Shaikhul islam Hazrat Madni (Ra) Ne Farmaya :Allah Apne Fazal O Karam Se Apne Muqarrab Bando Ko Wasta Bana Kar Faiz Pahonchata He, Aur Unki Surat E Ruhani Ko Zahir Farmata He, Ash-khas Ko Khabar Bhi Nahi Hoti He, Ye Qudrat Ke Karkhane He, Ta’ajjub Ki Baat Nahi. (Malfuzat e Hazrat Madni (Ra) pg : 66
Shaikhul islam Hazrat Madni (Ra) Ne Farmaya : Allah k Khas Bando Ko Dunyawi Tangi Me Mubtala Kiya Jata He, Ye Khushi Ki Baat He, Dil Tangi Aur Ranj Ki Baat Nahi, Janab e Rasulul- llah Sallal-llahu Alayhi W Sallam irshad Farmate He : Sab Se Zyada Aazmaishe Anbiya Alyhimus-salam Par Aati He, Fir Darja ba-Darja Un k Tabedaro Aur Mislo Par Aati He.(Malfuzat e Hazrat Madni (Ra). Pg : 65)
Shaikhul islam Hazrat Madni (Ra) Ne Farmaya : Quraan Majeed Ek Azimush-shan Neamat He, Jis K Barabar Koi Neamat Nahi. Allah Ta’ala Ki Koi Sifat is Aalm e Zahiri Me is Tarah Likhi Huyi Mojud Nahi He. Allah Ta’ala Ne Apni Sift e Qadeem Ko in Alfaz W ibarat Ke Libas Me Zahir Farmaya He.(Malfuzat e Hazrat Madni (Ra) Pg : 65)
Shaikhul islam Hazrat Madni (Ra) Ne Farmaya : Dua Ki Qabuliyat Ke Liye Chand Sharait He.01- Ye Ke insan Ka Khana, Pina, Pahenna Wagera Sab Halal Ho.02-Ye Ke Khulus e Dil Se Dua Ki Jaye.03-Ye Ke Dua Ki Qabuliyat Ke Bare Me Jald-bazi Se Kaam N Liya Jaye.04- Ye Ke Dua Me Yaqeen Aur Azme Qawi (Pukhta irada) Se Kaam Liya Jaye.05-Amkina e Qabuliyat Aur Ahwal e Qabuliyat Ka Lihaz Kiya Jaye.06-Ye Ke Dua Se Pehle Allah Ta’ala Ki Hamd O Sana Ki Jaye, Aur Janab e Rasulullah Sallallahu Alayhi W Sallam Par Durud Shareef Padhi Jaye Aur Dua Bar Bar Ki Jaye.Aan Hazrat Alyhis-salaam Kam Az Kam Teen Martaba Umuman Dua Ke Alfaz isteamal Farmate The.(Malfuzat e Hazrat Madni (Ra). Pg : 62)
Shaikhul islam Hazrat Madni Ra. Ne Farmaya : Chun ke insan Ko Apne Nafs Ki Muhabbat Sab Se Zyada Hoti He, is Liye Auyub Se insan Andha Hi Hota He, Aur Agar Kuch Janta Bhi He To Usko Taweelat Kar ke Kamal Batata He.(Malfuzat e Hazrat Madni Ra. Pg : 60
Shaikhul islam Hazrat Madni Ra. Ne Farmaya : Quraan Shareef Rozana 1/Para Padhlena Agarche Bila Ma’ana Ho Mufeed He, Dawa (Druge) Ki Taseer Khawah Ma’alum Ho Ya Gere Ma’alum Nafa Zarur Hota He....(Malfuzat e Hazrat Madni Ra. Pg : 59]
Shaikhul islam Hazrat Madni (Ra) Ne Farmaya : Aaj Moqa He k Bade Dushman Se Tarke Muwalaat ki Jie Aur Usko Zik Dene k Liye Geron Ko Saath Li Jie, Jese Yahood Bani Harisa Ko Khebar Me, Safwaan ibne Umayya Aur Deegar Uqala e Makka Ko Hunain Me, Khuza’aa Ko Hudebiya Wagera Me Saath Liya Gaya....(Malfuzat e Hazrat Madni (Ra) Pg : 11)
Shaikhul islam Hazrat Madni (Ra) Ne Farmaya : Khabrao Nahi, Mayus Mat Ho, Ek Khuda Par Bharosa Karo, Wo Hamare Saath He, Koshish Kiye Jao, Kamyabi Dekhoge, Khuda Se Daro, Uske Siwa Kisi Se Na Daro.... (Malfuzat e Hazrat Madni (Ra) Pg : 82)
Shaikhul islam Hazrat Madni (Ra) Ne Farmaya : Ye Darul islam Tha, Angrezon Ne Hujoom Kar k Darul Harb Banaya, Musalmano Ka Farz He K Unko Nikale....(Malfuzat e Hazrat Madni (Ra) Pg : 27)
Zaban Band Rakho, Aur Aankho Se Dekho ! Kuch N Bolo ! Qudrat Ko Dekho Kya Karti He, Wo Beniyaz Aur Beparwa Bhi He, Aur Sab Se Zyada Ra’afat W Rahmat wala Bhi, Uska Zahiri Haath Bhi He Aur Khufya Haath Bhi, Kuch Fikr N Karo, Kisi Ko Mat Satao.“Allah Tumhare Saath He Tum Jaha Bhi Raho”.....Malfuzat e Hazrat Madni (Ra) Pg : 73
Allah Se Dua Karni Chahiye K Wo Kareem Karsaz Apne Fazlo Karam Se Masaib (Musibato) K Badalo Ko Chant De Aur Hamare Saath Aese Mamlat Farmaye Jis ke Hum Musthiq He....Malfuzat e Hazrat Madni (Ra) Pg : 72
Aakhirat Ka Azab Wo Azab He K Dunya Ki Jumla Anwa’a (Har Tarah) Ki Takaleef Ek Taraf, Aur Aakhirat K Azabon Ki Ek Qism Ki Takleef Chand Minton Ki Ek Taraf Ho To Ye Aakhirat Wali Takleef Us Par Bala (Badh) Ho Jayegi....Malfuzat e Hazrat Madni (Ra) Pg : 70
Jis Se Talluq Ho Mahaz Khuda Ki Wajah Se Ho, Aur Jis Se Nafrat Ho Mahaz Usi Ki Wajah Se Ho, Qowl Kam Aur Hal Zyada Ho.....Malfuzat e Hazrat Madni (Ra) Pg : 71
Namaz Ki Pabandi Ka Khayal Rakhe, Shariat e Mutah-hara Aur Sunnat e Nabwiyya Ka Jahan Tak Ho Sake Khayal Rakhe, Huququl ibaad Se Hattal-wasa’a (Taqat Ke Mutabiq) Bache, Touba Zyada Kare, Subah Sham “Subhanallah” “Alhamdulillah” “Allahu Akbar” 1,1 Tasbih Padha Kare.Note : Agar Koi Kisi Se Bet Ho To Shaikh Ki Batayi Tasbihat Padhe.....Malfuzat e Hazrat Madni (Ra) Pg : 70
Ye Chand Dino ki Zindagani He Aur Fir Usme Quwa Ki Taqat Aur Bhi Aqall He, Jis Qadar Bhi Mumkin Ho Zaad Bara e Rah e Aakhirat is Me Tayyar Kar Li Jie.....Malfuzat e Hazrat Madni (Ra) Pg : 70