khubsurat kalam

  • Thread starter Thread starter azc
  • Start date Start date
  • Replies Replies 85
  • Views Views 10K
Apne bhi naqshe pa jahan dekhe : hoke guzre na us muqam se ham
 
Mil chuki thi jin uljhano se nijat : phir unhi uljhano me jan he aj
 
Sheesha e dil shikasta ankhen nam : jee rahe hen kis ahtmam se ham
 
Zindagi ki talkhiyon ko zeher samjhu ya sharab : ake tujh bin mujhse iska fesla hota nahi
 
Azabo par azab ate rahenge : yahi hoga hayat e mukhtasar me
 
Na ho khuloos dilo me to koi bat nahi : magar khuloos se milna bahut zaruri he
 
Khanjar chale kisi pe tarapte he ham ameer : sare jahan ka dard hamare jigar me he
 
Na he koi sathi na he koi manzil : chala ja raha hun kharama kharama
 
Mana k mujhse piyar nahi aap ko magar : is sharme ne mahal ka sabab to bataiye
 
Naseh khafa hen aate nahi ajkal idhar : ham in dino ba fazle khuda kahiriyat se hen
 
Muhabbat ko samajhna he to naseh khud muhabbat kr : kinare se kabhi andaza e tufan nahi hota
 
Apko jate na dekha jaega : shamma ko pehle bujhate Ja'iye
 
Dil bhar aye to muskurana dena : ye hunar sabke bas ki bat nahi
 
Hal e dil unse keh chuke so bar : ab bhi kehne ki bat baqi he
 
Tareek hoti ja rahi he mehfile nishat : ye kon ja raha he ujala liye hue
 
Bahut khush hen meri gustakhiyon par : ba zahir Jo bura mane hue hen
 
Haale dil unse keh ke jab lote : unse kehne ki bat yad aa'ei
 
Haale dil unse unse bar bar kaha : aur hansi bar bar le doobi
 
Dost hote Jo wo to kya hota : dushmani par jab itne piyare hen
 

Similar Threads

Back
Top