Shaam kay dar par

maqsood hasni

Active member
Messages
45
Reaction score
3
Shaam kay dar par

Shab aankhoon main
Taroon ka jangal
Piyas kinaray
Haras main dobay
Ganga kay damun main
Zid ka kajil
Soraj kay nafa main
Shak ka dhowaan
Shadaab ojalay
Tadbeer kay qatil
Ghar kay malik chandi log
Ghurbat reshtay
Aag ki pael
Shisha diwaroon par
Titli Rangoon main
Jivan chehray
Ghael ghael
Eshq aankhoon kay
Phatar khaboon main
Aas kay gongay behraybadil
Khon charaghoon main
Hasni nay aaena rakha
Sham kay dar par
Subh thi sael
 
hazoor thora tadabr farma lain,
shaed aap ki samjh main kuch aa ja'ay.
qari say behtar, kisi tehreer ko koon samjh sakta hai.
tovajo k liay mamnoon hoon.
 

Similar Threads

Back
Top