Multazim Par Dua - Junaid Jamshed

  • Thread starter Thread starter seek.learn
  • Start date Start date
  • Replies Replies 7
  • Views Views 3K

seek.learn

Esteemed Member
Messages
191
Reaction score
23
Salaam o alaikum wa rahmatullah,

I had been looking for it. Now that Ive found it, thought Id share.


‘Multazim Par Dua' – (Junaid Jamshed)

Zahir Kee Aankh Say, Na Tamasha Kurray Koy;
Ho Dekhna Toh Deeda-e-Dil, Waa Kurray Koy.
Arr Baetay Kya Sumjh Kay, Bh’lla Toor Par Kaleem;
Taaqut Ho Dheedh Kee, Toh Taqaaza Kurray Koy.

Elaahi Teri Chaukhut Par Bhikaari Ban Kay Aaya Hoonh
Suraapa Fuqr Hoonh, Ijz-O-Nudhaamut Saath Laaya Hoonh

Elaahi Teri Chaukhut Par Bhikaari Ban Kay Aaya Hoonh
Suraapa Fuqr Hoonh, Ijz-O-Nudhaamut Saath Laaya Hoonh

Bhikaari Wo Kay Jiss Kay Paas Jholee Hai Na Piyaala Hai
Bhikaari Wo Jissay, Hirs-O-H’wus Nay Maar Daala Hai

M’taa-e-Deen-O-Dhaanish, Nafs Kay Haathonh Say Lootwa Kar
Sukoon-e-Qalb Kee, Daulat H’wus Kee Bhaint Chhurwaa Kar

Loota Kar Saari Poonji Ghuflut-O-Isyaanh Kee Dhuldhul Meinh
Sahara Lainay Aaya Hoonh Teray Kaabay Kay Aanchul Meinh

Gunaahonh Kee Liput Say Qaiynaat-e-Qalb Afsoordha
Iraadhay Muzmay’hell, Himmat Shikasta, Hauslay Moordha

Kahanh Say Laoonh Taaqut, Dil Kee Suchee Tarjumaani Kee
Kay Iss Jhanjaal Meinh, Guzree Hainh Ghuryanh Zindagaani Kee

Khulaasa Yeh Kay Bas, Jal Bhun Kay Apni Ru-Siyaahee Say
Saraapa Fuqr Ban Kar, Apni Haalat Kee Tabaahee Say

Teray Darbaar Meinh Laaya Hoonh Apni Ab Zabunh Haalee
Teri Chaukhut Kay Laa’ikk Har Amal Say Haath hain Khaali

Yeh Tera Ghar Hai Teray, Mehr Ka Darbaar Hai Maula
Saraapa Noor Hai, Ikk Mohabbat-e-Anwaar Hai Maula

Teri Chaukhut Kay Jo, Aadaab Hainh Meinh Oon Say Khaali Hoonh
Naheenh Jiss Ko Saleeqa, Maangnay Ka Wo Sawaalee Hoonh

Zubaanh Gharq-e-Nadaamat Dil Kee Naaqas Tarjumaani Par
Khudaaya Rehem Meri Iss Zamaanay Bay Zubaani Par

Yeh Aankhainh Khushk Hainh, Ya Rab Inhainh Ronanh Naheenh Aata
Soolugtay Dagh Hainh, Dil Meinh Jinhainh Dhona Naheenh Aata

Elaahi Teri Chaukhut Par Bhikaari Ban Kay Aaya Hoonh
Suraapa Fuqr Hoonh, Ijz-O-Nudhamut Saath Laaya Hoonh
Suraapa Fuqr Hoonh, Ijz-O-Nudhamut Saath Laaya Hoonh
----

May Allah guide and forgive us all. Aameen.

Alaikum Salaam wa rahmatullah
 
Salaam o alaikum,

I dont have a clue. InshaAllah, hope some of the other members can tell you.

JazakAllah for offering to do so.

Alaikum Salaam
 
pleasseeeee somebody tell chacha jalebi how to upload.. i really feel like listening to this nasheed today

jazakhAllah

wa alaikum asalaam
 
:sl:

Zahir Kee Aankh Say, Na Tamasha Kurray Koy;
Ho Dekhna Toh Deeda-e-Dil, Waa Kurray Koy.
Arr Baetay Kya Sumjh Kay, Bh’lla Toor Par Kaleem;
Taaqut Ho Dheedh Kee, Toh Taqaaza Kurray Koy.

Yeh Allama Iqbal ki Nazam kay shayir hain
 
[MEDIA]http://video.google.com/videoplay?docid=-2556316075218756172&q=junaid+jamshed[/MEDIA]
 

Similar Threads

Back
Top