujhe aesa laga ki agar mein wo sab likhongi to school ke sabaq (lesson) ki tarah ban jaega :hiding:.

asal may sachi baat hay may nay in ko kabhi perha ya suna nahi hay.. :embarrass

Mein ne bhi kabhi nahi padha un ke baare mein :p.
 
mujhe lagta hai ye sabse asan mazmoon tha.imsad
Kya safiya sister aap unwan soch kar bilkul sochna hi nahi chahiye ki pasandeeda shkhsiyat kaun hai .har musliman ki pasandeeda shkhsiyat "Prophet Mohammad (peace be upon him, salla Allahu alayhi wa salam) hona chahiye.Inke baare me to tumhe bahot kuch pata hi hoga.

hadith ka mfhoom hay
tum may say koi shakhs momin nahi hoskta jb tak k maY usko us ki ulaad, maa baap or tamam dunya walon say ziyada mehbob na hojaun... (bukhari muslim)

MASHALLAh safia sister nay bhi bohot acha likha hay...:)

ab mairee bari...:p
mujhya apna school ka door yaad agaya jab ham aisay mozuaat p mazameen likha kertay thay:D

MAIREE PASANDIDA SHAKHSIYAT​
baraf ki manind(like) her lamaha guzraty is waqt may k jis ka thamnaa(to stop) namumkin hay kitnay hi insan is dunya may atay hain or kitnay hi apni muddat e amal mukammal ker k abdi safr (everlasting journey) ki janib rawana ho jatay hain.. inhi atay jatay insnao may kuch aisay goher e nayab(rare pearls) hotay hain jo is mukhtasir (small) safer may wo kaam ker jatay hain jo un k naam ko marnay k baad bhi mudato logo k dilon may zinda rakhta hay.. ham un ka naam ehtraam say laitay hain or un k naqsh-e-qadam per chalna bais-e-fakhr samajhtay hain.. ye wo loog hain jin k dil may insaniyaat ka dard, jin ka maqsad e zindagi insaniyaat ki bhalai or jin k lie insaniyaat ka mufaad her cheez per muqadam(above all) hota hay...

mairee pasindida shakhsiyat ik aisee hsati hay jis k dil may ummat e muhammadi ki muhabbat, jis k kaam may umaat e muslima ka dard or jis k her lafz may baidari or khulus pinhan hain... app ka naam Dr Allama Muhammad Iqbal hay..app 9 november 1877 ko sialkot may paida howay.. ap nay ibtidai taleem sialkot may hi hasil ki. goverment college lahore say falsafay may MA kia or ala taleem k liye inglistan chalay gay...

jari hay(to be continued)..
 
:sl: behno,

Aap sab to kitna accha likhte hai MashaAllah!!
InshaAllah, mai bhi koshish karugi :)

Jazakumullahu Khairan.
 
app ka naam Dr Allama Muhammad Iqbal hay
sach me..waise mujhe shero-shairi me bilkul dilchaspi nahi hai lekin Allama Iqbal ke shair mujhe pasand hain.Bahot umda
Khas kar unki likhi ye (nazm)
Lab pe aati hai dua ban kay tamana meri
Zindagi sham’a key surat ho Khudaya meri.



May longing comes to my lips as supplication of mine O Allah!
May like the candle be the life of mine O Allah!
Verse 2:
Dur dunya ka maray dam say andheera ho jaye!
Har jagah meray chamaknay say ujala ho jaye!



May the world’s darkness disappear through the life of mine!
May every place light up with the sparkling light of mine!
Verse 3:
Ho maray dam say younhi meray watan key zeenat
Jis tarah phool say hoti hai chaman ki zenat.


May my homeland through me attain elegance
As the garden through flowers attains elegance.
Verse 4:
Zindgi hoo maray parwanay key surat Ya Rab!
Ilm ki sham’a say ho mujko muhabat Ya Rub!


May my life like that of the moth be, O Allah!
May I love the lamp of knowledge, O Allah!
Verse 5:
Ho mara kaam ghareeboon key himayat kerna
Dard mandoon say za’ieefoon say muhabbat karna.



May supportive of the poor my life’s way be
May loving the old, the suffering my way be.
Verse 6:
Maray Allah! burai say bachana mujhko
Naik jo rah hoo us raah pay chalana mujh ko.


O Allah! Protect me from the evil ways
Show me the path leading to the good ways.
Verse 7:
Lub pay aati hai dua baan key tamana mayri
Zindagee shama ki surat ho Khudaya meree.


May longing comes to my lips as supplication of mine O Allah!
May like the candle be the life of mine O Allah!

..
Mujhe school ke din yaad a gaye..Hum roz Qirat ke baad yehi padha karte thi...Is nazm ki mujhe Ek Ek lafz bahot pasand hai..aur tarz(tune) bhi .. Specially Mere allah burai se bachana mujh ko ...
 
:pTheek hai ab safiya tum mujhe koi topic do mai us par English me likhungi aur tum check karna.dekho maine font size bhi badha di taki tumhe padhne koi takleef na ho mujhe pata hi nahi tha ki aap ki nazar kamzoar hai.
 
sach me..waise mujhe shero-shairi me bilkul dilchaspi nahi hai lekin Allama Iqbal ke shair mujhe pasand hain.Bahot umda
:) shair o shaire mujhay bohot pasand hay bashart ye k achi ho.. or Allama iqbal ki shairee ka to jawab nahi...

:pTheek hai ab safiya tum mujhe koi topic do mai us par English me likhungi aur tum check karna.dekho maine font size bhi badha di taki tumhe padhne koi takleef na ho mujhe pata hi nahi tha ki aap ki nazar kamzoar hai.

urdu general may english...:hmm:
 
Pakistan bohot yaad aa raha hai... esp vaha ke jaman aur false... aur imli

soooo sweet n sour and delicious. imsad
 
IMLI=zaban me pani agya...
aap ne us ke link ke bare poochi thi..Ya nooru?
maine pata nahi kaun si site par dekhi thi save nahi ki..imsad
Lekin ye to hamare school me Deeniyat teacher ne bataya tha ki har namaz ke baad 3 bar Ya nooru for good eyesight and 11 times Ya Qawiyyu for good memory:statisfie
Mai to har namaz ke baad padhti hun mujhe tab se aadat hai..Shayad isliye abhi tak mujhe ainak ki zaroorat nahi padhi
 
Last edited:
alhamdulillaah, ainak ke zaroorat to mujhe bhi nahi... magar aap apni teacher se pls pooch kar bataiy, ye hadith hai?
 
Sister muslim haya
maine suna hai ki sare jahan se achcha "jo allama Iqbal ka likha hua hai..woh India ka national anthem banne wala tha lekin kiyonki INDIA pakistan ke batware ke waqt woh Pakistan chale gaye Isliye unke geet ko nahi banaya gya ki bad me controversy hoti ki yaha ka national anthem likhne wala yaha ko chod kar pakistan chala gaya jo ke hamarre dushman mane jate hai..Ap ko kuch pata hai is bare me


Sach kahun to India ka National anthem India ke logo ko samajh me hi nahi aata kiyonki woh Bengali language me hai.Sirf bengal state walon ko hi samajh aata ho ga
pata hai ek hindustani hone ke nate mujhe aap se ye sab nahi kehan chahiye par sachchai yahi hai
 
Last edited:

Similar Threads

Back
Top