Nabi s.a.w ki ahadith

  • Thread starter Thread starter azc
  • Start date Start date
  • Replies Replies 24
  • Views Views 4K
Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya agar tum mein se koi mujhe salam karta hai to Allah Subhanhu meri rooh ko wapas lauta deta hai aur main uskey salam ka jawab deta hu......(Sunan Abu Dawud,Jild 2,273-HasanAt-Tabrani, 3187-SahihAl Bayhaqi, 9519-SahihMasnad Ahmed, 10590-Hasan
 
Abdullah bin khubayb Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Subah aur sham 3 baar Qul Huwallahu Ahad (Surah Ikhlas) aur Muauwazatain (Surah Al-Falaq Aur Surah An-Nas) padh liya karo , ye tumhe (har tarah ki pareshaniyo se bachao ke liye) kaafi ho jayegi...(Sunan Abu dawud, Jild 3, 1643-Hasan)
 
Amr ibn Al As Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Apney bachcho ko Namaz ka hukm do jab wo 7 baras ke ho jaye aur jab 10 baras ka ho jaye to Namaz na parhney par unko maro{ (Sunan Abu Dawud, Vol 1, # 493 }
 
Hazrate Abu Hurairah (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki:Allah Ta’ala Farmata Hai : “Mere Uss Momin Bandey Ka Jiska Main Koi Aziz Duniya Se Utha Lu Aur Wo Uss Par Sawaab Ki Niyat Se Sabr Kar Le Tou Uska Badla Mere Yahan Jannat Ke Siwa Aur Kuch Nahi”.(Sahih Bukhari, Vol 7, H-6424)
 
Ibrahim Abu Isma’il As-Saksaki (Razi Allahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki“Jab Banda Bimaar Hota Hai Ya Safar Karta Hai Toh Uskey Liye Unn Tamam Ibadaton Ka Sawaab Likha Jata Hai Jinhe Sehat Ke Waqt Kiya Karta Tha”.( Bukharin, Vol 4, H-2996)
 

Similar Threads

Back
Top