Naatia Asha'ar - poetry

  • Thread starter Thread starter Kas1m
  • Start date Start date
  • Replies Replies 6
  • Views Views 12K

Kas1m

LI Lockpicker
Messages
797
Reaction score
58
Gender
Male
Religion
Islam
Post your Naat shairs. Post one or two shairs. Here is mine. Nobody can beat this one
Zang e Issian se dil jis ka taareek hai, nafs jis ka gunaahon se beemaar hai
Us ko taiba ki noori faza chahiye aur madinay ka daar o shifa chahiye
 
From rustiness whose heart is blackened, whose soul is ill from sins
He needs the bright noorani light of Taiba (madina), and cure from Madina
 
These 2 are from my most fovourites

Muhammad (S.A.W) Ki Muhabbat Deen-e-Haq Ki Shart-e-Awwal Hai
Issi Mein Ho Agar Khami Tou Emaan Na Mukammal Hai
&
Meray Hathon Se Meray Honthon Say Khushbuu Jati Nahin
Keh Maine Ism-e-Muhammad (S.AW) Ko Likha Bhut Chuma Bhut
 

Mujh ko Darpesh Hair Phir Mubarak Safar

مجھ کو درپیش ہے پھر مبارک سفر قافلہ پھر مدینے کا تیار ہے
نیکیوں کا نہیں کوئی توشہ فقط میری جھولی میں اشکوں کا اک ہار ہے

کوئی سجدوں کی سوغات ہے نہ کوئی زہد و تقوی میرے پاس سرکار ہے
چل پڑا ہوں مدینے کی جانب مگر ہائے سر پر گناہوں کا انبار ہے

جرم و اسیاں پہ اپنے لجاتا ہوا اور اشک ندامت بہاتا ہوا
تیری رحمت پہ نظریں جماتا ہوا در پہ حاضر یہ تیرا گناہ گار ہے

مجرموں کو شہہ بخشواتا ہے تو ساری امت کی بگڑی بناتا ہے تو
غم کے ماروں کو سینے لگاتا ہے تو بےکسوں غمزدوں کا تو غم خوار ہے

تیرا ثانی کہاں شاہ قون و مکاں اور مجھ سا آسی بھی امت میں ہو گا کہاں
تیرے عفو و کرم کا شہ دو جہاں کیا کوئی مجھ سے بڑھ کر بھی حقدار ہے

ٹھوکریں در بدر کب تلک کھاؤں میں پھر مدینے مقدر سے جب آؤں میں
کاش قدموں میں سرکار مر جاؤں میں یا نبی یہ تمنا عطار ہے


mujh ko darpesh hai phir mubarak safar qafila phir madinay ka tayyar hai
naikiyon ka nahi koi tosha faqat meri jholi mai ashkon ka ik haar hai

koi sajdon ki saughaat hai na koi zuhd o taqwa mere paas sarkar hai
chal para hoon madinay ki janb magar haaye sar par gunahon ka anbaar hai

jurm o isiyan pe apne lajata hua aur ashk e nadamat bahata hua
teri rehmat pe nazrain jamata hua dar pe haazir ye tera gunahgar hai

mujrimon ko shaha bakhshwata hai tu saari ummat ki bigdi banata hai tu
gham kay maaron ko seenay lagata hai tu bay kason ghamzadon ka tu gham khwar hai

tera saani kaha shah e kon o makaa aur mujh sa aasi bhi ummat mai ho ga kahan
tere afwa o karam ka shah e do jahan kiya koi mujh se barr kar bhi haqdar hai

thokrain dar ba dar kab talak khaaoon main phir madinay muqaddar se jab aaoon main
kash qadmon main sarkar mar jaaoon main ya nabi ye tamanna e attar hai
 
محمد کی غلامی ہے سند آزاد ہونے کی
خدا کے دامن توحید میں آباد ہونے کی

 
:sl:

Asha'ar saray hee bohut umdaah hen...mager sab say khubsoorat ....

Meray Hathon Se Meray Honthon Say Khushbuu Jati Nahin
Keh Maine Ism-e-Muhammad (S.AW) Ko Likha Bhut Chuma Bhut


MashaAllaah!!!

Bohut shukria!

:wa:
.
 

Similar Threads

Back
Top