
Hawa hay go taiz wa tund laiken chragh apna jala raha hay
Woh marde darwaish jis ko haq nay diyay hain andaz Khisrowana
iss shayir kay saath saath yeh shayir bhi kuch aysaa he hay
Tud o Taz hawaoon say na ghabra aay okaab
yeh tu chalteen hain thujhay onchaa auranay kay liya
(Allama Iqbal)
is shayir main aur Tilmeez nay jo shayir likha hay us main takreeban aik he baat hay tud o taz hawaeen meray khayal main woh mushkilain ya imtahaan hain jo her kissi kay samnay kissi na kissi shakal main ateen hain lakin hum ko un mushkilaat aur imtahaanaat say gabrana nahi chaheya bulkay uk ka mugabla karna chaheya aur mushkilaat ka haal aur imtahaanaat ko aboor karna chaheyay
bilkul ussi tarhaa jiss tarhain koi bacha 1 class main hay tu exams darasal uski zahanat check karnay kay liya nahi hotay bulkay yeh check karnay kay liya hotay hain kay aya bacha 2 class ki studies kay kabil hay ya nahi issi tarhaan hum imtahanaat deytay rahtain hain aur humay lagta hay kay yeh pehlay say ziyadaa mushkil imtahaan hay
abb har imtahaa pass karnay kay baad app ko rise milta hay apki class main aur iss kay sath sath app ka zahen aglee mushkilaat kay liya tayaar hota rehta hay, her mushkil darasal Allah ki taraf say humaray liya imtahaan hay jiss ko humain pura tarhain pass karana hay agay humaray liya aik aur imtahaan tayaar hoga aur humain uss per mehnaat karnee hay usee tarhaan say jiss tarhaan (hafiz patel u.k) nay yeh kahaa
martay martay karna kartay kartay marna....
hum ko tu her haal main karna hay
us diyaa ko jalaey rakhna hay
yehi hay humaray imaan ka rise yeh mushkilaat humain aur mazboot kartain hain
tu koi Mushkil asysee nahi hoti kay haal na ho
sirf jazba aur Yaqeen Kamil apnay per aur Allah ki zaath per
meray khayaal main yeh kafi hay
