Nabi s.a.w ki ahadith

  • Thread starter Thread starter azc
  • Start date Start date
  • Replies Replies 24
  • Views Views 4K

azc

IB Legend
Messages
7,057
Reaction score
232
Gender
Male
Religion
Islam
Hazrat Zaid bin Arqam Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya jo shaksh moonch ke baal na kaaatey wo hum mein se nahi hai... (Sunan Nisai, Vol1, #13)
 
Hazrat Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya paanch baatein fitrah ) yani paidayeeshi sunnat ( hain Khatna karna, naaf ke neechey ke baal hatana, baghal ke baal ukhadna , nakhun tarashna aur moonch ke baal qatarna.... (Sunan Nisai, Vol1, #11)
 
Thawban Radi Alllahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah SallAlllahu Alaihi wasallam ne mujh se farmaya ki Teen baatein aisee hain jinka karna kisi shaksh ke liye durast nahi Ek ye ki jab wo Imam baney to sirf apney liye dua karey dusron ke liye na karey agar kisi ne aisa kiya to Goya usney logo ke saath khayanat ki , dusra ye ki bagair Ejazat kisi ke Ghar jhankna agar usney aisa kiya to wo Goya bagair Ejazat Andar ghus gaya Teesra peshab ya pakhana ke aaney waqt Namaz na parhey yahan tak ki wo farig na ho jaye .... (Sunan Abu Dawud, Vol 1, 90)
 
Hazrat Abu Hurairah Radi Alllahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah SallAlllahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shaksh ALLAH aur Qayamat ke deen par yakeen rakhta ho usey liye jayaz nahi ki wo Peshaab pakhana ro kar ke namaz parhey yahan tak ki wo insey faraghat hasil kar le... (Sunan Abu Dawud, Vol1, 91)
 
Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se Rivayat hai ki Madiney ki ek Gali (street) meri mulaqat Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam se huyee, us waqt mein Janabat ki haalat ( napaki ) mein tha isliye mein peechey rah kar laut gaya , aur Ghusal karkey wapas Aaya, to Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne daryaft farmaya ki Eh Abu Hurairah kaha chaley gaye they unhoney jawab diya ki Main Janabat (Napaki) ki Haalat mein tha isliye Mainey Aapkey saath bagair Ghusal ke baithna Bura jana Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya SubhanAllah Momeen kabhi Napak ( Najis) nahi ho sakta (Sahih Bukhari, Vol 1, 283)
 
Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhuse rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallamne farmaya sabse behtar amr (amal ke liye)Allah ki kitab hai aur sabse behtar tareeqaMuhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ke tareeqa hai sabse badtareen kaam Deen mein nayee nayee baton ka paida karna hai aur har Nayee baat gumrahi hai aur farmaya ki jisshaksh ne marney ke baadmaal chorha wo uskeiwarison ka hai aur jisney karz ya Ayaal( children) chorheywo mere zimmey hai......: Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 45 (Sahih)
 
Hadrat Ibn ‘Abbas Radi Allahu Ta’ala Anhu says that Rasoolullah SallAllaho Alaihi wa Aalihi wa Sallam said ‘One Faqih is more superior over shaitaan, than a thousand worshippers.’ Sunan Tirmidhi, Volume 10, Chapter 19, Page 203, Hadith 2897 Sunan Ibn Majah, Volume 1, Chapter 39, Page 267, Hadith 227 Mishkat al-Masabih, Volume 1, Page 47, Hadith 217
 
Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahao alaihi wasallam ne farmaya meri ummat mein bahut chahney waley mere wo log hongey jo mere baad paida hongey unmein se har koi ye khwahish rakhega ki kaash apney gharwalon aur maal sabko sadqa kar de aur mujhko dekh le {Sahih Muslim , Vol 6, 7145}
 
Hazrat AYESHA Siddiqah (R.A) Se Riwayat hai ke EK Yahodi aurat Unse Kuch Maangne aaie Dorane Gufatgu us ne AYESHA (R.a.) SE kha Ke ALLAH tumhe Azabe QABAR Se Bachaye Hazrat Ayesha (R.A.) NE Rasool ALLAH (s.a.w) Se pocha kya Logon Ko QABARON me Azaab Hoga ? TO Rasool ALLAH (s.a.w) Ne Azaabe QABAR Se Pana Mangte Hoye Farmaya Haan ! Fhir Hazrat Ayesha (R.a) Ne Hadeese Garhan Ka zikar Kiya Jis ke Aakhir me hai Ke Fhir Aap ne Logon ko HUKAM diya Ke Woh AAZABE Qabar Se Panaah Maanghen.. { Sahi Al Bukhari Kitab Al Qusuf Ahadees no. 1049}
 
