Shayiri

  • Thread starter Thread starter habib
  • Start date Start date
  • Replies Replies 1K
  • Views Views 680K
:salamext:

Is Ajnabi Dunia Mein Koi Bhi Apna Nahin
Gairon Ki Aankhon Mein Apni Surat Dhundthaa Hoon

Wah chacha bhai....kya shair hai...:thumbs_up
 
:salamext:

Jinn Pathroun Ko Humne Attaa Ki Thee Dharkanain,
Unn Ko Milli Zabaan To Hum Hi Par Baras Parhay
 
Bachpan key dukh bhi kitney ajeeb hua kartey thay
tob toh sirf khiloney toota kartey thay
woh khushiyan bhi jaaney kesi khushiyan thi
titli key par noch kar ochla kartey thay
paaon maar kar khud baarish k paani mai apni kashti aap daboya kartey thay
chotay thay toh maqer aur fariab bhi chotey thay
daana daal kar chirya pakra kartey thay...

Ab tu aik aansu bahaana bhi ruswa kar deyta hai...

Bachpan mai tu jhi bhar kar roya kartey thay
 
kaash is door main koi aiyse ainay taqseem karay
batin bhi nazr aye jis may zahir ki tarha
 
:sl:
Mujahidoon key Dil ki kasey hain Dharkanain
Thori see Guftagoo sey Jaan Unki nikal gaii.
Best of luck

:salamext:

Thori si guftagoo?! Ha! Kaash aapko andaaza hota...har phool par bharosa nahin karna.... :blind:
 
Toote Hue Khawabon Mein Haqiqat Dhundthaa Hoon
Pathar Ke Dilon Mein Mohabbat Dhundthaa Hoon

Mere Jazbaaton Ki Keemat Yahan Kuch Bhi Nahin
Beimaani Ke Baazaron Mein Sharafat Dhundthaa Hoon

Is Ajnabi Dunia Mein Koi Bhi Apna Nahin
Gairon Ki Aankhon Mein Apni Surat Dhundthaa Hoon

Umeed Ki Thi Pyar Ki Bas Yehi Bhool Thi Meri
Girte Hue Ashkon Mein Apni Hasrat Dhundthaa Hoon

:D


Lovely shayari mashallah!
 
:sl:

My all time favourite...:thumbs_up

Kisi nazar ko tera intezaar aaj bhi hai ;
Kahan ho tum ki yeh dil be-karaar aaj bhi hai !

Woh vaadiyan woh fizayain ki hum miley they jahan ;
Meri wafa ka wahin par mazaar aaj bhi hai !

Na jaane dekh ke kyon unko yeh hua ehsaas ;
Ki mere dil pe unhe ikhteyaar aaj bhi hai !

Woh pyaar jiskay liye humne chod di duniya ;
Wafa ki rah pe ghaayal woh pyaar aaj bhi hai !

Yakeen nahin hai magar aaj bhi yeh lagta hai ;
Meri talaash mein shaayad bahaar aaj bhi hai !

Na pooch kitnay mohabbat ke zakhm khaye hain ;
Ki jinko soch ke dil sogwaar aaj bhi hai !

Kisi nazar ko tera intezaar aaj bhi hai,
Kahan ho tum ki yeh dil be-karaar aaj bhi hai !
________________________________________
 
Rab se aapki khushi mangte hain,
Duaon me aapki hansi mangte hain,
Sochte hain kya mangen aapse,
Chalo aapki umar bhar ki dosti mangte hain.
 
Bachpan key dukh bhi kitney ajeeb hua kartey thay .....tob toh sirf khiloney toota kartey thay ....... woh khushiyan bhi jaaney kesi khushiyan thi
titli key par noch kar ochla kartey thay
chotay thay toh maqer aur fariab bhi chotey thay .....
Ab tu aik aansu bahaana bhi ruswa kar deyta hai......
Bachpan mai tu jhi bhar kar roya kartey thay.......

:sl:

ye choti si nazam achi lagi .
Shukria.:thumbs_up:)

Edit, I thought my type of reply would be in the sisters section...:X
:w:
 
Last edited:
kal paoun ek kasae sar par jo aa gya
yaksar wo estikhwan shikaston se choor tha
kehne laga ke dekh ke chal rah be khabar
men bhi kabhi kisi ka sare pur ghuroor tha
(mir taqi mir)
 
Har phool khushbu daar nahi hota
har paththar chamaqdaar nahi hota
dosti dekh kar karna dost
har dost hamare jeise wafadaar nahi hota!!!
 
kaho usi sey jo na kahey kisi sey
maango usi sey jo deydey khishi sey
chaaho usi ko jo miley kismat sey
aur dosti karo usi sey jo hamesha nibhaayey khushi sey
 
kaho usi sey jo na kahey kisi sey
maango usi sey jo deydey khishi sey
chaaho usi ko jo miley kismat sey
aur dosti karo usi sey jo hamesha nibhaayey khushi sey
:sl:
Very nice Shairi but only bones of verses are badly fractured and maunion has occured.
 
Park mein main tha gaya
Lekin wapas nahin main aya
Jante ho qiyun?
Kyu ke main bahut saari apples kaya, thank you, thank you. :)
 
Mera Gham Aur Meri Har Khushi Jinse Hai
Yeh Zameen Aasman Rangeen Unse Hai
Geet Ka Husn Hai
Hai Wo Jaane-Ghazal
Shayaron Ki Haseen Shayari Unse Hain
 
:salamext:

Teri yaad main humne roh roh ke tub bhar diye
Aur woh bewafa un mai naha kar chale gaye
 

Similar Threads

Back
Top