Aayesha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo bhi peene wali cheez nasha laaaye wo haram hai ......Sahih Bukhari, Vol 1, 242
 
Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya koi din aisa nahi jata ki jab bande subah ko uthtey hain to do farishte aasman se na utarte ho, ( yani har roz do farishtey subah ko aasman se utartey hain) unmein se ek farishta ye kahta hai ki Eh ALLAH kharch karne wale ko iska badla de aur dusra kahta hai ki eh ALLAH bakhil (kanjus) ko tabah kar de {Sahih Bukhari, Vol 2, 1442}
 
Hazrat Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Bewaon aur miskeenon ke kaam aaney wala Allah ke raastey mein Jihad karney waley ke barabarhai ya Raat bhar Ibadat aur din bhar Roza rakhney waley ke barabar hai{Sahih Bukhari, 5353}"
 
Hazrat ALi bin Abu Talib Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Bakheel wo hai jiske samney mera Zikr ho aur wo mujh par Durud na bhejey.... - Jamia Tirmidhi, Vol2, #1469
 
Hazrat Abu Hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya main Aulad Aadam ka sardar hunga Qayamat ke din. aur sabse pahley mein Shafa’at karunga aur sabse pahley meri shafaat Qubul hogi | ....Sahih Muslim, Fazeelaton ke Masayeel, 5940
 
Abu Qatada Al Salmi radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah sallallahu-alaihi-wasallam ne farmaya Jab tum mein se koi shaksh masjid mein dakhil ho to baithney se pahley Do Rakaat namaz parh le ... Sahih Bukhari , Vol 1, # 444
 
Narrated Al-Qasim ibn Muhammad ibn AbuBakr: I said to Aisha! Mother, show me the grave of the Apostle of Allah (peace_be_upon_him) and his two Companions (Allah be pleased with them). She showed me three graves which were neither high nor low, but were spread with soft red pebbles in an open space. ('Funerals (Kitab Al-Janaiz)' of Sunan Abu-Dawud.Hadith # 3214)
 
Amr ibn Shu’ayb reported from his father, from his grandfather that Allah’s Messenger (SAW) said, “If any of you gets a nightmare, let him say: I seek refuge in the perfect words of Allah against His wrath and His punishment and the’ mischief of His slaves and from the temptations of the devils and that which they bring, Then they will not harm him.” So, Abdullah ibn Amr used to teach this supplication to his grown up children. And, he wrote it down on something and hung it on the neck of those who had not attained puberty. [Sunnan Abu Dawud, book of Medicine, hadith 3884] this is also quoted in , Sunan tirmidhi Chapter 99, hadith 3539, Abu Dawood [rah], Nasai [rah] and Al Hakim [rah] said the Isnad is SAHIH
 
"Amr ibn Shu'aib (may Allah be pleased with him) said that 'Rasulu'llah(may Allah bless him and grant him peace) taught my father and grandfather a du'a which we would read before going to sleep, to protect us from fear and anguish. We told our elder children to recite this du'a before going to sleep as well. But for those children who were not yet literate, we would write it and then put it around their necks" [Musnad Ahmad ibn Hanbal vol.2,Abu Dawud, in 'Chapter of Medicine']
 
Narrated: Abdullah bin MasudWe, about forty men, were with the Messenger of Allah (may peace be upon him) in a camp when he said: Aren't you pleased that they should constitute one-fourth of the inhabitants of Paradise? He (the narrator) said: Yes. He (the Holy Prophet) again said: Aren't you pleased that you should constitute one-third of the inhabitants of Paradise? They said: Yes. Upon this he again said: By Him in Whose Hand is my life, I hope that you would constitute one-half of the inhabitants of Paradise and the reason is that no one would be admitted into Paradise but a believer and you are no more among the polytheists than as a white hair on theskinof a black ox or a black hair on theskinof a red ox (Sahih Muslim Chapter No: 1, Faith (Kitab Al Iman)Hadithno: 428)
 
Abdullah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Beshaq Allah ke farishte zameen mein ghumte rahte hain aur meri Ummat ka salam mujh tak pahuchate hain......Sunan Nasai,Jild 2, 1285-Sahih
 

Similar Threads

Back
Top